Showing posts with label IMAAN. Show all posts
Showing posts with label IMAAN. Show all posts

NIKAH SE QABL MANGAITAR KO DEKHNA JAYEZ HAI

Bismillahirrahmanirraheem

NIKAH SE QABL MANGAITAR KO DEKHNA JAYEZ HAI

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum mein se koi shaks aurat se nikah ka iradah kare to use chahiye k agar mumkin ho to aurat ko ek nazar dekh le".
(Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 1832)

GHAR KI ROOZ-MARRA ZINDAGI MEIN AAP SE AAP ZAHIR HONE WALE AAZAA YANI HAATH AUR CHEHREY K ALAWAH MANGAITAR K BAAQI KISI HISSEY KO DEKHNA YA DIKHANA MANA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k ek aadmi meri mojoodgi mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko bataya k usne ansaar ki ek aurat se nikah kiya hai Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya tooney use dekha hai?" usne arz kiya "Nahi!" to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ja aur use dekh ansaar ki aurato mein kuch (nuks) hota hai".
(Sahih Muslim Kitabun Nikah)

GAIR MAHRAM AURAT (MANGAITAR) SE TANHAAYI MEIN MULAQAAT KARNA, GUFTAGU KARNA YA PAAS BAITHNA MANA HAI

Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aurato k saath tanhaayi mein mulaqaat karne se baaz raho" ek ansaar ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Daiwar (ya jaith) k baare mein kya hukm hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "wo maut hai".
(Sahih Bukhari Kitabun Nikah)

Wazahat: Arbi zubaan mein "Hamu" ka lafz shohar k tamaam qareebi aazaa k liye boola jata hai, jese k shohar k haqeeqi bhai, chachazaad bhai, maamuzaad bhai wagairah.

Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Koi mard kisi aurat k saath jama nahi hota magar unke saath teesra shaitan hota hai". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 937)

GAIR MAHRAM AURAT (MANGAITAR) SE HAATH MILAANA MANA HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka haath mubarak kabhi kisi aurat se nahi laga albatta Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam zubaan se aurato se baat karte jab auratey zubaan se (qubool e islaam ka) qaul wa iqraar kar leti to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate "Jao mene tumse baiyat le li".
(Sahih Muslim Kitabul Imaarah)

JAB AURAT BANAO SHINGAAR KARKE BE-PARDAH MARDO K SAAMNE AATI HAI TO SHAITAN K LIYE FITNA KARNA AASAAN HO JATA HAI

Hazrat Abdullah (bin Mas'ood Razi Allahu Anhu) se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aurat (poori ki poori) satar hai jab wo nikalti hai to shaitan use accha (haseen wa jameel) karke dikhaata hai".
(Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 936)

NIKAH KE MASAIL

Bismillahirrahmanirraheem

NIKAH KI FAZILAT:

Nikah ka lugwi maana hai aisa contract jiske nateeje me mard aur aurat ek dusre par halaal ho jaayen

" nikah karna sunnat hai iski haisiyat rakhne ke bawajood nikah na kare wah nabi(sws) ke tareeqe par nahi hai jo shakhs zina se bachne ke liye nikah karta hai allah uski madad karta hai nikah na karne se zameen me fasaad paida hota hai nikah karne se jitni miyan biwi me muhabbat hoti hai aur kisi me nahi hoti, nikah aadha deen hai mardo ke liye aurton se badkar koi fitna nahi"

(mishkaat 268)

" kunwari larki se nikah karna behtar hai maal wa khoobsoorti hasab nasab ka khyaal na kare balki deen daar aurat se nikah kare, musalman ke liye nek aurat se badhkar aur koi cheez nahi hai jis nikah me kam kharch ho usme barkat zyada hoti hai,

jis aurat se nikah karna chahta hai use ek baar dekh le kyonki ek baar dekhne se muhabbat paida hogi, nikah ke waqt Aurat se izazat lena zaroori hai agar kunwari hai to uska chup rahna kaafi hai aur talaaqshuda ko zabaan se kahna chahiye, bina sarparast ke nikah sahi nahi agar koi wali na ho to haakim wali hai ek aadmi ke paighaam ke hote dusre ko paighaam dena mana hai"

(mishkaat 262,266,269,268)

JINSE NIKAH JAYEZ NAHI:

1- sauteli maa

2- sagi maa

3- beti

4-bahan

5- fufi

6- khala

7- bhateeji

8- bhaanji

9- dhoodh wali maa (daai)

10- saas

11- biwi ki beti jo pahle shauhar se ho

12- sage beton ki biwi se

13- do sagi bahno se ek saath

nikah me biwi aur uski fufi ko jama karna haraam hai aur isi tarah biwi wa uski khaala ka jama karna bhi haram hai, musalman mard ka nikah mushrika aurat se aur musalman aurat ka nikah mushrik mard se haraam hai, behtar hai ki mushrika ke mukaable me musalman laundi se nikaah kare isi tarah iman wali aurat ghulam se nikah kare magar mushrik mard se nikah na kare,

magar Musalmano ko yahudion wa isaayion ki paak daaman aurton se nikah karna jayez hain

( mishkaat, bukhaari, surah nisa)

JAWAAN AULAAD KI SHAADI:

"Jawan ladke aur ladkiyon ka nikah kar dena chahiye, hadith me hai agar ladki 12 saal ki ho gayi ho aur uska nikah nahi huwa aur usse zina ho gaya to uska gunaah baap par hai, iski tarah jab ladka baaligh ho jaaye to fauran nikah kar dena chahiye warna agar zina kar baitha to uska gunah baap par hoga"

(mishkaat 276)

" agar ek se zyada biwiyan ho to unke beech insaaf wa baari muqarrar karna wajib hai, khilaane pilaane wa raat guzaarne me insaaf karna wajib hai magar muhabbat me kami zyadati me koi pakad nahi

(mishkaat 276)

agar pahli biwi ke hote huwe kunwari aurat se nikah kare to 7 raat kunwari ke paas rahe phir baari muqarrar kare, aur shadi shuda aurat ko kunwari par kare to 3 raat uske paas rahkar baari muqarrar kare, agar aurton ke saath insaaf Na karega to qayamat ke din is haalat me allah ke saamme laaya jaayega ki uska aadha jism gira hoga

aur aurton ka mard par haq hai ki jo khaaye waisa hi khilaaye jaisa pahle waisa hi pahnaaye iske muh par na maare, bura na kahe, naraazgi ki surat me ghar se bahar na soye agar zarurat pesh aaye to maamuli se maar maare, zabaan daraaz hai to talaaq de de"

(tirmizi, mishkaat 279)

"AIY KAASH! MAIN MITTI HOTA" (QAYAMAT KI HOLNAKIYAN)

Bismillahirrahmanirraheem

qayamat ka din kuffar wa faasikon ke liye shakht hasrat aur pachtawe ka din hoga, insan hasrat ke saath apni nakaami par aansu bahaayega, haathon ko chabaayega, sar peetega, apni aql ka maatam karega, chikhega chillayega ki meri jagah meri biwi ko jahannum me le jaao, mujhe chhod do, mere bacchon ko le jaao mujhe chhod do, mere maa baap ko le jaao mujhe chhod do, mere kumbe kabeele ko le jaao mujhe chhod do, mujhe chhod do yahan tak ki saari duniya ki duhaayi dega ki saari duniya ke logon ko jahannum me daal do lekin mujhe chhod do, maut ko aawaaz dega, dobara zindagi maangega apni galtiyon ko maane ga, allah aur uske rasool ka farmabardaar bankar rahne ka yaqeen dilaayega, nek wa momin bankar rahne ka waada karega, lekin yah rona dhona uske kisi kaam nahi aayega, qur'an majeed me qayamat ke din insaan ki in hasraton aur pachtaawo ka allah taala ne jagah jagah zikr kiya hai

Kuch ka tarjuma kuch is tarah hai:-

" kaash! Mera aamaal nama mujhe na diya jaata, main jaanta tha mera hisaab kya hai, kaash! Duniya ki maut hi aakhiri hoti"

(surah haqqa 25-27)

" kaash! Roze jaza bahut door hota"

(al e imaran 30)

"kaash! Zameen fat jaaye aur main usme sama jaaun"

(surah nisa 42)

" kaash! Meri aulaad, meri biwi, mera bhai, mera khaandaan aur duniya ke saare log pakad liye jaayen aur main riha ho jaaun"

(surah muarij 11-14)

" ham apne gunahon ka aitraaf karte hain ab yahan se koi nikalne ka raasta hai?"

(surah momin 11)

"kaash! Allah taala hamare azaab me ek din ki hi kami kar de"

(sura momin 49)

" us din zaalim(hasrat aur pachtawe ki wajah se) apne haathon ko chabaayega"

( al furqan 27)

" aiy kaash main mitti hota"

(surah naba 40)

" haay afsos! Qayamat ke maamle me hamse shakt ghalti hui"

( surah anaam 31)

" aap(sws) ka irshaad mubarah hai:-' Jahannami(hasrat aur pachtawe ki wajah se) jahannum me itne aansu bahaayenge ki agar unme kashtiyan chalaayi jaayen to chalne lagen"

(haakim)

ek hadith me aap(sws) ne farmaya:-" jannat aur jahannum me chale jaane ke baad jab maut ko sabke saamne jibaah(halaaq) kar diya jaayega to jahannamiyon ko itna gham aur pachtawa paida hoga ki agar gham se marna mumkin hota to marr jaate"

(tirmizi)

qur'an majeed ki in aayat aur ahadith ke alfaazon se qayamat ke din ki naakaami par hasrat aur pachtaawe ki shakhti kisi khulase ki mohtaaj nahi.

Sawaal yah hai ki is hasrat aur pachtaawe se do chaar hone ka sabab kya hoga? Is duniya me koi bhi insaan apni zindagi ka keemti waqt, maal aur apni keemti cheez kisi aise kaam par kharch karne ke liye taiyyar nahi hota jisme use nakaami ka muh dekhna padhe, insaani fitrat is maamle me itna kamzor hain ki kabhi kabhi mamooli sadma sahan na kar sakne waale log suicide Tak kar guzarte hain, phir itne bade sadme(qayamat ka) se logon ke dochaar hone ki wajah kya hogi? Iska zikr bhi allah taala ne khud qur'an majeed me kar diya hai.

Iski wajah ye hongi,

" kaash! Maine rasool ki raah ikhtiyaar ki hoti, kaash! Main falan falan(gumrah shakhs) ko dost na banaya hota"

( surah furqan 27-28)

" kaash! Hamne allah aur uske rasool ke huqmo ko maana hota"

(surah ahzab 66)

" kaash! Main allah ki janaab me ghustakhiyan na karta( aur islami ahkaam) ka mazaak na udhata"

(az zumar 56)

" kaash! Ham acchi tarah sunte aur aql se kaam lete to aaj jahannamiyon me shamil na hote"

(surah mulk 10)

" kaash! Maine apni zindagi ke liye kuch aage bheja hota"

(surah fajar 24)

tamam ayaton ko jama kiya jaaye to iska matlab(summary) yah hogi ki qayamat ke din us dardnaak anjaam aur hasrat ki wajah sirf ek hi hoga " allah aur uske rasool ki nafarmani"

jahan tak kuffar, Mushrikeen, munafiq, aur murtadeen ke giroh ka talluq hai wah to hamesha hamesha ke liye jahannam me rahenge aur hamesha hamesha ke liye us hasrat aur pachtaawe ka shikaar rahenge ki kaash ham imaan le aate......

Lekin gaur farmaiye!

Un musalmano ki hasrat aur pachtaawe ka kya haal hoga jo imaan laakar bhi allah aur uske rasool ki nafarmani ka shikaar rahe, zara sochiye ki jab we apne ha

FITNA E DAJJAL PART 3

BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM

Science ki tarakki fitna nahi hai isey jis cheez ne fitna banaya hai woh yeh ke 'science' ki tarakki ke sath ,Rooh ki tarraki Imaan ki tarraqi nahi ho payi .Gadi ke doo paheye ek sath badtey toh koi fitna nahi hota.Yeh ilm (science and technology)toh woh tha joh Hazrat Adam(as) ko Allah ne diya tha aur isko dey kar hee unko zameen ka kahilfa banaya tha .Surah Bakr ke 4th ruku mein dono ilm (knowledge) ke barey mein bata diya gaya hai.Aur usi ko daleel ke roop mein Allah ne pesh farmaya hai 'farishtoy' ke samney, Adam ko joh ilm sikhaya us mein yeh baat bhi hai ke joh mai Adam ko zameen ka khalifa ban kar ikhteyar dey raha hu toh sath mein ilm bhi dey raha hu.Hazrat Adam ke andar potentially yeh ilm rakh diya gaya...''Aur(Allah ne) Aadam ko tamam naam sikhay, fhir unhe 'farishtoy' ke samney pesh kiya aur kaha ,'Agar sacchey ho toh muhghey unka naam batao. Un sabney kaha(Aaey Allah) 'Tu pak hai ,'Tuney joh kuch hamey bataya uskey sewa humey koi ilam nahi,beshak tu ilm wala hikmat wala hai.(Tab Allah ney)hukum diya ,'Aaey Adam!In(Farishtoy) ko unkey naam bata doy ,jab unhoney unkey naam bata deeye toh farmaya,'Kiya meiney tum sey (pehley hee) nahi kaha tha,ki zameen aur aasman ki chupi baton ko mai hee janta hu,aur mai janta hu ,joh kuch tum zahir karte ho aur joh kuch tum chupatey ho.''

(Surah 2 Ayat31,32,33)

Yeh hai cheez ko observe karna jis sey knowlege aati hai fhir ise ilm ko deduct kar ke result baramad karna,Insan ne ise liye har cheez ko ek naam diya hai.Joh aaj hamrey samney ilm hai yeh wohi ilm hai joh Hazrat Adam ko Allah ne diya tha ,jaisey aam ki gudhli hee mein pura aam ka ped hota hai lekin us gudli ko waqt lagta hai ped banney mein.

Yeh ilm 'fitna' nahi hai agar yeh ilm us ilm ke sath ho joh Surah Bakr ke 4 th ruku ke akheri mein hai.Jab Allah ne Hazrat Adam ko zameen mein rakha toh ek 'charter' diya gaya tha unhey hamesha-hamesha ke liye.Ek farman Allah ka tha...''Hamney kaha,'Tum sab yaha sey utar jao,fhir agar meri aur sey tum logo key paas koi hidayat(divine-guidance) puachey toh jinhoney meri hidayat ki paarvi ki un ko na toh dar hoga aur na wah dhukhi hongey

(Surah2 Ayat 38).

Yeh 2 ilm hai observation,dimag sey joh hasil hota hai Aur dusra ilm hai joh Allah ney apney nabiyon ke zareye bheja hai Isey hum 'Wahi'(Revealed Knowledge') bhi kehtey hai.

Bad kismati sey hua yeh ke insani ilm aur wahi ka ilm mein bhut bada gap aa gaya aur yeh dono ilm alag ho chukey hai .Ek taraf insan chand par pucah chuka hai aur dusri taraf wahi ka ilm se door .

(Quran ko Apna 'leader' nahi man raha hai)'Even muslims do not consider Quran as their guide'.
Yeh Alami Tahzeeb (Universal civilization) hai ,har koi dekh raha hai .Duniyaparsti(Materialism) Aur akherat ka inkar ismey hai .Is Tahzeeb ka subject materialism ,universe life of the world hai .Isey ko Huzur(saws) ne farmaya hai 'Key Iski Peshani(forehead) par likha hua hai Kaaf-Faa-Raa(Yani kufr).Yahi iska symbol hai ,Science toh saaf kehti hai ke humey nahi kah saktey ke Allah hai ya nahi ..

Lekin qaynat(universe)toh hai ,kudrat(forces of the nature)ka suraag lago fhir unhey istemal karo(exploit) karo .Rooh hai ya nahi hum nahi jantey,Woh hamari investigation mein nahi aati,Hamarey paas asey equipments nahi hai joh isey bata sakey lekin jism(body) toh hai .Isey tarah hume nahi pata 'Life after Death' ha yaa nahi .Sirf insano ko is duniya mein joh de sakte ho do kuan si jannat humey kuch nahi pata iseleye aaj 'welfare state' ya'welfare society' highest concept ban gaya.Is ke aagey kisi ko kuch nahi pata .Universe,matter aur uski properties ,life of the world apna dhyan sirf in cheez par laga lo.

Zameen par apko bada farq nazar aayega,Kahi Nadiya hai,Kahi Pahar hai,Kahi Registan hai.In sab ke upar ek envelop hai ek fiza hai jisey hum Hawa kehtey hai Aur yeh puri duniya mein ek jasi chalti hai Yahi baat aapko Religion Aur Civilization mein nazar aayegi .'Neechley tapkey (Status)' mein aapko mazhab dekhega .Koi church jaa raha hai ,Koi mandir jaa raha hai,Koi masajid jaa raha hai.Neechey apko fark nazar aye

FITNA E DAJJAL PART 2

BISMILLAHIRAHMANIRRAHEEM

Yeh jis mein ek taraf Allah ke neak bandey hai unhe farishto ke support hasil hai dusri taraf shytan aur uskey agent hai.Aur yahudi sabse bade shytan ke agent hai yahudi apni makkariyon se christian ko apna gulam bana liya hai.Aur in logo ne 'Shirk' ko sabse zyada faylaya..Shaytan aur apney agent ke zariye.
Allah farmate hai 'Ke Mai 'Shirk' ko toh hargiz maaf nahi karunga'.

(Surah 4 Aayat 48& 116)

INSANI ZINDAGI Ke 3 LEVEL HOTE HAI ..

1. FAMILY{Mard+Aurat -- khandan}

2. FINANCIAL ASPECT.

3. CONCEPT OF'STATE'

(Concept of state is 200 yrs old).Is duniya mein burai ki sabsey badi takat iblees hai ,iblees aur adam(as) ka mamla Quran mein 7 suraton mein aaya hai.Quran mein aaya hai ke 'Shaytan kasam kah kar keh chuka hai ke 'Mein Adam ki aulad ko gumrah kar ke rahunga aur tu dekhe ga in mein se aksar(majority) tere shukar karne wale nahi payega,Mughe mohlat dey mugh par mouat tari na hi us din tak jis din yeh jama kiye jaye (Qiyamat tak)Allah ne kaha tughe mohlat de 'Lekin mere khas bando par tera zor nahi chalega(yani Allah ke khas bandey shytan ke shar se bach jayengey ),Mere bando par tera koi ikhteyar nahu hai,Tu unhe sabs-baag dekha sakta hai temptations de sakta hai tu unpar zabrdasti nahi kar sakega.Insano ka sabse bada dushman shyatn hai uska mission hi insano ko gumrah karna hai,uskey cheley(agent)insano mein bhi hai aur shytano(jinn)mein bhi.Yeh sab shyatano ki taraf bulatey hai,gunah ki taraf,behayai ki taraf,insani soverienty ki taraf...And (remember) when We said to the angels; "Prostrate to Adam." So they prostrated except Iblîs (Satan). He was one of the jinns; he disobeyed the Command of his Lord. Will you then take him (Iblîs) and his offspring as protectors and helpers rather than Me while they are enemies to you? What an evil is the exchange for the Zâlimûn (polytheists, and wrong-doers, etc).

LEVEL 1+2+3 = 'INDIVIDUAL AND SOCIETY'

1.Pehla pehlu joh family ha woh itna purana hai jitna khud insan hai.Aur yeh Quran ka sabse zyada pasandeeda subject hai.
Insani zindgai ka yeh level hadees shareef ki roshni mein sabse akhir mein kharab hoga.Hadees e Rasool(SAWS) ke alfaz hai 'Auratein is fitne ke taraf sabsey akhir mein ruzu karengi'.

2.Dusra level hai 'Finacial level' aur isko shytan ke agent puri tarah tabah kar chukey hai .Interest,Gambling ,shares ke zariye

{speculation = gambling = manipulation}IMF(International Monetary Fund),World bank ke zariye woh puri duniya ko control kar rahe hai.

Pehle angrez hum par direct raj karta tha ,aaj in 'bankS' ke zariye woh hume apna gulam bana chuka hai.

Islam ka 'financial system' aaj puri duniya se gayab hai .Puri duniya Fitna e Dajjal mein fas chuki hai.Christian bhi Interest ko haram mantey thaey,Pope-Roman Catholic sect ki sabsey highest authority hoti hai aur jab tak yahudiyo ne 'protestant' sect nahi banwaya tha tab tak 'pope' ka control hota tha purey christian world mein.

Lekin jasey hee 'protestant' sect kayam hua wase hee 'Bank Of England'(estblished in 1694 )bani ..

Fhir ye lanat (Interest) puri duniya mein fhaal gayi jiskey zariye 'exploitation' ki inteha par ho gayi.(

Huzur(saws) ne farmaya 'Sood(interest) itna bada gunah hai ke agar iskey 70 hissey kiye jaye toh iska ek hissa itna bada gunah hai ke koi apni maa ke sath zina karey).Interest se 'distribution of wealth' bigad jata hai,gareebi bad jati hai.Socho hum 'banks' sey kitna bache hue hai.Agar hum bank se interest nahi lete toh kiya bank hamarey paiso se interest nahi kamatey kiya?

3.Teesra Concept hota hai 'State' ka .Yahudiyo ko 'Europe aur England' mein koi position hasil nahi thi 'christianity ' ke chaltey .

Christian Jesus(pbuh) ko (Nauzobillah) Allah ka beta kehte hai aur Yahoodi Jesus(pbuh) ko kehte hai ke iske 'baap' ka pata nahi hai,Dono community mein itna bada difference tha jiske chalte 'yahoodi'o ' ko 'europe aur england' mein koi haseyat hasil nahi thi,unhe kuch asa karna chaye tha jise yeh museebat hamesha ke liye khatam hojaye .Aur yahudiyo ne kiya bhi kuch asa pehli baar duniya ko unhone 'secularism' ka concep

FITNA E DAJJAL PART 1

bismillahirrehmanirraheem

Fitna e Dajjal se kya murad(matlab) hai,

Arabi zaban mein Dajjal ke mayne hote hai 'Fareb' ke.Kisi shay(element) ki haqiqat me koi aur parda dal dena .Is sey lawz-e-dajjal bana hai yani bhut bada 'dhokebaz',jab yeh kisi insan ke liye istemal hoga tab uske mayne honge 'Behrupiye' ke.

Yeh lawaz Quran majeed me kahi nahi aaya.Na fitna e dajjal ka zikr aaya hai.Han hadees mein'Fitna e dajjal' ka zikr bhut bar aaya hai,uskey aane ka ,uski qualities ka ,uski halakat ka ,khas toor par Huzur(saws)ki hidayat hai '

Joh insan Surah Kahaf padta rahega woh fitna e dajjal ke asar se mehfooz rahega'.

(Muslim).

Joh insan surah kahaf ki shuruwati ayat padta rahega woh fitna e dajjal se mehfooz rahega

(Dawood).

Joh insan surah kahaf ki akhiri ayat padta rahega woh fitna e dajjal se mehfooz rahega.

(Nasai).

Huzur(saws)ne farmaya ke Surah Kahaf insan ko fitna e dajjal sey mehfooz rakhney mein mufeed hai.

(Muslim,Tirmizi,Dawood,Maza,Nasai,Ahmad)

Quran ki roshni mein hum jab dekhte hai tab hume pata chal ta hai sabse bada Dajjal yeh 'duniya' aur 'duinya ki zindagi' hai ,Isliye k is Duniya ne Akherat(Day of Judgement) me parda dal diya hai.

Quran bar-bar kehta hai 'Yeh duniya ka saman siway dhokey ke aur kuch nahi'

(Quran).

Jis insan ne apni puri mehnat ,strength,duniya mein laga de aur akherat se gafil raha woh samgho is Dajjal ke fitne mein giraftar ho gaya.Aur uskey liye Duniya-Azab-E-Ilahi ka reason ban gayi .Khas tuar par duniya ka 'Glamour' bad ta ja raha hai, Duniya mein jitni material chamak-damak hai,Nazar ko lubhane wali chamak hai yeh chamak jitni badegi Dajjaleyat utni he badti chali jayegi.

Kafir joh haqeqatan kafir hai chaye naam uska muslim ho uski pechan yeh hai uski sari mehnat ,struggle,duniya ke liye hai ,duniya ka Aaram,Luxury etc .

Yeh hi wajah hai jab hum surah kahaf par ghor karte hai,Aur hamarey Huzur(saws) ne bhi Surah Kahaf ki shuruwati aur akhiri ayat padne ko kaha hai.

'Aur jo cheez zameen par hai usko humney uskey leye zeenat(shobha) banaya hai taki logo ko aazmaey,ki unmey behtar amal karney wala kuan hai.'Aur joh kuch us(zameen) par hai usey toh hum ek chateyal maydan bana dene waley hai. (Surah 18 Ayat 7,8)

Yani duniya ki sajawat,glamour,Aaj joh west mein apni inteha ko puhunch chuka hai.Aap andaza kijeye waha zindagi kitni dilkash hai,kitni chamak damak hai .Is qadar wah Uuchi-Uuchi Imaretey hai,Aadmi sab bhool jata hai.

Farmaya

'Taki hum aazmaey ke kuan accha amal karta hai,Kiya tum duniya hi ke andar gum ho jate ho,magan ho jate ho Aur hume bhool jate ho? Duniya se mohabbat kartey ho?Bus yeh imtehan ka ek 'peroid' hai,Aur is period mein hi Insan ki kamyabi aur na kamyabi hai.Duniya mein rehte hue duniya se dil na lagana ,Duniye se mohabbat na karna .Isey sirf zindagi guzarne ki leye zariya(means) samaghna ,Asal mehboob ,maqsood Allah ho jaye,Akhirat ki zindgi asal maqsood ho ,fhir farmaya''Aaj tum is zameen par jo dekh rahe ho kal hum isey chateyal maydan bana dengey jasey koi fasal kat di jaye.

(Surah 18 Ayat 8).

Fhir Allah age farmatey hai 'Aay Nabi (saws) 'In sey kahiye kiya hum tumko bataye ke apney amal ke aithbar se, apni mehnat ke aithbar se,apni koshish ke aithbar se sabs sey zyada dhokey mein kuan hai? Jinki bhag-dor ,mehnat,duniya hi ki zindgi mein gum ho kar rah jaye,duniya mein .....? 'Kah dejeye ,'Kya hum tumhey unki khabar dey,joh apney amalo ke lehaz sey sabsey badkar nuksan udhaney waley hain.?'...

Ye wah log hain,'Jinki puri koshish duniya hi ki zindgi me barbad ho kar rahi ,or wah apney ap ko yahi samjhtey rahey ,ki wah achey kam kar rahe hai.

(Surah 18 Ayat 103,104)

Lekin Insan ye samjh raha ho ke mein bhut kamyabi pa lee,maine fala factory bana li,mera capital pehle se bhut zyada ho gaya? etc

Or insan ye soche k ye sari hamari success hai ,halaki asal aithbar se ,akherat k aithbar se 'yeh log woh hai jo apni mehnat k aitbar se sabse zyada dhoke me hai?

Quran majeed ke mutabik yeh duniya aur uske glamour 'SAB SE BADA DAJJAL HAI'.Insani zindgi ka asal Dajjal yeh duniya hai .Hamara asal ghar yeh duniya nahi hai

JIHAD KA BAYAN

JIHAD KA BAYAN:

KHAAS JIHAD KAG MATLAB HAI KUFFAR AUR LADNE WALON KE SAATH JUNG FARZ KIYA GAYA HAI, KUCH LOG YE FARZ ANJAM DE RAHE HON TO BAKI LOGON SE POORA HO JAATA HAI ISLIYE KI ALLAH KA FARMAN HAI " AUR YAH MUNASIB NAHI KI SAARE MUSALMAN NIKAL PADE, AISA KYON NA KIYA JAAYE KI HAR QAUM ME SE KUCH AADMI NIKLEN AUR DEEN KI SAMJH HAASIL KAREN AUR JAB APNI QAUM ME AAYE TO UNKO DARAAYE TAAKI WO BURE KAAMO SE BACHTE RAHEN" ALBATTA JIN LOGON KO IMAM MAAN KARKE JIHAD KA HUQM DE UNKE HAQ ME FARZ-E-AIN HAI RASOOLLULLAH KA IRSHAD HAI: "AUR JAB TUMHE JIHAD KE LIYE NIKALNE KE LIYE KAHA JAAYE TO NIKLO (BUKHARI,MUSLIM) ISI TARAH AGAR DUSHMAN KA KISI SHAHER PAR HAMLA HO JAAYE TO US SHAHER KE SAB BASHINDON AURTON SAMET SAB PAR SURAKSHA AUR LADAI FARZ HO JAATI HAI

2- JIHAD KI QISME:

2.1 KUFFAR AUR LADAI KARNE WALON KE SAATH, HAATH, MAAL,ZABAAN AUR DIL KE SAATH HOTA HAI, IS LIYE KI NABI KA FARMAAN HAI:" MUSHKIREEN KE SAATH APNE MAALO, JAANO AUR ZABAANO KE SAATH JIHAD KARO"
(AHMAD,ABU DAWOOD,NISAI)

2.2 ALLAH AUR USKE RASOOL KO NA MANNE WALON KE SAATH JIHAD BHI, JABAAN AUR DIL KE SAATH HOTA HAI,AAP KA FARMAAN HAI:" TUM ME SE JO KOI BURA KAAM DEKHE TO USE AGNE HAATH SE ROKE AGAR ISKI TAKAT NAHI HAI TO ZABAAN SE ROKE ,AGAR ISKI BHI TAQAT NAHI HAI TO DIL SE HI BURA JAANE AUR YE KAMZOR TAREEN IMAAN KA DARJA HAI"

2.3 SHAITAAN KE SAATH JIHAD YE HAI KI USKE INSAAN KE DIL ME PAIDA KIYE GAYE WASOOSE(IKHTELAAF) KO KHATM KAR DE AUR USKE SAJAY HUE KAAMO KO TARK KAR DE ISLIYE KI ALLAH TAALA KA FARMAN HAI
"SHAITAN TUMHARA DUSHMAN HAI ISE APNA DUSHMAN SAMJHO"

1.4 NAFS KE SAATH JIHAD YE HAI KI INSAAN APNE NAFS KO DEENI KAAMO KI TALEEM AUR AMAL PAR LAGAAYE AUR NAFSAANI ZARURATON SE DOOR RAHNE AUR NAFS KI BURAIYON SE DOOR RAHE AUR BACHNE KI KOSHISH KARE

AUR YEH JIHAD KI QISMON ME SABSE BADI HAI

3-JIHAD KI HIKMAT

JIHAD KI SAARI KISMON ME YAH HAIKMAT POSHIDA HAI KI EK ALLAH KI IBADAT KI JAYE AUR ZULM AUR BURAIYON KO MITAAYA JAAYE,JAANON AUR MAALON KI SURAKSHA KI JAAYE , SACH(TRUTH) WA INSAAF KA BOLBAALA HO AUR KHAIRAT WA SAWAAB KE KAAM PHAILEN, ALLAH TAALA FARMATE HAI :"AUR UNSE LADTE RAHO YAHAN TAK KI BURAI AUR BIGAAD NA RAHE AUR INSAAF WA ALLAH KI FARMABARDARI HO"

FARISHTON PAR IMAAN

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB

FARISHTON(ANGELS) PAR IMAAN

SAWAAL: FARISHTE KAUN HAIN? UNKA KYA KAAM HAI? AUR UNKI TADAAT KITNI HAI?

JAWAAB: FARISHTE NOORAANI MAKHLOOK HAIN| UNKA KAAM ALLAH KE HUKM AUR IRAADE KO TAKMEEL TAK PAHUNCHANA HAI. WO SAB NEK AUR ALLAH KE FARMABARDAR HAIN. ALLAH JAB UNKO HUKM DETA HAI TO WO FAURAN KAR DAALTE HAIN. WO ALLAH KE HUKM SE MUKHTALIF SHAKLEN AKHTIYAAR KARNE KI KUDRAT RAKHTE HAIN. UNHE KHAANE PEENE KI HAAJAT NAHI. WO NA MARD HAIN NA AURAT. UNKI TADAAT SIRF ALLAH KO MALUM HAI...

SAWAAL: 4 MASHOOR FARISHTE KAUN KAUN HAIN? UNKE KAAM KYA HAIN?

JAWAAB: 4 MASHOOR FARISHTE YE HAIN.

1-HZ ZIBREEL-JO ALLAH KA PAIGHAM NABION TAK PAHUNCHATE HAIN

2-HZ MIKAEL-JO BAARISH BARSAANE AUR ROZI TAKSEEM KARNE KE KAAM ME MAMOOR HAIN

3-HZ ISRAEL(MALIKULMAUT)- RUH KABZ KARNE PAR MAMOOR HAIN

4-HZ ISRAFEEL-JO QAYAMAT KE DIN SOOR PHUNKENGE..

SAWAL: KIRAMAN KAATIBEEN AUR MUNKAR NAKEER KAUN HAIN?

JAWAB: KIRAMAN KATIBEEN WO FARISHTE HAIN, JO LOGON KE ACCHE AUR BURE KAAMON KO LIKHTE HAIN AUR SUBAH WA SHAM UNHE ALLAH TAK PAHUNCHATE HAIN. MUNKAR NAKIR WO FARISTE HAIN JO MARNE WAALON SE IBTEDAAI SAWAL JAWAB KARTE HAIN

SAWAL: RUHUL AMEEN AUR RUHUL QUDDUS KIS FARISTE KO KAHA GAYA HAI?

JAWAB: RUHUL AMEEN AUR RUHUL QUDDUS FARISHTO KE SARDAR HZ ZIBREEL KO KAHA GAYA HAI..

SAWAL: ZIBREEL KE KITNE PAR(WINGS) HAIN?

JAWAB: HZ ZIBREEL KE 600 PAR HAIN

SAWAL:ARSH-E-ILLAHI KO UTHANE WALE KITNE FARISHTE HAIN?

JAWAB: YE TADAAT ME 4 HAIN(MUSNAD AHMAD HAWALA IBNE KATHIR) QIYAMAT KE DIN INME MAJID 4 KA IJAFA HOGA AUR UNKI TADAAT 8 HO JAYEGI..

SAWAL: KIN JAGAHON PAR RAHMAT KE FARISHTE NAHI AATE?

JAWAB: WAH GHAR, JISME KUTTA HO YA KISI JAANWAR KI TASWEER HO.(BUKHARI)

SAWAL: KYA FARISHTON KI TARAH JINN BHI ALLAH KI EK MAKHLOOK HAI?

JAWAAB: JI HAAN! JINN BHI EK ALAG MAKHLOOK HAI. ALLAH NE UNHE AAG SE PAIDA FARMAYA(RAHMAAN-15 16)

SAWAL: KYA FARISHTON KI TARAH JINNON KO BHI KHAANE PEENE KI ZAROORAT NAHI?KYA UNME PAIDAISH KA SILSILA JAARI HAI KI NAHI?

JAWAB: NAHI JINN FARISHTON KI TARAH NAHI HAIN. WO KHAATE PEETE HAIN. UNKI PAIDAISH KA SILSILA BHI JAARI HAI

SAWAL:JINNO KI GHIZA(FOOD) KYA HAI?

JAWAB: GOBAR(COW DUNG) AUR HADDI(BONES) KE BAARE ME AAP (SAW) NE IRSHAD FARMAYA KI INSE ISTINJA NA KARO KYONKI YE TUMHARE BHAI JINNO KA TOSHA HAI(FOOD)(ABU DAWOOD, TIRMIZI, NASAI)

SAWAL: KYA JINN AUR SHAYTAN APNA JISM BADALNE KI SALAHIYAT RAKHTE HAI?

JAWAB: HAAN! INME SALAHIYAT MAUJOOD HAI. HUZOOR-E-AKRAM (SAW) KA IRSHAD HAI, JISNE MUJHE KHWAB ME DEKHA, USNE BESHAK MUJHE HI DEKHA, ISLIYE KI SHAYTAN MERI SURAT AKHTIYAAR NAHI KAR SAKTA

SAWAL: SHAITAN AUR JINNO SE KAISE MAHFOOZ RAHA JAA SAKTA HAI?

JAWAB: ISKE LIYE HAME SUBAH SHAM AUR DEEGAR AUKAAT ME UN DUAON KA AZKAAR AUR AHTIMAM KARNE CHAHIYE JO NABI (SAW) NE BATAYE HAI

SAWAL: JIN AUR SHAYATEEN AMUMAN KAHAN RAHTE HAIN?

JAWAB: YE JYADATAR VEERANO , BAYABANO, JUNGLE, AUR KOODA KARKAT KI JAGAHON ME RAHTE HAIN, ISLIYE HUZOOR (SAW) NE FARMAYA PAKHANE JINNO AUR SHYATEEN KE ADDE HOTE HAIN...ISLIYE TUM PAKHANE(TOILET) JAO TO DUA PADHO(ABU DAWOOD)