Showing posts with label zikr. Show all posts
Showing posts with label zikr. Show all posts

ZIKR KI AHMIYAT

*💕ALLAH سبحانه وتعالى ke Zikr ki Ahmiyat💕*

*❣أَلَا بِذِكْرِ اللَّهِ تَطْمَئِنُّ الْقُلُوب❣*
Beshak Allah ki yaad se hi dilo ko sukun milta hai.
📖Al Quran [13:Surat Ar-Ra'd 28]

*❣وَالذَّاكِرِينَ اللَّهَ كَثِيرًا وَالذَّاكِرَاتِ أَعَدَّ اللَّهُ لَهُمْ مَغْفِرَةً وَأَجْرًا عَظِيمًا❣*
Aur Allah ko bahut yaad karne waley mardo aur bahut yaad karne wali aurton ke liye (Allah ne) bakhshis aur bada Ajar tayyar kar rakha hai hai.
📖Al Quran [33:Surat Al-Ahzab 35]

Hazrat Abu Darda Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ ne farmaya Kya main tumko aisa amal na batauu jo tumhare malik ( ALLAH) ke nazdeek achcha aur pakeeza hai aur tumhare darjat mein sabse buland , aur jo (ALLAH ki raah mein) sone aur chandi ko kharch karne se bhi afzal hai , Aur jo ALLAH ki raah mein dushmano se jihad karte huye unki gardane maarne aur wo tumharai gardane maare us se bhi behtar hai, Sahaba Radhi allahu anhuma na arz kiya kyu nahi ( jarur bataeeye), AAP ﷺ ne farmaya wo ALLAH ka zikr hai , Muaz bin jabal Radhi allahu anhu ne farmaya Allah ke azab se bachane wali zikr ilahi se badkar aur koi cheez nahi hai.
📚Jamia Tirmidhi , vol 2, 1301 - Hasan