Showing posts with label bimari. Show all posts
Showing posts with label bimari. Show all posts

BIMARI K SABAB ROWNY KA HUKAM

BIMARI K SABAB ROWNY KA HUKAM 1 Question : Mai bimar hon aur kabhi kabhi apni almanak halat per gair eradi tour per rowny lagti hon.tou kia is tarhan rowny ka matlab Allah Ta'ala per aitraz aur isk faisly per adam raza ka izhar hai?naiz kia bimari k bary rishtydaron sy baat kerna bhi Allah Ta'ala kfaisly per razi na hony mai dakhil hai? Answer : agar rowna,ahh o fagaan(chikhu pukar) k bagair sirf ansoun ki sorat mai ho to es mai koi haraj nahi hai.Nabi (S.A.W) ny apny lakhat e jigar Ibrahim R.A. k inteqal per farmaya tha: "bilashubaah ankhen anso baha rahi hain aur dil gamgeen hai lekin hum wohi kuch kahy gyn jis sy hamara Rub razi hu.beshak Aye Ibrahim!hum teri judai per gamgeen hain." sahi albukhari'hadis:1303'wa sahi muslim'hadis:2315. Es mafhom ki kai aur ahadees bhi warid hain.issi tarhan agar app bimari sy muta'aliq apny azezon sy baat kerti hain aur sath hi sath Alla Ta'ala ki hamd o sana kerti aur iska shukria ada kerti hain,is sy afiyat ka sawal aur jaiz asbab apnati hain to aisa kerny mai koi harj nahi. hum apko sabar ka daman thaam leny aur sawab ki umeed rakhny ki wasiyat kerty hain aur apko is farman e bari Ta'ala k sath kher ki khushkhabri dena chahty hain: "bila shubaah sabaar kerny walun ko inka ajar be hisaab dia jayega" alzamar 10:39. Aur Nabi (S.A.W) K ES FARMAN k zariye sy apko basharat dety hain k App ny farmaya: "banda muslim ko koi alam o thakawat,gam o andooz,koi bemari aur koi takleef lahaq nahi hoti,hatta k kant tak nahi chubhta magar Allah Ta'ala in sab k badly mai es k gunaah mita deta hai." sahi albukhari'hadis:5641, wa sahi muslim'hadis:2573. Naiz App (S.A.W) KA FARMAN BHI PAISH E NAZAR RAKHEN: "Allah TAala jis shakhs k sath bhalai ka eradah karta hai ussy bimar sy do char kar deta hai " sahi albukhari'hadis:5645. Hum Allah Ta'ala k hazoor duago hain k app ko sehat-o-afiyat sy nawazy aur qalab-o-amal ki Esllah farmai,yaqinan woh khoub sunnay wala aur qabool karny wala hai. (Shiekh Ebn-e-baz)