Showing posts with label AQEEDA. Show all posts
Showing posts with label AQEEDA. Show all posts

RASOOLALLAH QAYAMAT KE DIN KIN LOGO KI SIFARISH NAHI KARENGE

RASOOLALLAH QAYAMAT KE DIN KIN LOGO KI SIFARISH NAHI KARENGE
GALLERY
Hamare muashre me ek galat famy hai ki hamare ilm me ye hai ke Qayamat ke Din RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм apne har ummatio ki shifarish karenge jab ki agar ham sahih hadith padhte to is ke bilkul ulti baat hame pata chalegi.

Qayamat ke din jo Allah ke sath auro ko shareek karege (auro ko pukarega ya auro ke aage sajda karega) uski shifarish RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм nahi karenge:

Hazrat Abu Huraira Radhi Allah Anha Kehte Hain Rasool ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya, Har Nabi Ke Liye Ek Dua Aisi Hai Jo Zaroor Qabool Hoti Hai Tamam Ambiya Ne Woh Dua Dunia Main Hi Maang Li, Lekin Main Ne Apni Dua Qayamat Ke Din Apni Ummat Ki Shafa’at Ke Liye Mehfooz Kar Rakhi Hai, Meri Shafa’at In shaa Allah Har Us Shakhs Ke Liye Hogi Jo Is Haal Main Mara Ke Usne Kisi Ko Allah SWT Ke Sath Shareek Nahin Kiya.

( Sahih Muslim, Kitab Al-Imaan, Hadith 399)

Qayamat ke din unlogo ki bhi sifarish RasoolAllah nahi karenge jin logo ne Deen me nayi nayi baato ka ijaad kiya hoga matlab jinhone biddat kiya hoga:

RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм Hauz-e-Kausar say apne ummatio ko pani pila rahe honge aur unhe rok dia jaega, inko bhi Nabi ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм yehi samjhaenge ke yeh to meray farmabardar ummati hain lekin Aap ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ko mutla’ kia jae ga ke ‘Ae Nabi ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм Aap nahi jantay ke inho ne Aap ke jane ke bad kya kuch kiya, inhon ne Aap ke baad Deen me Nayi Nayi cheeze nikal li thin’, to Aap ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм farmaenge “In ke liye (rahmat se) duri ho! In ke liye duri ho!  Jinho ne mere baad Deen ko badal dala.”

[Sahih Bukhari, Vol.8, kitab ur-Riqaaq, Hadith- 6584].

Is hadith se ye malum hua ki Qayamat ke din Biddatio ki bhi sifarish RasoolAllah nahi karenge. Allah se dua hai ki Allah hame biddat aur shirk se bachae aur wahi Deen par amal karne ki Taufeek ata kare jo Deen RasoolAllah chhor kar gae the. aameen.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

Aqeedah sikhye

۞1. Allaah Ne Hume Kisliye Paida Kiya? ۩ “Aur Mai (Allaah) Ne Jinno Aur Insano ko Sirf Isliye Paida Kiya Ke Wo Meri Ebaadat Kare”. [SurahAl’Zariat:56] “Tera Rubb Saaf’Saaf Hukum De’Chuka Hai Ke Uske Siwa KisiKi Ebaadat Na Kare”.[Surah Bani’Israil:23]. Tauheed Parast bane aur Shirk Se Bache. ۞2. Allaah ka Bando Par Kya Hak Hai aur Bando Ka Allaah Par Kya Hak Hai? ۩ “Allaah Ka Hak Bando Par Ye HaiKe Sirf Usi ki Ebaadat Kare,KisiKo Uska Shareek Na Kare aur bando Ka Hak Allaah Par Ye Hai Ke Jo Koyi Shirk Na Kare Usay Azaab Na De.(Bukhari:2856, Muslim:30) Jo Log Emaan Laye aur Unhone Apne Emaan me ZulumKi Aamizish Nahi Ki To Aise Logo Ke liya Aman Haiaur Yahi Log Hidayat Paane Wale Hai. [Quran 6:82] ۞ 3. Aap sabi members se Guzarish hai ke Bagair Daleel Ke Kisi Ki Bhi Baat Na Mane. Quraan aur SahiHadees parhi Ummat Ek Ho Sakti Hai.Insha’Allah.Aaj Ummat firqo-Jamato me bati hai.Nafrato Ku door Kare Ek doosre se mil kar Deen Ki Tableeg Kare.EkMusalmaan Doosre Musalmaan Ka Bhai Hai. ۞ 4. Allaah Ne Ambiya/Rasoolo Ko Duniya Me Kyo Bheja? ۩ “Aur Hum(Allaah) Ne Aapse Pehle Jo Rassol Bheja Uski Taraf Yahi Wahi Kike Mere Siwa Koyi MaaboodeBarhaqNahi,Pas Meri Hi Ebaadat Karo”.(Quran 21:25). Malum Hua Ke Ambiya Ko Bhejne Ka Maksad hi Ye Hai Ke LogoKu TauheedKi DawatdeAfsous Ki Aaj Ummaat apna Asal Maksad Bhool Gayi aur Dunia/Maal Ke Peeche padi Hai.=>Jago Musalmano Jago Aur Islam Ka Prachar/Tableeg Karo. ۞ 5. Kya Muslim Banne Kelia ‘LailahaIllallaah’Ke Maine Jaan’na Zaroori hai?” ۩ Aap Yaqeen Karlo Ke Allaah Ke Siwa Koyi Ilaa(Mabud)Nahi”.[Quran 47:19]”. Jo Is Haal Me Marjaye Ke Wo Is Baat Ka Ilm Raqta Ho Ke Allaah Ke Siwa Koyi Ilaah Nahi, Jannat Me Daqil Hoga”.[Muslim:26] Maloom Huwa Ke Kufr Se Nikal aane Aur Emaan Me Daaqil Hokar Apne darjaat Buland Karne Kelia IlmAur Allaah Ki Muarifat Shart Awwal Hai. ۞ 6. Kya Ek Muslim Kalime Ke Mafhoom Me Shak Kar sakta hai? ۩ “Haqikat Me Momin wo hai Jo Allaah Aur Uske Rasool Par Emaan Laye Fir Unhone Koyi Shak Na Kiya AurApni Jaano Aur Maalo Se Allaah Ki Raah Me Jihad kiya Wahi Sache Log Hai”.[Quran 49:15] ۞ 7. Kalime Me Iqhlaas Se Kya Muraad hai? ۩ “Khabardar Allaah Hi Ke Liye Qaalis Ebaadat Karna Hai”.[Quran 39:3]”Aur Unko Hukum To Yahi HuwaTha Ke Sirf Allaah Ki Ebaadat Kare Usi Keliye Deen ko QaalisRakhe”.[Quran 98:5]”Logo Me Meri Shafat Ka Subse Zyada Mustahiq Wo Hai Jo DilKe IqlasSe La’Ilaha’Illallah Ka IqrarKare”.[Bukhari:99]DeenKo Qalis Karte Huye,Yakso HoKar,HarTarah Se KatKar Ek Allaah Ki Taraf Mutawaja Ho. ۞ 8. Kalime Ke Saat Sadaq wa Wafa Se Kya Muraad Hai? ۩ “Aur Baaz Log Aise Hai Jo Allaah Ki Ibaadat Kinare Par Khade Hokar Karte Hai,Agar Unhe Faida PahunchaTo Mut’mayin HonGe,Aur Agar Musibat AaPadi To Usi Waqat Mooh Ferlia,Ye Dunia Wa Aaqirat Dono MeNuksaan Utaane Wale Hai,Aur Yahi Khula Nuksan Hai”(Quran 22:11). Allaah Ki Taraf Se aane Wali Har Aazmaish Me Poora Utarna & Allaah Aur Uske Rasool Ke Ehkamat KeTabe Rehna. ۞ 9. Tawheed Se Kya Muraad Hai? Tawheed Se Muraad Allaah Ko Uski Zaat,Sifaat,Uski Ebaadat Aur Uske Huqooq Me Munfarid, Yekta Aur Bemisaal Maan’na.Quran’Hadees Ki Roushni Me Tawheed Ki 3 Kisme Hai.1.Tawheed’e’Ruboo’Biat,2.Tawheed Asma’Wa’Sifaat,3.Tawheed Ulu’hiat Ya Tawheed Al’Ebaada. ۞ 10. Tawheed’e’Ruboo’Biat Se Kya Muraad Hai? Allaah ko Kae’naat Ki Har Cheez Ka Khaliq,Malik,Raziq Aur Tamaam Umoorki TadBeer KarneWalaMaan’na.”(Ay Nabi)Aap(In Mushrikeen se)Poocho Ke Tumko Aasman Aur Zameen Me Rizq Koun PahunchaTaHai,Ya Tumhare Kaano Aur Aankho Ka Maalik Koun Hai Aur Jaandar ko BejaanSe Aur Bejaan KoJaandarSe Koun Nikalta hai,Aur Tamaam Kaamo Ka Intezaam Koun Karta Hai,Wo Jhat Kahenge Ke(YeSubKaam Karne Wala)Allaah Hai.To UnSe Poocho Ke Phir Tum(Allaah Se)Darte Kyon Nahi.(Quran 10:31).Mushrikeen Makka Tawheed’e’Ruboo’Biat Ke Qayil The. ۞ 11. Tawheed Ulu’hiat KiSe Kehte Hai? Tawheed Ulu’hiat Se Muraad Ye Hai Ke Allaah He Haqeeqi Aur Akela Mabud Hai.Yahi Wo Tawheed HaiJisko Mushrikeen Makka Samet har Daur ke Mushrik Maan’ne Se Inkaar KarteRahe.Namaz,Roza,Haj,Qurbani,Dua,Naz ar Wa Niaz…Sirf Allaah Kelia Ho.”Aur(Ay Logo) Tumhara Mabud To Bus Ek He Hai,Uske Alawa Koyi Ebaadat Ke Layaq Nahi,Wo BahutRaham Karnewala Aur Meharbaan Hai”.(Quran 2:163). ۞ 12. Tawheed Asma Wa Sifaat Se Kya Murad Hai? Tawheed Asma’Sifaat Se Murad Ye Hai Ke Allaah Ke UnSab Asma Aur Sifaat Ka Iqraar Kiya Jaye JinSeAllaah Ne Quran Me Apne Aap Ko Mousuf Kiya Ya Nabi NeAhadees Me Unka Zikar Kiya.Jaise=>”Allaah Kaha:Ay Iblees Tujhe Usay Sajda Karne Se Kis CheezNe Roka Jise MyNe Apne HaatoSe PaidaKiya”.(Quran 38:75)”Rehmaan Arsh Par Qayim Hai”.(Q 20:5)”Allaah Ne Musa Se KalamKiya”(Q4:164)”Allaah Aasmaani Duniya Par Nuzool Farmata Hai”.(Muslim:758)”Us(Allaah)Jaisi Koyi Cheez Nahi”.(Quran 26:11)Allaah Ke Asma Wa Sifaat Ko Haqeeqat Par Mahmoul Karte Huye Kisi Qisam Ki Taweel,Kaifiat,Tateel aurTamseel Ke Bagair Emaan Lana Tawheed Asma Wa Sifaat Hai. ۞ 13. Dawat-e-Islaami Ka Sahi Tarika Kya hai? Dawat-e-Islaami Ka Sahi Tarikekaar Ye Hai Ke Dawat Ka Aaghaas Tawheed Ke Prachar Se Kiya Jaye. Logopar Tawheed Aur Shirk Ke Fark Ko Waze Kiya Jaye.”Awwa Leen Cheez JisKi Taraf Logo Ko Dawat Di Jaye Wo Kalme Shahadat Hona Chahiye.Yani Ye Ke Log Allaah Hi Ko Ilaah Waahid Maane. [Bukhari:1395, Muslim:19]. ۞ 14. “Beshak Jo Khule Dalail Aur Hidayat Ki In Bato Ko Jo Humne Nazil Farmayi Hai-Chupate Hai BawjoodIske Ke Humne Apni Kitabme Wazi Tour Par Bayan Kardiya Hai To Aise Logo Par Allaah Lanat Karta HaiAur Tamam Lanat Karnewale Bhi Lanat Karte Hai”.(Quran 2:159)”Beshak JoLog Kitab’AllaahKi BatoKo JinKo Allaah Ne Nazil Farmaya Hai Chupate Hai Aur Usay ThodiThodi Keemat Par Bechte Hai Yakeen Jano Wo Apne Petome Siwaye Douzak Ki Aag Ke Kuch NahiBhar’Rahe,Allaah Qiyamat Ke Din Na Aise Logo Se Kalam Karega Na Unhe Paak Karega Aur Unke LiyeDardnaak Aazaab Hoga”.[Quran 2:174]Allaah Humsub Ko aur Saare Ulama Ko Haq Baat Karne Ki Taufeeq De.Quran Ko Samaj Kar Padhe,Amal Kare. ۞ 15. Subse Bada Gunah Kya Hai? ۩ Subse Bada Gunah Ye HaiKe Tu AllaahKe Saat Kisi Ko Shareek Kare HalanKe Usne Tujhe PaidaKiya.Bukhari4477,Muslim86Allaah Ke Saat Shirk Na Karna.Beshak Shirk Bada Bhari Zulm Hai.Quran 31:13. Shirk Se Bache.Tawheed Parast Bane. ۞16. Shirk Karne Ka Nuksaan Kya Hai? ۩ “Jisne Allaah Ke Sath KisiKo Shareek Thehraya Allaah Ne Uspar Jannat Haram Kardiya. Uska TikhanaJahannum Hai Aur Zalimo Ka Koyi Madadgar Na Hoga.”[Quran 5:72]”Jo Koyi Is Haalme Mare Ke Wo Allaah Ke Siwa Kisi Aurko Pukaarta Hoto Wo Jahannum May DakhilHoga.”[Bukhari 4497,Muslim 92]Assalaamualaikum.Quran Ko Samaj kar Padhe.Ulama Ki Sohbat Me Apna Waqt Guzare aur Ilm Haasil Kare. ۞ 17. Kya Shirk Karne wale Ko Uske Nek Aamal Faida Denge? ۩ Nek Aamal(jaise Sadqa,Khairat,Namaz,Roza,…) Aqeede Shirk Ki Moujoodgi Me Bekar Ho Jate Hai AurAllaah KeYaha Qabil Qabool Nahi Rehte. Chunache Allaah Ne 18 Jaleelul Qadar Anbiya Ka Naam LenekeBaad Farmaya:”Aur Agar Unlogo Ne Shirk Kiya Hota To Unke Bhi Sub Aamal Zaya Ho Jate”.[Quran 6:88]. ۞ 18. Kya La’ilaaha’illallaah Muhammadur Rasool Allaah Padh Ne Wala Mushrik Ho Sakta Hai? ۩ “Tum Yaqeenun ApneSe Pehli Ummato Ki Pairwi Karoge,Aur Pehli Ummato Se Aapki Muraad Yahood WaNasara Hai”.[Bukhari.3456,Muslim.2669]”Kya Tu Ne Unhe Nahi Dekha Jinhe Kitab Ka Kuch Hissa Mila Hai Ke Wo Buth Aur Tagoot Par EmaanLaate Hai”.[Quran 4:51]. ۞19. Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Kaha: “Qiyamat Us Waqat tak Khayam Na Hogi Jab Tak Meri Ummat Ki EkJamaat Mushriko Se Na Jaa Milay Aur Meri Ummat Ke Bahut Se Log Buth Parasti Na Kare”.[Tirmizi 2219]. ۞ 20. Kya Qabar Parasti Ko Butt Parasti Kaha Jayega? ۩ Jab Kisi Qabar ki Puja Hoto Usko Budh Parasti Kaha Jayega.Sallellahu Alaihi Wasallam Ne Kaha”Ay Allaah Meri Qabar Ko Budh Na Banana Jiski Puja Ki Jaye. Allaah KaUs Khoum Par Saqt Gazab Nazil Hota Hai Jo Apne Nabiyo Ki Qabaro Ko Ebaadat Gaah Bana Letay Hai”.[Muwatta Imaam Malik 9:88]. ۞ 21. Aisha r.a. Farmati Hai ke SallellahuAlaihiWasallam Ne Aakhri Waqat Me Farmaya:”Yahood Wa Nasara ParAllaahKi Laanat Ho,Unhone Apne Ambiya Ki Qabaro Ko Sajda Gaah Bana Liya”.Agar Is Baat Ka Khouf NaHota Ke Sallellahu Alaihi Wasallam Ki Qabar Ko Bhi Sajda Gaah Banalia Jayega To Aap Ko Band Hijray MeDafan Na kia Jata Aur Aap Ki Bhi Qabar Khuli Hoti. [Bukhari.1390,Muslim.529]. ۞22. Muashuray Me Shirk Kaise Failta Hai? Shirk Failne Ki Ek Aham Waja Ye Hai Ke Shaitan Awliya Allaah Se Muhabbat Ko Aad Banakar Guloo Karwata Hai. Koum Noah Ko Dekhia=>”Wadd,Suwa,Ghutaif,Yauq,Nasr Noah Ki Khoum KeNek aur Swaleheen Buzurg The JinKi Logo Ne baadme Parashtish Shuru Kardi”. [Bukhari 6:442]. “Aur Unhone Kaha Ke Tum Apne Mabudo Ko Hargis Na Cho’dna Aur Wadd, Suwa, Ghutaif, Yauq,Nasr Ko Kabhi Na Cho’dna”.[Quran 71:23]. ۞23.”Aur Unse Jab Kabhi Kaha Jata hai Ke Allaah Ki Utaari Huyi Kitab Ki Tabedari Karo,To Jawab Dete HaiKeHumto Wus TariqeKi Pairwi Karenge Jispar Humne Apne Baap Dadao Ko Paya Hai,Gho Unke Baap DadaBe’Aqal Aur Gum Kirda Rah Ho “.[Quran 2:170]”HumNe Apne Baap Daada Ko Ek Raah Par Paya Hai Aur Hum Kadam Kadam Par Unhi Ke Peeche Chal Rahe Hai”.[Quran 43:22] ۞24. Aur Jab Allaah Akele Ka Zikar Kiya Jata Hai To Jo Log Aaqirat Par Emaan Nahi Raqte Unke Dil NafratKarne Lagte Hai Aur Jab Uske Siwa Auro Ka Zikar Kiya Jata Hai To Unke Dil Khul Kar Khush Ho JateHai. (Quran Zumar:45). ۞25. Mushrikeen e Mecca Bhi Allaah Ko Ilaah Mante The Magar Allaah Ke Alawa Aur Bahut Se Ilaah Banaye Huye The Aur Allaah Ko Subse Bada Ilaah mante The. Isliye Nabi Ki DawathPar Mushrik Kahne Lage”Kya Usne Itne Sare Mabudo Ki Jagah Bas Ek He Mabud Banaliya,Ye To Badi Ajeeb Bath Hai”.[Quran 38:5]. ۞26. (Unse) Kahiye, Apna Haal To Batao Agar Tum Par Allaah Ka Koyi Azab Aajaye Ya Qayamat Aa PahuncheTo Kya Tum AllaahKe Siwa Kisi AurKo Pukaroge.Agar Tum Sache Ho[To Batao] Balke tum Usi[Allaah] KoPukaroge,Fir Jis Dukh Kelia Tum Pukaroge Agar Wo Chahe To Usko Door Kardega Aur JinKo Tum ShareekBanate Ho Us Waqat Un Subko Bhool Jaoge.[Quran Al’Anaam:40,41]. Mushrikeen Makka Allaah Ko Subse Bada Ilaah Maante The. ۞27. Mushrikeen e Makka Gairullaah Ki Ebadat Kyon Kiya Karte The? ۩ “Hum Unki Ebaadat Sirf Isliye Karte Hai Ke Wo Allaah Ki Nazdeeki Ke Martabe Tak Humari rasayi Karade”.[Quran Sura Zumar:3]Yani Mushrikeen Makka Gairullaah ko Apna Sifarishi Aur Allaah Ke Qareeb Ka Zariya Samajhte The.”Wo Kehte Hai Ke Ye AllaahKe Paas Humare Sifarishi Hai”.[Quran Sura Yunus:18]. ۞28. Aur Tumhare Ird-Gird Ki Bastiyo Ko Hum ne Hilaak Kardiya Aur Baar-Baar Apni Nishaniya zaahir KardiTa’ke Wo Ruju Kare.To JinKo Un Logone (Allaah Ka) Qurb Haasil Karne Keliye Mabood Banaya ThaUnhone Unki Madad Kyon Na Ki? Balki Wo Unse Gum(vanished) Ho Gaye Aur Ye Unka Jhoot AurBohtaan Tha.[Quran 46:27,28]. Pata Chala Ki Deegar Mushrikeen Bhi Apne Buzurgo Ko Waseela SamajhTe The. ۞29. Aap Sallellahualaihiwasallam Ne Kaha,”Ye Aise Log Hai Jab Inmay Koyi Neak Banda Marjata To Uski Qabar Par Sajda Gaah Banadete Hai Aur Tasveere Bana Dete Hai.Ye Log AllaahKe Nazdeek Badtareen MaqlooqHai”.[Bukhari.427,Muslim.528]Kya Aaj Neak Logo Ki Qabaro Ko Aisa He Nahi Karte?Isiliye Quran May Allaah Farmata Hai,”Beshak Tum Allaah Ke Siwa JinKo Pukaarte Ho Wo Tum Jaise Bande He Hai”.[Quran Surah Al’Aaraf.194]. ۞30. Jin Awlia AllaahKo Mushrikeen PukarteThe Unke Bareme Bataya “Murde Hai, Zinda Nahi.Unko Ye Bhi Maloom Nahi Ke Kab Uthaye Jayenge”.[Quran 16:21]”Aur Jab [Qiyamat Ke Din]Log Jama Kiye Jayenge Wo Unke Dushman Ho Jayenge Aur Unki Ebaadat KaInkar Denge”.[Quran 46:6]. ۞31. Allaah Ki Zaat Me Shirk Ka Kya Mafhoom Hai? “Na Ussay Koyi Paida Huwa Naahi Wo Kisisay Paida Huwa”.(Quran 112:3)”Yaqeenan Wo Kafir Hai Jo Kehte Hai Ke Isa Ibn Mariyam He Allaah Hai”.(Quran 5:72)”Aur Unhone Uskay Baaz Bando Ko Uska Juzz Tehraa Diya.Beshak(Aisa) Insan Khullam Khula Na ShukraHai”.(Quran 43:15) Aap Sallellahualaihiwasallam Ko Allaah Ke Noor Mese Noor Kehna Allaah Ka Juzz BananeKe Barabar Hai-Shirk Hai. ۞32. Allaah Kaha Hai? “Beshak Tumhara Rubb Allaah He Hai Jisne Aasmano Aur Zameen Ko 6 Din May Paida Kiya Fir Arsh par Qayim Huwa”.[Quran 7:54 & 10:3]”Rahmaan Arsh Par Qayim hai”.[Quran 20:5]”Kya Tum IsBaat Se Be Khouf Ho Ke Jo(Allaah) Aasmano May hai Wo Tumhe ZameenMe DhazaDe FirWo(Zameen) Hichkole(Zal’Zala)Khane Lag Jaye”.[Quran 67:16]. ۞33. Kya Allaah Ke Siwa Koyi Mushkilath Hal Karne Par Qadir Hai? “Aap Keh Dijia Ke Agar Allaah Masi’Ibn’Mariyam,Uski Walida Aur Roohe Zameen Ke Tamaam logoKoHilaak Karna Chahe To Koun Hai Jise AllaahKe Muqabile May Zarasa Bhi Iqtiyaar Ho(Ke Inhe Hilaakat SeBachale)”.[Quran 5:17]”Aur Jin LogoKo Tum Uske(Allaah) Siwa Pukaarte ho Wo Khajoor Ki Gutli Ke Chilke Ke Bhi MalikNahi”.[Quran 35:13]. ۞34. Kya Allaah Ke Siwa Bagair Asbaab Ke Koyi Aur Bhi Logo Ki Takleef Ka ilm Rakta Hai? ۩ “Beshak Allaah Apne Bando Se Baa’Qabar Aur Khoob Dekhne Wala Hai”.[Quran 17:30]”Aur Us’Shaqs Se Zyada Koun Gumrah Hoga Jo AllaahKe Siwa Kisi AiseKo Pukaare Jo Qiyamat Tak UskiDua Qabool Na Karsake Balke Wo Unke Pukarne Se Balkul Be’Qabar Ho”.[Quran 46:5] ۞35.” (Ay Nabi) Aap UnLogo Ko Nahi Suna Sakte Jo Qabaro May Madfoon Hai”.[Quran 35:22]”Pas Beshak Aap Murdo Ko Nahi Suna Sakte”.[Quran 30:52]”Bekas Ki PukaarKo Jab Wo Pukaare Koun Qubool Karke Uski Takleef Ko Door Karta Hai”.[Quran 27:62]. ۞36. Kya Allaah Ke Siwa Koyi Aalimul Gaib Hai?” ۩ Kahdo jo Bhi Aasmano Aur Zameen may hai Siwaye AllaahKe Gaib Ki Baate koyi Nahi Jaanta Aur Wo YeBhi nahi jaante Ke Kab (Zinda Karke) uthaye Jayenge”.[Quran 27:65]Allaah Ne Quran May Sallellahu’Alaihi’Wasallam Se Ailan Karaya”Aur Na My Gaib Jaanta Hu”.[Quran 6:50]”Aur Agar My GaibKi Baate jaanta Hota To bahutSe Faide haasil Karleta Aur Mujhe koyi Nuksaan NaPahunchta”.[Quran 7:188]. ۞37. Agar Aap Sallellahu’Alaihi’Wasallam Aalimul Gaib Nahi The To Aapne BahutSi MaaziKe Waqiyat AurMustaqbilKi Paishan Gohiya KaiseKi? ۩ “Allaah Hi Gaib Ka Jaane Wala Hai.Wo KisiPar Apne GaibKo Zahir Nahi Karta Siwaye Jis RasoolKoMuntaqib Farmaleta Hai(Usko GaibKi Baaz Baate Bazariye Wahi Batata Hai)”.[Quran 72:26,27]. ۞38. Kya Aap Sallellahualaihiwasallam Ki Taqleeq Subse Pahle Huyi Aur Aap Kayinat May Hone Wale WaqiyatDekh Rahe The Aur SubKa Ilm Raqte The? Aap Sallellahualaihiwasallam Tamam Anbiya Ke Aaqri May 571 C.E. May Aamina Ke Ghar Makka May PaidaHuye.Aisa Koyi Farmaan Rasool Nahi Hai Ke “Allaah Ne SubSe Pahle Mujhe Paida Kiya” Aur Us MafhoomKi Tamam Riwayat Bila Sanad Aur Man’Ghadat Hai.Un Riwayat Ko Farmaan Rasool Kahna Saqt Gunah Hai. ۞39.”Aur Allaah TumKo Baraha’Raast GaibKi Baate Nahi Batata Al’Batta Apne Rasoolo Mayse JinKo ChahtaHai Chun Leta Hai,Lihaaza Tum Allaah Aur Uske Rasoolo Par Emaan Rakho”.[Quran 3:179]Malum HuwaKe Allaah He Aalimul Gaib Hai,Wo GaibKi Baaz Baate Apne RasooloKo Batata Hai,BalkeTamaam Deen Parde Gaib He Say Rasool Wa Anbiya Ko Batlaya Jata Hai.Agar Koyi Rasool Na Ho Aur Fir Bhi GaibKa Dawa Kare To Wo Jhoota Hai. ۞40. Baaz Nujumi Aane Wale Halat ki Qabar Dete Hai.Unko Mustaqbil Ke HalatKa Ilm Kaise Hota Hai?”Jab Allaah kisi Baat Ka Faisla Farmata Hai To Arsh Uthane WaloKe Kareebi Farishte Poochte Hai KeTumhare Rabb Ne Kya Kaha,Aasman Duniya Walo Tak Baat Pahuncti Hai.Fir Jinnaat Kuch Baat Jhapet KarApne DostoKo Laa’dete Hai Jo Usmay Izafe Karke Logo May Bayan Karte Hai”.[Bukhari:3210; Muslim:2228]. 41. Kya Aap Sallellahualaihiwasallam Ki Taqleeq Subse Pahle Huyi Aur Aap Kayinat May Hone Wale TamamWaqiyat Dekh Rahete Aur Subka Ilm Raqte The ? Aap sallellahualaihiwasallam Tamam Anbiya Ke Aaqri May 571 May Aamina Ke Ghar Makka Paida Huye.AisaKoyi Farmaan Rasool Nahi HaiKe “Allaah Ne Subse Pahle Mujhe Paida Kiya”aur Is MafhoomKi TamamRiwayat Bila Sanad Aur Man’Ghadat Hai.Un Riwayat Ko Farman Rasool Kehna Saqt Gunah Hai. ۞42. Allaah Ne Nabi AlaihisSalam Se Kaha “Ye Gaib Ki Baate Hai Jo Hum Aap Par Wahi KarRaheHai. Jab[Biradaran Yusuf Ne]Apni Baat Par Ittefaq Kiya Tha Aur Wo Fareb KarRahe The To Aap Unke PaasNa The”.Quran 12:102″Aur Jab HumNe MusaKo Hukum Bheja To Tum(Toor Ke)Magrib Me Nahi The Aur Na hi Us Waqiye KeDekhne Walo Me Se The”.[Quran 28:44]”Aur Bahut Se Rasool Hai JinKe Halat HumNe Aap Se Bayan Nahi Kiye”.[Quran 4:164]. ۞43. Hal Mushkilat Ke Liye Dua Wa Pukaar Ka Mustahiq Koun Hai? ۩ “Aur (Ay Rasool) Jab Mere Bande Aap Se Mere Mutalluq Sawal Kare To(Aap Kehde) Ke Mai Berhak Qareeb Hu, Jab Koyi Pukarne Wala Mujhse Dua Karta Hai To My Uski Dua Qubool Karta Hu”.[Quran 2:186]”Aur(Ay Logo) Ibaadat Ko Khalis Allaah Ke Was’te Raqte Huye Allaah Hi Ko Pukaaro”.Quran 7:29″Aur Madat Sirf Allaah Hi Ki Taraf Se Hai”.Quran 8:10. ۞44. “Beshak Tamam Masjide Allaah Hi [Ki Ibadat] Ke Liye Qhas Hai,Lihaza AllaahKe Saat Kisi Aur Ko NaPukaro”.[Quran 72:18]In Ayat Se Wazi Hai Ke Pukaar Sirf Allaah Ke Liye Hai.Kyon Ke Maqlooq Ke Takleef Ka ilm Allaahi Kohai,Maqlooq par Subsay Zyada Meharbaan Allaah Ki Zaat Hai.Ussay Zyada Koyi MeharbaanNahi.MaqlooqKi Takleef Door Karne Par Sirf Allaah Hi Ki Zaat Hai.Allaah Se Maange.”Aur Jin Ko Tum Allaah Ke Alawa Pukaarte Ho Wo Tumhari Kuch Madad Nahi Kar Sakte Balke Wo To ApniMadad Bhi Nahi Kar Sakte”.[Quran 7:197]. ۞45. Mushrikin Mecca Saqt Musibat May Sirf Allaah Hi Ko Pukarte The Jin Ke Baray May Allaah NeFarmaya “Fir Jab Ye Kashti May Sawar Hote Hai To Allaah He Ko Pukarte Hai,Uske Liye Ibadat Ko KhalisKarke,Lekin JabWo(Allaah)Unko Najat De Kar Khuski Par Pahuncha Deta Hai To Jhat Shirk Karne Lag JatayHai”[Quran 29:65]Afsos Aaj Kuch Musalman Badi Musibato May”Ya Ali Madat,Ya Ghouse Madat”Ke Naray Lagatay Hai, JO SHIRK HAI. ۞46. Anbiya,Awliya’Allaah Kisko Pukarte The? Anbiya,Awliya’Allaah Barahe Rast Allaah He Ko Pukarte Rahe.Quran May Anbiya Ki Dua e Mawjood Hai.Adam Alaihis’Salam Ki Dua”Dono Ne Kaha Ay Humare Rabb Humne Apne Aap Par Zulum Kiya Agar Tu Ne Na Baqsha Aur Raham NaKiya To Hum Nuksaan Panay Walo May Se Ho Jayenge”.[Quran 7:23]Is Dua Se Pata Chala Ki Adam Alaihis’Salam Ne Kisi Ka Waseela Ya Waasta Nahi Liya. ۞47. Noah AlaihisSalam Ki Dua, “Kaha Ay Mere Rubb Unhone Mujhe Jhutlaya Pas Tu Meri MadatKar”[Quran 23:39]Nabi Sallellahualaihiwasallam Ki Dua “Aur Kaha Mere Rubb Mere Ilm May Izafa Farma”[Quran 20:114]As’hab’Kahaf Ki Dua”Ay Humare Rubb Hum Par Apne Paas Se Rahmat Nazil Farma Aur Humare KaamMay Durustgi Farma”.[Quran 18:10]Maloom Huwa Ke Anbiya Aur Awliya Ne Dua Allaah Se Ki,Na Kisi Zinda Ya Murde Ka Wasta Diya. ۞48. Kya Pukarna Ibaadat Hai? Aap Sallellahualaihiwasallam Ne Farmaya “Beshak Dua He Ibaadat Hai” Fir AapNe Ye Ayat Padhi “Aur Tumhare Rabb Ne Kaha Mujhe Pukaaro My Tumhari Dua QaboolKaronga,Jo Log Takabbur Karke Meri Ibaadat Se Muh Moud Te Hai Wo Zaleel Wa Qwar Ho Kar ZaroorJahannum May Daqil Honge” (Quran 40:60)[Abu Dawood: 1479,Tirmizi:2969]. Isse Pata Chala Ki Pukarna Ibadat Hai Aur Ibadat Sirf Allaah HeKi Ki Jati Hai. ۞49. Kya Gair’Allaah Ko Pukarna Shirk Hai? ۩ “Aur Jab Shirk KarneWale Apne Banaye Huye Sharikio Ko Dekhenge To Kahenge Ay Humare Rubb YahiHumare 2.Wo Shareek Hai Jinko Hum Tere Siwa Pukarte The”.[Quran Nahl 16:86]Isse Malum Huwa Ke Gair’Allaah Ko Pukarna Shirk Hai. ۞50. Kya Gair’Allaah Ko Pukarna Kufr Hai? “Aur Jo AllaahKe Saat Kisi Doosre Mabud Ko Pukare JisKi Koyi Daleel Uske Paas Nahi,Uska Hisaab AllaahKe Zimme Hai.Tehqeeq Kafir Falah Nahi Paate”.[Quran 23:117]. ۞51.”Yahatak Ke Jab Unke Paas Humare Farishte Unki Jaan Khabz Karne Aayenge To Wo Kahenge “WoKaha Hai JinKo Tum Allaah Ke Siwa Pukarte The?”Wo Kahenge “Aaj Humse Gum(hidden) Ho Gaye Hai” Aur Iqraar Karenge Ke Beshak Wo KafirThe”.[Quran Al’Araf:37]Pata Chala Ke Gair’Allaah Ko Pukarne Wale Khud Marte Waqt Apne Kafir Honeka Iqraar Karenge. ۞52. Gair’Allahko Pukaarne Ka Kya Nuksaan hai?” ۩ Allaah Ke Saat Kisi Aur Mabud Ko Na Pukaro Warna Tum Azab Diye Janewalo Mayse Ho Jaoge”.[Quran26:213]”AllahKe Siwa UskoNa Pukarna Jo Tuje Na Nafa DetaHo Na Tera Nuksan Karsakta Hai.Agar Tune Aisa KiyaTo Usi Waqt Zalimo Mese Ho Jayega”.[Quran 10:106]. ۞53. Kya Gair’Allaah Ko Pukarna Shaitan Ki Ibadat Hai? Allaah Qiyamat Ke Din Insano Se Kahega”Ay Aoulad e Adam Kya Myne Tumse Keh Nahi Diya Tha Ke Shaitan Ki Ibadat Na Karna,Yaqeenan WoTumhara Khula Dushman Hai,Aur Meri He Ibadat Karna,yahi Seedhi Raah Hai”.[Quran 36:60,61]Aaj Shaitan Ko Koyi Sajwa,Ruku Nahi Karta,Koyi Shaitan Ko Nahi Pukarta,Magar Kyonke Allaah ke alwa Kisi Ko bhi Pukara Jaye Wo Shaitan He Ki Ibadat Hai. ۞54. “Aur kitab May Ibrahim Ka Zikar Karo,Wo Sache Nabi The,Jab Unhone Apne Baap Se Kaha,Abba JaanAap Kyon Uski Ibadat Karte Ho Jo Na Sunta Hai Aur Na Koyi Fayada De Sakta Hai,Ay Abba Jaan Mere PaasWo Ilm Aagaya Hai Jo Aap Ke Paas Nahi Hai.Mere Peeche Chale,My AapKo Seedhi Raah Par LeChalunga.Ay Abba Jaan Shaitan Ki Ibadat Na Kare,Shaitan To Rehmaan Ka Naafarman Hai”[Quran 19:41-44]. ۞55. Kya Gair’Allaah Kisi Ki PukaarKa Jawab De Sakte Hai? ۩ “Usi(Allaah) Ko Pukarna Haqh Hai.Jo AuroKo Uske Siwa Pukarte Hai Wo Unka Kuch Bhi Jawab NahiDete”.Quran 13:14.”Aur Jinko Tum Uske Siwa Pukarte Ho Wo To Khajoor Ki Gutli Ke Chilke Ke Bhi Malik Nahi.Aur Agar TumUnko Pukaro To Wo Tumhari Pukar Sunte He Nahi.Aur Agar SunBhi Le To Tumhari Faryad Rasi NahiKarsakte Aur Qiyamat Ke Din Wo Tumhare Shirk Ka Inkar Kardenge”.Quran 35:13,14. ۞56. Saare Kayinat Me Marzi Kiski Chalti Hai? “Allaah Ki Ye Shaan Hai Ke Jab Wo Kisi KaamKa Iraada Karta Hai to Usse Kehta Hai Ho’Ja Aur Wo UsiWaqt Ho Jata Hai”.[Quran 36:82]”Kisi may Koyi Quwwat nahi Magar AllaahKi Toufeeq Se”.[Quran 18:39]”Aur Kisi Kaamki Nisbat Hargis Na kehna Ke My Ye Kaam Kal Kardoonga Magar(Ye kaha Karo) AgarAllaahNe Chaha(To My Ye Kaam Kal Karunga).”[Quran 23,24]. ۞57. Ek Shaks Ne Nabi Alaihis’Salam Se Kaha”Jo Allaah Chahe Aur Aap Chahe”.Nabi Alaihis’Salam NeFarmaya”Tum Ne To Mujhe Allaah Ke Barabar Kardiya (Meray Chahne Se Kuch Nahi Hota)Balke Jo Allaah Akela Chahe(Wahi Hota Hai)”.[Musnad Ahmed 1/214,1839]. “Ye Allaah Ki Hidayat Hai. Ispar Wo Apne Bando Mesay Jisko Chahta Hai Chalata Hai”.[Quran 6:88]”(Ay Rasool)BeShak Aap Jisay Chahe Hidayat Nahi De Sakte Balke Allaahi Jisko Chahta Hai Hidayat KartaHai”.[Quran 28:56]. ۞58. Aulad Dena Kiske Iqtiyaar May Hai? ۩ “Aasman Aur Zameen ki Baadshahat Allaahi Ke Liye Hai.Wo Jo Chahta Hai Paida Karta Hai,Jisay ChahtaHai Betiya(Female)Deta Hai,Jisay Chahta Hai Betay(Male) Deta Hai,Ya Unko Betay Aur Betiya DonoInayat Farmata Hai,Aur Jisay Chahta Hai Be’Aulad (Baanj)Rakhta Hai.Wo To Jaanne Wala Aur KhudratWala Hai”.[Quran 42:49,50]Aulad Dene May Anbiya Aur Awliya’Allaah Bhi Be-Iqtiyar Hai. ۩ 59. Zakariyya Alaihis’Salam BudaPe Tak Be’Aulad Rahte Hai Aur BudaPe May Yahya Alaihis’Salam PaidaHote Hai.”Arz Ki Ay Mere Parwardigar, Meri Haddiya Kamzor Ho Gayi Hai Aur Sir BudaPe Se Bhadak Utha Hai.AurAy Mere Parwardigar My TujhSe MaangKar Kabhi Mehrum Nahi Raha Aur My Apne Baad Apne BhaiBando Se Darta Hu Aur Meri Biwi Baanj Hai.Tu Mujhe Apne Paas Se Ek Waris Ata Farma”[Quran 19:4,5]Aulad Sirf Allah Deta Hai. ۩60. “(Mariyam Ne) Kaha Mere Ha Ladka KyonKar Hoga,Mujhe Kisi Bashar Ne Chu’Wa Tak Nahi Aur MyBadhKar Bhi Nahi Hu.Farishte Ne Kaha Ke Baat To Yahi Hai Lekin Tere Rabb Ka Irshad Hai Ke(BagairBaapKe Ladka Paida Karna)Mujhe Aasan Hai”.[Quran 19:20,21]Malum Huwa Bache Ki Taqleeq Allaahi Ke Iqtiyar May Hai.Magar Afsos Baaz Kalima Padne Wale Bache KiBakshish Ko Allaah Ke Siwa Auro Ki Taraf Mansoob Karte Hai.Koyi Hasan Baksh Banta Hai,Koyi AliBaksh,Koyi Imam Baksh.AllaahKo Mabud Manne Ke Bawjud Kabhi Abdul’Nabi,Kabhi Abdul’Rasool,AiseNaam Yaqeenan Shirk Hai. ۞61. Izzat Wa Zillat Dena Kiske Iqtiyar May Hai? ۩ “(Ay Nabi)Kahiye Ke Ay Allaah Ay Baadshahat Ke Malik,Tu Jisko Chahe Baadhshahat De,Jisay ChaheBaadshahat Cheenle Aur JisKo Chahe Izzat De Aur Jisay Chahe Zillat De,Har Tarah Ki Bhalayi Tere Hi HaatMay Hai Aur Beshak Tu Har Cheez Par Qaadir Hai”.[Quran 3:26]”BeShak Izzat To Sub Allaahi Ki Hai”.[Quran 4:139]. ۞62. Rizq May Faraqi Aur Tangi Kiske Iqtiyar May Hai? “Allaah Apne Bando Mi Se Jiske Liye Chahta Hai Rizq Faraq Kardeta Hai Aur Jiske Liye Chahta Hai TangKar Deta Hai”.[Quran 29:62]”Beshak Jin Hastiyo Ko Tum AllaahKe Alawa Poojte Ho,Wo TumKo Rizq Dene Ka Iqtiyar Nahi Rakte.PasAllaahi Ke Ha Se Rizq Talab Karo Aur UsiKi Ibadat Karo Aur UsiKa Shukar Karo”.[Quran 29:17]. ۞63. Allaah Farmata Hai “Ay Mere Bando!Tum Sub Bhuke Ho Siwaye UsKe JisKo My Khilau,Lihaza KhanaMujhSe Manga Karo.Ay Mere Bando! Tum Sub Nange Ho Siwaye Uske Jisko My Kapde Pehnau.LihazaKapde MujhSe Manga Karo My Tumhe Kapde Pehnau Ga”.[Muslim:2577]”Ay Logo!Tum Sub Allaah Ke Mohtaj Wa Faqeer Ho Aur Allaahi Be’Niyaz Aur Khubiyo Wala Hai”.[Quran35:15]. ۞64. Bimari Se Shifa Dena Wala Koun Hai? ۩ “Aur Jab My Bimar Padta Hu To Allaahi Mujhe Shifa Deta Hai”.[Quran 26:80]Sallellahu’Alaihi Wasallam Jab Kisi Bimar Ke Liye Dua Karte to Kehte “Ay Logo Ke Rabb Is Bimari Ko DoorKarde,Shifa Ata Farma,Tuhi Shifa Dene Wala Hai,Teri Shifa Ke Siwa Koyi Shifa Nahi,Aisi ShifaDe Ke KoyiBimari Na Cho’De.[Bukhari:5675, Muslim:2191]. ۞65. Kya Kisi Ko Khush Karne Ke Liye Aamaal Karne ChaHiye? ۩ “Aur Jo Shak Aise (Nek) Kaam Allaah Ki KhushNudi Haasil Karne Keliye Karega To Hum Usko Ajar AzeemDenge”.[Quran 4:114] Aap Sallellahu’Alaihi Wasallam Ne Kaha”Kya My Tumhe Wo Cheez Na Batau Jiska Dajjal Se BadKar MujheKhouf Hai.Wo Shirk ke Qafi Hai.Aur Wo ye Hai Ke Aadmi Apni Namaz Ko Zyada Achhi Tarah Ada Kare JabLog Usay Dekh Rahe Ho”. [Ibn Maja:4204]Dikhave Keliye Nek Amaal Karna Shirk Hai. ۞66. Darna Kissay Chahiye? ۩ “Kya Tum UnSay Darte Ho Halake Allaahi Zyada Mustahiq Hai Ke Tum Uska Darr Rakho Agar Tum ImaanRakhte Ho”.[Quran 9:13]Nafa Nuksan Allaahi Ke Haat May Hai.Is Liye Darna Bhi Usi Say Chahiye.Logo Say Is Tarah Darna Goya WoNafa Nuksan Pahuchane Par Khadir Hai,Jayaz Nahi. ۞67. SubSay BadhKar Mohabbat Kissay Honi Chahiye? “Aur Baaz Log Aisay Hai Jo Doosro Ko Allaah Ka Shareek Tehrakar UnSay Wo Allaah Kisi Mohabbat KarteHai.Aur Momin To Shadeed Mohabbat Allaahi Say Karte Hai”.[Quran 2:165]. ۞68. Tareef Ka Haqdaar Koun hai? ۩ “Har Qisam Ki Tareef Allaah Ke Liye Hai Jo Tamam Jahano Ka Paalne Wala Hai”.[Quran Sure Fatiha]”Aur Zameen May Jitne Daraqt Hai Sub Qalam Ban Jaye Aur Samundar Siyahi Ban Jaye Aur Uske BaadSath Samundar Aur Siyahi Ban Jaye To Allaah Ke Kalimat Qatam Nahi Ho Sakte.Beshak Allaah GalibHikmat Wala Hai”.[Quran 31:27]. ۞69. Subsay Zyada Khouf Kiska Hona Chahia? ۩ “Bila Shuba Ye Shaitan Hai Jo Tumhe Apne Dosto Say Darata Hai.Lihaza Tum Unsay Na Darna Aur MujhiSay Darte Rehna Agar Tum Momin Ho”.[Quran 3:175]”Bila Shuba Allaahki Masjide Wahi Abaad Karte Hai Jo Allaah Par aur Aqirat Par Imaan Latey,NamazQayim Karte Aur Zakat Adaa Karte Hai Aur AllaahKe Siwa Kisi Say Nahi Darte.Anqareeb Yahi Log HidayatAafta Hai”.[Quran 9:18]”Aur Baaz Log Aisay Hai Jo(Zabani) Kehte Hai Ke Hum Allaah Par Imaan Laye.Lekin Jab Unhe AllaahKiRaah May Koyi Takleef Pahunchayi Jati hai To Wo Logo Ki Takleef Yo Samajhte Hai Goya Allaah KaAzaab”.[Quran 29:10]”Jo AllaahKo Khush Karna Chahe;Chahe Log Naraz Ho To Allaah Usay Logo Say BeParwa Kar Dega.Aur JoLogo Ki Khush Noodi qatir Allaah Ko Naraz Kare Allaah Usay Logo Ke Supurd Kar Dega”.[Tirmizi:2414] ۞70.”Meri Ummat Ke 70000 Log Jannat May Bina Hisaab-Kitaab Jayenge.Ye Wo Log Hai Jo Jhad-PhoonkNahi Karwatay,Na Badfali Lete Hai,Na Daag Lagwatay Hai Aur Sirf Allaah Par Bharosa KarteHai”[Bukhari: 6472, Muslim:220]”Momino Ko Allaahi Par Bharosa Rakhna Chahia”[Quran 3:122]. ۞71. Kya Momin Allaah Ki Rehmat Say Mayoos Hota Hai? ۩”Allaah Ki Rehmat Say Mayoos Sirf Gumrah Log He Hotay Hai”.[Quran 15:56]”Allaah Ne Us Kitab May Jo Uskay Paas Arsh Par Hai Likh Diya Hai Ke Beshak Meri Rehmat Mere GussayPar Galib Hai”.[Bukhari:3194,Muslim:2715] ۞72. Hamesha Zinda Rahne Wali Zaat Kounsi Hai? ۩”Allaah Ke Siwa Koyi Mabood Nahi,Wo (Hayyul-Qayyum) Zinda Aur Wo Sub Ko Thamne WalaHai”.[Quran 2:255]”Zameen Par Jo Hai Sub Fanah Hone Wale Hai Aur Sirf Tumhare Rabb Ka Chehra Baqi Rahega Jo AzmathAur Izzath Wala Hai”.[Quran 55:26,27] ۞73. Kya Aap sallAllahu’alayhi’wa’sallam Bhi Fouth Ho Gaye hai? ۩”Aur Muhammed ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм To Sirf Allaah Ke Rasool Hai. Un Ke Pehle Bhi Bahut Say Rasool Ho Guzre Hai.Bhala AgarYe Intqaal Farma Jaye Ya Shaheed Kar Diye Jaye To Kya Tum Islam Say Apni Yediyo Ke Bal Fir Jaoge Aur JoKoyi Apni Yedio Par Fir Jaye Wo Allaah Ka Kuch Nuksaan Na Kar Sakega.Allaah Shukar Guzaro ko BadaSawab Dega”.[Quran 3:144]”Yaqeenan Khud Aap(SallallahuAlaihiWasallam)K o Bhi Mout Ayegi Aur Ye Sub Bhi Marne WalayHai”[Quran 39:30][Bukhari Jild:5,Baab:57,No:19. ۞74. Kya Shaheed Zinda Hote Hai? Shaheed Wo Hota Hai Jo Jihad May Qatal Ho Jaye.Jihad May Zinda Bachne Wale Ko Gazi KahteHai.Shaheed Duniyawi Lihaz Say Fouth Ho Jata Hai.Uski Biwiya Bewa Ho Jati Hai.Aulad Yateem Ho JateHai,Jaydat Takseem Ho Jati Hai,Shaheed Ko Log Dafan Kar Dete Hai.Maloom Huwa Shaheed DuniyawiLihaz Say Fouth Ho Jata Hai Magar Allaah KeHa Wo Zinda Hota Hai.Shaheed Ki Zindagi kaise Hoti Hia?”Balke Wo(Shaheed)Zinda Hai,Apne RabbKe Paas Rozia Diye Jate Hai”.Quran 3:169″Balke Wo Zinda Hai Lekin Tum Shuhoor Nahi Raqte”.Quran 2:154. ۩ 75.”Shaheedo Ki Arwa(Rooh) Sabz Rang Ke Parindo Ke Qalb May Hai.Arsh Ki Qandelia Unke Liye Hai,SariJannat May Jaha Kahi Chahe Khaye Piye Aur Un Qandalio May Araam Kare”.[Muslim:1887]. ۞ 76. Kya Shaheed Duniya May Aate Hai? ۩ Ek Dafa Allaah Ne Shaheedo Say Daryaft Kiya Ke “Kuch Chahte Ho”?Arz Karne Lage “Ya Allaah Aur KyaMange.Sari Jannat May Jaha Say Marzi Khaye-Piye Humay Iqtiyar Hai.Fir Kya Talab Kare”.Allaah Ne Jabdoosri,Teesri baar Fir Sawal Kiya.Jab Unhone Dekha Ke Bagai Maange Chaara Nahi To Arz Kiya “AyHumare Rabb Humari Rooho Ko Kismo Ki Taraf Louta De Taki Hum Duniya May Jakar Fir Teri Raah MayJihad Kare Aur Shaheed Ho”.Ab Malun Hogaya Ki Unhe Kisi Aur Cheez Ki Haajat Nahi Aur Unse PoochnaChod Diya Ke Kya Chahte Ho.[Muslim:1887]. ۞77. Kya Shaheed Duniya Me Aakar Logo Ko Jannat Ke haalat Bata Sakte Hai? ۩ Shaheed Jab Jannat Ki Niamato Ko Dekhega To Kahega”Kehne Laga Ay Kash Meri Khoum Ko Bhi ilm Ho Jata ke Mere RabbNe Mujhe Baqash Diya Aur Izzat WaloMayse Kardiya”.[Quran 36:26,27]Malum Huwa Ke Fouth HoneWalo Ko Zinda LogoSe Koyi Raabta Nahi Hota. ۞78. Qiyamat Ke Din Koun Sifarish Kar Sakenge? ۩ “Jis Din Roohul’Ameen Aur Farishte Saff BandKar Khade Honge To Koyi Kalam Na Kar sakega Magar JiskoRehmaan Ejazat Baqshe Aur Wo Theek Baat Zaban Say Nikalay”.[Quran 78:38]”Koun Hai Jo Uski Ijazat Ke Bagair Uske Samne Sifarish Kar Sakay”.[Quran 2:255]. ۞79. Aap Sallellahu’Alaihi’Wasallam Qiyamat Ke Din Subse Pehle AllaahKe Samne Sajda Rez Honge,Uski hamd Wa Sana Bayan Karenge, Fir Aapko Hukum Hoga Ke Apna Sir Uthao, Aapki Baatko Suna Jayega, Jo mango Ge Wo Diya Jayega Aur Sifarish Karo AapKi Sifarish Qubool Ki Jayegi.[Bukhari:4712,Muslim:194]. ۞80. Sifarish KinKe Haq Me Qubool Hogi? ۩ “Aur Bahut Say Farishte Aasmano May Hai Jinki Sifarish Kuch Bhi Fayada Nahi Deti Siwaye Usko Jiske LiyeAllaah ijazat Baqshe Aur Sifarish(Sunna) Pasand Kare”.[Quran 53:26]”Aur Allaah Ke Ha Kisike Liye Sifarish Fayada Na Degi Magar Uske Liye Jiske Bare May Wo IjazatBaqsheGa”.[Quran 34:23]”Wo(Allaaah Ke Paas)KisiKi Sifarish Nahi Karte Siwaye Us Shaqs Ki Jisse Allaah Khush Ho”.[Quran 21:28]Sallellaahu’Alaihi Wasallam Ne Farmaya”Meri Sifarish Ka Fayada Har Us Shaqs Ko Pahunchega Jo ShirkSay Bach Bachakar Zindegi Guzargaya”.[Muslim:199]. ۞81. Hum Kisse Dua Kare Ki Nabi Alaihis Salam Humare Haq May Sifarish Kare? ۩ “Kehdo Ke Shafa’at Sari Ki Sari Allaahi Ke Iqtiyar May hai”[Quran 39:44] Nabi Alaihis Salam Ne Ek Sahabi Ko Dua Ke Liye Istarah Taleem Di “Ay Allaah Mere Mutalluk Sallellaahu’Alaihi Wasallam Ki Sifarish Qubool Farma”.[Bukhari:3578]. ۞82. Kya Duniyavi Umoor May Zindo Say Sifarish Karana Jayaz Hai? ۩ “Jo BhalayiKi Sifarish Karega Wo UsMay say Hissa(Sawab) Payega Aur Jo Burayi Ki Sifarish Karega WoUsMay say Hissa(Gunah) Payega”.[Quran 4:85]Sallellahu’Alaihi’Wasallam Na Farmaya “(Acchayi Keliye)Sifarish Kiya Karo,Aisa Karne Say Tumhe AjarMilega”.[Bukhari:1432 Muslim:2627]. ۩83.”Aur Beshak Humne Har Ummat May Rasool BhejeKe AllaahKi Ibadat Karo Aur Ta’ghut(AllaahKe SiwaJIn-JinKi PujaKi Jaye)say Bacho”.Quran 16:36″Jo Koyi Ta’Ghut Ka Inkaar Kare Aur Allaah Par Imaan Laye Usne Aisa Mazboot Kada Thaam Liya Jo KabhiNa Toote (break) Ga”.[Qur’an 2:256]”Ay Aulad Adam Kya My Ne(Allaah Ne) Tumse Ahad Nahi Liya Tha Ke Shaitan Ki Ibadat Na Karna WoTumhara Khula Dushman Hai”.[Qur’an 36:60]. ۞84. Kya Hukmuran Bhi Tagoot Hai? ۩ “Aur Jo Allaah Ke Nazil Kiye Huye Ahkaam Ke Mutabiq Faisla Na Kare Wo Kafir Hai”.[Quran 5:44]. Kya Tumne UnLogoko Nahi Dekha Jo DawaTo Ye Karte Hai Jo Aap Par Aur Aapse Pahle Nazil HuwaUnSubPar Imaan Raqte Hai Magar Chahte Ye Hai Ke Apna Muqaddama TagootKe Paas LeJakar FaislaKarwaye HalanKe Unko Isse Kufr KarneKa Hukum Diya Gaya Hai Aur Shaitan Unko Doorki Gumrahi MayDalna Chahta Hai.(Quran 4:60)”Unhone(Yahood Wa Nasara) Apne Ulama Aur Darvesho(Monks)Ko Allaah ke Siwa Apna Rubb Bana LiyaHai….”.(Quran 9:31). ۩ 85.”Rasool’Allaah Ke Hukum Ki Muqalifat Karne Walo Ko Darna Chahia Ke Kahi Unpar Koyi Zabar’DastAafat Na Aa’Pade Ya Unpar Dard’Naak Azaaa Na Aazaab Na Aajaye”.[Quran Sura Noor Ayath.63][Quran24:63] ۩ 86. Allaah ke Nazdeek Deen Kya Hai? “Beshak Allaah ke Nazdeek Deen Sirf Islaam Hai”. [Quran Sura.3:Ayath.19]”Logo Tumhare Rabb Ki TarafSe Jo Nazil Huwa Hai Uski Pairvi Karo Aur Uske Alawa AuliyaKi(Man’GhadatSarParasto Ki)Pairvi Na Karo”.[Quran 7:3]”Aur Jo Shaks Islam Ke Alawa Aur Deen Talaash Kare Uska Deen Usse Hargis Qubool Nahi Kiya Jayega AurAisa Shaks Aqirath May Nuksaan Uthane Walo Mayse Hoga”.[Quran 3:85]. ۩87. “Aur HumNe Aap Par Ye Kitab Nazil Ki Hai Ta’Ke Logo Ki Janib Jo Nazil Farmaya Gaya Hai Aap UsayKhol’Khol Kar Bayan Karde”.[Qur’an 16:44]”Aur Wo(NABI) Apni Khwahish Say Koyi Baat Nahi Kehte Wo To Sirf Wahi Hai Jo Utari Jati Hai”.[Quran53:3,4]”Jisne Rasool Ki ita’at Ki Pas Tehqeeq Usne Allaah Ki ita’at Ki”.[Quran 4:80]. ۩88.”Pas Agar Kisi BaatMe Tumme iqtilaf Wa’Qe Hoto Agar Tum Allah Aur Roze AqiratPar iman RaqteHoTo Usay Allah Aur Uske RasoolKi Taraf Ruju Karo”.[Quran 4:59]Maloom Huwa Islam Allaah Aur Uske Rasool Sallallaahu Alaihi Wasallam Ki Pairwi Ka Naam Hai.

EID KI RAAT QABRO KI ZIARAT

EID KI RAAT QABRO KI ZIARAT

Question :
Hamari basti mai yh rivaj hai k log eid ul fitter aur eid ul azha ki raat qabrustan mai jaty hain,apny murdon ki qabron per charaag jalaty aur haffaz ko bula ker Quran parhaty hain.kia yh fail sahi hai?
Answer :
yh fail batil,haram aur Allah Ta'ala ki la'anat ka sabab hai Qk Nabi (S.A.W) qabron ki bohat ziadah ziarat kerny wali aurton aur qabron per masjiden banany aur in per charaag jalany walon per la'anat farmai hai.Eid ki raat ya eid k din batour khas qabron ki ziarat ki ho balky App (S.A.W) ny farmaya hai:

"apny apko deen mai nae nae batyn kerny sy bachau Qk deen mai ejad ki gaee her nae baat bidaat hai,her bidat gumrahi aur her gumrahi jahhunum mai ly k jany ka sabab hai." 1
1 sanan abi daud'hadis:4607'wama baun al qousain nasai'hadis:1579.
Admi ko chaheye k wo apni ebadat aur her es kaam k liye jisy wo taqarrub Elahi k hasool l liye kerna chahta ho yh dekhy k es k bary mai Allah Ta'ala ki shariyat mai kya hukam hai?Qk asool yh hai k ebadaat mai asal muma'anat hai Ella yh k koi aesi dalil majood ho jis sy maloom ho k shariyat ny eska hukam dia hai.saeel ny eid ki raat qabron per charag jalany k bary mai jo sawal kia hai to eska jawab yh hai k es baat ki dalil majood hai k yh mamnu aur kabera gunaah hai jesa
k mai abhi biyaan ker aaya hoon k Nabi (S.A.W) ny qabroon ki bohat ziadah ziarat kerny wali aurton aur qabron per masajid banany walon per la'anat farmai hai. (shiekh Ebn-e-aasimeen)

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

ASMA E BAR I TA'ALA PER MUSHTAMIL KAGAZAAT KA HUKAM

ASMA-E-BARI TA'ALA PER MUSHTAMIL KAGAZAAT KA HUKAM

Question :
Baaz oqaat akhabarat o rasaeel mai Quran Majeed ki kuch ayaat hoti hain, issi tarhan baaz kagazat aur khatot ki ebtida mai "BIsmillah Hirrehman nirraheem" likhi hoti hai,sawal yh hai k aisy akhbarat o rasaeel aur khatot parhny k baad in ayaat kakiakiya jaye?inhe phara jaye,jalaya jaye ya kiakiya jaye?
Answer :
Aisy akhbarat o rasaeel aur khatot parhny k baad in ki hifazat zarori hai ya phir inhe jala dia jaye ya kisi pak jagah mai dafan ker dia jaye.maqsad yh hai k Qurani Ayaaat aur Asma-e-Bari Ta'ala ko touhin sy bachaya jaye,lehaza inhyn kory kirkit k dherun ya bazaron mai phenkna, aisy kagazat sy lifafy banana ya khany k liye dastar khuwan k tour per najiaz hai.Is tarhan muqadas ayyat aur asmaeelahi ki touhin hoti hai aur inka taqaddus pamaal hota hai. (Shiekh Ebn-e-baz)

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

TAWAKKAL KI HAQIQAT

TAWAKKAL KI HAQIQAT

Question :
Allah Ta'ala ki zaat grami per tawakkal k yh maeni nahi k tera ki jany bagair app darya mai chalang laga dyn ya mashaq kiye bagair kisi game mai hissa ly ker shukriya ka mouqa'a bakhshe gain!
Answer :
Tawakkal Ali Allah ka yh matlab hai k kaam ko Allah wahda o lashrik k sapurd ker dia jaye aur yh wajib hi nahi balky emaan ka aik aham asool hai.Irshad bari Ta'ala hai:

"Aur Allah per hi tawakkal rakhu agar tum momin hu"2
2 Almaidaah 23:5.
matlob o maqsood k hasool k liye tawakkal aik taqatwarmanvi sabab hai lekin momin ko chaheye k wo id k sath sath deegar mumkin asbab ko bhi ekhtiyar kary,khuwah inka ta'aluq ebadat sy ho,Maslan: dua,namaz,sadqa aur sulah rehmi wagaira ya in ka ta'aloq madiyat sy ho k qwanin fitrat k mutabik Allah TA'ala ny in asbab ko masbubat k sath mila dia hai jesa k in misalun sy wazeh huta hai jinhain saeel ny apny estafta mai zikkar kia hai. Rasool Allah (S.A.W) ki iqtada ka bhi yehi taqaza hai k app sab sy behtarin matwakkal thy aur app Allah Ta'ala ki zaat garami per kamaal darja k tawakkal k sath sath degar munasib asbab ko bhi ikhtiyar farmaya kerty thy.pus jo shakhs dastiyabi k bawajood degar asbab ko tark ker dy aur mehaz tawakkal per iktifa kary to iska yh amal Rasool (S.A.W) ki sunnat k mukhlif hai aur iska is amal ko sharai tawakkal k bajaye ajazi ya kam himti kaha jayega. (peace be upon him)
(Fatwa commettie)

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

NOOR YA BASHAR

Bismillahirrahmanirraheem

NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-10)

YAQEENAN NABI MUHAMMAD SALLALAHO ALAIHI WASALLAM INSAAN HAIN :

Allah Tala Ka Irshad Hai

“(Farishtey) Ibraheem Ke Paas Khush’khabri Lekar Pahunche , Salam Kaha Unhone Bhi Salam Kaha, Be’ghair Takheer Gaaye Ka Bhuna Ghost Le Aaye, Ab Jo Dekha Ki Inke Haath Bhi Iski Taraf Nahin Badhte Toh Inki Ajnabi Samjhkar Dil Hi Dil Me Khauff Karne Lage, Inhone Kaha Daro Mat, Ham Qaum E Loot Ki Taraf Bheje Hue Aaye Hain”

(Surah Hud Ayat No. 69-70)

Malum Hua Agar Koi Noori Makhlooq Insaani Duniya Me Bhi Aayega Toh Wo Khana Peena Nahin Khayega, Ye Aayat Itni Zabardast Daleel Pesh Karti Hai Ki Baatil Parast Aundhe Muh Gir Padte Hain,

Noori Makhlooq Ko Na Bhook Lagti Hai Na Pyaas, Na Unke Khoon Nikalta Hai Na Dard Hota Hai, Aur Na Hi Unke Biwi Bacche Khanaadan Hote Hain, Iske Bar’asks Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Biwi, Bacche, Maa –Baap, Rishteydar Sab They, Aur Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Taif Me Zar’kob Kiya Gaya Toh Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Khoon Nikla Aur Jootiyan Khoon Se Bhar Gayin, Aur Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Bhook Pyaas Bhi Lagti Thi, Fir Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Noori Makhlooq Kaise Ho Sakte Hain ??

Jo Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Noori Makhlooq Mane Toh Goya Usne Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Mazaaq Udaaya, Goya Usne Kaha Ki

“Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Agar Deen Ki Raah Me Bhooke Pyaase Rahe Toh Kya Hua Aap Noori Makhlooq They, Aapko Bhook Aur Pyaas Lagti Hi Nahin Thi, Aur Job Hook Aur Pyaas Ki Wajah Se Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Apne Pet Par Pathar Baandhe They (Naozubillah) Wo Drama Karte They”

Chunanche Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Jo Aziyat Sahi, Taif Me Patthar Khaaye, Uhud Me Daant Mubarak Tak Shaheed Ho Gaye Wagerah Sab Bekaar Gaya, Kyonki Noori Makhlooq Ko Dard Ka Ehsaas Nahin Hota, Hatta Ki Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Saari Haayat E Mubaaraka Ki Saari Qurbaaniyan Noori Kah Kar Zaaya Kar Diya Aur Aakhirat Me Bhi Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Koi Bulandi Nahin Hogi Kyonki Ummat Kahegi

“Allah Namaz, Roza, Hajj, Zakaat, Buraiyyon Se Bachna , Jihad Karna, Taqwa Akhtiyar Karna Wagerah Bahut Kathin Kaam Hai Isiliye Ham Nahin Kar Sake,

Allah Farmayega: ”Kyon Na Kar Sake? Tumhare Darmiyaan Hamara Nabi Tha Usne Toh Ye Sab Kar Liya Aura Mal Karke Dikha Diya, Fir Tum Kyon Na Kar Sake??”

Ummat Kahegi:-”Unhe Maaro Toh Chot Lagti Nahin, Dard Hota Nahin, Toh Agar Unhone Jihad Kar Diya Toh Kaunsa Kamala Kar Diya, Unhone Musibat Sahi Faaka Kiya Aur Roze Rakhe Toh Kaunsa Teer Maar Diya, Unhe Bhook Pyaas Lagti Nahin, Haan ! Agar Tune Hamare Beech Hamari Hi Jinss  Ke Insaan Ko Nabi Banaakar Bhejta Aur Wo Hamare Darmiyaan Rahkar Ye Saare Kaarnaame Karta, Agar Fir Ham Aisa Amal Na Karke Aate Toh Hamari Ghalti Thi”

Batao Naadano!! Tumne Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Noori Kah Kar Nabi E Kareem Ki Tauheen Toh Ki Hi, Allah Ki Hikmaton Ko Bhi Challenge Kar Daala Jiski Hikmat Aur Tadbeer Sab Se Aala Wa Afzal Hai

DALEEL NO.2

“Maseeh Maryam Ka Beta Toh Sirf Ek Paighambar Hi Toh Hai, Aur Isse Pahle Bhi Kai Paighambar Ghuzar Chuke Hain Aur Uski Maa Ek Siddeqa (Sacchi) Thi, Dono Khana Khate They”

(Surah Maida Ayat No 75)

Wah Khana Khaate They Isliye Wah Allah Tala Ke Juzz (Tukde) Nahin They, Allah Tala Chaahta Toh Kaaynaat Ki Badi Si Badi Misaal De Sakta Tha Lekin Allah Tala Ne Bashariyat Ke Liye Sirf Khana Khane Ki Misaal Dekar Allah Aur Bande Ka Farq Waazeh Kiya Aur Isme Itni Hikmat Posheeda Hai Ki Aqal Wala Sajde Me Gir Jaaye, Jo Khane Ka Mohtaaj Ho Wo Allah Tala  Ka
Tukda Kaise Ho Sakta Hai,

DALEEL NO. 3

Al Walaa walbarah


اسلامی عقیدہ کا اہم پہلو الوَلاء والبراء

وَلاء کے معنی بیان کرتے ہوئے امام راغبؒ نے فرمایاہے کہ ’ولائ‘ کے اصل معنی
’’دو یا دو سے زیادہ چیزوں کااس طرح یکے بعد دیگرے آنا کہ ان کے درمیان کوئی ایسی چیز نہ آئے جو ان میں سے نہ ہو۔ پھر یہ لفظ استعارہ کے طور پر قرب کے معنی میں استعمال ہونے لگا ہے، خواہ وہ قرب بلحاظ مکان ہو یا بلحاظِ نسب، یا بلحاظِ دین اور دوستی و نصرت کے ہو، یا بلحاظِ اعتقاد کے۔ ‘‘ (المفردات،ص۵۵۵)
اسی سے لفظ ’ولی‘ ہے جس کی ضد ’عدوّ‘ (دشمن) ہے اور اسی سے ’الموالات‘ اور ’المواسات‘ ہے جس کے معنی میں تقرب، دوستی، تعاون، مدد، صلح، اور غم خواری کا مفہوم پایا جاتاہے۔
وَلاء کے مقابلے میں بَراء ہے جس کے اصل معنی:کسی ناپسندیدہ اور مکروہ امر سے نجات حاصل کرنا کے ہیں۔ اسی لئے کہا جاتاہے:
براء تُ من المرض’’میں تندرست ہوگیا، میں نے بیماری سے نجات پائی۔‘‘
اوریوں بھی کہا جاتا ہے:
براء تُ من فلان یعنی ’’میں فلاں سے بیزارہوں۔‘‘
گویا’ولائ‘ میں موالات ہے اور ’برائ‘ میں انقطاع اور بیزاری مراد ہے اور یہ دونوں حقیقۃً ’محبت‘ اور’بُغض‘کے تابع ہیں اور یہی دونوں ایمان کی بنیادی صفات ہیں۔ رسول اللہﷺ کاارشاد ہے :
’’من أحبّ ﷲ وأبغض ﷲ وأعطٰی ﷲ ومنع ﷲ فقد استکمل الإیمان‘‘
’’ جس نے اللہ کے لیے محبت کی اور اللہ کے لیے دشمنی ،اللہ کے لیے دیا اور اللہ کے لیے نہ دیا تحقیق اس کا ایمان مکمل ہو گیا۔‘‘ (السلسلۃ الصحیحۃ:۳۸۰)
حضرت عبد اللہ بن عبا سؓ سے مروی ہے کہ نبی کریمﷺ نے فرمایا:
’’أوثق عری الإیمان،الموالاۃ في اﷲ والمعاداۃ في اﷲ والحب في اﷲ والبغض في اﷲ‘‘ (الطبراني؛ السلسلۃ الصحیحۃ : ۱۷۲۸)
’’ ایمان کی بلندی یہ ہے کہ اللہ کے لیے دوستی ہو،اللہ کے لیے دشمنی ہو، اللہ کے لیے محبت ہو اور اللہ کے لیے بغض ہو۔‘‘
اللہ سے محبت کا تقاضا ہے کہ اللہ کے انبیاے کرام اوران کے اطاعت گزاروں سے محبت کی جائے اسی طرح اللہ اور اس کے انبیاے کرام کے دشمنوں سے دشمنی اورعداوت رکھی جائے اور ان کے نافرمانوں سے علیٰ حسب الدرجات بغض رکھاجائے۔
شیخ الاسلام حافظ ابن تیمیہؒ نے فرمایا ہے:
’’علی المؤمن أن یعادي في اﷲ ویوالي في اﷲ فإن کان ھناک مؤمن فعلیہ أن یوالیہ، وإن ظلمہ، فإن الظلم لایقطع الموالاۃ الإیمانیۃ وإذا اجتمع في الرجل الواحد خیر وشر وفجور، وطاعۃ ومعصیۃ، وسنۃ وبدعۃ استحق من الموالاۃ والثواب بقدر ما فیہ من الخیر، واستحق من المعاداۃ والعقاب بحسب ما فیہ من الشر‘‘ (مجموع الفتاویٰ:۲؍۲۰۸، ۲۰۹)
اللہ سبحانہ و تعالیٰ نے قرآنِ پاک میں متعدد مقامات پر مؤمنوں اور کافروں کے مابین موالات کی نفی کی ہے۔ چنانچہ ارشاد ہوتا ہے:
٭
{یٰاَیُّھَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا لَا تَتَّخِذُوْا الْیَہُوْدَ وَالنَّصَارٰی اَوْلِیَائَ بَعْضُھُمْ اَوْلِیَائُ بَعْضٍ وَمَنْ یَّتَوَلَّھُمْ مِنْکُمْ فَإنَّہُ مِنْھُمْ} (المائدۃ:۵۱)
’’اے ایمان والو! یہود اور نصاری کو دوست نہ بناؤ یہ ایک دوسرے کے دوست ہیں اور جو شخص تم میں سے ان کو دوست بنائے گا وہ بھی انہیں میں سے ہو گا۔‘‘
٭
{یٰاَیُّھَا الَّذِیْنَ آمَنُوْا لَاتَتَّخِذُوْا الْکٰفِرِیْنَ اَوْلِیَائَ مِنْ دُوْنِ الْمُؤمِنِیْنَ}
’’ اے اہل ایمان! مومنوں کے سوا کافروں کو دوست نہ بناؤ۔‘‘ (النسائ: ۱۴۴)
٭
{یٰاَیُّھَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا لَا تَتَّخِذُوْا عَدُوِّیْ وَعَدُوَّکُمْ اَوْلِیَائَ} [الممتحنۃ:۱]
’’مؤمنو! اگر تم میری راہ میں لڑنے اور میری خوشنودی طلب کرنے کے لیے نکلے ہو تومیرے اور اپنے دشمنوں کو دوست مت بناؤ۔‘‘
٭
{یٰاَیُّھَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا لَاتَتَّخِذُوْا اٰبَائَ کُمْ وَاِخْوَانَکُمْ اَوْلِیَائَ اِنِ اسْتَحَبُّوْا الْکُفْرَ عَلَی الِایْمَانِ وَمَنْ یَتَوَلَّھُمْ مِنْکُمْ فَاُؤلٰئِکَ ھُمُ الظَّالِمُوْنَ} (التوبہ:۲۳)
’’اے اہل ایمان! اگر تمہارے ماں باپ اور بہن بھائی ایمان کے مقابل کفر کو پسند کریں تو ان سے دوستی نہ رکھواور جو ان سے دوستی رکھیں گے وہ ظالم ہیں۔‘‘
٭
{یٰاَیُّھَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا لَا تَتَّخِذُوْا الَّذِیْنَ اتَّخَذُوْا دِیْنَکُمْ ھُزُوًا وَّلَعِبًا مِنَ الَّذِیْنَ أوْتُوْا الْکِتَابَ مِنْ قَبْلِکُمْ وَالْکُفَّارَ اَوْلِیَائَ وَاتَّقُوْا اﷲَ إنْ کُنْتُمْ مُؤمِنِیْنَ} (المائدۃ: ۵۷)
اے ایمان والو! جن لوگوں کو تم سے پہلے کتابیں دی گئی تھیں ان کو اور کافروں کو جنہوں نے تمہارے دین کو ہنسی اور کھیل بنا رکھا ہے دوست نہ بناؤ اور مومن ہو تو خدا سے ڈرتے رہو۔‘‘
اس موضوع کی اور بھی آیاتِ مبارکہ ہیں مگر یہاں استیعاب مقصود نہیں۔ اس اہم حکم نافرمانی کے نتیجہ سے اللہ تعالیٰ نے ہمیں خبردار کیا ہے کہ
{وَالَّذِیْنَ کَفَرُوْا بَعْضُھُمْ اَوْلِیَائُ بَعْضٍ إلَّا تَفْعَلُوْہُ تَکُنْ فِتْنَۃٌ فِیْ الْاَرْضِ وَفَسَادٌ کَبِیْرٌ} (الانفال:۷۳)
’’اور جو لوگ کافر ہیں

ASAL IMAM KAUN ??

Bismillahirrahmanirraheem

Asal Imaam Kaun?

Rasool {sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} hi wo hasti hai jis ko apne tamaam ikhtalaf me faisla karne wala manna aur uske faisle ko bila jhijhak taslim karna haqiqi Emaan hai,

jaisa ke irshad bari taala hai:- Qasam hai tere parwardigar ki! ye Emaandar( momin) nahi ho sakte jab tak ke tamaam aapas ke ikhtilaaf me apko hakim na maan le, phir jo faisla aap inme karde inme se apne dil me kisi tarah ki tagdasti aur nakhoshi na paye aur farmabardari ke sath qubool kare.

( *Surah-Al- Nisha, Aayat-No---65 * )

imaam se muraad wo imaam nahi jo namaaz padhata ho,

imaam se muraad wo imaam nahi jo kisi fun me maharat rakhne ki waja se is fun me imaam kahlata ho,

imaam se muraad wo imaam nahi amir-wa-hukmaran ho,

imaam se muraad wo imaam nahi jo kisi neki me pahal karne ki waja se dosron ke liye pesh-ro ban jaye

balke imaam se murad wo imaam hai jisko Allah-Taala ne munsaf-wa-imaamat se sarfaraz farmaya ho,

jiska har hukum wajib- e-ittaba ho,

, jiska har amal aur baat hidayat ho balke qayamat tak ke liye dayemi ho aur jo masoom ho,

jis se deeni baat me galti ka tasawor namumkin ho aur jiski har deeni baat wahi ho,

Hakim sirf ek hai "yani Allah-Taala" iske bando par sirf issi ka hukum chalta hai, dosron ka nahi,

lekin Allah-Taala ka hukum har bande ke pass bara-e-rast nahi pahunchta balke wo apne bandon me se kisi ek bande ko muntakhab kar leta hai aur is bande ko apne ahkamaat ko bata deta hai, phir wo banda Allah-Taala ke tamaam ahkamaat se dosron ko bata deta hai ya dosre tak pahuncha deta hai,

Aise bande ko Nabi ya Rasool kahte hain.

Har ibteda se pehle har inteha ke baad,"ZAAT-E- NABI buland hai

"ZAAT-E-KHUDA" ke baad,Dunya main ehtraam ke qabil hain jitne log,Main sab ko manta hun magar ,"MOHAMMAD-MUSTAFA{ sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’ sallam} ke baad..

Itaat-e-Ra sool Darasal Itaat-e-El ahi hai:-

Rasool bando aur Allah-Taala ke darmiyaan wasta hota hai, iske zarye Allah-Taala ki itaat hoti hai, iski itaat "yani rasool ki itaat" aaeen Allah-Taala ki itaat hoti hai,

Irshad-e-Bari-Taala hai:-

Rasool{sall’ All aahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ki jo itaat kare isne Allah-Taala ki farmabardari ki "yani itaat ki" aur jo monh pher le to humne apko kuch is par nigahbaan bana kar nahi bheja.

(Surah-Al-Nisha , Aayat-No---80 * )

Rasool khud apni itaat nahi karata balke iski itaat Allah-Taala ke hukum se ki jati hai,

Allah-Taala farmata hai:- humne har Rasool ko sirf issi liye bheja ke Allah-Taala ke hukum se iski farmabardari "yani itaat" ki jaye.

(Surah-Al-Nisha , Aayat-No---64)


kyon ke itaat (jaisa ke hum pahle bata chuke hai) sirf Allah-Taala ka haq hai, lihaza begair iske hukum ya ejazat ke kisi dusre ki itaat nahi ki jasakti, agar koi shakhs begair Allah-Taala ke hukum ya ejazat ke dosre ki itaat karta hai to goya isne dosre shakhs ki itaat me Allah-Taala ka shareek bana liya,

ye Allah-Taala ka kaam hai ke wo apne kisi bande ki itaat ko insano par farz qarar de,

agar bande khud kisi ko itaat ke liye muntakhab karle to goya wo khud *Aala* ban baitha,

Allah-Taala ke haq aataye- risalat par khud Qabz ho gaye aur ye shirk hai,

Allah-Taala farmata hai:- Allah hi khoob janta hai ke kaha wo apni paigambari rakhe"yani wo apni Risalat kisko ata farmaye"

(Surah-Al-Anaam , Aayat-No--- 124)

ASAL IMAM KAUN?? (PART 2)

Bismillahirrahmanirraheem

Imaam Banana ALLAH-TAALA Ka Kaam Hai

lihaza wo " yani Allah" jis kisi ko risalat ata farmata hai isse insano ka Imaam- wa-Mutaa bana deta hai,

Imam banana logon ka kaam nahi- jo log Rasool{sws} k elawa dosre ko apna Mutaa aur Imaam banale phir unhi ki itaat kare unhi ke fatwe ko Sanad-Akhir samjhe wo Shirk-Feeh- Alha kim ke murtakab honge,

sirf Rasool hi Allah-Taala ki taraf se tamaam insano ke liye Imam bana kar bheja jata hai,

Rasool ko Risalat ya Imamat Allah-Taala ki taraf se ata hoti hai,

Allah farmata hai:- jab Ibrahim(a.s) ko inke Rab ne kai baton se azmaya aur unhone sab ko pura kar diya to Allah ne farmaya ke main tumhe logon ka Imaam bana dunga "ya bana raha hu"

(Al-Baqrah,124)

Ibrahim(a.s) jante the ke Imaam banana sirf Allah-Taala ka kaam hai,

Lihaza wo DUA farmate hain:- "Aye Allah! meri Aulaad me se bhi(imaam banana)

(Baqrah, Aayat-No--- 124)

Allah-Taala ne farmaya:- Mera wada zalimo se nahi

(Surah-Al-Baqrah, Aayat-No-124)


is Aayat se sabit hua ke Imaam banana Allah-Taala ka kaam hai na ke insano ka

dosri baat ye sabit hui ke Imaam gunahgar nahi hota balke Masoom hota hai,

lihaza siwaye Nabi ke aur koi Imaam nahi ho sakta,

Syedna-Ibrahim( a.s) aur chand aur Rasoolon ka zikr karne ke baad Allah-Taala farmata hai:- Aur humne inhe peshwa" yani Imaam" bana diya tha ke hamare hukum se logon ko Rahbari" yani hidayat" kare aur humne inki taraf neak kamo ke karne aur namaz qayam rakhne aur zakat dene ki wahi ki aur sab ke sab hamare ibadat guzar bande the.

(Surah-Al-Ambiya, Aayat-No---73)

is Aayat ke baad bhi Allah-Taala bahut se Ambiya ka zikr farmaya hai aur inke Imaam banaye jane ki taraf ishara farmaya hai,

in Aayat se sabit hua ke Imaam banana Allah-Taala ka haq hai,

Imaam sirf Rasool hi hote hain, Rasool ke elawa agar kisi ko Imaam bana liya jaye to ye Shirk-Feeh-Alha kim hai...

AZMAT-E-BUZURGAN-E-DEEN

Bismillahirrahmanirraheem

assalam o allaikum

"Azmat-e-buzurgan-e-deen" is topic se kai sawaal uthte hain....

1- buzurg kaun hai?

2- uska maqaam aur martaba kya hai?

Agar mera kahna ghalat nahi toh yahan buzurg ka matlab.. Awliya ya wali se hai

ab sawal uthta hai ki wali kaun hai?

Wali banne ki sharait kya hain??

Unki azmat kya hai??

Kya we masoom hain??

Wali ka asal maana hai allah ka dost... Quran me wali ko allah dost maana hai...

Jo insaan taqwa , imaan par chala yani uski taraf jama raha......... Roze, zakaat, namaz wagera ki pabandi jisne ki wo jannat me daakhil hoga....

Ab ye sochne ka maqaam hai ki kya wali masoom hote hain??

Jee nahi! Wali masoom nahi hote unse ghaltiyan hoti hain... Hz umar bin khattab ra aur kuch sahabion se bhi khata hui.... Jiska example jung-e-uhud aur sulah hudaibiya aur ummul momineen hz aisha ra par lagne wali tohmat khula saboot hai ki sahabi Bhi masoom nahi...

Sahih bukhari ki hadith hai ki nabi akram sallallaho allaihi wasallam ne farmaya ki-" agar mere baad koi nabi hota to we umar hote"

yani nabi akram ke baad jo sabse bada martaba hai wo hz umar ra, hz abu bakr ra, hz usmaan ra, hz ali ra, aur baaki sahaba ka hai. Jinko jannati hone ki basharat nabi-e-paak ne di...

Ye saabit huwa ki buzurg yani wali masoom nahi unse bhi galtiyan ho sakti hai.....

Ab main apne mauzoo par aata hun... Ki buzurg ki azmat kya hai? Kitni hai??

Baaz kalimah go musalmaan(amooman barelwi hazraat) apne jalsah gaah,aur taqreeron me yah naara lagaate hai ki "ham sacche ashiq e rasool" hain

aur kahte hain ki-" jab hamare buzurgon ki azmat itni azeem hai toh hamare nabi ki azmat kya hogi"

bada point wala naara hai ye

ab gaur karne ka maqaam hai... Ki ek taraf to nabi-e-paak ki azmat ko badhaate hain to dusri taraf nabi-e-paak ki azmat ko apne pairon Ke neeche raundte chale jaate hain...

Kuch buzurgon ki azmat ka jayeza lijiye aur khud se sawaal kijiye ki kya waqai inka naara sahi hai ya sirf dhakosle baaji hai..

Ek barelwi kahta hai-" ek baar ahmad raza khan train se kahin ja rahe they, us dibbe(compartment) me ek angrez bhi tha, us angrez ne ahmad raza khan ko dekhkar kaha ye insaan(raza) itna khoosurat hai to inke nabi kitne khoosurat honge, is wajah se angrez islam le aaya aur kalmah padh liya"

ye azmat to ahmad raza khan ki thi ,inka chehra dekhkar log musalmaan ho rahe hain...

Ye aqeeda aap bareli ke kisi bhi barelwi se sun sakte hai.. Maine bhi ek barelwi se suna...

Dusri taraf hamare nabi akram sallallaho alaihi wasallam hai jo apne pyaare chacha abu taalib ki wafaat se theek pahle ro rokar kah rahe hain ki aap kalmah padh lijiye...lekin chacha kalmah na padh sake..... Abu jahal, abu lahab imaan na laaye jinko nabi akram ke daur me Hone ka sharf haasil tha...

Yahan nabi akram ke khaas ristedaar imaan nahi la rahe. To dusri tarah ahmad raza khan ki kaali shakl dekh kar angrez yani isaai islaam la raha hai..

Ab aap khud faisla karen ki kiski azmat zyada hai nabi-e-paak ki ya ahmad raza khan ki

is waqeye se to yahi lagta hai ki ahmad raza khan ki azmat nabi e paak se zyada hai,(naozubillah)

baaz log imam abu haneefa rh ke baare me bayan karte hain ki-" imam abu haneefa ne 40 saal tak ek hi wuzu se namaaz padhi"

ye kaise mumkin hai..

Iska seedha matlab huwa ki imam saab ne 40 tak na soye, na pakhana, aur na biwi se hambistari ki....

To dusri tarah nabi e paak , sote bhi they, kazay haajat ke liye bhi jaate they aur hambistari bhi karte they.... Aur aapne kabhi 40 saal to kya kabhi 1 saal tak ek hi wuju se namaaz nahi padhi....

Kiski azmat zyada hai imam abu hanifa rh ki ya imam e azam janab e muhammad sallallaho Alaihi wasallah ki??

Is aqeede se to imam abu hanifa zyada azmat waale hue

ahmad raza khan apni kitab malfoozat me likhte hain-"bina gaus se zameen o aasmaan qayam ki nahi rah sakte"

ahmad raza khan kaun si quran ki ayat bayan kar rahe hai mujhe koi bataaye..... Kaun si hadith hai...

Yani is aqeede se ye saabit ho raha hai ki sheikh abdul qaadir jilani rh ki azmat nabi e paak se zyada hai (naozubillah)

h

NAZAR-O-NIYAAZ KA ISLAMI TASAWWUR (HADITH KI ROSHNI ME)

Bismillahirrehmanirraheem

qur'an majeed ne jin nazron ka charcha kiya hai , unse muraad we nazaren hain, jinko insaan begair kisi shart ke apne zimme khud hi zaroori kar leta hai, lekin nazar ki dusri qism jisko kisi muraad ke poora hone ki shart par apne jimma zaroori kiya jaata hai, hadees paak me us nazar se roka gaya to nahi gaya hai lekin usko napasand farmaya hai aur uski himmat todi gayi hai

irshad hota hai:

"hz abu huraira ra aur hz abdullah bin umar ra riwayat karte hain ki nabh sallallaho alaihi wasallam ne farmaya ki mannat na maano kyonki mannat maanna allah ki taqdeer par gaalib nahi ho sakta lekin usse bakheel ke haath se kuch nikal aata hai"

(BUKHARI,MUSLIM)

Har jaayez nazar ko poora karna farz hai, lekin yah khayal apni jagah khud ba khud ghalat hai ki jab ham koi nazar maanege to allah paak us nazr ki wajah se hamari muraad ko poora karne par aamaada ho jaayega, isme koi shak nahi Ki nazar maanna ibadat hai lekin allah paak hamari ibadat ka bhookha nahi wah be niyaaz zaat hai jo chaahta hai karta hai....

NAJAYEZ NAZAR KO POORA KARNA GUNAH HAI, HADEES PAAK ME AAYA HAI:

"Hz anas ra riwayat karte hain ki ek baar nabi(sws) ne dekha ki ek budha(aged) apne do beton(son) ke darmiyaan le jaaya ja raha tha irshad huwa ki ise kya huwa hai logon ne arz kiya ki isne baitullah shareef tak paidal chal kar jaane ki mannat maani hai aap ne farmaya ki allah taala ko is baat ki koi zaroorat nahi ki yah apni jaan ko azaab me daale aur aapne huqm farmaya ki yah apni nazr tod de aur sawaar hokar baitullah shareef ka safar kare"

(bukhari,muslim)

QABRON KE PAAS JAANWAR ZIBAAH KARNA HARAAM HAI:

Nabi e paak (sws) ka irshaad hai:

" aapne farmaya islaam me arq nahi imam abdurrazzaq farmate hai ki mushrikeene arab me yah riwaaz aap tha ki wah buzurgon ke maqbaro par ja kar gaaye(cow) etc.

Jaanwar zibaah karte they, nabi e paak (sws) ne isse roka aur mushrikeena rasm o riwaaz ko band kar diya"

(abu dawood kitabul janaiz)

ALLAH KE ELAWA KISI DUSRE KI NAZAR-O-NIYAAZ KE LIYE ZIBAAH KARNE WAALA MAL'OON HAI:

nabi sws ne farmaya:-" jo shaks allah ke elawa kisi dusre ke samman(respect) aur nazar o niyaaz ke liye jaanwar zibaah karta hai us par allah ki laanat hoti hai"

(muslim kitabul azha, nisai kitabuz zuhaya)

ALLAH KE ELAWA KISI DUSRE KI IBADAT GAAH PAR NAZAR POORA KARNA HARAAM HAI:

Nabi(sws) ke daur me ek shakhs ne mannat maani ki wah buwaana(ek jagah ka naam) me qurbaani karega chunanche wah shakhs nabi e paak(sws) ke paas aaya aur kahne laga ya rasoollullah maine buwana me jaakar ek oont zibaah karne ki mannat maani hai yah sun kar nabi e paak (sws) ne farmaya ki us jagah jahiliyat ke waqt ki ibadatgaaho me se koi ibadatgaah to nahi thi jahan wah allah ke elawa kisi dusre Ki ibadat karte they, logon ne kaha-'nahi thi', uske baad nabi(sws) ne yah sawaal kiya ki yahan jahiliyat ke waqt ke melon mese koi mela to nahi tha? logon ne kaha ki:-'nahi', yah pata laga chukne ke baad aapne farmaya ki accha tum mannat poori karo"

( abu dawood jild 2 page no. 469)

Tashrih: is hadith se saabit huwa ki agar mannat maanne waala khud kisi jagah ka faisla kare to usme koi nuksaan nahi hai is shart par ki us jagah koi mushrikaana kaam na hota ho aur agar wahan allah ke elawa kisi dusre ki ibadat hoti ho aur allah ke elawa kisi dusre se duayen maangi jaati hon aur allah ke elawa ki ibadat hoti ho aur allah ke elawa kisi gair ke naam ka mela lagta hoto phir us jagah mannat ko poora karna haraam hai...

WASAN: Nabi e paak (sws) ne us jagah nazar maanne se roka hai jis ka 'wasan' ka darja diya gaya ho, ab yah dekhna hai ki wasan kiya cheez hai is ka jawab khud nabi kareem (sws) ki zubaan-e-mubarak se suniye, irshaad hota hai:-

"Nabi (sws) ne farmaya aur dua ki ki aiy allah meri qabr wasan na ban jaaye ki uski ibadat hone lage us qaum par allah ka azaab ho jisne nabiyon ki qabron ko masjid bana liya"

( muatta jild 1 page 60)

tafseel: is hadees e paak se saabit huwa ki jab kisi buzurg ki qabr ko log poojna shuru kar den to uska naam qabr na hoga balki 'w