/عورت کیلئے ایک ہی شادی کا حکم کیوں
سائنس کے دائرے میں
قرآنی معجزات کی ایک جھلک
ایک ماہرِ جنین یہودی
(جو دینی عالم بھی تھا)
کھلے طور پر کہتا ہے کہ
روئے زمین پر مسلم خاتون سے زیادہ پاک باز اور صاف ستھری کسی بھی مذھب کی خاتون نہیں ہے
پورا واقعہ یوں ہے کہ
الپرٹ اینسٹاین انسٹی ٹیوٹ سے منسلک ایک ماہرِ جنین یہودی پیشوا روبرٹ نے اپنے قبول اسلام کا اعلان کیا جس کا واحد سبب بنا قرآن میں مذکور مطلقہ کی عدت کے حکم سے واقفیت اور عدت کیلئے تین مہینے کی تحدید کے پیچھے کارفرما حکمت سے شناسائی
اللہ کا فرمان ہے
والمطلقات یتربصن بأنفسهن ثلاثة قروء
[البقرة:228]
"مطلقات اپنے آپکو تین حیض تک روکے رکھیں"
اس آیت نے ایک حیرت انگیز جدید علم ڈی این اے کے انکشاف کی راہ ہموار کی اور یہ پتا چلا کہ مرد کی منی میں پروٹین دوسرے مرد کے بالمقابل 62 فیصد مختلف ہوا کرتی ہے
اور عورت کا جسم ایک کمپیوٹر کی مانند ہے جب کوئی مرد ہم بستری کرتا ہے تو عورت کا جسم مرد کی تما بیکٹریاں جذب ومحفوظ کر لیتا ہے
اس لئے طلاق کے فورا بعد اگر عورت کسی دوسرے مرد سے شادی کرلے یا پھر بیک وقت کئی لوگوں سے جسمانی تعلقات استوار کرلے تو اس کے بدن میں کئی ڈی این اے جمع ہو جاتے ہیں جو خطرناک وائرس کی شکل اختیار کرلیتے ہیں اور جسم کے اندر جان لیوا امراض پیدا ہونے کا سبب بنتے ہیں
سائنس نے پتا لگایا کہ طلاق کے بعد ایک حیض گزرنے سے 32سے35 فیصد تک پروٹین ختم ہو جاتی ہے
اور دوسرے حیض آنے سے 67 سے 72 تک آدمی کا ڈی این اے زائل ہو جاتا ہے
اور تیسرے حیض میں 99.9%کا خاتمہ ہو جاتا ہے اور پھر رحم سابقہ ڈی این اے سے پاک ہو جاتا ہے
اور بغیر کسی سائڈ افیکٹ و نقصان کے نئے ڈی این اے قبول کرنے کے لئے تیار ہو جاتا ہے
ایک طوائف کئ لوگوں سے تعلقات بناتی ہے جس کے سبب اس کے رحم مختلف مردوں کی منی چلی جاتی ہیں اور جسم مختلف ڈی این اے جمع ہو جاتے ہٰیں
اور اسکے نتیجے میں وہ مہلک امراض کا شکار بن جاتی ہے
اور رہی بات متوفی عنہا کی عدت تو اس کی عدت طلاق شدہ عورت سے زیادہ ہے کیونکہ غم و حزن کے بنا پر سابقہ ڈی این اے جلدی ختم نہیں ہوتا اور اسے ختم ہونے کے لئے پہلے سے زیادہ وقت درکار ہے اور اسی کی رعایت کرتے ہوئے
ایسی عورتوں کےلئے چار مہینے اور دس دن کی عدت رکھی گئی ہے
فر مان الہی ہے
والذين يتوفون منكم و يذرون أزواجا يتربصن بأنفسهن أربعة أشهر و عشرا
[البقرة:٢٣٤]
”اور تم میں سے جس کی وفات ہو جائے اور اپنی بیویاں چھوڑے تو چاہیے کہ وہ چار مہینے اور دس دن اپنے آپ کو روکے رکھیں“
اس حقیقت سے راہ پاکر ایک ماہر ڈاکٹر نے امریکہ کے دو مختلف محلے میں تحقیق کیا
ایک محلہ جہاں افریقن نژاد مسلم رھتے ہیں وہاں کی تمام عورتوں کے جنین میں صرف ایک شوہر ہی کا ڈی این اے پایا گیا
جبکہ دوسرا محلہ جہاں اصل امریکن آزاد عورتیں رھتی ہیں ان کے جنین میں ایک سے زائد دو تین لوگوں تک کے ڈی این اے پائے گئے
جب ڈاکٹر نے خود اپنی بیوی کا خون ٹیسٹ کیا تو چونکا دینے والی حقیقت سامنے آئی کہ اس کی بیوی میں تین الگ الگ لوگوں کے ڈی ان اے پائے گئے جس کا مطلب یہ تھا کہ اس کی بیوی اسے دھوکہ دے رہی تھی
اور یہ کہ اس کے تین بچوں میں سے صرف ایک اس کا اپنا بچہ ہے
اس کے بعد ڈاکٹر پوری طرح قائل ہوگیا کہ صرف اسلام ہی وہ دین ہے جو عورتوں کی حفاظت اور سماج کی ہم آہنگی کی ضمانت دیتا ہے اور اس بات کی بھی کہ مسلم عورتیں دنیا کی سب سے صاف ستھری پاک دامن وپاک باز ہوتی ہیں
اہل مسلم اس تحریر کو زیادہ سے زیادہ شیئر کریں
AURAT KE LIYE AEK HI SHADI KA HUKM QU?
AAJ DO RASMO NE MUSLIM QAUM KI LADKIYO KA JINA HARAM KAR RAKHA
#सच_हमेशा_कडवा_होता_है
मेरे इस पोस्ट से कई लोगो को गुरेज होगा शायद मुझे गलत भी बोले । सबका अपना अपना नज़रिया होता है
आज दो रस्मों ने मुस्लिम कौम की लड़कियों का जीना हराम कर रखा है एक दहेज दूसरी जात बिरादरी आज कितनी ही पढ़ी लिखी दीनदार खूबसूरत लड़कियां इन दो रस्मो की वजह से घर में कुंवारी बैठी है उनकी उम्र ढल रही है या ढल चुकी है ना जाने कितनी
हमारी बहन बेटियां गुमराह होकर काफिरों के साथ भाग रही है और उन्होंने अपनी जिंदगी को बर्बाद कर लिया है उनकी इस बर्बादी के जिम्मेदार उनके मां-बाप और हम लोग भी हैं दहेज जैसी लानत को पूरा करने के लिए आज हमारी बहन बेटियां को घरों फैक्ट्रियों मैं गैर मर्दों के साथ काम करना पड़ रहा है और वह गैर मर्द उनकी उनकी मजबूरी का नाजायज फायदा उठाने की कोशिश करते हैं और उठाते भी हैं
इस दहेज की वजह से आज लड़की के मां-बाप अपना घर मकान जेवर गिरवी रखकर महंगे सूद ब्याज पर पैसा उठा रहे हैं भीख मांग रहे हैं दूसरों के सामने अपनी पगड़िया टोपियां रख रहे हैं सिर्फ दहेज की वजह से जिस लड़के की औकात गाड़ी में पेट्रोल डलवाने की ना हो उसे भी आज दहेज में फोर व्हीलर और टू व्हीलर चाहिए
दूसरी बीमारी है बिरादरी की अपने आप को दूसरे से ऊंचा समझना मैं खान हूं पठान हूं चौधरी हूं सैयद हूं सैफी हूं अंसारी हूं फलाना ढिमकाना हूं जात बिरादरी के मामले में तो हम गैर कौम से भी आगे निकल गए हैं बिरादरी में काले कलूटे लंगड़े लूले बदसूरत शराबी से अपनी बहन बेटी का निकाह करने को तैयार है मगर गैर बिरादरी में दीनदार पढ़े-लिखे खूबसूरत लड़कों से शादी करने को तैयार नहीं भले ही लड़की किसी गैर कौम के साथ भाग जाए या लड़का किसी गैर कौम की लड़की को भगा लाएं मगर हम गैर बिरादरी में शादी नहीं करेंगे क्योंकि गैर बिरादरी में शादी करने से हमारी नाक कट जाएगी लोग क्या कहेंगे हमें इसकी परवाह है मगर हमारा रब हमारा अल्लाह हमारे नबी क्या कहेंगे हमें इसकी कोई परवाह नहीं वाह रे ऊंची नाक वालों
यह सब और कुछ नहीं हमारे जाहिल पन की निशानियां है क्योंकि हमारा दूर-दूर तक कुरान हदीस और दीन इस्लाम से कोई वास्ता नहीं हम अपने आलिमों की सुनते नहीं उनकी मानते नहीं जो मन में आया वह करते हैं कुरान क्या कह रहा है हदीस क्या कह रही है हमें इस से कोई मतलब नहीं अल्लाह का क्या हुक्म है हमारे नबी का क्या फरमान है
हम से कुछ लेना-देना नहीं हम तो बस अपने मन की करेंगे जो हमारे बाप दादा करते आ रहे हैं वो करेंगे हम तो अपने बाप दादा का दीन मानेंगे अपने नबी का लाया हुआ दीन नहीं मानेंगे क्योंकि हम मुसलमान नहीं मुनाफिक कपटी और बेईमान है हम कुरान की और हदीस की नहीं मानेंगे मेरे भाइयों अपने कौम की बहन बेटियों पर रहम खाओ तरस खाओ
उन्हें काफिरों के हाथों का खिलौना बनने से बचाओ उनकी इज्जत आबरु की हिफाजत करो कलमे वाले और दीनदार भाइयों को अहमियत दे चाहे वह किसी भी जात बिरादरी या अमीर गरीब का बेटा बटी क्यों ना हो गैर बिरादरी में अपने बच्चों का निकाह करना कोई गुनाह नहीं है ना ही कुरान हदीस आपको उसके लिए मना कर रही है अगर आपको
अपनी बिरादरी और खानदान है कोई अच्छा रिश्ता नहीं मिल रहा तो बिरादरी के पीछे अड़े ना रहे सही समय पर सही रिश्ता देखकर फौरन उसका निकाह कर दे अपनी बहन - बेटियों को दीन सिखाएं ताकि वह गुमराह होकर काफिरों के साथ ना जाए बिना दहेज
जात बिरादरी के निकाह करें और अपने प्यारे नबी हुजूर पाक सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम की सुन्नतों को जिंदा करें और अपनी कौम की तरक्की के हकदार बने ना कि मालो दौलत जात बिरादरी के चक्कर में पड़कर अपनी दुनिया आखिरत को बर्बाद करके गुनाह और आजाब के हकदार न बने
SHADI PEHLY
SHADI PEHLY.....!
Question :
Aik rivaj sa ban gaya hai k larki ya iska baap, larky walon ki taraf sy magni ka paigam is uzar ki bina per rad ker daity hain k abhi larki ko sanvi ya university ki satah tak taleem mukammal karni hai ya ese mazeed chand saal zery taleem rehna chahiye, is tarha baaz larkia tees bars ya is se bhi zaid umar tak pounch jati hai. is bary main sharai hukam hai? ap inhy kia kehna chahy gy?
Answer :
Tamam naujawan larko or larkio ko hamari nasiyat hai k isbabe zawaj muyassar any par inhy foran shadi kar leni chahiye, is liye k nabi (S.A.W.W) ny farmaya:
[10/09 11:15 AM] عبدالقيوم ریاضی وسمی: "Aye Nojwano! tum mai sy jo shadi ki taqat rakhta ho woh shadi zaror kery, is liye k yh nigaho ko neecha rakhny wali aur sharamgaah ki hifazat kerny wali hai aur jo koi shadi ki taqat na rakhta ho to woh rozay rakhy k woh jawani k jazbat ko control kerny ka baees hain."
Sahih Bukhari hadis no. 5066 aur Sahih Muslim hadis no. 1400.
Dosri hadis mai hai:
"jab tumhein aisa shaks nikah ka paigham dy jis k deen aur ikhlak ko tum pasand karte ho to isy rista dy do, agar tum aisa nahi kroge to zameen mein fitna aur bohot bara fasad barpa hoga."
jamea trimizi, haids 1084, wa sunan ibn maja, hadis 1967.
"Ziadah bacho ko janam dainy wali aur bohat muhabbat kerny wali orton sy shadi karo, tehqeq mai tumhari wajah sy dosri ummato per qayamat k din fakher karonga."
sanan abi daud' hadis: 2050' wa masnad ahmed:3/158 wallafz laahu.
Shadi is liye bhi jaldi kerni chaheye k is mai beshumar maslehatain hain jin sy NAbi (S.A.W) ny agaah farmaya hai, maslan: yh k is sy nigaah jhuk jati hai, ezzat-o-abro mehfoz rehti hai aur afrad-e-millat-e-islamia ki kasrat hoti hai aur bari kharabiyon aur in k bheyanak nataij sy tahaffuz-o-salamti ki zamanat fraham hoti hai wagaira wagaira. Allah TA'ala tamam musalmano ko is baat ki toufeeq ata farmai jis mai in k deeni aur denvi amoor ki darusti hu. Inahu SAmeeon Qareeb.3
(shiekh ebn baaz)
Tanbeeh: aisy hi aik sawal k jawab mai As'sheikh ebn esimeen ny you farmaya hai: "musalman larkiyo aur in k sar parasto ko meri nasihet hai k woh dars-o-tadrees ka bahana bana ker shadi sy inkar na karen, albatta yh mumkin hai k larki bawqt nikkah khawand sy ta'aleem mukammal kerny ki shart laga ley, issi tarhan woh bacho ki masrofiyat mai nahi parti 2 saal k liye ta'aleemi silsala jari rakhny ki shart aieed ker sakti hai, is mai koi harj nahi hai. mazeed farmaty hain: " jo kuch meri samjh mai aya hai woh yh hai k agar orat ibtai ta'aleemi marhala mukammal ker k likhna parhna jaan ley, Quran Mazeed, iski tafseer, ahadis nibviya aur inki tashrihat sy faidah uthany k qabil hujaye to yahi kafi hai. haan aisy aloom mai maharat aur kamal kerna jo logo k liye intehai zarori hain, maslan: doctari wagaira k aloom, agar in aloom k hasool mai sharai mumnoaat, jaisy makhlot mahool wagaira na houn to koi harj nahi hai.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
MANEY HAMAL GOLIYON KA ISTEMAL
بسم اللہ الرحمن الرحیم
MANEY HAMAL GOLIYON KA ISTEMAL
Question :
Shadi shuda khawateen k liye maney hamal goliyan istemal kerny ka kia hukam hai?
Answer :
Kasrat olaaad ya in per akhrajat k khouf k paish-e-nazar orton k liye maney hamal goliyon ka istemal najaiz hai.
Irshad Bari Ta'ala hai: " aur tum apni olaad ko gareebi k dar sy qatal na karo, hum inhain bhi rizq daity hain aur tumhain bhi, beshak inka qatal kabeera gunaah hai." [Bani Israeel 17:31.]
Tanbeeh: Shiekh Ebn Jabreen ny aisy hi aik fatway mai you likha hai: "Zarorat k elawah mustakil tour per hamal rokna ya issy wqti tour per ma'atal kerna najaiz hai. zarorat ka pemana yh hai k qabil aitmad Qualified Doctor yh faisla ker dey k wiladat bimari mai ezafey ka baees ban sakti hai ya hamal aur phir waza hamal sy orat ki halakat ka dar hai. elawah azee mustaqil ya wqti tour per hamal rokny k liye khawand ki raza mandi bhi zarori hai, phir uzar khatam hony per orat guzashta halat per lout ayegi. bivi ki bimari, jasmani kamzori, waza hamal ki takleef ka adam bardasht aur munasib tour per bachu ki tabiat na ker sakna bhi zarorat k zaaman mai ata hai.
Aur agar orat k liye hamal nuqsan dey hu ya bachy ki wiladat operation k bagair tabai tour per na hu sakti hu ya is tarhan ki koi aur zarorat lahaq hu to aisy halaat mai aisi goliyon ka istemal kisi aur aitbaar sy nuqsan dey hai to hukam tabdeel hujayega.
(Dar-ul-ifta committee)
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
NIKAH ME LADKI YA LAKE KI RAZAMANDDI
Nikah Me Ladki/Ladke Ki Razamanddi-
--------------------------------------------------
Nikah Me Ladka Aur Ladki Dono Ki Razamanddi Zaruri Hoti Hai.
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
"Aurat Ka Nikah Is Ki Ijazat Ke Bagair Nahi Kiya Jayega “
Kisi Bhi Aurat Ko Aise Shakhs Se Shadi Krne Par Majaboor Krna Jaiz Nahi Jis Se Woh Shadi Nahi Krna Chahti Ho.
Rasoollallah(Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya
Kisi Kuwari Ladki Ka Nikah Us Waqt Tak Na Kiya Jaye Jab Tak Us Se Ejazat Na Le Li Jaye.
(Sahih Bukhari, Vol 8, Hadith 6968)
--------------------------------------------------
Rasoole Akram (Sallalaho Alayhi Wasallam) Ne Irshad
Farmaya: “Balig Kuwari Ladki Se Uske Nikah Ki Ijazat Li Jaye Agar Khamosh Ho Jaye To Ye Uski Tarafse Izazat Hai. Agar Inkar Kare Toh Uspar Koi Jabardasti Nahi”
(Tirmizi Sharif, Hadees No 1101, Jild 1,safa 567)
--------------------------------------------------
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
Ayem( Talaq Yafta Ya Bewah ) Aurat Wali Se Ziyada Apne Aap Ki Haqdaar Hai, Aur Kanwari Se Is Ki Ijazat Ke Bare Mein Ijazat Talab Ki Jayegi Aur Is Ki Ijazat Is Ki Khamoshi Hai “
(Sahih Muslim Hadees 1421 )
--------------------------------------------------
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
Shadi Shuda Aurat Se Mahswara Ke Baghair Is Ki Shadi Nahi Ki Jayegi , Aur Kanwari Aurat Ki Shadi Is Ki Ijazat Ke Baghair Nahi Ki Jayegi”. Sahaba Ne Arz Kiya: Aye Allah Ke Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Is Ki Ijazat Kaisi Hogi ?
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
” Woh Khamosh Ho Jaye “
(Sahih Bukhari Hadees 4843 )
(Sahih Muslim Hadees 1419).
--------------------------------------------------
Is Ki Daleel Darj Zail Hadees Hai :
Khansa Bint Khazam Ul Ansariya (R.A) Bayan Krti Hain Ke :
” Un Ke Waalid Ne Un Ki Shadi Krdi Aur Woh Saib ( Talaq Yafta Ya Bewi) Thi, To Is Ne Use Napasand Kiya Aur Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Paas Aayi To Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Is Ke Nikah Ko Radd Kar Diya “
(Sahih Bukhari Hadees 4845 ) .
--------------------------------------------------
Aur Ibn Abbas (R.A) Bayan Krte Hain Ke :
Ek Kanwari Ladki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Paas Aayi Aur Bayan Krne Lgi Ke Is Ke Waalid Ne Is Ki Shadi Krdi Hai Aur Woh Makruh Thi, To Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Usay Inkhtiyaar De Diya “.
Sunan Abu Dawud Hadees 2096 )
Allamah Albani Rehma Allah Ne Use Sahih Qarar Diya Hai .
--------------------------------------------------
Oper Jo Kch Bayan Huwa Hai Is Se Maloom Howa Ke Aurat Razi Nah Ho To Baaz Ahal Ilm Ke Haan Nikah Sahih Nahi, Aur Kchh Ulama Kahte Hain Ke Yeh Aurat Ki Ijazat Par Moqoof Hai, Is Bina Par Agar Aurat Khawind Ke Sath Nahi Rehna Chahti Ho To Qazi Use Talaq De Dega, Aur Is Mein Khawind Ki Raye Ki Nahi Dekhega .
Jab Kisi Mard Ka Dil Kisi Larki Se Muallaq Ho Jis Ka Is Ka Nikah Karna Jaiz Hai Ya Kisi Larki Ne Kisi Larke Ko Pasand Karliya Ho To Is Ka Hal Shadi Ke Ilawa Kuch Nhi-
Kyun Ke Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai :
Do Mohabbat Karne Walon Ke Liye Hum Nikah Ki Misl Kuch Nahi Dekhte .
(Sunan Ibn Maja Hadees Number 1847 )
Busari Rehma Allah Ne Usay Sahih Kaha Hai
Aur Allama Albani Rehma Allah Taala Ne Bhi Ise Silsilatul Sahiha(624) Mein Use Sahih Qarar Diya Hai .
--------------------------------------------------
Mangetar Ko Shadi Se Pahle Dekhne Ki Ijazat:
Aur Isi Liye Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Ladke Ko Yeh Ijazat Di Ki Hai Ke Wo Apni Honay Wali Mangetar Ko Dekhe :
Mughira Bin Shoba Razi Allah Taala Anho Bayan Karte Hain Kay Mein Ne Aik Aurat Se Mangni Ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Farmanay Lage :
Use Dekhlo Kyunke Aisa Karna Tum Dono Ke Mabain Ziyada Istiqraar Ka Baais Banega.
(Sunan Tirmizi Hadees 1087 )
(Sunan Nisai Hadees 3235 )
Imam Tirmizi Rehma Allah Taala Ne Usay Hasan Kaha Hai.
--------------------------------------------------
Abu Huraira(R.A) Bayan Krte Hain Ke
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
Jab Tumahre Paas Aisay Shakhs Ka Rishta Aaye Jis Ka Deen Aur Ikhlaq Tumhe Pasand Ho To Is Ki Shadi ( Apni Ladki Se ) Kr Do, Agar Tum Aisa Nahi Kroge To Zameen Mein Wasee O Areez Fasaad Barpaa Ho Jaayegaa “.
(Sunan Tirmizi Hadees 1084 )
Allamah Rehma Allah Ne Sahih Tirmizi Me Use Hasan Qarar Diya Hai .
--------------------------------------------------
Wali Ko Jaiz Nahi Ke Woh Apni Wilayat Mein Rehne Wali Aurat Ko Munasib Rishta Ane Par Jis Par Ladki Bhi Razi Ho Se Shadi Na Krne De.
Allah Subhanahu wa ta'ala Ka Farmaan Hai
To Tum Inhen Un Ke Khawindo Se Nikah Krne Se Na Roko, Jab Ke Woh Apas Mein Dastoor Ke Mutabiq Razamand Hon.
(Al Quran, Surah-Al-Baqrah 2, Ayat 232 )
--------------------------------------------------
Jab Wali Apni Wilayat Me Mojud Aurat Ko Munasib Aur Barabar Ke Rishta Ane Par Is Ki Shadi Na Kre Jis Se Woh Shadi Krne Par Razi Ho To Is Ne Use Shadi Krne Se Rok Diya, Is Terhan Is Ki Wilayat Muntaqil Ho Kar Baad Wale Asbah Mard Ko Haasil Ho , Aur Phir Qazi Ko Lekin Kash Hum Is Had Tak Na Pohnche Ke Jis Mein Larki Is Baat Ki Jurrat Kare Ke Jab Iska Walid Aisay Shakhs Se
Walid Aisay Shakhs Se Shadi Na Karne De Jo Deeni Aur Akhlaqi Lehaaz Se Is Ka Kafu Ho To Woh Larki Qaazi Se Jakr Shikaayet Kare,Aur Qazi Is Ke Waalid Se Kahe Ke Is Ki Shadi Is Shakhs Se Kardo Wagerna Mein Karta Hun Ya Phir Tere Ilawa Koi Wali Kardega .
Is Liye Ke Ladki Ko Haq Haasil Hai Ke Jab Is Ka Waalid Usay Shadi Na Karne De ( To Woh Qaazi Se Shikaayet Kardey ) Aur Yeh Us Ka Sharai Haq Hai Kash Hum Is Had Tak Na Pohnchain –
Is Liye Larkiyon Ke Waliyoon Chahe Woh Waldain Hon Ya Bhai Waghera Ko Chahiye Ke Woh Allah Taala Ka Taqwa Aur Khof Ikhtiyar Karte Hue Inhen Shadi Karne Se Na Rokain, Un Ka Haq Hai Kay Jis Ka Deen Wa Akhlaq Acha Ho Is Se Shadi Kar Dein .
Haan Yeh Hai Ke Agar Larki Aisa Larka Inkhtiyaar Kare Jo Deeni Aur Akhlaqi Tour Par Behtar Nahi To Phir Walii Ko Yeh Haq Haasil Hai Kay Is Se Shadi Na Karne De Aur Mana Krde , Dekhein Al Mughni: ( 383 / 9) .
Lekin Agar Larki Deeni Lehaaz Se Achay Shakhs Ko Inkhtiyaar Karti Hai Aur Phir Is Ka Walii Sirf Apne Nafs Ki Khwahish Par Amal Karte Hue Is Se Shadi Nahi Karne Deta To Allah Ki Qasam Yeh Haraam Hai Aur Phir Haraam Hi Nahi Balkay Khayanat Bhi Hai, Aisa Karne Se Jo Bhi Fasaad Peda Ho Ga Woh Is Ka Zimme Daar Hai Aur Is Ka Gunah Bhi Isi Par Hoga. .
Is Maamla Ko Baat Cheet Aur Afham O Tafheem Aur Naseehat Ke Zariye Hal Krna Chahiye, Ho Skta Hai Ke Is Rishta Ke Inkar Mein Waalid Haq Par Ho, Aur Yeh Bhi Ho Skta Hai Galti Par Ho .
Waalid Ki Ita’at Wa Farmabrdari Aur Use Razi Krne Ki Hatta Ul Imkan Koshish Krni Chahiye – Is Ke Liye Aap Dua Se Muawnat Len, Aur Istikhara Aur Kasrat Se Aamaal Saleha Krein.
Allah Subhanahu wa ta'ala Se Dua Krte Hain Ke Woh Hum Ko Khair O Bhalayi Par Jama Rkhe Aur Ita’at O Razamandi Ke Kam Mein Muawenat Farmaye. Ameen
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳
DHULAN KA BAKRI K KHON MAI QADAM RAKHNA
DHULAN KA BAKRI K KHON MAI QADAM RAKHNA
Question :
Hamary haan yh riwaj hai k shadi ki raat larki k ghar waly is k paon, zeebah ki huwi bakri k khoon mai rakhty hain, is k bary mai shariyat ka kia hukam hai?
Answer :
Is riwaj k liye koi sharai bunyad nahi hai balky yh aik bohat buri adat hai Qk:
Awwalan: yh aik fasid aqeedah hai jis ki koi sharai bunyad nahi hai.
SAniyan: haram khoon k sath larki k paonko alodah kerna bewaqofi hai Qk najasat k bary mai to humain hukam yh hai k issy zail kia jaye aur is sy doori ikhteyar ki jaye.
Es moqa per mai musalman bhaiyon ki khidmat mai yh guzarish bhi karonga k hukam shariyat yh hai k jab najasat lag jaye to issy foran zail ker k taharat hasil ki jaye Qk Nabi Akrem (S.A.W) ki yahi sunnat hai, chanachey jab aik jab aik a'arabi ny masjid mai paishab ker dia tha to Nabi (S.A.W) ny hukam dia tha k is k paishab per pani ka aik doul baha dia jaye.
sahi albukhari'hadis:220.
Issi tarhan jab aik nanhey bachey ny Nabi Akrem (S.A.W) ki guad mai paishab ker dia tha to App (S.A.W) ny pani mangwaya aur es sy paishab ko dhou dia.
sahi albukhari' hadis: 222. yh rasam waqatan jahalat aur be waqofi hai. aur qatan jaiz nahi. ta hum bakri ka khoon haram huny k bawajood najis nahi Qk najasat ki koi daleel nahi.
NAjasat ko takheer sy zail kerny mai husakta hai k insan bhool jaye aur woh issy najasat mai namaz parh ley, agarcha rajeh qaul k mutabiq bhool jany ki waja sy woh ma'azor hoga aur iski namaz sahi hogi. lekin yh bhi husakta hai k issy doran-e-namaz hi yaad aajayem phir agar namaz jari rakhty huway azala najasat mumkin hu to issy foran zail kery aur agar aisa mumkin na hu to issy namaz tour ker aur najasat ko dour ker k az sar-e-nou namaz parhna hogi.
Baher haal yh aik bohat buri adat hai jis k bary mai sawal pocha gaya hai k is mai orat ko najasat sy aalodah kerna bhi hai jo k bewaqofi hai Qk shariyat ny to najasat k azala aur tatheer ka hukam dia hai, phir mujhy yh bhi khadsha hai k is adat k peechy kahiin yh aqqedah na hu k woh janwar ko jin ya shayateen wagaira k naam per zeebah kerty houn agar aisy hai to yh shitk ki aik qisam hai aur yh maloom hai k shirk ko Allah Ta'ala hergiz muaf nahi farmata. Wallah A'alim. (shiekh ebn esimeen)
AIK ORAT SY ZINA KIA AUR PHIR IS SY
AIK ORAT SY ZINA KIA AUR PHIR IS SY...............
2034Aik orat sy zina kia aur phir is sy...............
Posted on April 12, 2013 | Filed under Nikkah
Question :
Aik mard ny aik kanwari orat sy zina kia aur ab woh is sy shadi kerna chahta hai to kia yh jaiz hai?
Answer :
Agar amar waqai issi tarhan hai jis tarhan biyan kia gaya hai to sab sy pehly to in mai sy her aik per yh wajib hai k Allah Ta'ala k hazoor touba karen aur is gunnah ko tark ker den, fahashi ka jo irtekab kia is per nadamat ka izhar karen, aindah aisa na kerny ka azam karen aur amaal saleha kasrat sy baja layen, is sy Allah TA'ala inki touba qabool farma ker buraiyon ko naikiyon sy badal deyga. Irshad bari ta'ala hai:
"Aur woh log jo Allah k sath kisi aur ma'abod ko nahi pukarty aur jis jaan ko maar dalna Allah ny haram kia hai, is ko qatal nahi kerty magar jaiz tareeq (shariyat k hukam) sy aur badkari nahi kerty aur jo yh kaam karyga sakht gunaah mai mubtala hoga, qayamat k din isko dogunaah azaab hoga aur zillet-o-khuwari sy is mai hamesha rahyga magar jis ny touba ki aur emaan laya aur achy kaam kiye to aisy logo k gunahu ko Allah Ta'ala niakiyon mai badal deyga aur Allah to bakhshany wala maherban hai aur jo touba kerta hai aur naik amal kerta hai to beshak woh Allah ki tarf rajo kerta hai."
Al furqan 25:68-71.
yh mard agar is orat sy shadi kerna chahta hai to zarori hai k woh nikkah sy pehly aik haiz k sath estabraye rahem ker ley, agar maloom hu k hamal hai to waza hamal sy pehly nikkah jaiz nahi hoga Qk hadis mai hai k NAbi akrem (S.A.W) ny farmaya hai: jo shakhs Allah aur qayamat k din per emaan rakhta hai woh dosry ki kheti ko pani na pilaye.........yani hamla qaidi khawateen sy suhbet na kery................(Fatwa Cammettie)
masnad ahmed:4/108' wa sanan abi daud' hadis:2158
NIKKAH WATA SATA KA HUKAM
NIKKAH WATA SATA KA HUKAM
Question :
Aik admi ny dosry ko apni beti ka rishta is shart per dia k woh bhi apni beti ya bahen ka rishta issy dega aur donu mai sy aik ny maher bhi ada nahi kia, kia yh nikkah jaiz hai ya zarori hai k in donu khawateen k liye maher bhi muqarer kia jaye?
Answer :
Kisi k liye bhi yh jaiz nahi k woh apni beti ya bahen ya deegar waris orton mai sy kisi ka rishta kisi dosry shakhs sy is k bety sy is shart per ker dy k woh apni beti ya bahen ya deegar waris orton mai sy kisi ka rishta issy deyga Qk RAsool Allah (S.A.W) ny is sy mana farmaya hai aur is ka naam shagar (wata sata) rakha hai, baaz log is ka naam nikkah badel bhi rakhty hain. maher is mai khuwa muqarerna kia jaye yh mana hai Qk Rasool Allah (S.A.W) ny is sy mana farmaya hai.
Irshad bari Ta'ala hai:
"Islam mai wata sata ki shadi nahi hai."
sahi muslim' hadis:(60)-1415.
App (S.A.W) ny iski sorat yh biyan farmai hai k koi shakhs apni beti ya bahen ka rishta kisi sy is shart per kary k woh apni beti ya bahen ka rishta is sy kerdyga, App (S.A.W) ny is silsaly mai maher ka ziker nahi farmaya, is sy maloom huwa k mumanat aam hai aur dony soratain hi mamno hain, chanachey is masley mai aulama ka sahi tareen qaul yahi hai. masnad ahmed aur sanan abu daud mai jaid sanad k sath Hazrat muaviya R.A. sy ravayat hai k Ameer madina ny inki tarf likha k do admiyon ny nikkah shagar kia hai aur maher bhi muqarer kia hai. Ameer Muaviya R.A. ny Ameer Madina ko jawab mai likha k in mai tafreeq ker do Qk yh wohi nikkah shagar hai jis sy Rasool Allah (S.A.W) ny mana farmaya hai.
masnad ahmad: 4/94' wa sahi ebn hayan (Mawarid-uz-zaman) ' hadis:1268' wa sanan abi daud' hadis: 2075.
yh nikkah is liye bhi mana hai k is mai oliya ki tarf sy orton per nulam hai, inhain majbor kerna hai woh in sy shadi karen jinhain woh napasand kerti houn, naiz inhain mahez aik sodad salaf ki hesiyat daina hai k in k oliya jis tarhan chahen apni ragbat-o-malehat ki mutabiq in mai tasarruf karen, jis tarhan yh nikkah kerny walo k halaat-o-waqiyat sy sabit hota hai illa Masha Allah. hadis ebn umer R.A. mai shagar ki jo yh tafseer biyan ki gae hai k admi apni beti ka kisi dosrey shakhs sy is shart per rishta ker dey k woh apni beti ka rishta is sy ker dyga aur "donu k liye haq maher bhi na hu" to yh ilfaz nafey (ravi) k hain, yh Aanhazrat (S.A.W)j ilfaz nahi hain aur zahir hai k aanhazrat (S.A.W) k shagar ki tafseer mai jo ilfaz sy muqadam hain.
sahi muslim' hadis: 1415.
Shaikh Ibn Baz
JAB ORAT BADKHUEE AUR APNY SHOHER KI NAFARMANI KERY
JAB ORAT BADKHUEE AUR APNY SHOHER KI NAFARMANI KERY
Question :
Jab bivi alkuhal aur isprite sy bany huway mukhtalif etriyat istemal ker k ghar sy nikley aur apni shadi shudah betiyon ki bhi aisy etriyat k sath ghar sy nikalney mai hosla afzai kery, halanky khawand issy kai baar mana bhi ker chuka hai balky is sy baaz rehny per halaf bhi lia hai, waz-o-nasihet, dant dapt aur zid-o-koub bhi ker chuka hai.
aisi orat agar shoher ki ejazat k bagair ghar sy bahir nikley, apni shadi shudah ya kanwari betiyon ki bhi shoher ya baap ki ejazat k bagair ghar sy bahir nikalny mai hosla afzai kery jab k ghar sy bahir nikalny ka maqsad mahez sair-o-seyahet ya gair zarori ashiya ki kharidari hu.
agar shoher k bister per aany aur iski khidmat kerny sy bhi inkar kery aur bohat kam apny shoher ki khidmat kery aur issy betiyon hi k sapurd ker dey to kia es orat k es tarz-e-amal ko nashoz (bad damagi, nafarmani aur sar kashi) qarar dia jayega?
Answer :
Agar waz-o-nasihet, dant dapt aur zid-o-koub k bawajood orat ka yh haal hai jo sawal mai mazkour hai to bilashubah aisi orat bad khu aur serkash hai QK is ny apny shoher ki etat chor ker bagawat-o-sarkashi ki ravish ko apna liya hai aur phr yh iski zarorat bhi puri nahi kerti aur is k haqoq bhi ada nahi kerti, lehaza mazkora sorat e haal mai aik munsif, mard k khandan sy aur aik munsif, orat k khandan sy bula lia jaye ta k woh is ghambeer sorat e haal ka jaiza len, is k asbab maloom karen aur donu mai sulaah ki koshish karen. agar donu mai sulaah aur itefaaq hujaye aur woh aik dosry k haqoq ada kerny lagey to Al Hamdulillah! aur agar yh sabit hujaye k waqai orat ka tarz e amal bura hai aur woh bad satour nafarmani aur haqoq ada na kery per miser hai to is elaqey ka qazi donu mai tafreeq kara dey aur woh maher wapis louta dey jo is ny lia hai. is k liye nafqa bhi nahi hoga. agar donu munsifo k samny yh baat sabit hujaye k shoher jhota aur yh is per ziadati kerta hai to donu issy samjhayen aur issy hukam den k woh hussan muashret ka muzahira kery aur apny in wajibat ko ada kery jo bivi k hawaley sy shoher per aeed hoty hain.
Fatwa Committee
AZDAWAJI RAAZ AFSHA KERNA
AZDAWAJI RAAZ AFSHA KERNA
Question :
Baaz orton ki yh adat hai woh apny ghar ki ya shoharon k sath azdawaji zindagi ki baten apni qareebi ya dost khawateen ko bata daiti hain in mai sy baaz baten aisy gharelu raaz hoti hain k shoher nahi chahtey k in k bary mai kisi ko ilm hu to in mai orton k bary mai kia hukam hai jo ghar k raaz afsha ker daiti hain?
Answer :
Baaz orton jo apny ghar ya azdawaji zindagi ki baten apni qareebi ya dost khawateen ko bata daiti hain to yh haram kaam hai Qk kisi bhi orat k liye yh halal nahi hai k woh apny ghar k raaz ya shoher k sath makhfi ta'aluqat ko kisi k pass biyan kery, irshad bari ta'ala hai:
"Pus naik farmanberdar biviyon khawand ki adam majoodgi mai , Allah ki hifazat sy (maal-o-aabro ki) nighedasht rakhny waliyan hain."
AL Nissa 4:34.
Aur NAbi Akram (S.A.W) ny farmaya:
"qayamat k din Allah k haan logo mai sy sab sy bad tareen derja is shakhs ka hoga jo apni bivi sy milta hai aur woh is sy milti hai aur phir yh is k raaz afsha kerta hai." (shiekh ebn esimeen)
sahi muslim' hadis: 1437.
RIZQ AUR SHADI LIKHY HUWAY
RIZQ AUR SHADI LIKHY HUWAY
Question :
Kia rizq aur shadi k bary mai Looh-e-mehfoz mai likha huwa hai?
Answer :
Qalam ki paidish sy ley ker roz-e-qayamat tak ki her cheez ko Allah Ta'ala ny Looh-e-Mehfoz mai likh rakha hai. Allah Subhan-o-Ta'ala ny sab sy qalam paida farmaya to issy hukam dia: "to likh, is ny arz kia: Aye Mery RAb! mai kia likhun, farmaya: jo kuch huny wala hai woh likh dey to qalam sy issi lamhey woh sab kuch likh dia jo qayamat tak huny wala hai."
Jamia At'tarmzi'hadis: 2155, 3319, wa sanan abi daud' hadis: 4700.
Aur Nabi Akrem (S.A.W) ny farmaya hai:
"shikem mother mai jab janain per 4 maah guzar jaty hain to Allah Ta'ala is k pass farishta bhejta hai jo is mai rooh phonkta hai aur is ka rizq, ajal, amal aur shaqi hai ya saeed, likh daita hai.
sahi albukhari'hadis: 3208' wa sahi muslim' hadis: 2643.
Rizq bhi likha huwa hai, is mai kami beshi nahi hu sakti. haan talab rizq k jo asbab insan ikhteyar kerta hai, in mai sy aik sai-o-koshish bhi hai, jaisa k Irshad bari Ta'ala hai:
"Wohi to hai jis ny tumhary liye zameen ko naram kia to tum iski rahu mai chalu phiro aur Allah ka (dia huwa) rizq khau aur tumhain issi k pass (qabron sy) nikal ker jana hai."
Al Mulk 67:15.
Inhain asbab mai sy aik sulah rehmi, yani waldain sy naiki kerna aur rishty daron sy husan salok bhi hai. NAbi Akrem (S.A.W) ny farmaya hai:
"Jo shakhs yh pasand kery k is k rizq mai farakhi aur is ki umer mai darazi hu to issy apny rishty daron sy sulah rehmi kerni chaheye."
sahi albukhari' hadis: 5986' wa sahi muslim' hadis: 2557.
Aur inhi asbab mai sy aik taqwa bhi hai, jaisa k Irshad bari TA'ala hai:
"Aur jo koi Allah sy daryga, woh is k liye (ranj-o-aalaam sy) khulasi ki sorat paida ker dy ga aur iski aisy jagah sy rizq dega jahan sy isko wahem-o-gumaan bhi nahi hu."
At'talaq 65:2,3.
Lekin app yh na kahen k rizq to likha huwa hai aur mehdod hai, lehaza mai hasool rizq k liye asbab ikhteyar nahi karonga Qk yh to ajiz-o-dermandgi hai. aur aqal-o-aihteyat ka taqaza yh hai k app rizq aur deen-o-dunia ka faida hasil kerny k liye koshidh karen, NAbi (S.A.W) ny farmaya hai:
"Aqal mand woh hai jo apna muhasba khud kerta hai aur mout k baad ki zindagi k liye amal kary aur aajiz woh hai jo apny nafs ko khuwaishat k peechy laga ker Allah TA'ala sy umeed laga ley."
Jamia At'tramzi'hadis: 2459' wa sanan abi majah' hadis: 4260' wa masnad ahmed: 4/124.
Jis tarhan rizq likha huwa aur asbab k sath muqader hai, issi tarhan shadi ka mamla bhi likha huwa hai, mian bivi mai sy her aik k liye yh likha huwa hai k iski shadi is sy hogi aur Allah Ta'ala sy to asmano aur zameen ki koi cheez bhi makhfi nahi hai. (As'shiekh ebn esimeen)
BILA SHADI BURHI HUJANY WALI LARKIYON KO NASIHET
BILA SHADI BURHI HUJANY WALI LARKIYON KO NASIHET
Question :
Mai ap sy aik aisy masley k bary mai deryaft kerna chahti hoon jo mery aur mery jaisi dosri larkiyn sy muta'aliq hai, woh yh k Allah Ta'ala ny hamary muqadar mai bagair shadi k rehna likh dia hai, jab hum shadi ki umer sy guzer ker mayosi ki dehleez per jaa bethi hain, is haqiqat k bawajood k hum bahamdulillah ikhlakiyat k a'ala mukaam per faiz hain aur university ki satah tak ta'aleem yafta hain magar hamara muqadar yahi hai. madi pehlu aik aisa pehlu hai jo kisi ko hum shadi kerny ki tergeeb nahi daita Qk shadi k mamlaat khas tour per hamary mulk mai mustaqbil mai ronuma huny waly halat k aitbar sy mian bivi ki mushrkat per inhesar kerty hain. barah-e-karam meri aur mery jaisi deegar behnu ki rehnumai farmain aur humain nasihet sy nawazain.
Answer :
Shadi sy mehrom reh jany wali orat ko meri nasihat hai jaisa k saila ny ishara kia hai k woh gir gira ker, ajiz-o-inkisar k sath bargaah elahi mai ilteja karen k woh aisy mardo ko in ka muqadar banay jin k deen aur ikhlaq ko woh pasand kerta hu. insan jab sadaq dil sy Allah Ta'ala ki taraf mutawajja hu, dua k adaab ko malkhut rakhty huway qaboliyat dua ki rokawato ko dour ker k dua mangy to aisy logo k bary mai woh farmata hai:
"aur jab mery ap sy mery muta'aliq deryaft karen to (bata dijeye k) mai bohat qareeb hoon, jab koi pukarny wala mujhy pukarta hai to mai iski dua qabool kerta hoon. logo ko chaheye k woh mery aihkaam qabool karen aur mujh per emaan layen ta k woh hadayat paa jayen."
Al bakra 2: 186.
Naiz farmaya:
"aur tumhary Rab ny farmaya: tum mujhey pukaro mai tumhari dua qabool karonga."
almomin 40:60.
Jab banda Allah Ta'ala ki taraf sy yaqeen-o-emaan ki dolat sy mala maal hu ker mutawjajjah hu to Allah Ta'ala iski dua ko sharf qaboliyat sy nawazta hai. mai dua kerny , tawajjah il'lallah rakhny, is k hazoor ajiz-o-inkesar paish kerny aur kushadgi ka intezar kerny sy barh ker kisi cheez ko taqatwer nahi samjhta.
Nabi (S.A.W) ny farmaya:
"Jaan lo yaqinan na pasandedah cheezon per kerny mai bohat sy khair-o-bhalai hai aur beshak madad sabar k sath, khushali bad haali k sath aur asani tangi k sath hai."
Masnad Ahmed: 1/308.
Mai Allah RAb-ul-Ezzat sy in k liye aisy naik mardo ka intezam farmai jo deen-o-dunia ki bhalai ki khatir in ka intekhab karen. Wallah A'alim Shaikh ibn Usaimin
Bivi ki duber mai jama'a kerny wala la'anti hai
BIVI KI DUBER MAI JAMA'A KERNY KA HUKAM
Question :
Aik shakhs ny apni bivi sy iski duber mai apni khuwaish puri kerny ka mutalba kia. kia deeni nuqta nazar sy iska yh amal darust hai?
Answer :
Yh amal nahayat qabeeh hai. Imam Abu daud aur Imam nasai Rehmat ul Allah wagaira ny jaid sanad k sath ravayat biyan ki hai k Nabi (S.A.W) ny farmaya:
"Apni bivi ki duber mai jama'a kerny wala la'anti hai."
masnad ahmed: 2/444' wa sanan abi daud' hadis:2162' wa jamia at'tramzi' hadis:135.
Shaikh Mohammad Bin Saleh Usaimin
Doran haiz orat sy nikkah jaiz aur darust hai
Doran haiz orat sy nikkah jaiz aur darust hai. is mai qatan koi harj nahi hai, is liye k uqad nikkah mai asal cheez iska halal aur sahi hona hai. jab k halat haiz mai tehreem nikkah ki koi daleel nahi. agar sorat haal iss tarhan ki ho to nikkah darust hai aur is mai koi harj nahi. yahan nikkah aur talaq k mabain farq ko samjhna zarori hai. doran haiz talaq daina najaiz balky haram hai. Jab Rasool Allah (S.A.W) ko yh baat pohanchi k Abdullah bin umer R.A. ny apni bivi ko haiz k doran mai talaq di hai to App (S.A.W) sakht naraz huway aur issy hukam dia k woh bivi sy roju kary, phir agley tuher tak issy chory rakhy, phir chahey to issy talaq dy dey aur agar chahy to rok ley.
sahi albukhari' hadis:5251' wa sahi muslim' hadis: 1471.
Aur Allah Ta'ala ka Irshad hai:
"Aye Nabi! (logo sy keh dijeye k) jab tum apni biviyon ko talaq daina chaho to in ki edat mai inhain talaq do aur edat ka hisab rakho aur Allah sy darty raho jo tumhara perwardigar hai, na tum inhain in k gharon sy nikalo aur na woh khud niklain bajuz is sorat k ky woh khuli behayai ker bethain. Yh Allah Ta'ala ki muqarer kerdah hadain hain aur jo shakhs Allah Ta'ala ki hadod sy tajawuz keryga yaqinan woh apny app per zulem keryga."
Attalaq 65:1.
Lehaza doran haiz talaq daina ya is tuher mai jis mai khawand bivi sy jama'a ker chuka ho jaiz nahi hai, siwaye is sorat k ky hamal zahir hojaye. aur agar hamal zahir hojaye to jab chahey talaq dey sakta hai, yh talaq waqai hojaye gi. aam logo mai aik ajeeb-o-gareeb baat mashor hai k doran hamal di gae talaq yaqey nahi hoti, yh bat darust nahi hai. hamla orat ko di gae talaq moaser hojati aur tamam talaqo mai mudet k aitbar sy yh ziada wasee talaq hai, lehaza hamla orat ko talaq daina admi k liye halal hai. agarcha is ny qareebi arsa mai is sy jama'a bhi kia ho. lekin agar is ny gair hamla orat sy kuch hi arsa qabal jama'a kia ho to phir is per intezar kerna zarori hai hatta k orat haiza hojaye aur phir pak ho ya yh hamal wajeh hojaye. Sarat Talaq mai irshad bari Ta'ala hai:
"aur hamla orton ki edat waza'a hamal hai."
At'talaq 65:4.
Yh is amar ki wajeh daleel hai k doran hamal di gaye talaq waqey hojati hai. Hazrat Abdul Allah bin umer R.A. ki hadis mai youn bhi hai k App (S.A.W) ny Hazrat umer R.A. sy farmaya:
"Issy hukam do k woh is sy roju kery, phir tuher ya hamal ki halat mai issy talaq dey."
sahi muslim' hadis: (5)-1471' wa jamia At'tramzi' hadis: 1176.
jab yh bat wazeh hogaye k doran haiz orat sy nikkah kerna jaiz aur sahi hai to meri rai mai khawand ko tuher tak bivi k pass nahi jana chaheye, is liye k agar woh tuher sy pehly is k pass jaye ga to is baat ka khatra hai k shayeed woh apny app per control na ker saky, woh kahiin doran haiz mamnu kaam ka irtekab na ker bethy, khas tour per jab woh jawan ho, to issy tuher tak intezar kerna chaheye jab bivi is haal mai ho k khawand sharamgah sy lutf andoz ho sakta ho.
Shaikh ibn Usaimin
🌷🌷🌷🌷🌷MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553 🌷 🌷 🌷 🌷 🌷 🌻 🌻 🌻 🌻 🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳
Behtareen Biwi Aur Behtareen Shohar Ki Pehchan
∗ Behtareen Biwi Aur Behtareen Shohar Ki Pehchan ….
♥ Behtareen Biwi ♥ • Jo Apne Shohar Ki Farmabardari Aur Khidmat Guzari Ko Apna Farz-e-Azeem Samjhe. • Jo Apne Shohar Ke Tamam Huqooq Ada Karne Me Kotahi Na Karen. • Jo Apne Shohar Ki Khubiyon Per Nazar Rakhe Aur Uss Ke Aib Aur Khamiyon Ko Nazar-Andaz Karti Rahe. • Jo Khud Takleef Utha Kar Apne Shohar Ko Aaram Pohchane Ki Hamesha Koshish Karti Rahe. • Jo Apne Shohar Se Uss Ki Aamdani Se Zyada Ka Mutaliba Na Kare Aur Jo Mil Jaye Uss Per Sabr-O-Shukr Ke Sath Zindagi Basar Kare. • Jo Apne Shohar Ke Siwa Kisi Ajnabi Mard Per Nigah Na Dale Na Kisi Ki Nigah Apne Uper Padhne De. • Jo Parde Me Rahe Aur Apne Shohar Ki Izzat-O-Namoos Ki Hifazat Kare. • Jo Shohar Ke Maal Aur Makan-O-Saman Aur Khud Apni Jaat Ko Shohar Ki Amanat Samajh Ker Har Cheez Ki Hifazat-O-Nigehbani Karti Rahe. • Jo Apne Shohar Ki Musibat Me Apni Jani-O-Maali Qurbani Ke Sath Wafadari Ka Saboot De. • Jo Parhezgaari Ki Paband Aur Deendaar Ho Huqooq Allah-O-Huqooq Ul Ibad Ko Ada Karti Ho. • Jo Padosiyon(Aurto) Aur Milne Julne Waali Aourton Yaani Saas, Nanand, Sasurali Rishtedar, Ke Sath Khush Akhlaqi Aur Sharaft Ka Bartao Kare. • Jo Maika-O-Sasural Dono Gharon Me Har-Dil Azeez Aur Ba Izzat Ho.
♥ Behtareen Shohar ♥ • Jo Apni Biwi Ke Sath Narmi, Khush Khalqi Aur Husne Sulook Ke Sath Pesh Aaye. • Jo Apni Biwi Ke Huqooq Ada Karne Me Kisi Qism Ki Gaflat Aur Kotahi Na Kare. • Jo Apni Biwi Ka Iss Tarah Ho Ker Rahen Ke Kisi Ajnabi Aourat Per Nigah Na Dale. • Jo Apni Biwi Ko Apne Aish-O-Ishrat Me Barabar Samjhe. • Jo Apni Biwi Per Kabhi Zulm Aur Kisi Qism Ki Bhi Jyadati Na Kare. • Jo Apni Biwi Ki Tang Mizaji Aur Bad Akhlaqi Per Sabr Kare. • Jo Apni Biwi Ki Khubiyo Per Nazar Rakhe Aur Mamuli Galatiyon Ko Nazar Andaz Kare. • Jo Apni Biwi Ki Musibaton Bimariyon Aur Ranj-O-Gam Me Diljoi Aur Wafadari Ka Saboot De. • Jo Apni Biwi Ko Parde Me Rakh Kar Izzat-O-Aabru Ki Hifazat Kare. • Jo Apni Biwi Ko Zillat-o-Ruswayi Se Bachaye Rakhe. • Jo Apni Biwi Ko Deendari Ki Takeed Karta Rahe Aur Shari’at Ki Raah Per Chalaye. • Jo Apni Biwi Ke Akhrajaat Me Bakhili Aur Kanjoosi Na Kare. • Jo Apni Biwi Per Iss Tarah Taabey Me (Control) Rakhe Ke Wo Kisi Burai Ki Taraf Rukh Bhi Na Kar Sake.
Allah Tamaam Emanwalo Ko Parhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De.. Ameen!MAKTABA FURQAN SAMI Gujarat 9998561553
Shaadi Ki Pehli Raat 1
: Shaadi Ke Baad Pehli Raat
====================
Shadi karna sunnat hai aur islam ka ek hissa hai. Isliye har insan ko shadi karna chahiye. Bagher kisi jaiz wajah ke agar koi shaadi nahi kar raha ya der se kar raha hai to ye islam ke khilaf hai.
Jin logo ki shadi hone wali hoti hai, unme se bahut se logo ke dimaag mein kuch sawal hote hain ki islam ke hisab se shaadi ke baad ki pehli raat ko kya karna chahiye, ya iska sahi tarika kya hai.
Hum yaha pehli raat ki kuch baat karege, lekin ye baat sirf islam sikhne ki niyat se padhiye, dil mein kuch gandagi na rakhiyeaur na koi galat comment karna. Hamara maksad sirf un logo ko islam ka tarika batana hai jinko is baare mein maalumaat kam hai.
Shaadi ke baad jab ladka room mein jaaye to sabse pahle salam kare, kheriyat maalum kare aur thodi baat karne ke baad ladki ki peshani (forehead) ke baal sidhe haath ahista se pakadiye aur ye dua padhe. Hadees dekhiye, Hazrat Muhammad (sallallaho alayhi wasallam) ne irshad farmaya : jab koi shaks nikah kare aur pehli raat (suhag raat) ko apni dulhan ke paas jaye to narmi ke sath uski peshani ke thode se baal apne sidhe hath me le kar yah duwa padhe :'Allahumma in'ni as'a'luka min khai'riha wakhai'ri ma fiha wakhairi ma jabalta'ha alai wa a'udhu bika min shar'riha washar'ri ma fiha wa sharri ma jabalta'ha alai'
(tarjuma : ae Allah me tujse iski (apni biwi ki) bhalai aur khairo barkat mangta hu aur uski fitari aadato ki bhalai aur teri panah chahta hu iski burai aur fitari aadato ki burai se.
(Abu Dawood : jild-2,page-150, Hasne Hasin : page-164)
(Bukhari shareef, Jild 3, Safa 473)
Peshani ke baal pakad kar dua karne se pahle apni biwi ko ye bata sakte hain ki ye hamare aaqa Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwsallam) ka hukm hai, warna jis ladki ko nahi maalum ho wo kuch galat na sochne lage.
Iske baad agar wuzu na ho to wuzu kar lijiye aur 2 rakat namaz nafal, Allah ka shukr ada karne aur usse dua karne ke liye padhiye, Namaz is tarah padhiye (jamat bana kar) ki ladka aage imam ban kar khada ho aur ladki uske piche khade ho jaaye. Dono saath namaz padhe.
[11:49pm, 30/04/2015] سيد عبدالقيوم گجراتی: Namaz ke baad kisi bhi kaam mein jald-baazi na karen, balki ladki se is tarah baat kariye ki uski thodi jhijhak door ho jaaye. Thoda apne baare mein baat kariye thoda uski suniye. Jab ladki ki thodi jhijhak door ho jaaye to aur aap saath mein sone ka irada karen to usse pahle ye dua padh lijiye.
"Bismillah, Allahumma jannib nash Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma razaq tana (Tarjuma: "ALLAH ke naam se. Ae ALLAH door kar hamse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hame ata karega")
"Jo shaks is dua ko Sohbat ke waqt padhega (Dua wahi jo upar likhi hai) to ALLAH us padhne wale ko agar Aulad ata farmaye to us Aulad ko Shaitan kabhi bhi nuksan na pahuncha sakega"
(Bukhari shareef Jild 3,Safa 85, Tirmizi shareef,Jild 1,Safa 557)
[11:51pm, 30/04/2015] سيد عبدالقيوم گجراتی: Note : Ye yaad rakhiye ki jo peshani ke baal pakad kar dua karna hai wo sirf pehli raat mein hi padhna hai aur ek hi baar padhna hai, lekin ye waali dua ("Bismillah, Allahumma jannib nash Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma razaq tana) aapko hamesha padhna, jab bhi biwi ke saath sone ka irada ho usse pahle is dua ko padhna zaruri hai, chhoti si dua hai, 4-5 baar padhne se yaad ho jaayegi, agar is dua ko padhe bagher aap biwi ke saath sote hain to ho sakta hai ki shaitan/jinn bhi aapke saath-saath aapki biwi se sohbat kar le. Is dua ko padhne se Allah hifazat farmata hai.
Miya biwi ka saath mein sone ka sahi tarika ye hai ki dono ek dusre ke badan ko bila zarurat na dekhe, Hazrate Ayesha siddiqa farmati hai jiska mafhum hai ki "Hazrat Muhammad (sallallhau alyhiwasallam) ne na kabhi unke badan ko dekha na unhone".
Saath mein sote time bila zarurat baat na karen, aur jab saath mein soye to apne upar ek chadar daal len (yaani pura badan khula na rahe). Porn film ko dimaag se nikaal den kyonki wo veshya (prostitute) hoti hain aur ye aapki biwi hai, isliye sirf islami tarike ke hisab se hi saath mein soyen.
(1) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya:
Pakhane ki jagah me Aurat se Sohbat (sex) karna haram hai
(2) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya:
Jisne Aurat ya Mard se uske piche ke mukam se sohbat (sex) ki usne yakinan kufr kiya (Abu Dawood Shareef)
(3) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya:
ALLAH Qayamat ke din aese shaks ki taraf nazre rehmat nahi farmayega. Jisne apni Aurat ke piche ke raaste se sohbat ki
(Bukhari shareef,Tirmizi shareef ,Ibne maja Shareeef)
Isliye biwi ke saath jaanwaro jesa kaam na karen, short mein mera matlab hai ki porn movies jesa kuch na karen. Balki sirf islami tarike se saath mein soiye.
Jab aurat ka mahina (haiz/maahvaari) ho us time uske saath let-beth sakte hain, kiss kar sakte hain lekin sex nahi kar sakte, jab tak ki wo ghusl karke paak na ho jaaye. Isi tarah roza ki haalat mein saath nahi so sakte, lekin peshani (forehead) par kiss kar sakte hain. roza kholne ke baad so sakte hain, Shaadi baad ladka-ladki ko ek dusre ki zarurato bhi samajhna chahiye ki hamara saathi kab kya chah raha hai.
Bahut se logo ko ye galat fahmi hoti hai ki agar shadi ke baad pehli raat mein miya biwi saath nahi soe to dusre din walima nahi ho sakta, Jabki aesa kuch bhi nahi hai, bagher saath soe bhi walima kiya ja sakta hai.
Ek aur zaruri baat ye thi ki ladka ho ya ladki koi bhi apne dost/saheli ko apni raat ki baat na batae, aksar dekhne mein aaya hai ki subah ladki ko uski saheli pakad leti hai aur ladke ko uske dost, aur wo unse raat ki baat puchte hain, lekin islam mein is baat ko bahut sakhti se mana kiya gaya hai ki koi apni personal baat apne dosto/saheli ko bataye aur ye ek gunah bhi hai. Is baat ka ek duniywai nuksan ye bhi hai ki agar koi dulha apne dost ko raat ki baat suna deta hai to phir baad mein uski bhabi jab bhi uske saamne aayegi usko dulha ki sunai hue baat yaad aa jaayei aur ho sakta hai wo imagine bhi karne lage. Isliye is burai se bachiye. Aur apni biwi ko khud beizzat na kariye. Ladki ko bhi apni saheliyo ko kuch baat nahi batana chahiye.
Ladka aur ladki ko is baat ki jaankari hona chahiye ki jab dono ek saath so lete hain to islam ki nazar se dono naa-paak ho jaate hain, naa-paak hone ke baad dono na namaz padh sakte hain na quran sharif ko haath laga sakte hain, isliye saath mein sone ke baad ghusl karna (nahana) zaruri hai, ghusl jitni jaldi kar lo utna accha hai. Ghusl sirf saade nahane ko nahi kahte balki ghusl ka ek khaas tarika hota hai. Ghusl sunnat tarike se bhi ho jaata hai aur agar sirf uske farz bhi pure kar liye to ghusl ho jaayega, Mujhe jo aasan tarika laga mein wo bata raha hu.
Sabse pahle dil mein niyat kar lijiye ki mein naa-paaki ko door karne ke liye ghusl kar raha hu (lafz muh se kehna zaruri nahi dil mein irada kar lena kaafi hai). Ab apne badan ki wo jagah dho lijiye jaha gandagi lagi hai, phir jese wuzu karte hain, pura wuzu