Showing posts with label zina. Show all posts
Showing posts with label zina. Show all posts

ZINA KE ASBAB

بسم الله الرحمن الرحيم وبه نستعين
                        *زنا کے اسباب*
*ازقلم:عبیداللہ بن شفیق الرحمٰن اعظمی محمدی مہسلہ* 
       زنا کی حرمت ومضرت ہر مذہب اور دھرم میں مُسلم ہے، اور اس کے متعلق آپ نے دسیوں بار سنا اور پڑھنا ہوگا کہ زنا یہ دین، دنیا، آخرت، جان ومال اور عزت وآبرو کی ہلاکت وتباہی کا بہت بڑا ذریعہ ہے، لیکن اس کے باوجود بھی زنا کے واردات روز بروز بڑھتے ہی جا رہے ہیں، معصوم اور نابالغ بچیوں کے ساتھ اجتماعی آبروریزی اور قتل کے حادثات میں شب و روز اضافہ ہوتا ہی چلا جارہا ہے،  اس کی وجہ یہ ہے کہ ہم زنا کی حرمت ومضرت کو تو سمجھتے ہیں، لیکن زنا کے اسباب وعوامل پر گہری نظر نہیں رکھتے ہیں جس کے نتیجے میں آج بےحیائی اور بدکاری کا دور دورہ ہے-
      قارئین کرام! آئیے آج سرسری طور پر زنا کے اسباب وعوامل کو اچھی طرح سمجھ لیتے ہیں تاکہ ہم سب زنا کے چور دروازوں کو اچھی طرح بھانپ لیں پھر ان سے بچنے کی بھر پور کوشش کریں اور شیطان کو بہکانے اور گمراہ کرنے کا موقع خود فراہم نہ کریں، وباللہ التوفيق-
          *زنا کے چند اسباب درج ذیل ہیں:*   
       (1) مردوزن کا اختلاط ہونا (2) عورت کا حجاب اور نقاب کا نہ لگانا (3) مخلوط تعلیم یعنی ایک ساتھ لڑکے لڑکی کا پڑھنا لکھنا (4) بغیر محرم کے عورت کا اپنے گھر سے باہر سفر پر نکلنا (5) شادی لیٹ سے کرنا (6) جدید وسائل کا ناجائز استعمال کرنا جیسے موبائل، اور انٹرنیٹ وغیرہ کا غلط استعمال کرنا (7) عورت کا گھر سے بےپردہ خوشبو لگا کر نکلنا (8) عورت کا اجنبی مرد کو اور مرد کا اجنبی عورت کو دیکھنا (9) بیوی کا اپنے شوہر کو ایک سے زائد چار شادی کرنے پر سخت پابندی لگانا (10) بنا ضرورت عام راستوں پر بیٹھنا (11) ایمان اور تقوی کی کمزوری (12) زوجین کا حق زوجیت کی ادائیگی میں خیانت کرنا (13) بےغیرت اور بےحیا نوجوانوں کی صحبت اختیار کرنا (14) فحش میگزین اور مجلات کا مطالعہ کرنا (15) نیم برہنہ تصاویر کا مشاہدہ کرنا (16) فحش فلم دیکھنا (17) گانے اور میوزک کا رسیا ہونا (18) نشہ آور اشیاء کا استعمال کرنا (19) سیر وسیاحت کے لیے اپنی اولاد کو بالکل آزاد چھوڑ دینا (20) پیسہ کمانے کے لیے عورتوں اور بچیوں کو دکان پر مقرر کرنا (21) آخرت کے حساب وكتاب اور آتش دوزخ سے بےخبر اور بےفکر رہنا (22) غیر محارم سے خلوت میں ملنا جلنا (23) عورت کا اجنبی مردوں سے نرم لہجے میں گفتگو کرنا (24) شرعی قانون (شرعی حدود) کا نفاذ نہ ہونا (25) اپنی اولاد کو دینی تعلیم سے دور رکھنا اور ان کے اندر دینی مزاج نہ پیدا کرنا وغیرہ وغیرہ-
        یہ زنا کے چند محرک اسباب ہیں اگر ہم نے ان سے دوری اختیار کی تو زنا سے بچنا ہم سبھوں کے لیے نہایت آسان ہو جائے گا، رب العالمین سے دعا ہے کہ اللہ ہم جمیع مسلمانوں کو زنا سے بچنے کی توفیق عطا فرمائے آمین-
          ـــــــــــــــــــــــــــــــــ
        *ابوعبداللہ اعظمی

Rape hone ki wajah

Rape hone ki bahut sari wajah hoti hai :
mere pyare pyare islami Dosto'n jara dhiyaan de

Jaise (1) Filmo ka asar.
(2) Computer, Mobile, Internet, TV wagairah ka galat istemal.
(3) Jism ki numaish karne wale kapde pehankar aurto ka mardo ke samne bahar nikalna.
(4) Khud ko modern batane ke liye ladko se be-hayai ke saath milna aur baate karna.

*******
Lekin ladkiyo ko rape aur chhedkhani se bachane ke liye aur aisa karne wale in darindo ke dimag me khauf paida karne ke liye sakht qanoon hona zaroori hai.

Sirf tasalli dena kaafi nahi hai. Ise rokne ke liye kade kadam lena zaroori hai.
Sirf ye keh dene se ke jo hua hai galat hua hai, is se iska hal nahi hoga.
Jaise kisi mariz se ye kehna ke beemari bahut zyada ho gai hai, ye iska hal nahi hai. Balke us ki beemari ka sahi ilaj jaldi se karna zaroori hai.

Jo sarkar aurto ki hifazat ke liye kuchh karna nahi chahti hai wo bhi in gunah ke liye zimmedar hai.
Aur is zulm ke khilaf aawaz na uthane wale aur aawaz uthane walo ko saath na dene wale aur unka mazak udane wale log bhi is ke liye utne hi zimmedar hai.

Aurto ko bhi behayai ke saath gair mardo se milna, baate karna ya chat karna aur Jism ki numaish karne wale kapde pehankar mardo ke samne bahar nikalna, in sab se khud ko bachana chahiye aur apni hifazat kaise karni hai wo bhi sikhna zaroori hai.

*******
Ham sochte hain aur kehte hain ke ‘Hamare ghar ki ya khandan ki ya gaanv ya shaher ki ladki ke saath aisa kaha hua hai.’ Ya phir ‘Is tarah muhim chalane se koi faida nahi.’
Socho agar tumhare upar aisi musibat aaye to tumhari madad ke liye bhi koi nahi aaya to us waqt kya karoge?

Aur is muhim ka natija chahe kuchh bhi ho lekin is me saath dene wale logo ko is baat ki tasalli hogi ke unho ne insaniyat ka aur mazloom ka saath diya aur zulm ke khilaf aawaz uthai.

Yaad rakhna agar is zulm ke khilaf aawaz nahi uthaoge to aane wali nasl hame bahut buri tarah yaad karegi.

*******
Kisi ko jaan se maar dene wale ko fansi ya umr qaid ki saza di jaati hai,
To kisi ki izzat se khelne wale aur us aurat ko gehre jismani, dimagi aur roohani jakhm dene wale ko fansi ya umr qaid ki saza kyun nahi?
Aaj Aap sab dekh rahe hai ki Aaj un 5 Rapist ko saja-e-maut ki guwaher ki ja rahi hai ye SAJA to humare Nabi RasoolALLAH (Sallallaho ALayhawasallam) Ne 1432 saal pahile hi mukarrar kar di hai isliye Aap sab gaur farmaye ki Jo baat humare NABI RasoolALLAH (Sallallaho ALayhawasallam) Ne kahi hai wo sab humare bhalai ke liye hi kahi hai mager hum amal hi nahi karte ager Aaj hum amal karte Aaj ye naubat hi nahi Aati ladke Or ladkiyan Sharyat ka hisaab se chalte to ye Rape jaise mamle samne na Aaye Ladkiyan apne jism ki numaish na kare or ladke apni nigahon ki hifazat kare jo Time taukeez or Parko me bitate hai masjid Or Allah ki Ibadat ne bitaye Jada se Jada Deen ka Ilm sikhe To insha allah aise wardate kahin nahi hogi 
★ (Aye Nabi!) Aap Momin mardon se keh dijiye k wo Apni nazren nichi rakhen.(Qur’an 24:30)

★ Aur Aap Momin Aourto se keh dijiye k wo Apni Nazren nichi Rakhe.(Qur’an 24:31)

HIJAAB mard aur aurat dono per lazim hai quran aur hadees k mutabiqh ..agr dono hi apni nazron aur sharagahon ki hifazat kerengey to mashrey mein rape jaisa ghinowna aur sharamnak kaam kabhi nahi hoga ...in sha ALLAH 

ALLAH SUBHANAWATAALA hum sab musalmano ko quran aur hadees per amal kerne ki neik tawfeeqh de ..aameen
Allah kahene Sunne se jada amal ki Taufeeq ataa farmaye ������ MAKTABA al FURQAN SAMI Gujarat 9998561553����������������������������������������������

ZINA KI SAZA HADEES KI ROSHNI me

Zina : Ek Mard Ek Aisi Aurat Se Sohbat/ Humbistari (Sexual Relation) Kare Jiska
Uske Sath Nikah Na Huwa Ho. Rasoolullah SallAllahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Shirk Ke Baad Allah Ke Nazdik Is Gunah (zina) Se Bada Koi Gunah Nahi Ke Ek Shaks
Kisi Aurat Se Sohbat Kare Jo Uski Biwi Nahi Aur Jab Koi Mard Aur Aurat Zina Karta Hai
To Imaan Unke Sine Se Nikal Kar Sar Par Saye Ki Tarah Thahar Jata Hain.
(Mukashefatul Kuloob:Page-168 )

Hazrat Ikrema Ne Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhu Se Pucha Imaan Kis
Tarah Nikal Jata Hai.? Hazrat Abdullah Ibne Abbas Ne Farmaya Is Tarah..! Aur Apne
Hath Ki Ungliya Dusre Hath Ki Ungliyo Mein Dali Fir Nikal Li Aur Farmaya Dekho Is
Tarah.
(Bukhari Sharif: Jild-3, Page-614, Hadees 1713)

Hazrat Abu Huraira wa Ibne Abbas RadiAllahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasoolullah SallAllahu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya Mo'meen Hote Huve To Koi Zina Kar Hi Nahi Sakta.
(Bukhari Sharif : Jild-3, Page-614, Hadees-1714)

Zina Ki Saza Aur Azaab: Hazrat Musa Alayhisalam Ne Rab Ta'ala Ki Bargah Mein
Jab Zina Ki Saza Puchi To Allah Ne Farmaya: Usey Aag Ki Jarrah (Lohe Ka Libas Jo Aag Se Bana Hoga) Pehnaya Jayega. Woh Aisa Wazani Hai Ki Agar Bahot Bade Pahad Par Rakh Diya Jaye To Wo Bhi Reza Reza Ho Jaye.
(Mukashefatul Kuloob: Page-168)

Allah Ta'ala Farmata Hai Jo Shaks Zina Karta Hai Use Asaam Me Dala Jayega. Asaam Ke Bare Me Ulma-e-Deen Ne Kaha Hai Ki Wo Jahannam Ka 1 Gaar Hai Jab Uska Munh
Khola Jayega To Uski Badbu Se Tamam Jahannami Chikh Uthenge.
(Mukashefatul Kuloob:Page-167 )

7 Aasman Aur 7 Zamino Aur Pahad Zina Kaar Par Lanat Bhejte Hai Aur Qayamat Ke
Din Zina Kaar Mard Wa Aurat Ki Sharmgah Se Is Qadar Badbu Aati Hogi Ke Jahannam
Me Jalne Wale Ko Bhi Is Badbu Se Taklif Hogi.
(Bahare Shariat: Page-43)

Zina Karne Wale Shadi Shuda Ho To Khule Maidan Me Pattharo Se Maar Dala Jaye Aur
Gair Shadi Shuda (kuwara) Ho To 100 Kode
Mare Jaye.
(Bukhari Sharif: Page-615, Hadees-1715

ZINA

ZINA (ILLEGAL SEX)

As salam o allaikum wr wb

1-ZINA EK KANOONI GUNAAH HAI

2-ZINAT QATL WA FASAAD KA BADTAREEN ZARIYA HAI

3-ZINA KHAANDANI TARTEEB KI TABAAHI KA ZARIYA HAI

4-ZINA EK SHAITAANI AMAL HAI JO THODI DER KI LAZZAT KE BAAD ZINDAGI BHAR KI MALAMAT WA AFSOS KA ZARIYA HAI

5-ZINA INSAANI SAMAAJ ME BEHAYAAYI KE FAILAAV KA SAB SE BADA ZARIYA HAI

6-ZINA KI WAJAHON ME:

GAIR AURAT WA MARD KA MEL JOL , NAACH WA GAANA , GANDI TASWEEREN , AUR SHAHWAT ANGEZ NAZAARE AUR NAZAR BAAZIAN HAI,

7- SAZA KE QAABIL ZINA WAH HAI JIS ME ZINA KA PAKKA SABOOT MIL JAAYE AUR AURAT WA MARD DONO HI IS GUNAAH KA IQRAAR KAR LEN

8-ZINA HAR HAAL ME BAIS-E-SAZA AUR HARAAM HAI

9- AUR IS BURE KAAM KO DEKHNE WAALE 4 GAWAAH PAAYE JAAYEN

10- JAANI AUR JAANIYA AGAR DONO KUMWARE HAI TO UNKO 100 KODE MAARE JAAYENGE, ALLAH KA HUQM HAI:" ZINA KARNE WAALI AURAT AUR MARD KO EK EK 100 KODE MAARO "

(NOOR 2 )

11- RASOOLLULLAH KA IRSHAD HAI:" KUNWARE JAANIYON KO 100 KODE AUR EK SAAL SHAHAR-E-BADR AUR SHAADI SHUDA(BYAHI) JAANIYON KO 100 KODE AUR SANGSAAR KARKE MAAR DAALNA AURAT HO YA MARD"

(MUSLIM)

12-US WAQT TAK SAJA NAHI DI JAAYEGI JAB TAK YA TO DONO IQRAAR NA KAR LEN AUR 4 BAAR AQL KE SAATH APNE GUNAAH KA IQRAAR NA KAR LEN

13- SAZA AAM BHEED ME DI JAAYEGI

ALLAH KA HUKM HAI:" UNKI SAZA KE WAQT MOMINO KI EK JAMAAT KA MAUJOOD RAHNA CHAHIYE"


"LAVATAT(MASTURBATION) BADTAREEN GUNAHON ME SE HAI"

1-LAWATAT ,AKHLAAK WA FITRAT KE SAATH VIDROH HAI

2-ISI LIYE ALLAH TAALA NE USKI SAZA BHI SABSE BADTAREEN DI, AUR IS GHINAWNE MARZ ME FANSE QAUM KO DUNIYA SE MITA KARKE RAHTI DUNIYA TAK KE LIYE IS BEHAYA MARZ KO US QAWM KE NAAM SE MASHOOR KAR DIYA

4-RASOOLLULLAH KA IRSHAAD HAI:" AGAR KISI KO QAUM-E-LOOT KA GUNAAH KARTE DEKHO TO KARNE AUR KARWAANE WAALE DONO KO QATL KAR DO"

(ABU DAWOOD)

ZINA KA ILZAAM LAGAANA:

1-AGAR KOI INSAAN MARD YA AURAT PAR ILZAAM LAGAYE TO USKO SAABIT KARNA USKE JIMME HAI, MATLAB WO 4 GAWAAH PESH KARE JINHONE US GUNAAH KO HOTE DEKHA HAI

2- GAWAHI NA PESH KARNE KI SOORAT ME ILZAAM LAGAANE WAALE PAR 50 KODE MAARNE KI SAZA MUQARRAR HAI

ALLAH KA IRSHAAD HAI:" AUR JO PARHEJGAAR AURTON PAR BADCHALNI(ZINA) KA ILZAAM LAGAAYEN AUR US PAR 4 GAWAAH NA LAAYE TO UNKO 50 KODE MAARO, AUR KABHI USKI GAWAAHI QABOOL NA KARO, AUR YAHI BADCHALAN HAI(ILZAM LAGANE WAALA), HAAN JO UNKE BAAD TAWBA KAR LE AUR APNI HAALAT SUDHAR LE TO ALLAH BHI BAKHSNE WAALA MAHERBAAN HAI"

(NOOR 4,5)

ALLAH HAME ZINA SE BACHNE KI TAUFEEQ DE, AUR SHAITAAN KI CHAAL SE BACHAYE

AAMEEN...

THE END.