MUTALQA ORAT K LIYE MIRAS
Question :
Khawand ny apni bivi ko talaq dey di, woh eddat guzar rahi thi ya guzer chuki thi k achanak khawand ka inteqal hugaya. kia is sorat mai orat khawand k terka ki waris ban sakti hai?
Answer :
Agar mutelqa orat ka khawand eddat k ander mar gaya to yh talaq do haal sy khali nahi: ya to woh talaq raje hogi ya gair rajee. Agar talaq rajee hai to orat ekhtatam eddat tak bivi k hukam mai hai woh khawand ki wafat k baad talaq ki eddat sy wafaat ki eddat mai muntaqil hujayegi.
Talaq rajee yh hai k khawand bivi ko dakhol k baad bagair muawiza diye pehli ya dosri talaq dey day, is doran mai agar us ka khawand fout hujaye to woh uski waris hogi. Allah Ta'ala ka irshad hai:
"Aur talaq di gae ortain apny apko 3 haiz rak roky rakhen aur in k liye yh jaiz nahi k Allah TA'ala ny in k rehmo mai jo paida kia hai ussy woh chupayen, agar woh Allah aur roz-e-akhrat oer emaan rakhti hain. aur in k khawand us muddat mai in ko wapis lota lainy k ziada haqdar hain, bashart yh k eslaah aihwal ka iradah rakhty houn aur orton k bhi wasey hi haq hain jaisy un per (mardon k) haq hain."
Al Bakra 2:228.
Issi tarha irshad huwa:
"Aye Nabi! Jab tum orton ko talaq dainy lagu to in ki eddat mai inhain talaq du atu eddat ka hisab rakhu aur Allah sy, jo tumhara perwardigar hai, derty rahu, na tum inhain in k gharo sy nikalo aur na woh khud niklain bajuz is sorat key k woh khuli burai (be hayai) ka irtekab karen, yh Allah k muqarer kerdah hadain hain aur jo koi Allah ki hadon sy tajawuz karey ga to us ny apny uper zulem kia. tum nahi janty shayed k Allah TA'ala is k baad koi nai baat paida kerday."
At'talaq 65:1.
Allah Ta'ala ny mutelaqa orat ko eddat k ander khawand k ghar mai rehny ka hukam dia hai aur farmaya hai k woh nahi janti k shayed Allah Ta'ala is k baad koi nai sorat-e- haal paida farma dey, yani is ka khawand rajou ker ley.
aur agar achanak mer jany waly khawand ny bivi ko talaq baina, yani teesri talaq di hu ya bivi ny khawand sy khulaa kia hu ya woh talaq ki eddat nahi balkyfaskh nikkah ki eddat guzar rahi hu to in sab soraton mai woh khawand ki waris nahi ban sakti aur na eddat talaq sy eddat wafaat mai muntaqil hogi.Haan aik aisi sorat hai jis mai baina talaq wali orat khawand ki waris ban sakti hai, woh yh k khawand ny marz-ul-mout k doran mai bivi ko terka sy mehroom kerny k iradey sy talaq di hu. is sorat mai agarcha eddar guzer gae hu, woh phir bhi khawand k terky ki waris ban jayegi lekin is mai shart yh hai k orat ny aagy nikkah na kia hu, warna wo is sy mehrom hu jayegi. (shiekh Mohammad bin saleh esimeen)