Showing posts with label maut. Show all posts
Showing posts with label maut. Show all posts

KYA AAP (S.A.W ) DUNIYA ME ZINDA HAI

Assalamualikum wa'rahmatullahi wa'barkatohu

KYA AAP(SWS) DUNIYA ME ZINDA HAIN ???
Bismillahirrahmanirraheem

Innaka mayyitum wa’innahum mayyitoon ) Tarjuma :- Yaqinan khud apko bhi Maut ka mazaa chakhna hai, aur ye sab bhi marne wale hain. (Surah-Tul-Zamar, Aayat-no---30) Tashrih :- Yani aye paigamber! Aap bhi aur apke mukhalif bhi sab Maut se humkanar ho kar is dunya se hamare pass aakhrat me aayegen- Dunya me to Tawheed aur shirk ka faisla tumhare darmiyan nahi ho saka aur tum is bare me jhagadte hi rahe- Lekin yahan main iska faisla karonga aur Momin, Mukhlis, aur Moheed bande ko Jannat me aur Kufr-wa-inkaar aur Shirk-wa-takzeeb karne wale ko Jahannam me dakhil karonga, Is aayat se bhiwafat-e-nabwe sabit hota hai, jis tarah k “Surah-Tul-Imraan, Aayat- no---144 ”  sebhi sabit hota hai, inhi aayat se istadlal karte hue Hazrat-Abu- Baqar(r.t.a) nebhi logon me apki maut ka taqiq farmaya tha, Isliye Nabi(s.a. w) ki babat ye aaqida rakhna k apko Barzakh me bilkul issi tarah zindagi hansil hai jis tarah dunya me hansil thi, Aur ye Quraan k bhi khilaf hai, Aap par bhi digar insaanohi ki tarah Maut tari hui, issi liye apko daafan kiya gaya, Qabar me apko barzakhi zindagi to yaqinan hansil hai, jiski kaifiyat ka hame ilm nahi, lekindobarah Qabar me apko dunyawe zindagi ata nahi ki gai... (Tafsir-ibn-Kathir, Surah-Al-Zamar, Aayat-no, 30 , Page-no--- 234).

Allah Ke Rasool Mohammad{s all’Allaah u ta’aalaa alaihi wa’sallam} Ko Bhi Maut Aai MALA_E_ALA se ja mile,

Wafaat-e-Nabwe Par Sahaba-ikraam{Radi-A llahu 'anhu} Ka Ek Tahalka Mach Gaya Tha To Abu-Baqar- Siddiq{Rad i-Allahu ' anhu} ne Kitne Sakht Alfaaz Kahe...

Hz-Aysha{Radi-Allahu 'anha} se riwayat hai ke jab mohammad(s.a.w)ki wafat ho gai to Abu-Baqar(r.t.a) apne ghar se jo sanah me tha ghode(hourse) me sawar ho kar aaye aur utarte hi Masjid me tasrif le gaye, phir aap kisi se guftagu k begair Aayesha k hujra(ghar) me aaye {jahan Nabi(s.a.w) ki laas-e- mubarak rakhi hui thi} aur Nabi(s. a.w) k taraf gaye, Huzur-Ikraam ko [ yamaan ki bani hui chadar] se dhank diya gaya tha, phir apne Huzoor(s.a.w) ki Chadar-Mubarak khola aur jhuk k iska bosha liya aur rone lage,apne kaha k mere “ Maa Baap” aap par kurbaan ho aye Allah k Nabi(s.a.w) ! ALLAH- TAALA do maut aap par kabi jama nahi karega siwa ek maut ke jo apke muqadar me thi, so aap wafaat pachuke,

Abu-salma ne kaha k mujhe Ibne-Abbas(ra) ne khabar di k Hz Abu-Baqar(ra) jab bahar tasrif laye to Hz Umar(ra) is waqt logon se kuch baten kar rahe the,

Hz-Siddiq-Akbar(ra) ne farmaya baith jao,

lekin Hz Umar(ra) nahi mane, akhir Hz Abu Baqar(ra) ne Qalma- e-Shahadat padhi to tamaam majma apki taraf mutwajah ho gaya aur Hz Umar(ra) ko chod diya,

Apne farmaya

“Amma-Baad”! agar koi saks tum me se Mohammad(s.a.w) ki Ibadat karta tha isse malum hona chhiye ki aap (sws) ki wafat ho chuki, aur agar koi ALLAH ki ibadat karta hai to ALLAH baqi rahne wala hai, kabhi wo marne wala nahi,

ALLAH-PAAK ne farmaya aap(saw) sirf ALLAH k rasool hain aur bahut se rasool isse pahele bhi guzar chuke hain,

“AL-SHAKREEN” tak [ apne aayat tilawat ki]

qasam ALLAH ki aisa malum hua k Hz Abu-Baqar(ra) k aayat ki tilawat se pahele jaise logon ko malum hi na tha k ye aayat bhi ALLAH-PAAK ne Quraan-Majid me utari hai,

jab tamaam SAHABA ne ye aayat apse sikh li, phir to har saks ki zubaan me yahi aayat thi

Tasrih :- “Hazrat-Mohamma d(s.a. w)” ki wafat k baad “Hz-Abu- Baq ar(ra)”apke chahera Mubarak khola aur apko bosha diya, wafaat-e-nabwe par sahaba ikraam ka ek tahalka mach gaya tha, Bar-o-waqt

“Hzr-Abu-Baqar-Siddiq(ra )” ne ummat ko sanbhla aur haqiqat-e-haal ka izhar farmaya, jis se musalmano me se ek guna sukun ho gaya aur sabko is baat par itminan-e-qamil hansil ho gaya, Islaam ALLAH ka sacha deen hai, wo ALLAH jo hamesh zinda rahne wala hai,

“ Hazrat-Mohammad(s.a.w)” ki wafat se islaam ki baqa par koi asar nahi pad sakta, Aap rasool ki jammat k ek fard-o-farid hain, aur dunya me jo rasool aaye apne apne waqt par dunya se rukhsat ho gaye, Ayese hi aap bhi apna mission pura kar ke “MALA_E_ALA” se ja mile,

sahaba ka ye khayal bhi ho gaya tha k “Mohammad(s.a.w )” dubarah zinda honge, issi liye “ Hazrat-Abu-Baq ar-Siddiq(r.t.a )” ne farmaya ALLAH-PAAK aap par do maut tari nahi karega, [yani apko dubarah zinda nahi karega]

{Sahih-Bukhari, Kitabul-Janayez , Hadis-no---1241}

“Hazrat-Ibne-Ab bas(r.t.a)” biyan karte hain k ALLAH ki qasam yu malum hota hai k logon ko ye malom hi na tha k ye aayat nazil hui hai, hatta k “Abu-Baqar(r..t .a) ne iski tilawat farmai, logon ne “ Hazrat-Abu-Baq ar(r.t.a)” se is aayat ko hansil kiya aur jis-jis ne bhi is aayat ko suna to besakhta iski tilawat kar di,

“Hazrat-Usman(r .t.a)” ne farmaya k ALLAH ki qasam! Mene jab “Abu-Baqar-Sidd iq(r.t.a)” se is aayat ki tilawat suni to main khade ka khada rahgaya, mere pao mujhe utha nahi rahe the, Hata k main gir gaya.

{Sahih-Bukhari, Babul-Magazi, Hadis-no---4454)