Showing posts with label RAZA'AT. Show all posts
Showing posts with label RAZA'AT. Show all posts

RAZA'AT KI TARHA KHOON SY HURMET SABIT NAHI HOTI

RAZA'AT KI TARHA KHOON SY HURMET SABIT NAHI HOTI

Question :
Jab koi orat bimaar hu, issy khoon dainy ki zarorat hu, kisi ajnabi shakhs ka issy khoon dia gaya hu, Allah Ta'ala issy shafa ata farma dey to kia khon dainy waly shakhs ka is sy nikkah jaiz hai ya nahi?
Answer :
Kisi mard ka khoon hasool taqat k liye orat ko laga dainy sy hurmet lazim nahi aati jis tarha raza'at sy hurmet lazim aati hai, khuwah khoon kitni hi baar Q na muntaqil kia gaya hu, issi tarha agar kisi mard ko kisi orat ka khoon lagaya gaya hu to es k liye bhi yahi hukam hai, lehaza is donu ka aik dosrey sy nikkah kerna jaiz hai. (Fatwa Cammeitte)

NAWAQFIYAT KI WAJAH SY RAZAI BAHEN SY SHADI

NAWAQFIYAT KI WAJAH SY RAZAI BAHEN SY SHADI

Question :
Bivi k sath dakhul k baad maloom huwa k yh meri razai bahen hai Qk mai ny is ki bahen k sath doodh piya tha, kia is halat mai yh mujh per haram hai?
Answer :
Haan, agar sorat haal issi tahran hai jis tarhan app ny biyan ki hai k app ny apni is bivi ki bahen k sath mil ker iski maa ka doodh piya hai, yani app ny bivi ki maa ka ya bivi ki soteli maa ka doodh piya hai to is halat mai ap is k bhai huway, lehaza yh nikkah batil huwa lekin zarori hai k app yh baat jaan len raza'at issi wqt asar andaz hoti hai jab yh 5 ya is sy ziada raza'at per mushtamil hu aur doodh chorany ki umer sy pehly' yani 2 saal k ander ander hu aur agar raza'at is sy kam hu to is ka asar nahi hota aur na is sy hurmet sabit hoti hai.
Agar app ko yaqeen hu k app ny apni is bivi ki maa ka 5 raza'at ya is sy ziada mertaba doodh piya hai aur 2 saal ki umer k ander piya hai to phir app donu k dermiyan alaihdgi zarori hai Qk yh nikkah sahi nahi hai. raza'at ka ilm hony sy pehly is shadi k natejey mai jo olaad paida huwi, woh sharan aap hi ki taraf mansob hogi Qk yh olaad shubah mai wati sy paida huwi hai aur shubah mai wati k natejy mai jo olaad paida hu to is k sath nasb ko mila dia jata hai, jaisa k Ahl-e-ilm ny farmaya hai. (shiekh ebn esimeen

CHACHA KI BETI KI BHAI K SATH RAZA'AT

CHACHA KI BETI KI BHAI K SATH RAZA'AT

Question :
Mery chacha ki aik beti hai, jis sy mai shadi kerna chahta hoon lekin maloom huwa hai k is ny mery choty bhai k sath mil ker doodh piya hai aur 5 raza'at sy ziadah piyahai, is bary mai kia hukam hsi, yh mery liye halal hai ya nahi?
Answer :
Agar mazkora larki ny ap ki waldah ka 5 ya is sy ziada raza'at per mushtamil 2 saal ki umer k ander doodh piya hai to phir woh app ki aur app k maa baap ki taraf sy app ki tamam bhaiyun ki bahen hai bashart yh k is k doodh peeny k wqt apki waldah ap k baap k sath hu aur agar woh is wqt ap k baap k elawah kisi aur shoher k pass thi to yh maa ki taraf sy apki razai bahen hogi, naiz is k tamam shoharon ki olaad ki bhi bahen hogi Qk Allah Ta'ala ny sarat nissa mai muherimat k biyaan mai farmaya:

"aur tumhari woh maien jinhuny tumhain doodh pilaya hu aur tumhari razai behnain (bhi tum per haram ker di gae hain.)" (shiekh ebn baaz)
sahi albukhari' hadis: 2645' wa sahi muslim' hadis: 1444.
aur Nabi Akram ( S.A.W. ) ne farmaya:

"raza'at se bhi rishty haram, ho jaty hain jo nasb se haram, hoty hain"
sahi bukhari, hadees: 2645,wa sahi muslim, hadis, 1444
( shaikh ibn baaz)

RAZA'AT SY MUTA'ALIQ AIK MASLA

RAZA'AT SY MUTA'ALIQ AIK MASLA

Question :
Meri aik bivi hai aur is k batn sy meri 8 betiyan hain, is ki is sy 15 saal choti aik bahen bhi hai, is ki maa ka aik shakhs ny doodh piya hai jo is ka bhai ban gaya hai aur meri mushkil yh hai k meri bitiyan yh kehti hain k woh inka razai mamo hai, is liye woh is sy perdah nahi kertee, mai inhain mana kerta houn to woh meri baat nahi mantee aur kehti hain k woh hamara razai mamo hai, umeed hai k app is masly mai rehnumai farmai gey.
Answer :
Agar mazkorah shakhs ny apki bivi ki maa ya is k baap ki bivi ka 2 saal ki umer mai 5 raza'at ya is sy ziadah doodh us wqt piya hai jab woh is k baap k habala uqad mai thi to woh ap ki betiyon ka razai mamo hai aur in k liye deegar mehram mardo ki tarha is sy bhi perdah na kerna aur khalwet mai is k sath bethna jaiz hai Qk Nabi akrem (S.A.W) ny farmaya hai:

"Raza'at sy bhi woh rishta haram hujata hai jo nasb sy haram hota hai."
sahi albukhari' hadis: 2645' wa sahi muslim'hadis:1444.
Bashart yh k koi aisi mashkok baat na hu ho in mai sy kisi k sath khalwet sy many hu. (shiekh ebn baaz

AP K RAZAI BAAP KI DOSRI BIVI K BACHU KA HUKAM

AP K RAZAI BAAP KI DOSRI BIVI K BACHU KA HUKAM

1004ap k razai baap ki dosri bivi k bachu ka hukam
Posted on April 17, 2013 | Filed under Aqeqa Aur Raza'at
Question :
Mai ny aik orat ka doodh piya tha, phir is k shoher ny aik dosri orat sy shadi ki aur is sy is k bety paida huway to kia is k woh bety bhi mery bhai hain?
Answer :
Jab 5 ya is sy ziada raza'at piye houn aur doodh shoher ki tarf mansob hu k orat ny is k bachy janam diye houn to woh bachy maa baap donu ki traf sy ap k razai bahen bhai hain aur iski dosri bivi sy bachy sirf baap ki tarf sy app k razai bhai hain (maa ki tarf sy nahi.)
Aik raza'a yh hai k bacha pistan ko mou sy pakar ker is sy doodh chosy hatta k doodh is k pait mai pohanch jaye aur phir woh azkhud bagair kisi dabau k pistan ko chor dey, hatta k woh is tarha 5 ya is sy bhi ziada mertaba doodh piye, khuwah yh aik majlis mai piye ya ziada majliso mai , khuwah aik din mai piye ya ziada dinu mai bashart yh k yh pina 2 saal ki mudat k ander ander hu Qk NAbi Akrem (S.A.W) ny farmaya:

"raza'at wohi ( ma'ataber) hai jo 2 saal k ander hu."
sanan ad'dar qutni:4/103' hadis:4319' was'sanan alkubra lilbehqi: 7/462.
Naiz App (S.A.W) ny suhlah bint suhail R.A. sy farmaya tha:

"salim ko 5 raza'at doodh pilaian is sy app is k liye haram hujayen gi."
sahi muslim' hadis:1453' Walafza khamas raza'at' laisat endah.
Sahi muslim aur jamia taramzi mai Hazrat Ayesha R.A. sy ravayat hai:

"Quran Mazeed mai 10 maloom raza'at ka hukam nazil huwa tha jin sy hurmat sabit hoti thi, phir inko 5 maloom raza'at k sath mansokh ker dia gaya (phir vafat sy kuch wqt pehly in ki tilawat mansokh hugae, hukam baki rakha gaya) aur jab Nabi (S.A.W) ki wafat huwi (nuskh ka ilm na huny ki wajah sy) woh Quran mai parhi jati theen."
sahi muslim' hadis:1452' wa jamia at'tramzi' hadis: 1150.
Allah hum sab ko apni raza k mutabiq amal kerny ki toufeeq ata farmai. (shiekh ebn baaz)

WOH AP K RAZAI MAMO HAIN

WOH AP K RAZAI MAMO HAIN

Question :
Meri maa ko aik dosri orat ny doodh pilaya, jab k is orat ki sokanain bhi hain to kia oraton k bachy mery mamo samjhy jaye gey ya nahi?
Answer :
chonkey es orat ny apki maa ko doodh pilaya hai, lehaza woh apki nani therey gi. es ka khawand apki maa ka razai baap aur apka razai nana hai. chonkey is ki sokanain ap k razai nana ki biviyan hain, lehaza in k bety apk razai mamo houngey.
Shaikh ibn Jibreen

MAYOSI KI UMER MAI DOODH PILANY SY RAZA'AT SABIT HUJATI HAI

MAYOSI KI UMER MAI DOODH PILANY SY RAZA'AT SABIT HUJATI HAI

Question :
Is orat k doodh ka kia hukam hai jo na umedi (burhapey) ki umer ko pohanch jaye lekin kisi (rowty) bachy ko dekh ker iski chati mai doodh uter aye aur woh mudat raza'at mai aik bachy ko panch ya is sy zaid mertaba doodh pila dey? naiz kia yh doodh hurmat ka baees banyga? aur kia is ka razai baap bhi hoga, jab k doodh pilany wali orat ka us wqt koi khawand hi nahi?
Answer :
Yaqinan raza'at bhi nasb ki tarha haram kerny wali hai, is bina per mudat raza'at (do saal) k doran mai jis orat ny bachy ko panch ya is sy zaeed mertaba doodh pilaya woh is bachy ki razai maa ban gaye, is liye k yh ayaat aam hai:

"aur tumhari woh maian jinhuny tumhain doodh pilaya (tum per haram hain.)"
Al nissa 4:23.
Agar mayosi ki umer ko pohanchny k baad bhi koi orat kisi bachy ko doodh pilaye to bhi raza'at sabit hujayegi, phir agar doodh pilany wali orat khawand wali hai to sheerkhuwar bacha iska aur is k khawand ka razai beta hoga. agar woh orat bekhawand hai, yani abhi iski shadi hi nahi howi lekin is ki shati mai doodh uter aye (aur woh doodh pila dey) to woh us bachy ki maa ban jayegi jissy is ny doodh pilaya hoga lekin is ka razai baap nahi hoga. yh baat ta'ajub wali nahi hai k bachy ki razai maa to hu magar iska razai baap na hu, baina yh bat bhi ta'ajub wali nahi hai k is ka razai baap to hu magar razai maa na hu.
pehli sorat kuch you hai k aik orat ny kisi bachy ko 2 dafa'a doodh pilaya yh doodh is k (pehly) khawand k sabab tha, phir woh khawand is sy alag hugaya aur orat ny eddat guzarny k bad dosry khawand sy shadi kerli, is sy jama'a huwa aur woh hamla hugae is ny aik bachy ko janam dia tab is ny is sy pehly razai bachy ko baki mandah 3 raza'at doodh pilaya to is tarha woh iski razai maa ban jayegi. Qk is ny is orat sy 5 mertaba doodh pi lia hai magar is bachy ka koi razai baap nahi hoga QK is orat ny bachy ko aik khawand sy 5 ya is sy zaid mertaba doodh nahi pilaya.
jahan tak dosri sorat ka ta'aluq hai k aik bachy ka razai baap to hu magar razai maa na hu to woh youn hai k aik shakhs ki 2 biviyan hain. in mai sy aik ny bachy ko 2 mertaba doodh pilaya aur dosri ny mazeed 3 dafa'a doodh pila ker panch raza'at mukammal liye to is sorat mai yh bacha in k khawand ka razai beta hoga Qk issy aik bap ki tarf mansob doodh panch mertaba pilaya gaya hai jab k es ki razai maa nahi hogi Qk is ny pehli orat sy 2 mertab aur dosri orat sy 3 mertaba doodh piya.
Shaikh Mohammad bin Saleh Al Usaimin