Showing posts with label juma ka din. Show all posts
Showing posts with label juma ka din. Show all posts

JUMMA KE DIN KHUTBA SHURU HO GAYA HO TO BHI 2 RAKAAT NAMAZ PADHNI CHAHIYE

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-hadith :
Juma ke din khutba shuru ho gaya ho to bhi 2 rakat namaz padhni chahiye

Hazrat Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek shaksh aaya jab Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam juma ka khutba de rahe they , Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne pucha eh falah kya tumne namaz padhi usne kaha nahi to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya utho aur 2 rakaat namaz ada karo

{Sahih Bukhari, Vol 1, 930}

Hazrat Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jab koi jumaa ke din aaye aur imam khutba ke liye bahar aa gaya ho to bhi 2 rakaat padh le.

{Sahih Muslim, Vol 2, 2022}

Hazrat Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Sulaik Ghatafani Radi Allahu Anhu jumaa ke din masjid mein aaye tab Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam minbar par tashreef farma they Sulaik Ghatafani Radi Allahu Anhu baith gaye aur namaz na padhi to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne daryaft kiya , kya tumne 2 rakat namaz padhi to unhone kaha nahi phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya utho aur 2 rakaat namaz ada karo aur mukhtasar padho phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum mein se koi shakhs juma ke din aaye aur imam khutba de raha ho to (bhi) usko 2 rakat (namaz) padhna chahiye aur usko mukhtasar kar dena chahiye

{Sahih Muslim, Vol 2, 2024}

MAKTABA-AL-FURQAN