Showing posts with label Achchhe Aamal (good deeds). Show all posts
Showing posts with label Achchhe Aamal (good deeds). Show all posts

KHANA KHA KAR SHUKR KARNE KA SAWAB ROZA RAKHNE KE BARABAR HAI

Hadith : khana kha kar shukr karne ka sawab roza rakhne ke barabar hai




Bismillahirhamanirrhaim

✦ *Hadith : khana kha kar shukr karne ka sawab roza rakhne ke barabar hai*
--------
✦ Sinan Al-Aslami Radi Allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya khana kha kar (Allah ka) Shukr ada karne walo ko roza rakhkar sabr karne walo ke barabar sawab milta hai
Sunan Ibn maja , Jild 1, 1765-Hasan
--------
رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا
کھانا کھا کر شکر کرنے  والوں کو  روزہ رکھ کر صبر کرنے والوں کے برابر ثواب ملےگا
سنن ابن ماجہ جلد ١ ، ١٧٦٥-حسن
--------
✦ रसूल अल्लाह सलअल्लाहु अलैहि वसल्लम  ने फ़रमाया खाना खा कर शुक्र करने वालों को रोज़ा रखकर  सब्र करने वालों के बराबर सवाब मिलता है
सुनन इब्न माजा जिल्द 1, 1765- हसन
--------
✦ It was narrated from Sinan Al-Aslami Radi allahu anhu that RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said A grateful eater ( the one who praise Allah after eating) will have a reward like that of a fasting person who have patience.
Sunan Ibn maja , Book 7, 1765-Hasan
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
NON MUSLIM BROTHER AND SISTER KE LIYE FREE QURAN CONTACT KIJYE MAKTABA AL FURQAN SAMI 9998561553
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

APNE GHARWALO KE SAATH INSAF KARNE WALE NOOR KE MIMBRO

Hadith : Apne gharwalo ke saath insaf karne wale Noor ke mimbaro par honge


Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith : Apne gharwalo ke saath insaf karne wale Noor ke mimbaro par honge
--------------------
✦ Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo log insaf karte hain wo Allah subhanhu ke yahan Rahman Azwajal ke dahini taraf noor ke mimbaro par honge aur ye wo log honge jo apne gharwalon ke saath insaf karte hain aur jo kaam unko diya jata hai usmein insaf karte hain
Sahih Muslim, Jild 6, 4721
--------------------------------
عبداللہ بن عمرو رضی اللہ عنہسے روایت ہے کی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جو لوگ انصاف کرتے ہیں وہ الله سبحانه کے یہاں رحمٰن عزوجل کی دائیں جانب نور کے منبروں پر ہوں گے یہ وہی لوگ ہوں گے جو اپنے گھروالوں کے ساتھ انصاف کرتے ہیں اور جو کام ان کو دیا جاتا ہے اس میں انصاف کرتے ہیں
صحیح مسلم جلد ٦ – ٤٧٢١
--------------------------------
✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो लोग इंसाफ़ करते हैं वो अल्लाह सुबहानहु के यहाँ रहमान अज़व्ज़ल के दाहिनी तरफ नूर के मिम्बरों पर होंगे और ये वो लोग होंगे जो अपने घरवालों के साथ इंसाफ़करते हैं और जो काम उनको दिया जाता है उसमें इंसाफ़ करते हैं
सही मुस्लिम , जिल्द 6, 4721
--------------------------------
✦ It has been narrated on the authority of Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu that
The Messenger of Allah (ﷺ) said: Behold! the Dispensers of justice will be seated on the pulpits of light beside God, on the right side of the Merciful, Exalted and Glorious. those who do justice in their rules, in matters relating to their families and in all that they undertake to do.
Sahih Muslim, Book 20, 4493

ALLAH TAALA KI NAZAR E RAHMATT, HAM KALAAMI AUR GUNAAHON KI SAFAAI SE MAHROOMI, AUR DARDNAAK azaab

۩ ALLAH TAALA KI NAZAR E RAHMATT, HAM KALAAMI AUR GUNAAHON KI SAFAAI SE MAHROOMI, AUR DARDNAAK AZAAB: Hazrat Abu Dharr r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Teen qism ke logon se Allah Qayamat ke din na ham’qalaam hoga, na unki taraf nazar (rahmat) farmayega aur na hi unko gunaahon se paak wa saaf karega, aur unke liye dardnaak azaab hoga. Pahla, koi chiz de kar ehsaan Jatanay wala, Dusra apne Libaas ko Takhno se neeche latkane wala, Teesra, Jhooti qasam kha kar apna samaan bechne waala.” Sahih Muslim, Kitabul Eemaan, Hadith- 493. Toh phir ek momin bande ko ye kaise gawaara hona chahiye ke woh koi aisa amal kare Jisse uska pyaar karne waala Rabb usse ruth jaaye, usse ham kalaami band kar de, aur gunaaho se bojhal uske kandho ko azaad na kare balke rahmat ki jagah ghazab aur pyar ki jagah nafrat ki nigaah se dekha jaaye. Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya Takhno se niche ka izaar aag me hai. Sahih Al Bukhari, Hadith no. 5787. ۩ Libas Ko Takhno Se Niche Latkane Ke Mutallik Pahli Galat Fehmi: Aksar log samajhte hai ki Agar Dil me ghamand na ho to apna libas niche latkane me koi harj nahi hai. Lekin ye mahez ek galat fehmi hai Kyuki sirf ghamand wajah nahi hai, aur bhi wajuhaat aur hikmat hai libas to takhne se upar rakhne ki, ۩ Pahli wajah: Libas ko Saaf rakhna `Amr bin Maimun r.a. riwayat karte hai ki Umar r.a. ne (apne bhai ke bete se) farmaya, “Ae Mere bhai ke bete! Apne libas ko uncha rakho, Ye tumhare libas ko saaf rakhega aur tumhe tumhare Rab ke azaab se mahfuz rakhega. Sahih al-Bukhari, Kitab Fazail Ashaab an-Nabi ﷺ, Hadith no: 3700
bukhari/62/51 . ۩ Dusri wajah: RasoolAllah ﷺ ki itaat karna Hazrat Ubaid bin Khalid radiyallahu anhu kahte hai, “Mai ek bar Madinah Munawwarah jaa raha tha. Maine apne piche ek shaks ko kahte hue suna, “Apni Lungi ko uchi karo kyuki ye jismani aur roohani najasato (impurities) ko dur karti hai. Jab mai piche muda dekhne ke liye ki kaun kah raha hai, maine dekha ki wo RasoolAllah ﷺ the. Maine kaha, “Ae” RasoolAllah ﷺ, Ye sirf ek mamuli si chadar (lungi) hai (ek shaks ko isse ghamand kaise ho sakta hai, aur kya is pe dhyan dena zaruri hai)? RasoolAllah ﷺ ne farmaya, Agar tumhe isme koi bhalai nazar nahi aati, Kya tumhe meri pairwi karna kaafi nahi? Jab RasoolALlah ﷺ mujhse ye kah rahe the, maine dekha ki unki lungi aadhe pindli (shin) tak pohchi hui thi. Shama’il Muhammadiyah by Imam Tirmidhi, Kitab no:18, Hadith 120.
. ۩ Libas Ko Takhno Se Niche Latkane Ke Mutallik Dusri Galat Fehmi: Hazrat Abdullah ibn Umar r.a. se riwayat hai ke Allah ke Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Jisne bhi takabbur ke taur par apne kapde ko zameen me ghaseeta, Allah Qayaamat me uski taraf nahi dekhega”, Hazrat Abu Bakr r.a. ne arz Kiya, “Agar main khayal na karun to mere kapde ka ek kona fisal jata hai”, Toh Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Aye Abu Bakr Tum aisa guroor ke taur par nahi karte.” Sunan an-Nasa’i, hadith-5335, Sahih (Sheikh Zubair Ali Zai). Kuch log is hadith ka matlab ye samajhte hai ki agar ek shaks ko Gurur nahi hai to wo apna libas takhne se niche latka sakta hai. Is hadith ka matlab bilkul bhi ye nahi hai. Is ka matlab ye hai ki jo insan jaan-bujh kar kapde takhno se niche latkata hai, khwah takabbur ka kasad ho ya nahi, is ke liye ye waeed shareed hai. Ha! Agar koi aadmi kapda takhno se uper rakhne ki puri koshish karta hai lekin us ke bawujud gair iradah ya gair ikhtiyari taur par kapda niche latak jata hai toh woh is waeed me dakhil nahi hoga, kyuki wo maazur hai, jaisa ki Sayyadna Abu Bakr r.a. farmate hai ki jab mai puri puri muhafizat karta hu toh tahband niche nahi latakta. Kabhi zara si gaflat karu to niche latak jata hai. Hadees me يَسْتَرْخِي ka lafz bhi is baat par Dalalat karta hai ki Tahband khud bakhud niche latak jata tha, wo bhi kabhi kabhar na ki hamesha. Sayydna Abu Bakr r.a. kasratan nahi latkate the. Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм bhi samajhte the ki ye Waeed har us insan ko shamil karta hai jo takabbur ke irade se latkata hai ya bagair takabbur ke irade irade se. Tab hi to ye sawal kiya tha ki gair iradai taur par gaflat ki wajah se mera tahband latak jata hai. Kya mai bhi usi Waeed me dakhil hu? Ap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм farmaya, “Nahi”. Ha Agar Sayyadna Abu bakr r.a. ye puchte ki mai khud shalwar takhne se niche latka kar rakhta hu aur mera takabbur ka iradah nahi hota, fir agar Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ijazat de dete to baat sahih hoti. Jabki yaha aesi koi baat nahi hai. Aur hadees me kaha gaya hai ki Allah ki nazar me Apna libas takhne se niche latkana hi takabbur hai aur ye Takabbur ki ek kism hai: Jaabir ibn Sulaym r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne mujhse farmaya, “Takhne se niche libas latkane se khabardar hona, kyuki ye Ghamand hai aur Allah ghamand ko pasand nahi karta”. Sunan Abu Dawood, Kitab No : 34, Kitab Al Libas, Hadees-4084, Sahih (Sheikh Albani). Ek baat aur gaur e Fikr talib hai ki agar libas takhne se upar karne ka hukm sirf takabbur walo ke liye hota to RasoolAllah kabhi bhi apna kapda takhne se upar na rakhte kyuki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм me takabbur nahi tha. RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм me takabbur nahi tha lekin fir bhi wo apna libas apne takhno se upar rakhte the. Aur is baat par puri ummat ka Ijma hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм apne libas ko takhne se upar rakhte the aur ye amal sunnat hai. Isi liye hame is amal ko kasrat se karna chaiye kyuki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ham sab ke liye ek behtreen misaal hai. ۩ Libas Kaha Tak Uthaya Jaye ? Ibn Umar r.a. kahte hai ki mai RasoolAllah ﷺ ke samne se guzra aur meri chadar latak rahi thi, toh Aap ﷺ ne farmaya ki Ae Abdullah! Apni chadar unchi karo. Maine utha liya toh Aap ﷺ ne farmaya ne farmaya ki aur unchi karo. Maine aur unchi ki. Fir mai (apne tahband ko) uthata raha, yaha tak ke kuch logo ne pucha ki kaha tak uthani chaiye? Ibn Umar r.a. ne kaha ki Nisf Pindli tak. Sahih Muslim, Kitab al libas wal zinat, hadith no: 5200. /muslim/37/77 Allah se dua hai ki wo hame qayamat ke din apni rahmat me mahfuz rakhe aur hame gunaho se paak kar de. aameen.

Hadith:Qayamat ke din sahib-e-Quran aayega to Quran apne RAB se arz karega , Ya Allah is se razi ho ja to Allah subhanahu us se razi ho jayega

Hadith:Qayamat ke din sahib-e-Quran aayega to Quran apne RAB se arz karega , Ya Allah is se razi ho ja to Allah subhanahu us se razi ho jayega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:Qayamat ke din sahib-e-Quran aayega to Quran apne RAB se arz karega , Ya Allah is se razi ho ja to Allah subhanahu us se razi ho jayega
-----------
Hadith: Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ke din sahib-e-Quran aayega to Quran apne RAB se arz karega ,YA Allah isko zeenat ata farma ( ya isko sanwar de) , phir usko ezzat ka taaj pahnaya jayega , phir wo (Quran) arz karega ya Allah isko aur zyada zeenat ata farma ( aur zyada sanwar de) , phir usko ezzat ka joda pahnaya jayega , phir wo (Quran ) arz karega Ya Allah is se razi ho ja to Allah subhanahu us (sahib e Quran) se razi ho jayega , phir us se kaha jayega ki padhta ja aur (darjat par) chadhta ja aur har aayat ke badle uski neikiya zyada ki jayegi
Jamia Tirmizi, Jild 2, 820-Hasan
-----------
हदीस : अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया क़यामत के दिन साहिब-ए-क़ुरान आएगा तो क़ुरान अपने रब से अर्ज़ करेगा ,या अल्लाह इसको ज़ीनत अता फरमा ( या इसको संवार दे) , फिर उसको ईज़्ज़त का ताज पहनाया जाएगा , फिर वो (क़ुरान) अर्ज़ करेगा या अल्लाह इसको और ज़्यादा ज़ीनत अता फरमा ( और ज़्यादा संवार दे) , फिर उसको ईज़्ज़त का जोड़ा पहनाया जाएगा , फिर वो (क़ुरान ) अर्ज़ करेगा या अल्लाह इस से राज़ी हो जा तो अल्लाह सुबहानहु उस (साहिब ए क़ुरान) से राज़ी हो जाएगा , फिर उस से कहा जाएगा की पढ़ता जा और (दरजात पर) चढ़ता जा और हर आयत के बदले उसकी नेकियाँ ज़्यादा की जाएगी
जामिया तिरमिज़ी , जिल्द 2, 820-हसन
-----------
✦ Hadith: Narrated Abu Hurairah Radi Allahu Anhu that the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: The one who memorized the Qur'an shall come on the Day of Judgement and (the reward for reciting the Qur'an) says: O Lord Decorate him.So he is donned with a crown of nobility. Then it says: O Lord! Give him more! So he is donned with a suit of nobility. Then it says: "O Lord! Be pleased with him.' So He is pleased with him and says: "Recite and rise up, and be increased in reward with every Ayah.
jamia Tirimizi, Book 42, 2915-Hasan

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

Raaste mein takleef dene wali cheezo ko hatane ka sawab

✦ Mafhum-e-Hadith: Raaste mein takleef dene wali cheezo ko hatane ka sawab

Bismillahirrahmanirrahim
✦ Mafhum-e-Hadith: Raaste mein takleef dene wali cheezo ko hatane ka sawab
----------

✦ Abu Huraira Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ek shakhs raaste par chal raha tha ki usne waha kaante daar daali dekhi , usne usko hata diya to Allah subhanahu ne uska ye amal Qubul kiya aur uski magfirat farma di
Sahih Bukhari, Jild 3, 2472

✦ Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Maine jannat mein Ek Shaksh ko Maze karte huye dekha jisne ek aise darakht ko raah mein se kaat diya tha jis se logon ko takleef hoti thi
Sahih Muslim, vol 6, 6671
-----------------------
✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया एक शख्स रास्ते पर चल रहा था की उसने वहां काँटेदार डाली देखी , उसने उसको हटा दिया तो अल्लाह सुबहानहु ने उसका ये अमल क़ुबूल किया और उसकी मगफिरत फरमा दी
सही बुखारी, जिल्द 3, 2472

✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया मैने जन्नत में एक शख्स को मज़े करते हुए देखा जिसने एक ऐसे दरख़्त को राह में से काट दिया था जिस से लोगों को तकलीफ़ होती थी
सही मुस्लिम, जिल्द 6, 6671
------------
✦ Narrated Abu Huraira Radi Allahu anhu Allah's Messenger may peace be upon him said, "While a man was on the way, he found a thorny branch of a tree there on the way and removed it. Allah thanked him for that deed and forgave him."
Sahih Bukhari, Book 43, Hadith 652

✦ Abu Huraira reported Allah's Messenger may peace be upon him said that I saw a person enjoying himself in paradise because of the tree that he cut from the path which was a source of inconvenience to the people.
Sahih Muslim, Book 32, 6341

EK BAAR SUBHANALLAH ALL

Bismillahirrahmanirrahim
✦ Mafhum-e-Hadith : Ek baar SubhanAllah, Allahu Akbar,
La ilaha ilAllah, Alhamdulillahi Rabbil Aalamin kahne ki fazilat
----------------------
✦ Abu Hurairah Radi Allahu Aahu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya beshak Allah subanahu ne kalimat mein se in chaar ko chun liya hai SubhanAllah Aur Alhamdulillah aur La ilaha ilallah aur Allahu Akbar
isliye jo bhi (ek baar) SubhanAllah kahega uske liye 20 nekiya likhi jayengi aur 20 gunah mita diye jayenge,
aur jo bhi Allahu Akbar kahega usko bhi waisa hi sawab milega , aur jo koi bhi (ek baar) Laa ilaha ilAllah kahega usko bhi waisa hi sawab milega aur jo koi dil se Alhamdulillahi Rabbil Alamin kahega (yani zuban ke saath dil se bhi iska yakeen ho ki Tamam tarife Allah ke liye hain aur wahi sare jahan ka palne wala hai) to uske liye 30 nekiya likhi jayegi aur 30 gunah mita diye jayenge
(Tashreeh : Yani ek baar SubhanAllah, Allahu Akbar, Laa ilaha ilAllah,Alhamdulillahi Rabbil Aalamin padhne par total 20+20+20+30 = 90 nekiya likhi jayegi aur 90 gunah mita diye jayenge In Sha Allah)
Masnad Ahmed, 7813-Sahih
----------------
✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू आहू से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया बेशक अल्लाह सुबहानहु ने कलीमात में से इन चार को चुन लिया है सुबहानअल्लाह और अल्हम्दुलिल्लाह और ला ईलाहा इलअल्लाह और अल्लाहू अकबर
इसलिए जो भी (एक बार) सुबहानअल्लाह कहेगा उसके लिए 20 नेकिया लिखी जाएगी और 20 गुनाह मिटा दिए जाएँगे,
और जो भी अल्लाहू अकबर कहेगा उसको भी वैसा ही सवाब मिलेगा ,
और जो कोई भी (एक बार) ला ईलाहा इलअल्लाह उसको भी वैसा ही सवाब मिलेगा और जो कोई दिल से अल्हम्दुलिल्लाही रब्बिल आलमीन कहेगा (यानी ज़ुबान के साथ दिल से भी इसका यकीन हो की तमाम तारीफें अल्लाह के लिए हैं और वही सारे जहाँ का पालने वाला है) तो उसके लिए 30 नेकियां लिखी जाएगी और 30 गुनाह मिटा दिए जाएँगे
(तशरीह : यानी एक बार सुबहानअल्लाह , अल्लाहू अकबर, ला ईलाहा इलअल्लाह और अल्हम्दुलिल्लाही रब्बिल आलमीन पढ़ने पर 20+20+20+30 = 90 नेकियां लिखी जाएगी और 90 गुनाह मिटा दिए जाएँगे ईन-शा-अल्लाह)
मसनद अहमद , हदीस 7813-सही
SubhanAllah, Allahu Akbar, La ilaha ilAllah,Alhamdulillahi Rabbil Aalamin
-----------
✦ Verily, Allah has chosen four words from all speech: “SubhanAllah” (Glory be to Allah and He is high above any imperfection), and “Alhamdulillah” (All praise and thanks are for Allah alone), and “Laa ilaha ilAllah” (There is no deity worthy of worship except Allah), and “Allahu Akbar” (Allah is the Greater than everything).
Therefore whoever says SubhanAllah twenty deeds will be recorded for him and twenty sins will be removed from him.
And whoever says Allahu Akbar will get the same.
And whoever says Laa ilaha ilAllah will get the same.
And whoever says “Alhamdulillahi Rabbil `Alamin” – ‘All praise and thanks is for Allah alone, the Lord of all things’, from his heart, thirty good deeds will be recorded for him and thirty sins will be dropped from him.
Masnad Ahmed,7813-Sahih

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

Har wo Shakhs jo apne qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai un par dozakh ki aag haram hai -------------

Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith: Har wo Shakhs jo apne qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai un par dozakh ki aag haram hai
-------------

★ Al Quran : Logon se apna rukh na pher aur Zameen par itra kar na chal beshak ALLAH kisi Takabbaur karne wale, itrane wale ko pasand nahi karta
Surah Luqman, (31), # 18

✦ Abdullah bin Masud radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne faramya
Kya main tumko aise logon ke mutalliq na batauu jin par Dozakh
ki aag haram hain aur wo aag par haram hain, har wo Shakhs
jo apne qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai (un sab par dozakh ki aag haram hai)
Jamia Tirmizi,Jild 2,377-Hasan

-------------
★ अल क़ुरान : लोगों से अपना रुख़ ना फेर और ज़मीन पर इतरा कर ना चल बेशक अल्लाह किसी तकब्बुर करने वाले , इतराने वाले को पसंद नही करता
अल क़ुरान : सुरह लुक़मान, (31), # 18

✦ अब्दुल्लाह बिन मसूद रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया क्या मैं तुमको ऐसे लोगों के मुताल्लिक न बताऊँ जिन पर दोज़ख की आग हराम है और वो आग पर हराम हैं , हर वो शख्स जो अपने करीब के लोगों के लिए आसानी और सहूलत पैदा करता है (उन सब पर दोज़ख की आग हराम है)
जामिया तिरिमिज़ी , जिल्द 2, हदीस 377-हसन
-------------
★ Al Quran: And turn not your face away from men with pride, nor walk in insolence through the earth. Verily, ALLAH likes not any arrogant boaster.
Surah Luqman, (31), # 18

✦ Abdullah bin Masud narrated that the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said:
Shall I not inform you of whom the Fire is unlawful and he is unlawful for the Fire? Every person who is polite, and easy(to deal with) to the people near.
Jamia Tirmizi, Book 11, 2488-Hasan

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻