Showing posts with label TALAQ. Show all posts
Showing posts with label TALAQ. Show all posts

hamila aurat ko talaq dena

https://islamqa.info/ur/106285 دوران حمل تين بار طلاق دى اور رجوع كر ليا - اسلام سوال و جواب

MUTALQA KI EDDAT AUR MUTELQA RAJAIYA KA GHAR SY NIKALNA


Mutalqa ki eddat aur mutelqa rajaiya ka ghar sy nikalna

Question :
Aik sail ny yh sawal pocha hai k mutalqa ki eddat kia hai? naiz woh mutalqa jis ki talaq raji hu kia woh apny shoher hi k ghar rahy ta k is ka shoher rajou ker saky ya woh apny walid k ghar chali jaye?

Answer :
Jis mutalqa ki talaq raji hu, is k liye yh wajib hai k woh apny shoher hi k ghar mai rahy aur shoher k liye issy ghar sy nikalna haram hai. Irshad Bari TA'ala hai:

"Na to tum (hi) in ko (ayaam eddat mai ) in k gharo sy nikalu aur na woh (khud hi) niklain, haan agar woh sureeh behayai (badkari) karen (to nikal daina chaheye) aur yh Allah ki haden hain, jo koi Allah ki hadu sy tajawuz keryga woh apny app per zulm keryga."
At'alaq 65:1.
Ajj kal mai jo yh rivaj hai k jonhi kisi orat ko raji talaq huwi woh foran apny waldain k ghar chali jati hai, yh galat aur haram hai Qk Irshad Bari Ta'ala hai:

"Na to tum (hi) in ko in k gharo sy nikalo aur na woh (khud hi) niklain."
At'talaq 65:1.
aur estashna ki sirf yh aik sorat biyan ki hai k agar woh sureeh bahayai (zina) ka irtekaab karen to phir inhain gharo sy nikal daina chaheye aur phir is k baad farmaya:

"Yh Allah ki hadain hain aur jo shakhs Allah ki hado sy tajawuz keryga, woh apny app per zulam keryga."
At'talaq 65:1.
phir is k baad Allah ta'ala ny shoher k ghar hi mai rehny ki hikmat ko biyan farmaya hai:

"Tou nahi janta shayet Allah is k bad koi (raja'at ki ) sabeel paida farma dey."
At'talaq 65:1.
Musalmano per wajib hai k Woh Allah TA'ala ki muqarar kerdah hadod ki pabandi karen, Allah Ta'ala ny inhain jo hukam dia hai usko baja layen aur mahez adaat kosharai amoor ki mukhalfat ka zariya na banain, lehaza raji talaq wali orat k liye wajib hai k woh eddat puri huny tak apny shoher hi k ghar mai rahy aur is doran mai woh shoher sy perda bhi nahi kary gi balky is k samny izhar zaib-o-zeenat aur aihtamam aaraish-o-zaibaish bhi ker sakti hai, donu bahum deegar guftagu bhi ker sakty hain aur ekathy beth bhi sakty hain aur mubashret k siwa her kaam ker sakty hain, mubashret sirf rajou k wqt hi ker sakty hain aur rajou ki sorat yh hai k shoher zubaan sy kahey k mai apni bivi sy rajou kerta hoon, naiz woh maraza'at ki niyet sy mubashret ker k amlan bhi rajou ker sakta hai.
Mutalqa ki edat k bary mai hukam yh hai k agar kisi orat ko dakhol-o-khelwat, yani jama'a-o-mubashret sy qabal talaq dey di gae hu to is k liye mutalqan koi eddat nahi hai, Woh mahez talaq hi sy bahna hujayegi aur kisi dosry mard sy shadi kerna is k liye halaal hujayega aur agar dakhol-o-khalwet aur maza'at k baad talaq di hu to phir eddat ki hasb zail soratian hougi:
1: Agar orat hamla hu to is ki edat wazah hamal tak hai, khuwah yh mudat kam hu ya ziadan mumkin hai k aik shakhs ny apni bivi ko subha k wqt talaq di hu aur zuher sy pehly bachy ko janam dey day to is ki eddat issi sy puri hujayegi aur is baat ka bhi imkaan hai k aik shakhs ny maa muharram mai apni bivi ko talaq di hu aur is k haan bavhy ki viladat zulHijjah k maheeny mai hu to aisi orat ko 12 maah ki eddat guzarni hogi Qk is bary mai asool yh hai k hamla ki eddat wazeh hamal hai, jaisa k Irshad BAri TA'ala hai:

"Aur hamal wali orton ki eddat wazeh hamal (bacha jan'nay) tak hai."
At'talaq 65:4.
2: Agar mutalqa orat hamla nahi aur issy haiz aata hu to is ki eddat talaq k baad mukammal 3 din haiz hai, yani issy haiz aye aur pak hujaye, phir aye aur pak hujaye aur phir aye aur pak hujaye, yani is tarha mukammal 3 haiz ayen, khuwah in k dermiyan ki mudat kam hu ya ziada, maslan: agar koi shakhs maza'a (bachay ko doodh pilany wali) ko talaq dey dey aur issy 2 saal tak bhi haiz na aye to woh eddat mai hi rahygi hatta k issy 3 baar haiz aajaye aur is tarha issy 2 saal ya is sy bhi ziadah arsey tak eddat mai rehna par sakta hai Qk Irshad Bari Ta'ala hai:

"aur talaq wali ortain 3 haiz tak intezar karen."
Al bakra 2:228.
3: Jis orat ko haiz na ata hu, khuwah is ka sabab adem balogat hu ya kaber suni, kisi bhi wajah sy haiz sy mayosi hu to is ki eddat 3 maah hai. Irshad BAri Ta'ala hai:

"aur tumhari (mutalqa) oratain jo haiz sy naumeed hu chuki houn agar tum ko (in ki eddat k bary mai) shubah hu to in ki eddat 3 mahiny hai aur jin ko abhi haiz nahi aany laga (in ki eddat bhi yahi hai.) "
At'talaq 65:4.
4: Agar kisi ka haiz kisi sabab ki wajah sy khatam hugaya hu aur maloom hu k ab haiz kabhi nahi ayega, MAslan: yh k operation wagaira k zariye is ka reham hi nikal dia gaya hu to yh bhi haiz sy mayous orat ki tarha 3 maah eddat guzary gi.
5: Agar haiz khatam hugaya hu aur issy is k sabab ka bhi ilm hu to issy intezar kerna hoga hatta k yh saba dour hujaye, haiz aajaye aur yh is k mutabiq eddat guzarey.
6: Haiz khatam hujaye magar orat ko is k sabab ka ilm na hu to ulama farmaty hain k issy mukammal aik saal tak eddat guzarni chaheye is mai 9 maah hamal k aur 3 maah eddat k hougey. yh hain mutalqa orton ki eddat ki iqsaam.
jis orat ka nikkah khla wagairah ki wajah se faskh ho gaya ho is ki eddat aik haiz hai, yani, jab koi shaks apni bivi se khla kry k is orat ne ya is k wali ne kuch maal de diya ho k is k ewaz wo nikkah kr de aur shoher ne maal wagairah le ker orat ko alag ker diya ho to isy eddat k liye aik haiz hi kafi hai. wallah al mofaq. ( shiekh ebn esimeen )

SUNNAT YH HAI K GAWAHU K SATH RAJOU KIA JAYE

SUNNAT YH HAI K GAWAHU K SATH RAJOU KIA JAYE

Question :
Mai aik mamoli si baat per apni bivi sy sakht gussah huwa aur jab gussah thanda huwa to meri bivi ny mujhy bataya k mai ny issy gussey ki halat mai aik talaq dey di hai, mai ny beth ker yaad kerna shoru ker dia k kia mai ny issy talaq di hai ya nahi lekin is k bary mai mujhy mukammal tour per yaad nahi aur bivi ko talaq dainy ki meri koi niyyat bhi na thi magar zubaan lagzish kha gae, qasd-o-iradah k bagair gussah galib aagaya or cunkay mujhay ye bhi yaqin tha kay meri bewi nay jhot nhi bola,lyhaza mian nay rajo kar lia hay or phir bad mian hasby mamul zandagi basar karna shoru kar di.ab jabkay ia par aik waqt guzar chuka hay,tarhan tarhan kay waso say daman gir hay,lyhaza ap say omid karta hun kay ap fatwa ata farmain gey k kia mazkora halat mai talaq waqey hujati hai? aur agar talaq waqey hujati hai to kia mazkora tareekay sy mera rajou kerna sahi hai? naiz is sorat mai mery liye kia lazim hai? yh bhi yaad rahy k yh aik raje talaq thi aur eddat ki mudat khatam hu chuki hai?
Answer :
Marajaz'at sahi hai bashart yh k eddat k ander waqey huwi hu aur sunnat yh thi k app 2 gawahon ko bhi is per shahid thera laity Qk Irshad bari Ta'ala hai:

"Phir jab woh apni meyad (inqazai eddat) k qareeb pohanch jayen to in ko achi tarha sy zojiyat mai rehny do ya achy tareekay sy alaihda ker do aur apny mai sy 2 munsif mardon ko gawah ker lo aur (aye gawahu!) tum Allah k liye darust gawahi daina."
At'talaq 65:2.
Ahl-e-Ilm ny is ayaat kareema sy estadlal kia hai k talaq-o-raja'at k liye gawahi mashrou hai, lehaza ziada ehtiyat issi mai hai k app issy talaq shumar karen aur is k waqey huny ka aitbar karen Qk app ny sawal mai kaha hai k app ki bivi ny app ko yh yaad dilaya aur apko is ki baat per yaqeen hai aur phir NAbi Akrem (S.A.W) ny farmaya:

"Jo shakhs shubhat sy bach gaya is ny apny deen-o-ezzat ko bacha lia."
sahi albukhari' hadis:52' wa sahi muslim' hadis:1599 wallafaz laahu.
Naiz App (S.A.W) ka yh bhi irshad grami hai:

"Jo cheez tujhy shak mai dakey ussay chor ker us cheez ko ikhtiyar ker jis mai shak na hu." (shiekh ebn baaz)
Jamia At'tramzi' hadis: 2518' wa sanan al kubra lilnasai' hadis:5220.
Tanbeeh: As'shiekh ebn esimeen REham ul Allah ny bhi aik fatway mai rajou k wqt gawah banany ko sunnat qarar dia hai

RAJAT AUR ISKI SHARAIT KA HUKAM

RAJAT AUR ISKI SHARAIT KA HUKAM

Question :
Aik admi ny apni bivi ko talaq sunnat di, phir issy talaq nama bhi dy diya aur ab rajou kerna chahta hai, kia orat ki raza mandi k bagair jaber sy bhi rajou hu sakta hai? ya rajou orat ki raza mandi per moquf hai? kia rajou k liye kuch sharait bhi hain?
Answer :
Agar amar waqai issy tarha hai jis tarha ziker kiya gaya hai to shoher ko rajou ka haq hasil hai bashart yh k woh orat eddat mai hu aur 2 adil gawaah majood houn, khuwah bivi razi hu ya na. aur agar eddat khatam hugae hu aur yh teesri talaq na hu to issy orat ki raza mandi sy naye nikkah aur naye maher k sath rajou ka haq hasil hai. mazkora donu sorato mai yh aik talaq shumar hogi.
Aur agar yh teesri talaq hu to phir yh orat is wqt tak halaal nahi hogi jab tak yh kisi dosry shoher sy sharai nikkah na kery aur woh is sy muqarbet bhi kery. aur jab yh dosra shoher bhi issy talaq dey dey ya fout hujaye to phir yh pehly shoher k liye halaal hogi, woh eddat khatam huny k baad naye uqad aur naye maher k sath orat ki raza mandi sy is k sath shadi ker sakta hai. HAmla ki eddat waza'a hamal hai, khuwah orat mutelqa hu ya is ka shoher fout shudah hu, is gair hamla ki eddat jis ka shoher fout shodah hu 4 maah 10 din hai aur agar mutalqa hu aur haiz ata hu to eddat 3 haiz hai aur agar bari umer ki waja sy haiz na ata hu ya haiz ki umer sy choti hu to eddat 3 maah hai. (Darood-e-Pak)

AIK HI KALMAY K SATH 3 TALAQAIN K BARE MAI HUKAM

AIK HI KALMAY K SATH 3 TALAQU K BARY MAI HUKAM

Question :
Aik mard ny apni bivi ko aik hi kalmey k sath 3 talaqain day den. is bary mai kia hukam hai?
Answer :
Jab koi mard apni bivi ko aik hi kalmay k sath 3 talaqain dey dey, Maslan: es tarha kahy k

"(tujhy 3 talaqian hain)"
Jamhour Ahl-e-ilm ka mazheb yh hai k is sy orat per 3 talaqain waqey hujati hain aur woh apny shoher per haraam hujati hai aur sirf aik hi sorat mai halal hoti hai k is k baad kisi aur shakhs sy berza-o-ragbeshadi kery, halala ki sorat mai nahi aur phir woh shakhs is sy muqarbet bhi kery aur phir maut ya talaq ki sorat mai es sy alehdagi hujaye aur eddat guzer jaye. in Ahl-e-ilm ka estedlaal HAzrat umer bin khatab R.A. k is amal sy hai k app ny teenu talaqu ko logo per nafiz ker diya tha. baaz Ahl-e-ilm ka mazheb yh hai k yh aik talaq shumar hogi aur shoher ko eddat k ander rajou kerna ka haq hasil hai aur agar eddat khatam hujaye to phir woh naye nikkah k sath halaal hogi, in hazraat ka estedlaal sahi muslim mai Hazrat Ebn Abbas R.A. sy mervi is hadis sy hai:

"Rasool Allah (S.A.W) k aihed mai, hazrat Abu Baker Sadiqque R.A. k aihed mai aur HAzrat Umer R.A. ki khilafat k ebtadai 2 saalo mai 3 talaqo ko aik hi shumar kia jata tha, HAzrat Umer R.A. ny farmaya k logo ny is mamaley mai jalb bazi shoru ker di hai jis mai inhain muhlet di gae thi, lehaza agar hum issy nafiz ker dey (to acha hai), chanacha inhuny issy nafiz kr dia."
sahi muslim' hadis:1472.
sahi muslim hi ki aik dosri ravayt mai ilfaz yh hain k Abbu-us-suhba ny HAzrat Ebn Abbas R.A sy pocha k kia NAbi Akrem (S.A.W) k aihed mai, Hazrat Abu Baker R.A. k aihed mai aur HAzrat Umer R.A k aihed k (pehly) 3 saalo mai 3 talaqo ko aik qarar nahi dia jata tha? to unhuny farmaya : Haan.
sahi muslim'hadis: (16)-1472.
Naiz inka estadlaal is hadis sy bhi hai jissy Imam Ahmed Rehmat-ul-Allah Alleh ny masnad mai jaid sanad k sath Hazrat Ebn Abbas R.A. sy ravayat kia hai k abu rikana ny apni bivi ko 3 talaqain day den jis ki wajah inhain bohat gum huwa to Nabi Akrem (S.A.W) ny in ki bivi ko wapis louta dia tha aur farmaya tha: "yh aik talaq hai." inhuny is hadis ko aur is sy pehli hadis ko is baat per mehlol kia hai k aik kalmey k sath 3 talaqain aik hi talaq hai ta k in 2 hadiso aur muderja zail irshadat Elahi k dermiyan tatbeeq di ja saky:

"talaq (jis k baad rajou husakta hai sirf) 2 baar hai." 3
3 Al Bakra 2:229.
Aur Irshad Bari Ta'ala:

"Phir agar shoher (2 talaqu k baad teesri) talaq orat ko dey dey to is k baad jab tak woh orat kisi dosry shakhs sy nikkah na ker ley is (pehly shoher) k liye halaal na hogi."
al Bakra 2:230.
sahi ravayat k murabiq Hazrat Ebn Abbas R.A. ka bhi aik qual yahi hai jab k dosri ravayat k mutabiq in ka dosra qaul akser logo k qaul k mutabiq hai. aik majlis ki 3 talaqon k aik huny ka qaul Hazrat Ali, Abdu-ur-Rehman Bin Auf aur Zubair bin awaam R.A. sy bhi mervi hai, ta'abaeen ki aik jamat, Mohammad BIn Eshaq Rehmat-ul-Allah Alleh Sahib-e- "Al seerah" Aur mutaqadmeen-o-muthakhrin Ahl-e-ilm Rehmat-ul-Allah Alleh ki aik jamat ka bhi yahi qaul hai. Shiekh-ul-islam ebn teemiya Rehmat-ul-Allah Alleh aur App k shagird RAsheed Alama Ebn Qaim Rehmat-ul-Allah Alleh ny bhi is qaul ko pasand farmaya hai, Mai bhi issi qaul k mutabiq fatwa siata hoon Qk is sy tamam nasoso k mutabiq amal bhi hujata hai aur is mai musalmano k sath rehmat aur narmi bhi hai. (shiekh ebn baaz)

ORAT KO MUTALQA SAMJHA JAYEGA

ORAT KO MUTALQA SAMJHA JAYEGA

Question :
Orat mutalqa kab shumar hogi? aur talaq k jawaz mai kia himat hai?
Answer :
Orat ko us wqt mutalqa samjha jayega jab us ka shoher mukalaf-o-mukhtar hu aur woh apni bivi ko talaq dey aur talaq k waqu mai janoon ya nasha wagaira koi amar many bhi na hu. aur agar shoher majnon hu ya issy majbor kiya gaya hu ya woh nashy ki halat mai hu ya woh is qadar shadeed gussey ki halaat mai hu, jis sy insan madhosh sa hujata hai, k talaq k muqsan ko samjhny sy ajiz hu, wazeh asbab bhi is halat sy taeed kerty houn k is ny shadeed gussey mai talaq di hai, mutalqa bhi is baat ki tasdeeq kery ya mua'atbir gawahi sy iski tasdeek hu to oulama k sahi qaul k mutabiq is sorat mai talaq waqey na hogi Qk Nabi Akrem (S.A.W) ny farmaya hai:

"shakhs merfo'u alqalam hain: 1 sowya howa hatta k baidar hujaye 2 Bacha hatta k balig hujaye 3 aur majnon hatta k samjhny lagy."
sanan abi daud' hadis: 4403' wa jamia at'tramzi ' hadis: 1423.
Irshad bari Ta'ala hai:

"Jo shakhs emaan lany k baad Allah k sath kuffar kary (es per Allah ka bara gazab hai magar) woh nahi jo majbor kia jaye aur is ka dil emaan k sath mutmaeen hu."
Alnahel 16:106.
jab es shakhs ko kafir qarar nahi dia ja sakta jissy kuffar per majboor kia gaya hu aur is ka dil emaan k sath mutmaeen hu to us shakhs ki talaq to bilaolaw waqey na hogi jis ny mahez jaber (zaberdasti) ki wajah sy talaq di hu Qk NAbi Akrem (S.A.W) ny farmaya:

"Jaber ki talaq aur azaadi kuch nahi hai."
Ahl-e-ilm ki aik jamat ny, jis mai imam ahmed Rehmat-ul-Allah Alleh bhi hain, is hadis mai warid lafaz "Aglaag" k maeeni jaber aur gussah k liye kiye hain, khalifa Rashid HAzrat Usman R.A. aur Ahl-e-Ilm ki aik jamat ny yh fatwa dia hai k aisy nashy mai madhosh shakhs ki talaq waqey nahi hogi jis ny is ki aqal ko mavif ker dia hu, agarcha nashy ki wajah sy gunaahgaar hoga.
TAlaq k jawaz mai hikmat to behad wazeh hai k kabhi bivi shoher k munasib nahi hoti aur kabhi shoher bohat sy asbab, MAslan: za'af aqal, za'af deen ya beadbi ki wajah sy bivi sy nafrat kerta hai, Allah TA'ala ny is k liye kushadgi ka tareeka yh rakha hai k issy talaq dey ker apni esmat (zojeyat) sy kharij ker dey, Irshad bari Ta'ala hai:

"Aur agar miaan bivi (mai mufavqat na reh saky aur) aik dosrey sy judda hujayen to Allah her aik ko (dosrey sy) apny fazal sy beniyaz ker deyga aur Allah hamesha sy wusat wala, kamaal hikmet wala hai." (shiekh ebn baaz)
AL nissa 4:130.

MAI IS SY TALAQ CHAHTI HOON

MAI IS SY TALAQ CHAHTI HOON

Question :
Mery bary bhai ny meri marzi k bagair mera nikkah ker dia, is k bawajood mai 6 saal tak apny khawand k sath rahi, hamari koi olaad bhi nahi, mai ab bhi is k pass hoon. mai is sy mohabbat nahi kerti hoon balky mai to is sy talaq laina chahti hoon. ab rukawat sirf yh hai k mai ny aik hadis syn rakhi hai k jo orat bilawajah khawand sy talaq ka mutalba kery woh jannat mai dakhil na hogi. iska hal kia hai?
Answer :
Jab app koi aitraz kiye bagair khawand k sath chali gaeen aur aik arsey tak is k sath raheen to is ka matlab yh huwa k app ny apny bhai k tasarruf ko sanad-e-jawaz ata ki, lehaza yh nikkah sahi hai kyun k nikkah ejazat ki wajah sy darust qarar pata hai magar jab aik khawand k sath app na khush aur gair mutmain hain aur karahet-o-tangi mehsos kerti hain aur is k haqoq ki adaigi k bary mai kotahi ka khouf bhi lahaq rehta hai aur is sy olaad bhi nahi to yh tamam asbab is sy mutalba talaq ko jaiz therany k liye kafi hain.
Shaikh ibn Jibreen

AGAR MARD OLAD PAIDA KERNY K QABIL NA HU TO TALAQ KA MUTALBA KARNA ZAIZ

AGAR MARD OLAD PAIDA KERNY K QABIL NA HU TO TALAQ KA MUTALBA KERNA JAIZ
Question :
Aik khaton kafi mudat sy shadi shudah hai magar woh beolaad hai. medical checkup k baad maloom huwa k nuqs khawand mai hai aur in dono mai olaad ka hona mahaal hai, kia is sorat mai bivi talaq talb kerny ka haq hasil hai?
Answer :
Jab wazey hugaya k banjh pan sirf mard mai hai to orat ko is khawand sy talaq talb kerny ka haq hai. agar woh talaq dey dy to behter, warna qazi nikkah ko fasakh ker dyga, is liye k orat ko bhi bachy lainy ka haq hasil hai. aksar ortain sirf bachon k liye hi shadi kerti hain. jab orat ka khawand olaad k qabil na hu to issy talab talaq aur faskh-e-nikkah ka haq hasil hai. Ahl-e-ilm ka rajeh qaul yahi hai. (shiekh Mohammad bin saleh esimeen)