Showing posts with label parda karna. Show all posts
Showing posts with label parda karna. Show all posts

MUSALMAN KHAWATEEN AUR HUKMARANO KI ADAM ETAT

MUSALMAN KHAWATEEN AUR HUKMARANO KI ADAM ETAT

Question :
Mery islami mulk mai hukkam bala ki tarf sy jari kerdah aik hukam namy k zariye sy nojawan larkiyo samait tamam orton ko perdah kerny aur khas tour per sar dhanmpany sy rok dia gaya hai. kia mery liye is hukam namy ki ta'ameel jaiz hai? agaah rahen k is hukam ki ta'ameel na kerny waly ko kai tarha ki sazaon ka samna kerna perta hai, MAslan: mulazmat sy berkhastgi, madersy sy akhraj ya qaid-o-band ki saza wagaira.
Answer :
app k mulk per warid huny wali yh musibet in musibaton mai sy aik hai k jis sy bandy ka emtehan maqsood hota hai: Irshad bari ta'ala hai:

"Alif LAam Meem, kia logo ny yh khayal kia hai k mahez yh kehny sy k hum emaan ley aye, chot jayen gay aur woh azmai na jayen gey. aur hum to inhain azma chuky hain jo in sy pehly guzray hain so Allah in logo ko zaror maloom ker k rahy ga jo sachy thy aur jhoto ko bhi maloom ker k rahyga."
AL ankabot 29:1-3.
Jo kuch meri samjh mai aaraha hai woh yh hai k es mulk ki khawateen per aisy ehkaam k bary mai hukmarano ki etat sy inkaar kerna wajib hai Qk gair sharai ehkam mai hukmarano ki etat mardod hoti hai. Irshad Bari Ta'ala hai:

"Aye emaan walo! etat karo tum Allah ki aur etat karo tum Rasool (S.A.W) ki aur apny mai sy awal-ul-amar ki."
Al nissa 4:59.
Agar app bagour ayaat ka mutala karen to maloom hoga k Allah Ta'ala ny Awal-ul-amar k sath Aateeo fail amar ka teesri mertaba ziker nahi farmaya aur yh is amar ki daleel hai k hukmarano ki etat Allah aur Rasool Allah (S.A.W) ki etat k tabey hai. Agar in ka hukam Allah aur Rasool (S.A.W) k hukam k mukhalif ho tu is sorat mai in ki baat sunnay aur amal kerny k laiq hergiz nahi hai, is liye k:

"Khaliq ki nafermani mai makhloq ki etat nahi."
Masnad Ahmed: 5/66' wa sahi albukhari' hadis: 7257' wa musannif ebn abi sheebah hadis: 33706.
Is mulk ki khawateen jo is aitbar sy masaib ka shikar hain inhain sabar k bagair koi charah kaar nahi. Allah Ta'ala sy sabar k liye estaqamat ki dua kerni chaheye. hum duago hain k Allah Rab-ul-Ezzat hukmarano ko hadayat naseeb farmai. mera khayal hai k yh pabandi ghar sy jany ki sorat mai hai, ghar ander is ka itlaq nahi hota hoga, lehaza is sy bachny k liye khawateen ko ghar hi per rehna chaheye. baki rahi aisi ta'aleem k jis k hasool mai gunaah milta ho to aisi ta'aleem ka hasool hi jaiz nahi hai. orton k liye itni ta'aleem hi kafi hai jis ki deenvi aur deenvi aur deeni tour per inhain zarorat hu aru jis ka hasool aam tour per gharon mai bhi mumkin hai. khulasa kalaam yh k munkir kamo mai hukmarano ki etat jaiz nahi hai. (Shiekh MOhammad BIn saleh esimeen)

MAA KA CHACHA AUR MAMO MEHRAM RISHTYO MAI SY HAIN

AA KA CHACHA AUR MAMO MEHRAM RISHTYO MAI SY HAIN

Question :
kia orat k liye apni maa k chacha aur mamo ya baap k chacha aur mamo k samny chehrah khula rakhna jaiz hai? yani kia yh log orat k mehram rishty dar hain? mujhy yh bataya gaya hai k yh orat inki faro'o sy samjhi jayegi, jab k woh orat ki maa ya baaap k asool hain.
Answer :
Haan! kisi orat ki maa ya baap ka haqiqe chacha ya maa ya baap ka mamo ya issi tarha is ka apna mamo to yh log orat k muharim mai sy hain Qk App k baap ka chacha app ka chacha aur app k baap ka mamo app ka mamo hai, issi tarha aap ki maa ka chacha aur nasb sy is ka mamo app k bhi chacha aur mamo hain.
Shaikh Mohammad bin Saleh Usaimin

KHAWAND K RAZAI BAAP K SAMNY CHEHRAH NANGA KERNA

KHAWAND K RAZAI BAAP K SAMNY CHEHRAH NANGA KERNA

Question :
Orat ka apny khawand k razai baap k samny chehraah nanga kerny ka kia hukam hai?
Answer :
Khawand k razai baap k samny orat ka chehrah nanga kerna rajeh qual ki ro sy jaiz nahi hai, Imam Ebn Temiya Rehmal ul Allah ny issy maslik ko ikhtiyar kia hai. Qk RAsool Allah (S.A.W) ka irshad hai:

"jo rishty nasb ki wajah sy haram hoty hain woh raza'at ki wajah sy bhi haram hujaty hain."
sahi albukhari' hadis:2645' wa sanan alnasai' hadis:3308.
khawand ka baap bety ki bivi per nasb ki wajah sy haram nahi balky susrali rishta ki wajah sy haram hai aur is liye bhi k Allah Ta'ala ny Quran Majeed mai irshad farmaya:

"Aur tumhary sulbi beton ki biviyaan (tum per haraam hain.)"
Al nissa 4:23.
Razai beta sulbi bety k hukam mai nahi hai. is bina per khawand k razai baap sy perdah kerna wajib hai. woh orat is k samny chehraah nanga nahi ker sakti. agar bilfaraz us orat aur us admi k razai bety k dermiyan judai hujaye to woh aihteyatan razai susser sy shadi k liye halaal nahi hogi. Jamhour oulama ki yahi rai hai. (shiekh ebn jabren

KIA ITNA PERDAH KAFI HAI

KIA ITNA PERDAH KAFI HAI?

Question :
mai ny aik khatoon sy shadi ker rakhi hai, woh Al Hamdulilah perdy ki paband hai lekin jis tarha hamary mulk mai aik adat si ban gae hai, meri bivi apny behnoi sy perdah nahi kerti, is ki bivi (meri saali) bhi mujh sy perdah nahi kerti. issi tarha meri bivi mery bhai, apny khala zaad, phophi zaad bhaiyon sy bhi perdah nahi kerti. kia yh sab kuch shara'a ki khilaf warzi hai? in halaat mai mujhy kia kerna chaheye? jab k hamary mulk mai mazkorah bala logo sy perdah kerny ki adat nahi hai. jab k hamary ghar mai bhi aisa hi hota hai, mai bivi ko perdah kerny ki talqeen kerta hoon to woh log mujhy apni bivi per adam aitmad aur shak kerny ka ilzaam daity hain.
Answer :
Mazkorah tamam log gair mehram hain, lehaza in k samny chehrah aur deegar jasmani muhasan ka kholna najaiz hai Allah ny izhar zeenat ki ejazat sirf mehram rishty daaro hi k samny di hai. hukam Bari Ta'ala hai:

"Aur na zahir karen woh (ortain) apni zeenat ko magar apny khawando ya apny baapo ya apny khawando k baapo k samny......."
Al noor 24:31.
App pehly issy is baat per mutmain karen k gair mehram logo k samny behijab hona haram hai aur issy is baat ka paband banaye. agarcha yh tumhary haan merwajja adaat k khilaaf hi Q na hu aur woh app per tarha tarha k ilzamaat bhi aeed karen. issi tarha app apny bhai, bivi k behnoi, is k am zaad aur mamo zaad rishty daron k samny is haqeqat ka izhar karen k woh sab is orat k liye ajnabi hain. agar bilfarz app apni bivi ko talaq dey dain to woh in logo k liye halal hogi aur yahi in k gair mehram huny ki daleel hai.
Shaikh ibn Jibreen

BIMARI KI WAJAH SY CHADER, DUPATTA UTAR RAKHNA

BIMARI KI WAJAH SY CHADER, DUPATTA UTAR RAKHNA

Question :
Mery sar mai aik aisi bimari hai jis ki wajah sy Doctor ny mujhy sar sy chader utar ny ka mashwaraah dia aur waqiyatan chader ka orhna mery liye nuqsan dah hai. kia mery liye aisy kerna jaiz hai? is sorat haal mai mujhy kia kerna chaheye?
Answer :
Haan agar app k pass ajnabi (gair mehram) majood na hoon to app sar sy chader utar sakti hain. agar app bazaar jana chahen to wahan chonkey gair mard houn gey, lehazaa is sorat mai sar, chehrah aur deegar azaye badan ka dhanmpna zarori hai.
Shaikh Mohammad Bin Saleh Usaimeen

SHARAI HIJAB

SHARAI HIJAB

Question :
Sharai hijab ka matlab kia hai?
Answer :
Sharai hijab ka matlab hai k orat apny tamam wajib-ul-satar aazaye badan ko dhanmp ker rakhy, in aaza mai sb sy muqadam aur aoula chehray ka perdah hai, is liye k chehrah fitny aur ragbat ka mahel hai, lehaza orton per ajanabi logo sy chehray ka perdah kerna wajib hai.
Jahan tak yh kehna hai k sharai hijab sirf sar, gardan, seena, paon, pindali aur bazo ko dhanmpna hai jab k chehra aur hath is sy mustashna hain to yh aik ajb-o-gareeb qual hai, is liye k yh baat to maloom hi hai k jaye ragbat aur mahel fitna chehra hai. to yh kehna kaisy mumkin hai k shariyat islamia orat ko paon dhanmpny ka to hukam dey aur aur chehrah khula rakhny ki ejazat dey day. pur azmat hikmat shariyat mutehraah mai aisy tanaquz ka hona gair mumkin hai. her insan janta hai k paon sy kahiin barh ker chehray mai fitna hai aur mardo k liye orton mai mahel ragbat bhi sirf chehrah hi hai. agar koi shakhs kisi mangaiter sy kahy k app ki huny wali bivi k paon to khubsorat hain magar chehrah bad sorat hai to woh kabhi bhi aisy orat sy shadi per amadah na hoga. is k ber aks agar kaha jaye k is ka chahrah to khubsorat hai lekin is k hath ya bazo ya paon ya pindliyan itni khubsorat nahi hain to zaror aisi larki sy shadi kerny per amadah hujayega. is sy maloom huwa k chehry ka perdah badtareek aowla wajib hai. kitab-o-sunnat , aqwal-e-sahaba R.A. , Aqwal-e-aima-e-islam aur oulamaye islam k farameen mai aisy dalail majood hain jin ki ro sy gair mardon k samny orat per tamam jism aur chehray ka perdah wajib therta hai.
Umm-ul-momineen Ayesha R.A. farmati hain : hajj k ayaam mai qafley hamary pass sy guzarty thy jab k RAsool Allah (S.A.W) k sath halat ehram mai theen, jab woh guzar jaty to hum apny chehro sy chadaren oper ker laiteen." [sanan abi daud' hadis:1833' wa sanan ebn majah' hadis:2935.] [tafseel k liye dekhiye: "Arbi" ' Suaad: 104-114 aur "orat ka zaiwer: perdah/ qari suhaib ahmed meer mohammadi]
Shaikh ibn Usaimin

GHAR WALY PERDAH NA LAINY DEN TO

GHAR WALY PERDAH NA LAINY DEN TO............

Question :
Mai aik preshan haal nojawan larki hoon. estraki nazriyat sy mutasrah aik family mai rehti hoon. mujhy perdah kerny ki padash mai in ki taraf sy sakhtiyo aur tanz-o-estahza ka samana kerna para jo k barhty barhty maar peet tak pohanch gaya. in logo ny mujhy ghar sy bahir jany sy bhi rok dia. akhir kaar mai perdah chorny aur chehra khula rakhny per majbor hugae. aisy halaat mai mujhy kia kerna chaheye, ghar choron to insan numa darindey bohat ziadah hain, akhir kia karon?
Answer :
yeh sawal do maslon per mushtamil hai. pehla masla hai larki k khawand walon ka larki sy salook! yh bad tareeen salook aisy logo ki taraf sy rawa rakha ja raha hai jo ya to haq sy jahil hain ya yakser mutakbbir aur inkari. yh aik wehshiyany tarz amal hai jis ka inhain koi haq nahi, is liye perdah na to koi aib hai aur na hi be adbi. her insan sharai hadod k ander rehty huway azaad hai. agar woh log is baat sy agah nahi k orat per perdah kerna wajib hai aur agar woh log is amar sy agaah huny k bawajod qabool haq sy mutakabbir hain to yh musibet pehli sy bhi marvi hai, jaisa k shaeer ny kaha hai:

"Agar tujhy ilm nahi to yh aik musibet hai aur agar tujhy ilm hai to yh is sy bhi bari musibet hai."
Baki raha dosra to woh is nojawan larki sy muta'aliq hai. hum issy kehna chahe gey k maqdor bhar Allah sy darti rahy. agar woh perdah kary gi to shayed is k ghar waly isko maren aur zaberdasti perdah uterwa den to es sorat mai woh gunaahgaar nahi hogi. Allah Ta'ala ka farman hai:

"Jo shakhs apny emaan k bad Allah sy kuffer kary siwaye is sorat k ky is per zaberdasti ki jaye is haal mai k is ka dil emaan per mutmain hu lekin jo koi khuly dil sy kufer kery to aisy logo per Allah ka gazab hoga aur in k liye bohat bara azaab hoga."
Al nahal 16:106.
Naiz farmaya:

"tum sy bhool chok mai jo kuch hu jaye is (k bary ) mai tum per koi girreft nahi hai lekin jis ka tum dil sy iradah karo (es per gireft zaror hai.)"
Al ehzab 33:5.
lehaza app baqadar estetat Allah Ta'ala sy darti rahain. agar saila k ghar waly perday ki hikmat sy agaah nahi hain to hum inhain batana chahe gey k Allah aur is k Rasool (S.A.W) k hukam ki etba'a kerna momin ki zamaidari hai, woh is ki hikmat sy agaah hu ya na hu. etat bazat-e-khud aik hikmat hai. IRshad Bari Ta'ala hai:

"Aur kisi musalman mard-o-orat ko Allah aur is k Rasool k faisley k baad apny kisi amar ka koi ikhteyaar baki nahi rehta. yaad rakhu Allah Ta'ala aur is k Rasool ki jo bhi nafarmani kery to woh sureeh gumrahi mai paryga."
Al ehzaab 33:36.
Ayesha SAddiqa R.A. sy jab deryaft kia gaya k haiza orat rozo ko qaza to daiti hai jab k namazo ki qaza nahi daiti, is ki kia wajah hai ? to is per inhuny jawab dia: humain Rasool Allah (S.A.W) k zamany mai haiz aata tha to humain rozo ki qaza ka hukam dia jata tha, jab k namazo ki qaza ka hukam nahi dia jata tha to goya Hazrat Ayesha R.A ny mehaz etat ko hikmat qarar dia.
sahi muslim' hadis: (69)-335.
perday ki hikmat to bilkul wazeh hai, is k gair mardo k samny orat ka apny muhasan ko zahir kerna baees fitna hai. fitna waqou pazeer hoga to gunaah aur behayai ka dour doura hoga. aur jab aisi cheezain aam houngi to issi ka naam halakat-o-berbadi hai.
Shaikh Mohammad bin Saleh al Usaimin

MUMANI GAIR MEHRAM HAI

MUMANI GAIR MEHRAM HAI

Question :
Baaz ma'amer ortain yh samjhti hain k nojawan apni mumani k pass beth sakta hai. Qk woh is ki khala jaisi hai. mai ny inhain inki yh galti bawer karana chahi aur bataya k mehram rishto ki tafseel batany wali ayat bilkul wazeh hai magar woh is per mutmain nahi hoteen. app is k muta'aliq inhain kuch batana chahy gey?
Answer :
Es mai koi shak nahi k mumani apny khawand k bhanjy k liye ajnabi hai. woh khawand sy faraq (alaihdgi) k baad is k liye halal hai, is bina per woh is k samny be perdah nahi hu sakti. is k sath khalwat mai nahi ja sakti. woh bhi is ka chehrah aur deegar muhasan nahi dekh sakta. sorat noor ki ayat (31) mai biyan kerdah rishto mai khawand k kbhanjey ka tazkara nahi huwa.
Issi tahran is ka ziker is ayat mai bhi mehram rishto k sath nahi howa:

"Tum per tumhari mayen haram ki gae hain............ "
Al nissa 40:23.
is k mehram huny ka aitaqad rakhna beasal hai. pas is sy agaah hona zarori hai.
Shaikh ibn Jibreen

NAQAAB AUR BURQA KA HUKAM

NAQAAB AUR BURQA KA HUKAM

Question :
Islam mai burqa orhny ka kia hukam hai?
Answer :
Burqa aisa libaas hai jo chehray ki miqdar k mutabiq tiyar kia jata hai. dekhny k liye ankhon k samny sorakh rakhy jaty hain, aisa libaas pehnna jaiz hai. halat ehram elawah is k estemal mai koi muzaiqa nahi Qk Nabi (S.A.W) ka irshad hai:

"Orat (Doran ehram) naqab na orhey."
sahi al bukhari ' hadis:1838' wa sanan abi daud' hadis:1825' wallafaz laahu.
Naqab burqa hi sy ebarat hai, yh es amar ki daleel hai k burqa ehram k elawa jaiz hai lekin sorakh is qadar na houn k chehray ka koi hissa, MAslan: Abrow ya rukhsaro ka kuch hissa ya naak zahir hu Qk is tarha woh nazreen k liye baees fitna ban sakti hai. agar orat burqa k uper aik bareeek sa dopatta orhe ley jo dekhny mai rokawat na bany aur chehray k khadukhal chupa saky to ziadah mozo hoga. (shiekh ebn jabreen)

ANDHEY K SAMNY HUNY MAI KOI HARJ nahi

ANDHEY K SAMNY HUNY MAI KOI HARJ NAHI

Question :
Kia orat nabeeena shakhs k samny chehrah nanga ker sakti hai? agar nahi to iski wajah kia hai?
Answer :
Sahi yh hai k orat nabeena shakhs k samny apna chehrah nanga ker sakti hai, beena logo k samny pardah kerny ka hukam is liye hai k fitna-o-fasaad janam na ley, andha shakhs samny ki koi cheez dekh sakta hai aur na hi woh orat k muhasan aur fitna khaiz aaza ko dekh pata hai. rahi woh hadis jissy Imam Tramzi Rehmat-ul-Allah ny ebn umm-e-maktoum k waqey k zaman mai sahi kaha hai aur jis mai yh ilfaz hain:

"Tum donu (Hazrat Umm-e-Salma aur Hazrat Memona R.A.) is sy perdah karo."
Is pr Hazrat Umm-e-Salma R.A. ny arz kia: Aye Allah k Rasool! kia woh nabeena nahi hain? woh humain dekh sakta hai na humain pehchanta hai. to Rasool Allah (S.A.W) ny farmaya:

"Kia tum donu bhi andhi hu, kia tum issy nahi dekh rahi?"
jamia at'tramzi' hadis: 1778' wa sanan abi daud' hadis: 4112.
Es hadis ko baaz oulama ny zaeef kaha hai. Agar issy sahi bhi tasleem ker lia jaye to is ka matlab hai k orat ka mard ko dekhna haram hai Qk orat ko bhi nigaah neechi rakhny ka hukam hai. shehwat khezi k khadsha k paish-e-nazar orat k liye bhi jaiz nahi hoga k ajnabi mard ki tarf dekhy, khuwah woh andha hi hu ya beena hatta k akhbarat-o-rasail aur filmo wagaira mai mardo ki khubsorat taswerain dekhna bhi orat k liye khatrey sy khali nahi hai. Wallah A'alam
Shaikh ibn Jibreen

DAMAAD SY PARDAH KERNY KA HUKAM

DAMAAD SY PARDAH KERNY KA HUKAM

Question :
Baz ortain apnay damad say pardah karti hay or in say musafa nhi karti. kia in kay liye aisa karna jaiz hai?
Answer :
Damad susrali rishty dari ki wajah say is orat kay mehram rishto mai sy hai, is bina per woh saas k in jismani aaza ko dekh sakta hai jo apni behan, beti aur dosri mehram orton k dekh sakta hai, lehaza damaad sy chehra, baal aur bazo wagaira chupana parday mai galu ka hukam rakhta hai. issi tarha mulaqat k wqt is sy musahifa na kerna bhi tahaffuz effat mai galu hai, jo k nafrat aur qata'a ta'aluqi ka baees ban sakta hai, haan agar koi orat damaad ki taraf sy kisi ka (galat) shubah mehsos kery ya is ki nigahu mai khayanat ka mushahidah kery to is sorat mai saas ka mazkora bala raviya darust samjha jayega.
Dar-ul-Ifta

MUSALMAN ORAT KA KAFIR ORAT SY PARDAH

MUSALMAN ORAT KA KAFIR ORAT SY PARDAH

Question :
Hamarey ghar mai gair muslim khidmat gar khawateen hain, kia mujh per in sy pardah kerna wajib hai? kia woh mery kaprey dhou sakti hain? jab k mai in mai namaz bhi ada kerti hoon, naiz kia mera in k samny in k deen k naqais biyan aur deen haneef k emtiyazat biyan kerna jaiz hai?
Answer :
1: Gair muslim orton sy pardah kerna wajib nahi hai, uolama k sahi qaul ki roo sy inka hukam bhi musalman orton jaisa hai, in k kaprey aur bartan dhony mai bhi koi harj nahi. agar woh islam qabool nahi kerteen to inka muahidah khatam ker daina chaheye, is liye k jazeera-e-arab mai gair muslimo ka majodd rehna jaiz nahi hai aur na yh jaiz hai k kaam kaaj k liye gair muslimo ko yahan laya jaye, chahy woh mard houn ya ortain, mazdor houn ya khadim, is liye k Nabi (S.A.W) ny jazeera-e-arab sy gair muslimo ko nikaal bahir kerny ka hukam dia hai.
sahi albukhari' hadis: 3168' wa sahi muslim' hadis: 1637.
naiz is baat ka bhi hukam dia hai k is mai 2 deen baki nahi rehny chaheyen Qk Jazeera-e-al arab islam ki gaud aur aftaab naboat ka matla'a hai, lehaza yahan sirf deen islam hi baki reh sakta hai. Allah Ta'ala tamam musalmano ko etba'a haq aur sabit qadmi ki tougeeq ata farmaye aur gair muslimo ko islam mai dakhil huny aur jo is k khilaf rahy issy chor dainy ki tougeq ata farmaye.
2: App gair muslim khadmaon ko islam ki dawat dy sakty hay.in kay deen mai jo nuqas or mukhlafaty haq hai is ko biyan kar sakti hay.inhay bata sakti hay kay islam tamam adyan sabka kay liay nasikh hai,naz ye kay islam hi wo deen haq hai jisy dy kar Allah rab-u-ezzat nay tamam rasulon ko mabous farmaya or isi deen ki ashayat -o-sarbulandi kay liay kitaby nazil farmainy.
jaisa kay Allah Ta'ala nay farmaya:

"yaqinan pasandidaah deen Allah Ta'ala kay nazdik islam hi hai."
All Imran 3:19.
dusari jagha farmaya:

"or jo saqs islam kay elawa or deen talaas kary tu wo hargiz is say qabul nhi kia jaye ga or wo akhrat mai nuqsan othany walo main say ho ga."
Aal Imran 3:85.
lykin iysi goftago ap ko eilam or basrat kay sat hi karni cahiye kionkay bagyr eilam kay Allah Ta'ala or is kay deen kay mutalik gyr zimaydarana bat karna intihai gyr pansandida hai.jysa kay arsad hua:

"(Aye nabi!) Ap farma dijiye kay mery parwardigar nay tu bas byhudgio ko haram karar dia hai,in mai say jo zahir hay (in main bhi) or jo pusida hay (in mai bhi) or gunha ko or nahaq kisi par ziyati ko bhi or is ko bhi kay tum Allah kay saat sarik karo jis kay lia is nay koi dalil nhi otari or is ko bhi kay tum Allah kay zemay aisi baat johaat laga do jis ki tum koi san nhi raktay."
Al Airaaf 7:33.
Allah Ta'ala nay apny bary mai eilam kay bagyr guftago karnay ko is ayaat mai biyan shudha tamam chizon kay akhir mai biyan kia hai. jo is ki sanghin harmat ki dalil hai.dhosari jagha irsad bari hai:

"(Aye Nabi!) ap farma dejiye: meri raah yehi hai.mai or mery farma bardar pury yaqin or iytamad kay sath Allah ki taraf bula rahy hay or Allah Ta'ala paak hain or mai musrikon mai say nahi houn."
Yousaf 12:108.
Allah TA 'ala nay aik muqaam par is baat say aagaah farmaya hai k Allah kay bary mai bagyar ilm kay guftago karna in chizon mai say hai jin ka shetan hukam dyta hai:

"Aye logo! zameen mai jitni chizen halal or paqiza hyn in mai say khao or shetaan kay naqshy qadam par na chalo wo tumhara khulla dushman hai. wo tu tumhy bas burai or be hayai ka hukam dyta hai or is baat ka bhi kay tum Allah par iysi baty gahrlo ji ka tumhay ilm nahi."
Al Bakra 2 :168, 169.
mai apnay liye or ap kay liye AllahTa'ala say toufeeq, hadayat or islaah ki dua karta hun.
Shaikh ibn Baz

MULAZMA KO PERDAH KA PABAND BANANA

MULAZMA KO PERDAY KA PABAND BANANA

Question :
Hamary haan aik musalman khadma hai, woh tamam deeni faraiz ki pabandi kerti hai magar balon ka perdah nahi kerti, kia is bary mia is ki rehnumai kerna mujh per wajib hai?
Answer :
Fitna-o-fasaad sy bachny aur fasad k barhny sy perhaiz ki khatir app per isko baal dhanmpany, chehray aur deegar perdy waly aaza ka perdah kerny ka hukam daina wajib hai.
Dar-ul-Ifta

MULAZIM ORAT KA HIJAB

MULAZMA KA HIJAB

Question :
Kia gharelu khadma per apny malik sy perdah kerna wajib hai?
Answer :
haan gharelu mulazma per apny malik sy perdah kerna wajib hai, woh is k samny banau singhar nahi ker sakti aur sharai dalail k amom ki bina per is sath khalwat ikhteyar nahi ker sakti aur is liye bhi k is ka be perdah hona aur malik k samny hussan ki numaish kerna fitny ko bharkany ka sabab hai. issi tarha mulazma ka malik k sath khalwat mai rehna malik k liye shetani gumrahi ka baees ban sakta hai. Wallah almustaan
Shaikh ebn Baz

UMER RASEEDAH KHATON KA PERDAH

UMER RASEEDAH KHATON KA PERDAH

Question :
Kia 70 ya 90 sala borhi orat k liye apny gair mehram rishta daaro k samny chehra nanga kerna jaiz hai?
Answer :
Allah Ta'ala farmaty hain:

"Aur bari umer ki ortain jinhain nikkah ki umeed nahi rahi, woh kaprey utar den to in per kuch gunah nahi, bashrt yh k zeenat ko dikhlany wali na houn aur agar is sy bhi aihteyat karen to in k haq mai ziadah behter hai aur Allah Ta'ala bara sunnay wala bara janny wala hai."
Al noor 24:60.
sy murad woh borhi ortain hain jo nikkah ki umeedwar nahi aur na apni zaibaish ko zahir kerti hain. aisi ortain gair mehram rishty daar mardo k samny chehra khula rakh sakti hain lekin in ka perdah kerna behter aur aihteyat ka hamil hai.
Jaisa k Allah Subhan-o-Ta'ala ny farmaya:

"Agar woh aihteyat karen to in k haq mai ziadah behter hai."
Al noor 24:60.
Naiz is liye k baaz ortain bari umer mai bhi apny tabai husan-o-jamal ki bina per baees fitna hoti hain, agarcha woh zaib-o-zeenat ki numaish kerny wali na bhi houn. yh baat yaad rahy k hussan-o-jamaal k izhar k sath in ka tark hijab jaiz nahi hai. izhar-e-khubsorati mai surma lagana wagaira sab kuch shamil hai.
Shaikh ibn Baz

NABALIG BACHI KA PERDAH KERNA

NABALIG BACHI KA PERDAH KERNA

Question :
Nabalig bachiyo k muta'aliq perdy ka kia hukam hai? kia woh be perdah ghar sy bahir nikal sakti hain aur kia woh orheni k bagair namaz parh sakti hain?
Answer :
Nabalig bachiyo k virsa per inhain islami adaab sikhana wajib hai. woh inhain ikhlaq fazla ki terbiyat dainy ki garz sy aur fitny k khouf k paish-e-nazar be perdah ghar sy bahir jany ki ejazat na den ta k woh fitna-o-fasad berpa kerny ka sabab na ban saken. issi tarha virsa inhain orhani mai namaz parhny ka hukam den. haan, agar nabalig bachi orehni k bagair namaz parhy to aisa kerna bhi darust hai. Nabi (S.A.W) ka irshad hai:

"Allah TA'ala balig orat ki namaz orehni k bagair qabool nahi kerta."
sanan abi daud' hadis: 641' wa sanan ebn majah' hadis: 655.
Dar-ul-ifta

BERON WATAN CHEHRA KHULLA RAKHNY KA HUKAM

BERON WATAN CHEHRA KHULLA RAKHNY KA hukam
Question :
Kia saudi Arb sy bahir safar ki sorat mai mery liye chehra nanga kerna aur perdah utar phenkana jaiz hai? Qk is wqt hum watan sy dour huty hain aur koi humain pehchanta bhi to nahi, meri waldah mery walid ko is baat per amaadah kerti rehti hai k woh mujhy chahra nanga rakhny per majbor kery aur is liye bhi k jab mai apna chahra chupa rakhti hoon to woh mery bary mai guman kerty hain k shayed mai logo ki tarf apni nazar ko pherti hoon.
Answer :
App ya kisi bhi musalman khaton k liye bilaad kuffer mai bhi issi tarha be perdah hona jaiz nahi hai jis tarha k islami mulko mai jaiz nahi hai. ajnabi mardo sy perdah kerna baherhaal wajib hai chahy woh musalman houn ya kafir balky kafiro sy to ziada shidat k sath perdah kerna chaheye Qk in ka to koi emaan hi nahi hai jo inhain muherikaat shariya sy rok saky. Allah Ta'ala ki haram kerdah ashiya k irtekab ki khatir waldain ya gair waldain kisi ki etat jaiz nahi hai. na app k liye aur na kisi aur k liye, irshad bari Ta'ala hai:

"aur jab tum in (azwaj mutahraat) sy koi cheez mangu to perday k peechy sy mangu, yh tumhary aur in k dilo k liye ziadah pakeezah hai."
Al aihzaab 33:53.
Allah Ta'ala ny is ayaat mai wazeh farma dia hai k orton ka gair mehram mardo sy perdah kerna sab k dilon k liye baees taharat-o-pakeezgi hai.
Issi tarha sorat noor mai Allah Ta'ala ka farman hai:

"(Aye Nabi!) emaan wali orton sy farma dijeye k apni nazrain neechi rakhen aur apni sharamgahu ki hifazat kia karen aur apni araish (zaiwer k muqamat) ko zahir na huny dia karen magar jo is mai khulla rahta hu aur apni orhniyan apny seeno per orhy raha karen aur apni raaish k zahir na karen siwaye apny khawando k, ya apny baapu k, ya apny khaser k, apny beto k, ya apny khawando k beto k, ya apny bhaiyon k, ya apny bhatejo k, ya apny bhanju k ya apni (hi qisam ki) orton k ya londi gulamo k, naiz in khadam k jo orton ki khuwaish na rakhen ya aisy larku k jo orto k perdy ki chezon sy waqif na houn. aur apny paon (es tarha zameen per) na maren k (jhankaar kano mai pohanchy aur) in ka poshidah zaiwer maloom hujaey. Aye Ahl Emaan! sab Allah k aagy touba karo ta k tum falaah pao."
Al noor 24:31.
aur chehra to sab sy bari zeenat hai.
Shaikh ibn Baz

SHARAI PERDAH KERNY WALI ORAT KA MAZAK URANA


SHARAI PERDAH KERNY WALI ORAT KA MAZAK URANA

Question :
Aisa shakhs jo sharai perdah kerny wali khatoon ka mazak urata hai, sharan kia hukam rakhta hai?
Answer :
jo shakhs kisi musalman khaton ys mard ka isliye mazak urata hai k woh paband shariyat hai to aisa shakhs kafir hai, aisa estahza musalman khaton k sharai perdah kerny ki wajah sy hu ya kisi aur wajah sy, is liyek Abdullah bin umer R.A. sy ravayat hai: Aik shakhs ny gazwa tabook k moqa per aik majlis mai kaha: mai ny in qara Hazrat jaisa paito, jhoota aur buzdil koi nahi dekha, is per aik shakhs ny issy kaha: to jhoot bolta hai to munafiq hai, mai is baat sy zaror Rasool Allah (S.A.W) ko agaah karon ga. yh khaber Rasool Allah (S.A.W) ko pohanchi, aur asmaan sy Quran nazil hugaya. Abdullah BIn umer R.A. ka biyan hai: mai us shakhs ko dekha k woh Rasool Allah (S.A.W) ko (chalti) ontani k kajawey wali patti (ontani k tung) k sath latakta huwa ja raha tha aur pathar issy zakhmi ker rahy thy, woh keh raha tha: Aye Allah k Rasool! hum to sirf hansi mazak ker rahy thy to Rasool Allah (S.A.W) ny Quran k in kalimaat sy jawab dia:

"App farma dijeye: kia tum Allah, is ki ayaat aur is k Rasool sy estehza kerty thy? bahany mat banao, tum emaan lany k baaad kafir huchuky hu. agar hum tum mai sy aik jamaat ko muaf ker den to dosri jamaat ko saza bhi den gey Qk woh mujrim thy."
Tafseer Ebn Kaseer:2/381' Tafseer Sorat Toubah' ayaat:65,66.
Es ayaat mai Allah Ta'ala ny musalmano k sath estehaza ko Allah, apny Rasool Allah (S.A.W) aur apni ayaat k sath estehaza qarar dia hai. WaBillah At'toufeq.
Dar-ul-Ifta

Parda karna


Daleel aur hikmat be-libasi mana hai.

Aye Adam ki Aulaad! Hum ne tumahray liye libaas paida kiya hai jo tumahre qabil e parda badan ko chupata hai.Aur Taqwe ka Libas sabse badh kar hai. [Surah Aara’f 7:26]

Ayai Nabi(SAW) apni biwiyoo,aur apni baaitiyoo ko aur mominoo ki auratoo ko ferma dain keh woh apne oper apni chadrain dal liya karain yeh qareeb ter hai keh un ki pahchan ho jai to unhain na sataya jaye aur Allah bakhshne wala nihayat maherban hai.(SORAH AHZAB-59)

Aur jab tum un(Nabi(SAW) ki biwiyoo) sai koi cheez mango to un sai perdai kaii peechai sai mango.Yeh bat tumharai aur un ke diloo kai liyai zayadah pakeezah hai.(SORAH AHZAB-53)

Aur bemaqsad ghar se niklna mana hai-
Aur gharo me qarar se raho. Aur sabiq dor jahiliyat ki saj dhaj na dikhati phiroo. [Surah Al Ahzab 33:33]

CHAHRE KA PARDA-
Daleel No-1

“Sayyada Asma Binnat e Abu Bakar (raziallahotalaanha) farmati hen k “Hum apne chehro ko mardo se chupaya karti thee”.. (Sahi Ibn e Khuzaima-269)

Daleel No-2

“Hazrat Ayesha r.a farmati hain k safr_e_hajj mai jab ham ahraam bandhnay ja rahi hotin to jab b hajjaj k qafilay hamaray samnay se guzertay to ham chehray per chadar khainch liya karti thin.or jab qafilay guzar jatay to phir ham chehray khol letin”.

SUNAN_IBN_MAJAH-KITAB_UL_MANASIK-BAAB_UL_MEHRMAAT-HADEES 2935.

Daleel No-3

Sahi Bukhari o Sahi Muslim Or kuch hadees ki kitabo men ye riwayat hey k jab Sayyada Ayesha (raziallahotalaanha) par tohmat lagai gai to Allah Tala ne Sure Noor men in k liye “Barraat” nazil ki. ye waqeya “Ufaq” k naam se hadees ki kitabo me bohat mashhoor hai. is me hai k “Sayyada Ayesha (raziallahotalaanha) ne Jungle se wapis akar jab dekha k qafla chala gaya to woh wahi akar beth gai or so gai. Subha ko jab Hazrat Safwaan Bin Muattal Asalmi (raziallahotalaano) ka guzar waha se howa to 1 soye howe insan ko dekh kar us taraf aaye. Sayyada Ayesha (raziallahotalaanha) farmati hen k Jab Safwaan udhar aye to unho ney mujhe dekhtey he pehchan liya. Kyunke parde k hukum se pehle woh mujhe dekh chuke they. Mujhe pehchan kar unho ney “innalillahewainnaaleherajeooon” parha to un ki awaz se meri ankh khul gai or mene apni chadar se apna chehra dhaank liya.

(SAHI BUKHARI- KITAB ALTAFSEER’475- SAHI MUSLIM KITAB ALTOBA’277).

Daleel No-4

Ek khatoon jin ka naam umme khallad razi Allah taala tha’ Nabi akram sale Allah aleh wasallam ki khidmat mein apne betay ka jo qatal ho chuka tha anjaam daryaft karne ayen aur wo naqaab pehnay hue thi. Nabi akram sale Allah aleh wasallam ke aik sahabi razi Allah taala ne un ki is istiqamat pr tajjub karte hue kaha ke naqaab pehan kar aap betay ka haal daryaft karne aayi hain,to unho ne is ke jawab mein farmaya ke mera beta mara hai meri haya nahi mari hai. is ke baad Rasool Allah sale Allah aleh wasallam ne un ko taslli di ke tumahre bete ko do shaheedon ka ajar mile ga. unhon ne daryaft kiya ke aisa kiyon hoga ya Rasool Allah sale Allah aleh wasallam? Aap ne farmaya Isliye ke usko Ahle kitaab ne qatal kiya hai “.( Abu dawud )

ZEENAT:
Zaib o zeenat aur Araish ko zahir karna mana hai.

“Apni zeenat ko khula na rakhain”..[Surah Noor:31]

AANKHON KA PARDA:
Mard aur Aurat ke liye aankh ka parda laazmi hai.

“Aap sww musalman mardon se kah dain ke woh apni nigehain neechi rakhain.

“Aap sww musalman auraton se keh dain k wo apni nigahain neechi rakhain”. [Surah Noor:24:30-31]

“Huzaifa r.a se riwayat hai k Nabi sww ne farmaya k NIGAAH ‘ iblees k zehar alud teeron mai se aik teer hai.jo isay meray khaof se chor day ga mai usko meray khaof se aisa eman ata karu ga k jiski mithaas wo apnay dil mai mehsus karay ga”..
MUSTADRAK HAAKIM.PAGE 314

AURAT KI AWAZ KA PARDA :
Aurton ki aawaz ka bhi parda hai.

guftagu mein mulaimat nah karo kay jis ke dil mein khout hai woh lalach kare balkay maqool andaaz se baat karo. [Surah Ahzab 33:32]
[5:49pm, 06/05/2015] سيد عبدالقيوم گجراتی: AURAT KA KHUSHBU LAGANA:
“Aurat k liye khushbu laga ker ghar se nikelna jayez nahi.jo aurat aisa kerti hai wo bad_kaar hai”..

TARMAZI.HADEES 2786 SANAN_ABI_DAUD.HADEES 4173

be pard aurat shetan ka shikaar hai.Aurat parda ki cheez hai jab woh ghar se bahar nikalti hai to shetan is ki taak jhaank karta rehta hai. (Tirmizi )

Mai apni tamam muslimah behnon se kehna chahun gi k parda ko apni naik niyati or khuloos samajh ker istimaal karain na k apne oper aik pabandi samajh ker.

Aaj kal boht sari muslimah behnain jo khud per jabbr kar k parda karti hain.ya unke parday ki wajah unkay ghar walon ki sakhti hoti hai.be shak ghar walo ko chahiye k unko parday ka hukm dain magr sirf sakhti se nahi balke samjha ker. Deen ki taraf la ker.unko btayen k aik momina or or ghair muslim aurat mai kya farq hota hai.unki rughbat quran-o_deen ki taraf dilayen.aaj kal muasharti bay raah_o_rawi ki sab se bari wajah yehi hai k khud walaidain or ghar walay hi deen se door hain.Allah ka khof kare aur parde ki pabnaddi kare aur gharo me Deen ka mahol bnaye rakhe.

kuch lOgo ka khayal hai ke “parda to aankh ka hota hai”.”sari baat niyat ki hoti hai”.”aaj kal to parday waliyan zyada kharab hain” etc etc.ye sab jahilana or munafiqaana rawaiye hain.or in sab ki wajah hai deeni ilm ki kammi.Azwaj e Mutahrat ko apna Ideal banaiye aur Unki zindgi se sabaq lein.aur parde ki Ahmiyat ko samjhein meri Bahno.

Kahin aisa na ho ke Apko jab pahli baar parda udhaya jaye to wo parda Apka KAFAN ho.isse pahle hi apni zindgiyo me parde ka ahtemam krein aur dusri bahno ko bhi iski Hidayat karein.

JazakALLAH Khair-