Showing posts with label Takhno ke niche paayjaama. Show all posts
Showing posts with label Takhno ke niche paayjaama. Show all posts

Takhno ke niche paayjaama


�� Takhno Ke Niche Paayjaama, Pants Wagerah Pahanne Wala Mard ��
➖➖➖➖➖➖➖➖

عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ مَا أَسْفَلَ مِنَ الْكَعْبَيْنِ مِنَ الإِزَارِ فَفِي النَّارِ ‏"‏‏.
��Nabi saw Ne Farmaya:
izaar (Paayjama, Tahmand, Pants Wagerah) Ka Jo Hissa Takhno Se Niche Latka Ho Weh Jahannam Me Hoga
��Sahi Bukhari Kitabul Libaas Hadees No.5787

عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏"‏ مَنْ جَرَّ ثَوْبَهُ خُيَلاَءَ لَمْ يَنْظُرِ اللَّهُ إِلَيْهِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ ‏"‏‏
��Nabi Saw Ne Farmaya:
Jo Shakhs Ghamand Ki Wajah Se Apna Tahmand/Pants/Paayjama Ghaseetataa Hua Chalega
ALLAH Us Ki Taraf Qayamat Ke Din Nazar (Rahmat) Bhi Nahi Karega
��Sahi Bukhari Kitabul Libaas Hadees No.5784

أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ بَيْنَا رَجُلٌ يَجُرُّ إِزَارَهُ، خُسِفَ بِهِ، فَهْوَ يَتَجَلَّلُ فِي الأَرْضِ إِلَى يَوْمِ الْقِيَامَةِ ‏"‏
��Nabi saw Ne Farmaya:
Ek Shakhs Ghamand Me Apna Paayjaama/Pants Ghaseetataa Hua Chal Raha Tha Ki Use Zameen Me Dhansaa Diya Gaya
Aur Weh isi Tarah Qayamat Tak Zameen Me Dhanstaa Hi Rahega
��Sahi Bukhari Kitabul Libaas Hadees No.5790

عَنْ أَبِي ذَرٍّ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم أَنَّهُ قَالَ ‏"‏ ثَلاَثَةٌ لاَ يُكَلِّمُهُمُ اللَّهُ وَلاَ يَنْظُرُ إِلَيْهِمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَلاَ يُزَكِّيهِمْ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ ‏"‏ ‏.‏ قُلْتُ مَنْ هُمْ يَا رَسُولَ اللَّهِ قَدْ خَابُوا وَخَسِرُوا أَعَادَهَا ثَلاَثًا ‏.‏ قُلْتُ مَنْ هُمْ يَا رَسُولَ اللَّهِ خَابُوا وَخَسِرُوا فَقَالَ ‏"‏ الْمُسْبِلُ وَالْمَنَّانُ وَالْمُنْفِقُ سِلْعَتَهُ بِالْحَلِفِ الْكَاذِبِ ‏"‏ ‏.‏ أَوِ ‏"‏ الْفَاجِرِ ‏"‏ ‏.‏
��Hazrat Abu Zarr R.a Se Riwayat Hai Ki Rasoolullah saw Ne Farmaya:
Qayamat Ke Din 3 Aadmi Aise Honge Jinse Na ALLAH Baat Karega
Na Unki Taraf Nazre Rahmat Karega
Na hi Unka Tazkiya Karega
Aur Unke Liye Dardnaak Azaab Hoga,
Mene Arz Kiya Weh Log Khayib Wa Khaasir Hain,
Aye ALLAH Ke Rasool saw! Yeh Koan Hain?
Aap saw Ne Yahi Alfaaz Teen Baar Dohraaye,
Mene Fir Poocha Aye ALLAH Ke Rasool saw Yeh Koan Log Hain,
Yaqeenan Yeh Khayib Wa Khaasir Hain?
Aap saw Ne Farmaya:
Payjaama/Pants Takhne Ke Niche Latkane Wala,
Ahsaan Karke Ahsaan Jatlaane Wala,
Aur Jhooti Qasam Kha Kar Apna Soda Bechne Wala
��Sunan Abi Dawud Ki. Libaas Hadees No.4087, Sahi Alwaanee

Mere pyare bhaiyo Maloom Hua Ki Kitna Khatarnaak Gunah Hai Takhno Se Niche Pants, Paayjama Wagerah Pahanana❓
➖➖➖➖➖➖➖➖
��Dua:Allah tala ham tmam muslman bhaiyo takhane ke uapr payejama(Pant)pahenne ki tafeeq de or jahnnam Ki se bachne wala banae��Aameen