Showing posts with label eddat. Show all posts
Showing posts with label eddat. Show all posts

UZER SHARAI K BAGAIR EDDAT AUR SOUG MUAKHAR KERNA

UZER SHARAI K BAGAIR EDDAT AUR SOUG MUAKHAR KERNA

Question :
Meri umer 40 saal hai mai shadi shudah hoon aur 5 bacho ki maa hoon. mera khawand 12 May 1985` ko fout hugaya lekin mai apny khawand aur apni olaad hi sy mutalqa baaz amoor ki bina per eddat na guzar saki. iski vafaat k theek 4 maah bad, yani 12 September 1985` ko mai ny eddat guzarna shoru ki lekin aik maah bad phir mujhy majboran ghar sy nikalna para, kia yh aik maah edat mai shumar hoga? aur kia khawand ki vafaat k 4 maah baad eddat guzarna sahi hai ya nahi? is amar sy agah kerna zarori hai k mujhy ghar k baaz zarori kamo kamo ki wajah sy ghar sy bahir jana parta hai, mery ghar mai aisa koi fard nahi hai jis per mai gharelu mamlaat k bary mai aitamad ker sako.
Answer :
App ka yh amal aik haraam amal hai Qk khawand ki vafaat k sath hi orat pr eddat aur soug wajib hujata hai issy muakhar kerna jaiz nahi hai. Irshad bari Ta'ala hai:

"Aur tum mai jo log fout hujayen aur biviyan chor jayen woh biviyan apny apko 4 maah aur 10 din eddat mai raken."
Al-baqrah 2:234.
Apka 4 maah ki takheer sy eddat shoru kerna gunaah aur Allah TA'ala ki nafermani hai. Apko Allah TA'ala k hazoor touba kerni chaheye aur kasret sy naik amal kerny chaheye. shayed is tarhan Allah TA'ala apko muaf farma dey. eddat ka wqt guzer jany k baad iski qaza nahi di ja sakti.
Shaikh Mohammad Bin Saleh Usaimin

UZER SHARAI K BAGAIR EDDAT AUR SOUG MUAKHAR KERNA

UZER SHARAI K BAGAIR EDDAT AUR SOUG MUAKHAR KERNA

Question :
Meri umer 40 saal hai mai shadi shudah hoon aur 5 bacho ki maa hoon. mera khawand 12 May 1985` ko fout hugaya lekin mai apny khawand aur apni olaad hi sy mutalqa baaz amoor ki bina per eddat na guzar saki. iski vafaat k theek 4 maah bad, yani 12 September 1985` ko mai ny eddat guzarna shoru ki lekin aik maah bad phir mujhy majboran ghar sy nikalna para, kia yh aik maah edat mai shumar hoga? aur kia khawand ki vafaat k 4 maah baad eddat guzarna sahi hai ya nahi? is amar sy agah kerna zarori hai k mujhy ghar k baaz zarori kamo kamo ki wajah sy ghar sy bahir jana parta hai, mery ghar mai aisa koi fard nahi hai jis per mai gharelu mamlaat k bary mai aitamad ker sako.
Answer :
App ka yh amal aik haraam amal hai Qk khawand ki vafaat k sath hi orat pr eddat aur soug wajib hujata hai issy muakhar kerna jaiz nahi hai. Irshad bari Ta'ala hai:

"Aur tum mai jo log fout hujayen aur biviyan chor jayen woh biviyan apny apko 4 maah aur 10 din eddat mai raken."
Al-baqrah 2:234.
Apka 4 maah ki takheer sy eddat shoru kerna gunaah aur Allah TA'ala ki nafermani hai. Apko Allah TA'ala k hazoor touba kerni chaheye aur kasret sy naik amal kerny chaheye. shayed is tarhan Allah TA'ala apko muaf farma dey. eddat ka wqt guzer jany k baad iski qaza nahi di ja sakti.
Shaikh Mohammad Bin Saleh Usaimin

SOUG MANANAY K LIYE SIYAAH LIBAS PEHNANA

SOUG MANANAY K LIYE SIYAAH LIBAS PEHNANA

Question :
Kia kisi fout shudah shakhs' khas tour per khawand k gham mai siyaah libaas pehan'na jaiz hai?
Answer :
Masaib k wqt siyaah libaas pehan'na batil aur beasal shaar hai. musibet k wqt insan ko shariyat k mutabiq hi sab kuch kerna chaheye, Maslan:

"Beshak hum Allah hi k hain aur usi ki taraf lot k jana hai."
Parhna chaheye aur yh kehna chaheye:

"Aye Allah! Mujhy es sadmey mai ajar ata farma aur mujhy is sy behter badal dey."
sahi muslim' hadis: 918. in ilfaz k shan-o-wird mai youn ata hai k Hazrat Umm-e-Salma R.A. k shoher Hazrat Abu Salma R.A. ka inteqal hugaya to inhuny sabar-o-estaqamat ka muzahira kia aur sath hi mazkora bala dua parh li. lekin woh kehti hain: mai dil mai sochti k Hazrat Abu Salma sy barh ker koun hoga? Lekin inki eddat guzarty hi Inhain Rasool Allah (S.A.W) ki tarf sy shadi ki paigam mil gaya is tarha Allah Ta'ala ny inhain behtreen badal ata farmaya.
Jab woh bahalet emman sawab ki niyet sy aisa keryga to Allah Ta'ala issy ajar-o-sawab aur naim-ul-badal ata farmayega.Raha koi makhsoso libas, Maslan: Siyaah wagaira to yh aik be asal' batila ur qabil muzemmat hai.
Shaikh Mohammad bin Saleh Usaimin

NIKKAH K BAD AUR HUM BISTRI SY QABAL AGAR KHAWAND FOUT HUJAYE TO

NIKKAH K BAD AUR HUM BISTRI SY QABAL AGAR KHAWAND FOUT HUJAYE TO ...

Question :
Aik shakhs ny aik khaton sy shadi ki magar woh is sy hum bistri kerny sy qabal hi fout hugaya. kia iski bewah per eddat lazim hai?
Answer :
Jis orat ka khawand uqad nikkah k bad hum bistri kerny sy qabal fout hujaye es per soug manana wajibhai , is liye k orat sirf uqad nikkha sy biviban jati hai. Allah Ta'ala ka irshad hai:

"Aur tum mai sy jo log fout hujayen aur biviyan chor jayen, woh biviyan apny app ko 4 maheeny aur 10 (din) eddat mai rakhe."
Al-Baqara234.
Naiz is liye bhi k RAsool Allah (S.A.W) ny farmaya:

"Koi orat kisi mayet per 3 din sy ziada soug na manaye siwaye khawand k key iski eddat 4 maah 10 din hai."
sahi albukhari' hadis:5339' wa sahi muslim' hadis: (66)-938.
Aur is liye bhi k Nabi (S.A.W) ny Barou Bint Washiq R.A. k mutaliq faisla farmaya tha jis ka khawand is sy nikkah kerny k baad aur is ki rukhsati sy pehly hi fout hugaya tha k is per eddat guzarna lazim hai aur yh virasat ki haqdar bhi hogi.
sanan abi daud' hadis: 2114' wa jamia at'tramzi' hadis: 1145.
Dar-ul-Ifta

KIA ZAIR-E-TA'ALEEM LARKI DORAN EDDAT TA'ALEEM JARI RAKH SAKTI

KIA ZAIR-E-TA'ALEEM LARKI DORAN EDDAT TA'ALEEM JARI RAKH SAKTI
Question :
Zair-e-Ta'aleem larki ka khawand fout hugay, is bina per issy eddat guzarna hai. kia is k liye ta'aleem jari rakhna jaiz hai ya nahi?
Answer :
Jis orat ka khawand fout hugaya is per apny ghar mai eddat guzarna aur soug manana wajib hai jo k 4 maah 10 din hai. woh raat ko issi ghar mai soway. doran-e-muddat issy khubsorati ka baees bannay wali jumla ashiya sy ejtanab kerna chaheye, jaisa k khushbu lagana, surma lagana, khubsorat kaprey zaib tan kerna aur badan ko khubsorat banana wagaira, yani is k liye aisi tamama ashiya sy perhaiz kerna zarori hai jo issy hussan-o-jamaal ata karen.
Doran-e-muddat orat kisi zarorat k paish-e-nazar ghar sy bahir ja sakti hai, is bina per mazkora talba ka hasool ta'aleem aur fahem masail ki garz sy school jana jaiz hai. is k sath sath issy in tamam ashiya sy per haiz kerna chaheye k jin sy soug manany wali orat ko perhaiz kerna wajib hai, yani aisi tamam ashiya sy ejtanab zarori hai, jo mardo k liye baees kashish houn aur inhain nikkah ka paigam dainy per aamadah kerny wali houn.
Dar-ul-Iftaa

EDDAT GUZARNY WALI KA APNY GHAR SY WALDAIN K HAAL MUNTAQIL HONA

EDDAT GUZARNY WALI KA APNY GHAR SY WALDAIN K HAAN MUNTAQIL HONA

547Eddat guzarny wali ka apny ghar sy waldain k haan muntaqil hona
Posted on April 18, 2013 | Filed under Eddat Aur Soug, The Waiting Period (Iddah) and Mourning
Question :
Aik khatoon ny aik shakhs sy shadi ki, phir khawand fout hugaya. is orat sy khawand ki koi olaad hai aur na khawand k shaher mai orat k rishty dar hain. kia in halaat mai orat eddat guzarny k liye apny khawand k shaher sy apny walee k shaher muntaqil hu sakti hai ya nahi?
Answer :
Aisi orat k liye apny walee k shaher muntaqil huna jaiz hai ya woh kisi bhi aisi pur aman jagah per muntaqil husakti hai jahan woh khawand ki vafat k baad eddat k din guzar saky. agar orat fout shudah khawand k ghar apni jaan ya ezzat-o-aabro k liye khatra samjhti hai aur is k pass aisa koi shakhs bhi nahi jo issy tahaffuz frahum ker saky to issy kahiin bhi muntaqil huny ka haq hasil hai. aur agar woh sirf apni family k qareeb rehny ki garz sy khawand ka ghar chorti hai to is maqsad k liye issy aisa kerny ka haq nahi, issy apny makaan hi mai reh ker eddat guzarna hogi is k bad woh jahan chahey ja sakti hai.
Dar-ul-Ifta

MULAZIM ORAT KI EDDAT

MULAZIM ORAT KI EDDAT

Question :
Jab kisi musalman mulazim orat ka shoher fout hujaye aur woh kisi aisy mulk mai row rahi hu jahan kisi qareebi ki wafat per 3 din sy ziadah rukhsat na milti hu to woh kis tarha eddat guzarey? Qk sharai tareeky sy eddat guzarny ki sorat mai issy mulazmat sy berkhast ker dia jayega, kia rozi kamany ki wajah sy is deeni fareezay ko tark ker sakti hai?
Answer :
Es orat ko chaheye k tamam arsa eddat mai sharai eddat aur soug ki pabandi kery. woh orat din k wqt apny kaam kaaj k liye ghar sy bahir ja sakti hai Qk yh bhi aik aihem zarorat hai. uolama na farmaya hai k edat wali orat k liye zarorat ki wajah sy ghar sy bahir nikalna jaiz hai aur rozi kamany k liye kam kerna aik aihem zarorat hai aur agar issy rozi kamany k liye raat k wqt duty per jany ki zarorat hu to yh bhi jaiz hai ta k issy mulazmat sy berkhast na ker dia jaye aur mulazmat sy berkhast huny ki sorat mai jo nuqsanat hain, woh makhvi nahi hain lekin shart yh hai k waqai kaam kerny k liye muhtaj aur zarorat mand hu. ulama ny aisy bohat sy asbab biyaan farmai hain jis ki wajah sy eddat wali orat k liye apny ghar sy bahir nkalna jaiz hai aur in mai sy baaz asbab majbori ki wajah sy kaam per jany ki nisbet bohat kam ter hain aur is silsaley mai asal yh irshad bari TA'ala hai:

"Soo jahan tak hu saky Allah sy daro."
Aur Nabi Akrem (S.A.W) ny farmaya:

"Jab mai tumhain kisi cheez ka hukam doun to jahan tak hu saky isko baja lau." (shiekh ebn baaz)
Sahi albukhari' hadis: 7288' wa sahi muslim' hadis: 1337.

EDDAT AUR SOUG

EDDAT AUR SOUG

Question :
Jis orat ka khawand fout hujaye issy kin aihkamat ka eltazam kerna chaheye?
Answer :
Hadis ki rou sy soug manany wali orat per chand amoor ka eltazam kerna zarori hai:
1: Jis ghar orat ka khawand fout huwa, eddat khatam huny tak woh issi ghar mai muqem rahygi. eddat ki mudat 4 maah 10 din hai.
Irshad Bari Ta'ala hai:
"tum mai sy jo log fout hujaye aur biviyan chor jayen woh ortain apny app ka 4 maheeny aur 10 din edat mai rakhen."
Al BAkra 2: 234.
Orat k hamla huny ki sorat mai iski eddat wazeh hamal hai. wazeh hamal k sath hi orat ki eddat khatam hujayegi.
Daimi Fatwa cammettie cammettie ny aik fatway mai mazeed wazahet ki hai k bewah k hamla huny ki sorat mai iski eddat sirf wazeh hamal hi hogi 4 maah 10 din nahi hogi (wazeh hamal khuwah jild hujaye ya badeer.)
Irshad bari Ta'ala hai:

"Aur hamla orton ki eddat wazeh hamal hai."
At'talaq 65:4.
orat doran-e- eddat zarorat k elawah ghar sy nahi nikal sakti, Maslan: bimari ki wajah sy haspatal jana, bazaar sy ashiya khurd-o-nosh khareedna wagaira, yh bhi issi sorat mai k koi aur shakhs aisy amoor ki anjam dahi k liye is k pass majood na hu, issi tarha agar rahaish makaan gir jaye to dosrey ghar muntaqil hu sakti hai, agar is k pass jee behlany k liye aur koi na hu ya issy apni jaan ka khatra hu to aisi sorat mai bhi dosrey ghar mai ja ker rehna jaiz hai.
2: orat eddat k ayaam mai khoubsorat libaas zaib tan kerny sy perhaiz kery, woh bharkeela zard ya sabaz rang ka libaas na pehny balky issy sadah libass istemal kerna chaheye agarcha woh siyaah hu ya sabaz wagaira, maqsad yh hai k kaprey khousorat nahi huny chaheye, Nabi (S.A.W) ka yahi farman hai.
Hazrat Umme Atiya R.A. sy ravayat hai k Rasool Allah (S.A.W) ny irshad farmaya:
"koi orat khawand k siwa kisi maiyet per 3 din sy zaid soug na manaye, khawand ki wafat per 4 maheeny 10 din tak soug manaye, is doran rangdar (shoukh-o-bharkely) kaprey na pehny, Siwaye langote k, na surma lagaye, na khushbo istemal kery, haan haiz sy farig huny per (sharam gaah per) khushbu istemal ker sakti hai."
sahi muslim' hadis: (66)-938 baad alhadis: 1491.
3: Orat eddat k doran mai sonu, chandi, heeron aur motiyo k zaiwrat pehan'ny sy ejtanab kery, aisy zaiwrat haar ki sorat mai houn, kangan ki sorat mai ya angothi wagaira ki sorat mai (sab mamno hain.)
Tanbeeh: Daimi fatwa cammettie sy ghari pehnanay ki babut sawal deryaft kia gaya jo sirf wqt dekhny ki niyat sy hu, barai hasol zeenat na hu to cammettie ka jawab yh tha k aisa kerna jaiz hai lekin yh zaiwer sy mushaba hai issy na pehna jaye to behter hai.
4: Khushbu sy perhaiz kerna, is doran orat kisi tarha ki khushbo istemal nahi ker sakti hai woh dhoni hu ya khushbu ki koi aur qism, haan woh ayaam makhsosa sy fragat k bad baaz khushbudar ashiya ki dhoni ley sakti hai


5: Surma lagany sy ejtanab kerna, orat doran eddat surma bhi nahi laga sakti, chehrey k makeup k liye istemal huny wala saman, jo k mardo k liye baees fitna hu, bhi surmey ka hukam rakhata hai, lehaza makeup kerny sy bhi perhaiz kery, Albatta aam istemal wali ashiya, Maslan: pani aur sabun wagaira k istemal mai koi harj nahi. lekin woh surma jo ankhu ko khubsorat bana daita hai aur dosri aisi cheezain jo baaz khawateen apni chehrey k hussan k liye istemal kerti hain, yh sab najaiz hai. Yh 5 ashiya hain jin ka aihtamam kerna her es orat per wajib hai jo khawand ki wafat per eddat k din guzar rahi hu. baki raha baaz logo ka yh kerhna k woh kisi sy gutagu nahi ker sakti, telephone per kisi sy baat nahi ker sakti, haftey mai aik sy zaid baar gusal nahi ker sakti, ghar mai nangey paon nahi chal sakti aur na chand ki poshni mai bahir nikal sakti hai to yh sab kharafat hain, is tarha ki fazoliyat ka islam mai koi wajood nahi. woh ghar mai nangey paon chal sakti hai. chat per ya ghar k bageechey mai jahan chahey chand ki roshani mai chal pher sakti hai, jab chahey gussal ker sakti hai, jis sy chahey shareefana aur bawaqar guftagu ker sakti hai, apny mehram rishty daro aur dosri orton sy musahifa ker sakti hai, haan gair mehram mardo sy musahifa nahi ker sakti.

issy za'afran sy bhi perhaiz kerna chaheye is ka istemal na to kapron mai kery aur na Qehwa mai Qk Za'afran bhi aik tarha ki khushbo hai. issy sureeh ilfaz mai nikkah ka paigam daina bhi najaiz hai, albatta isharey kanai waly paigam mai koi harj nahi. Wallah At'toufeeq.

Shaikh ibn Baz

MUTALQA KI EDDAT AUR MUTELQA RAJAIYA KA GHAR SY NIKALNA

MUTALQA KI EDDAT AUR MUTELQA RAJAIYA KA GHAR SY NIKALNA

Question :
Aik sail ny yh sawal pocha hai k mutalqa ki eddat kia hai? naiz woh mutalqa jis ki talaq raji hu kia woh apny shoher hi k ghar rahy ta k is ka shoher rajou ker saky ya woh apny walid k ghar chali jaye?
Answer :
Jis mutalqa ki talaq raji hu, is k liye yh wajib hai k woh apny shoher hi k ghar mai rahy aur shoher k liye issy ghar sy nikalna haram hai. Irshad Bari TA'ala hai:

"Na to tum (hi) in ko (ayaam eddat mai ) in k gharo sy nikalu aur na woh (khud hi) niklain, haan agar woh sureeh behayai (badkari) karen (to nikal daina chaheye) aur yh Allah ki haden hain, jo koi Allah ki hadu sy tajawuz keryga woh apny app per zulm keryga."
At'alaq 65:1.
Ajj kal mai jo yh rivaj hai k jonhi kisi orat ko raji talaq huwi woh foran apny waldain k ghar chali jati hai, yh galat aur haram hai Qk Irshad Bari Ta'ala hai:

"Na to tum (hi) in ko in k gharo sy nikalo aur na woh (khud hi) niklain."
At'talaq 65:1.
aur estashna ki sirf yh aik sorat biyan ki hai k agar woh sureeh bahayai (zina) ka irtekaab karen to phir inhain gharo sy nikal daina chaheye aur phir is k baad farmaya:

"Yh Allah ki hadain hain aur jo shakhs Allah ki hado sy tajawuz keryga, woh apny app per zulam keryga."
At'talaq 65:1.
phir is k baad Allah ta'ala ny shoher k ghar hi mai rehny ki hikmat ko biyan farmaya hai:

"Tou nahi janta shayet Allah is k bad koi (raja'at ki ) sabeel paida farma dey."
At'talaq 65:1.
Musalmano per wajib hai k Woh Allah TA'ala ki muqarar kerdah hadod ki pabandi karen, Allah Ta'ala ny inhain jo hukam dia hai usko baja layen aur mahez adaat kosharai amoor ki mukhalfat ka zariya na banain, lehaza raji talaq wali orat k liye wajib hai k woh eddat puri huny tak apny shoher hi k ghar mai rahy aur is doran mai woh shoher sy perda bhi nahi kary gi balky is k samny izhar zaib-o-zeenat aur aihtamam aaraish-o-zaibaish bhi ker sakti hai, donu bahum deegar guftagu bhi ker sakty hain aur ekathy beth bhi sakty hain aur mubashret k siwa her kaam ker sakty hain, mubashret sirf rajou k wqt hi ker sakty hain aur rajou ki sorat yh hai k shoher zubaan sy kahey k mai apni bivi sy rajou kerta hoon, naiz woh maraza'at ki niyet sy mubashret ker k amlan bhi rajou ker sakta hai.
Mutalqa ki edat k bary mai hukam yh hai k agar kisi orat ko dakhol-o-khelwat, yani jama'a-o-mubashret sy qabal talaq dey di gae hu to is k liye mutalqan koi eddat nahi hai, Woh mahez talaq hi sy bahna hujayegi aur kisi dosry mard sy shadi kerna is k liye halaal hujayega aur agar dakhol-o-khalwet aur maza'at k baad talaq di hu to phir eddat ki hasb zail soratian hougi:
1: Agar orat hamla hu to is ki edat wazah hamal tak hai, khuwah yh mudat kam hu ya ziadan mumkin hai k aik shakhs ny apni bivi ko subha k wqt talaq di hu aur zuher sy pehly bachy ko janam dey day to is ki eddat issi sy puri hujayegi aur is baat ka bhi imkaan hai k aik shakhs ny maa muharram mai apni bivi ko talaq di hu aur is k haan bavhy ki viladat zulHijjah k maheeny mai hu to aisi orat ko 12 maah ki eddat guzarni hogi Qk is bary mai asool yh hai k hamla ki eddat wazeh hamal hai, jaisa k Irshad BAri TA'ala hai:

"Aur hamal wali orton ki eddat wazeh hamal (bacha jan'nay) tak hai."
At'talaq 65:4.
2: Agar mutalqa orat hamla nahi aur issy haiz aata hu to is ki eddat talaq k baad mukammal 3 din haiz hai, yani issy haiz aye aur pak hujaye, phir aye aur pak hujaye aur phir aye aur pak hujaye, yani is tarha mukammal 3 haiz ayen, khuwah in k dermiyan ki mudat kam hu ya ziada, maslan: agar koi shakhs maza'a (bachay ko doodh pilany wali) ko talaq dey dey aur issy 2 saal tak bhi haiz na aye to woh eddat mai hi rahygi hatta k issy 3 baar haiz aajaye aur is tarha issy 2 saal ya is sy bhi ziadah arsey tak eddat mai rehna par sakta hai Qk Irshad Bari Ta'ala hai:

"aur talaq wali ortain 3 haiz tak intezar karen."
Al bakra 2:228

3: Jis orat ko haiz na ata hu, khuwah is ka sabab adem balogat hu ya kaber suni, kisi bhi wajah sy haiz sy mayosi hu to is ki eddat 3 maah hai. Irshad BAri Ta'ala hai:

"aur tumhari (mutalqa) oratain jo haiz sy naumeed hu chuki houn agar tum ko (in ki eddat k bary mai) shubah hu to in ki eddat 3 mahiny hai aur jin ko abhi haiz nahi aany laga (in ki eddat bhi yahi hai.) "
At'talaq 65:4.
4: Agar kisi ka haiz kisi sabab ki wajah sy khatam hugaya hu aur maloom hu k ab haiz kabhi nahi ayega, MAslan: yh k operation wagaira k zariye is ka reham hi nikal dia gaya hu to yh bhi haiz sy mayous orat ki tarha 3 maah eddat guzary gi.
5: Agar haiz khatam hugaya hu aur issy is k sabab ka bhi ilm hu to issy intezar kerna hoga hatta k yh saba dour hujaye, haiz aajaye aur yh is k mutabiq eddat guzarey.
6: Haiz khatam hujaye magar orat ko is k sabab ka ilm na hu to ulama farmaty hain k issy mukammal aik saal tak eddat guzarni chaheye is mai 9 maah hamal k aur 3 maah eddat k hougey. yh hain mutalqa orton ki eddat ki iqsaam.
jis orat ka nikkah khla wagairah ki wajah se faskh ho gaya ho is ki eddat aik haiz hai, yani, jab koi shaks apni bivi se khla kry k is orat ne ya is k wali ne kuch maal de diya ho k is k ewaz wo nikkah kr de aur shoher ne maal wagairah le ker orat ko alag ker diya ho to isy eddat k liye aik haiz hi kafi hai. wallah al mofaq. ( shiekh ebn esimeen )