Showing posts with label sufiyat. Show all posts
Showing posts with label sufiyat. Show all posts

SUFIYAT India me 2-jamaton me munqasim hai.

SUFIYAT India me 2-jamaton me munqasim hai.

1.Deobandi
2.Balerwi.

Deobandi Jamat se nisf sadi pehle 1  TABLIGH ke naam se bani hai.

Is jamat ke baani (founder)
ILYAS SAHAB (Hazrat’Jee) hain.

Inki paidaish 1886,
Maut 1944 me huwi.
TABLIGH ka hukm inko khwab me mila.
(Malfuzat Ilyas, No.50)
ILYAS SAHAB ka Qabaron par Muraqaba.
“Maulvi Ilyas, Gangohi ke Qabar ke piche ek borye par bilkul khamosh dozaanu baith’te the.
Aur aap Sayyad Badayini ke Mazaar ke khareeb baith’te.”
(Maulvi Ilyas & inki Deeni Dawat, Safa.58,71)

Tabligh Jamat 1 Mashur-o-Maruf Giroh hai, jisme log
Masjid se Masjid,
Gali se Gali,
Basti se Basti,
Mulk se Mulk,
3-Din, 10-Din, 40-Din, 120-Din (4-Mahine) ya 365-Din (1-Saal) tak,
apna
Ghar, Walidain, Biwi, Bacche, Kamayi sab chodkar Deen ki Tabligh ke naam par chale jate hain.
Is Jamat me jo Deeni Taleem di jati hai wo inki Mashur kitab -
FAZAIL-E-AMAL par mabni hai.
Jo khudh padhte hain aur dusron ko bhi padhate hain.
Aam taur par Tablighi’yon ko daawa hai ke, ye SIRF logon ko FAZAIL Bayan karke Deen ke qareeb karte hain. Magar haqiqat inhi ke Ulama ke kitabon se dikhiye.

Tabligh Jamat ka mashur ulama:
1. Maulana Qasim Nanotwi (wafat.1879): Baani (Founder) ‘Darul Uloom – Deoband’.
2. Maulana Imdadullah Muhajir Makki (wafat.1899):
> Maulana Ashraf Ali Thanwi,
Maulana Qasim Nanotwi, aur
Maulana Rashid Ahmad Gangohi ke Peer.
3. Maulana Ashraf A
li Thanwi (wafat.1943):
> Bahishti Zewar ke Musannif.
4. Maulana Ilyas – Hazratjee (wafat.1944):
> Baani – Tablighi Jamat aur pehle Ameer-Saab.
5. Maulana Zakariyyah:
> Maulana Ilyas (Hazratjee) ke damad aur Fazail-E-Amal ke Musanni.

Tabligh Jamat ki Nisab – Fazail-E-Amal hai jisko Maulana Zakariyyah ne Maulana Ilyas ke ahkamat par likha.
FAZAIL-E-AMAL ke 9-Hisse aur 2-Jild hain.
1. Hikayatus Sahaba,
2. Fazail-E-Zikr,
3. Fazail-E-Namaz,
4. Fazail-E-Tabligh,
5. Fazail-E-Quran,
6. Fazail-E-Darud,
7. Fazail-E-Ramazan,
8. Fazail-E-Sadaqat aur
9. Fazail-E-Hajj.
Pehle is kitab ka naam TABLIGHI NISAAB tha aur ab FAZAIL-E-AMAL hai.
Ye mukammal kitab dunya ki taqreeban har zaban me hai SIWAYE ARABI ke.

SUFIYAT kahi firqo me taqseem ho chuki hai jinhe TARIQA kaha jata hai.
4-TARIQE mashur hain:
1. Qadriya,
2. Chishtiya,
3. Naqshbandiya,
4. Soharwardiya.
Qari Muhammad Tayyib Deobandi farmate hain:
ULAMA-E-DEOBAND ki pehchan ye hai ke wo =>
Deenan: Muslim hain,
Firqatan: Ahle Sunnat wal Jamat,
Mazhaban: Hanfi hain,
Kalaman: Matureedi & Ashari hain,
Mashraban: Sufi hain,
Sulookan: Chishti hain,
Usoolan: Qasmi hain,
Nisbatan: Deobandi hain.
Deobandi Aqeede me Muqallid hain -
Abul Hasan Ashari & Abu Mansoor Maturidi ke &
Furu me Imam Abu Hanifa ke.
(Fatawa Rahimiya, jild.1, safa.58)
SUFI
Wahdat-ul-Wajud ka Aqeedah rakhte hain.
Yani jo kuch is Dunya me hai sab Allah hi ki zaat hai & Har cheez me Allah maujud hai. (Nauzubillah)

Deobandi & Barelwi dono WAHDAT-UL-WAJUD (har cheez Allah ka wajud hai aur Har cheez me Allah hai) ke qayel hain.
DEOBANDI & BARELWIYON ka bahut bada Imam
‘MOHIYYUDDIN IBN ARABI’ (1165-1240 C.E) hai.
Jisko Mufti Lajpuri ne kaha hai ‘SHAIKH AL-AKBAR’
(Fatawa Rahimiya, jild.1, safa.4)
Ibn Arabi jo Sufiyon ka Shaikh hai iski Mashur kitab hai ‘FUSOOS AL-HIKAM’ hai jisme ye likhta hai:
> Qaum-e-Nuh ka muqtalif Khudaon ka ibadat karna sahih hai.
> Wo insan haqiqat me Arif-Billah (Allah ki marifat rakhne wala) hai jo APNE AAP KO KHUDA PAYA.
> Har Mabud me Haq maujud hai. (har banda Allah hi hai)
> Log jis mabud
ko bhi pujte hain wo Allah hai, is liye ke Allah ka ghair maujud hi nahi hai.
(Fusoos al-Hikam, safa.72)

SUFI – IBN ARABI kehta hai:
Kaamil arif wo hai jo HAR CHEEZ ME KHUDA KA JALWA DEKHTA HAI.
Yehi Aqida Tabligh Jamat me:
“Maulana Shah Abdur Raheem ke ek Khuddaam me ek sahab the jo KAYI KAYI ROZ IS WAJA SE ISTINJA (TOILET) NAHI JA SAKTE THE KE HAR JAGA ANWAAR NAZAR AATE THE”
(Fazail-e-Amal, Zikr, safa.150)
Nauzubillah.
Baitul Khula me Allah ka Noor hone ka zikr, yahi Wahdat al-Wajud hai jo ‘SHIRK’ hai jisko Tabligh Jamat me masum musalmano ko sikhate hain.
Kya ye Aqida Jo,
‘BAITUL KHULA me ALLAH KA NOOR rehta hai’
Nabi, Sahaba, Tabaeen, Tabe-Tabaeen, ya Imam Abu Hanifa ka tha ? NAHI.
Malum huwa ke ye Islami Aqida nahi balke ‘SUFI – IBN ARABI’ ka Aqida hai ke har cheez me Allah maujud hai.

Ye ‘AQIDA-E-WAHDATUL-WAJUD’ hai.