ORAT DOSRI ORAT K LIYE MEHRAM NAHI
Question :
Kia aik orat safar, hizar ya deegar halaat mai dosri orat k liye mehram hosakti hai?
Answer :
Aik orat dosri orat k liye mehram nahi hai. Mehram woh mard hai jis per orat nasb ki wajah sy haraam ho jaisa k is ka baap ya bhai. ya musahirat ki wajah sy haram ho, jaisa k khawand ka beta, khawand ka baap, issi tarha razai baap ya razai bhai wagaira aur nikkah ki wajah sy shoher k sath safar darust hai. Kisi bhi shakhs k liye ajnabi orat k sath khalwat mai rehna ya is k sath safar kerna jaiz nahi hai. Qk Nabi (S.A.W) ka irshad hai:
"Orat sirf mehram k sath hi safar kery."
sahi albukahri' hadis: 1862' wa sahi muslim' hadis: 1338.
Issi tarha NAbi (S.A.W) ka irshad hai:
"koi admi kisi orat k sath khalwat mai na jaye Qk Teesra shetan bhi in k sath hota hai."
Wallah walee at'toufeeq.
jamia at'tramzi' hadis: 2165' wa masnad ahmed: 1/18.
Shaikh ibn Baz