Showing posts with label walidain. Show all posts
Showing posts with label walidain. Show all posts

NAKHUWANDAAH AUR KHUWANDAH OLAAD

NAKHUWANDAAH AUR KHUWANDAH OLAAD

Question :
Walid ki vafaat k bad ab waldah hamary sath ghar mai muqeem hain. meri waldah na khuwandah hain jab inhain azkar ya chori soratain yaad karaieen to woh inhain sahi tour per yaad nahi ker sakteen ya inhain samjh nahi sakteen. lekin is k bawajood woh farz aur nafil namaz ki paband hain, lehaza sawal yh hai k in k sath mamla kerny ka sab sy kamiyab tareeka kia hai k in k sath naiki ker k Allah Ta'ala ki raza mandi aur khush navi hasil ki ja saky, rehnumai farmain. Allah TA'ala apko ajar-o-sawaab sy nawazey?
Answer :
App per wajib hai k apni waldah k sath sharan aur arfan naiki karen. sharan naiki kerny mai yh baat dakhil hai k app inhain woh quali-o-faili ebadaat sikha den jinhain Allah Ta'ala ny in per wajib qarar dia hai lekin nahayat narmi k sath sikhain. in sy agar kuch kotahi bhi hu to derguzar karen Qk basa oqaat mamoli kotahi sy koi farq nahi parta. maa kisi wajah sy naraz hujaye ya dant dapat kery to issy berdasht karen aur yh mutalba na karen k woh thory wqr mai derja kamaal tak pohanch jaye Qk jo kamaal tak pohanchny ka iradah rakhy to issy sabar k sath intezar kerna parta hai aur phir is k liye kafi wqt derkar hota hai Tab kahiin ja ker Allah TA'ala k hukam sy issy kamaal hasil hota hai. (shiekh ebn esimeen)

MAA KA 3 AUR BAAP KA 1 HAQ HAI

MAA K 3 AUR BAAP KA 1 HAQ HAI

Question :
Allah Ta'ala ny maa ko baap per Q terjeeh di hai k RAsool Allah (S.A.W) ny maa k 3 aur baap ka aik haq qarar dia hai?
Answer :
Hazrat Abu Hureraah R.A. sy marvi sahi hadis mai hai k aik shakhs ny Rasool Allah ki khidmat mai hazir hu ker arz kia:

"Mery hussan suhbet ka sab sy ziadah haqdar kon hai? App (S.A.W) ny farmaya: Teri Maa, us ny ar kia: phir kon? App (S.A.W) ny farmaya: Teri maa, us ny arz kai: phir Kon? App (S.A.W) ny farmaya: teri maa, is ny arz kia: phir kon? App (S.A.W) ny farmaya: Tera Baap."
sahi albukhari' hadis: 5971' wa sahi muslim' hadis: 2548' wallaf laahu.
Aik aru ravayat mai hai k App (S.A.W) ny farmaya:

"Teri maa, phir Teri maa, phir Teri maa, phir Tera Baap, phir jo shakhs tujh sy jis qadar ziadah qareb hai (woh issi qader ziadah mustahiq hai.)"
sahi muslim' hadis: (2)- 2548.
Es hadis sy maloom huwa k maa ka haq baap sy barh ker hai k App (S.A.W) ny maa k haq ko 3 baar qarar dia is ka sabab yh hai k maa ny hamal, wazeh hamal, doodh pilany, doodh chorany aur perwarish-o-terbiyat k silsaly mai bohat sy soubato aur mashqo ko berdasth kia hota hai.
Jaisa k Irshad bari Ta'ala ka tarjuna hai: " aur hum ny insan ko is k waldain k sath hussan salook kerna ka hukam dia, is ki maa ny issy takleef sy pait mai uthaye rakha aur takleef sy jana aur is ka hamal aur doodh chorana donu 30 maah (ki mudat) hai." [Al ehkaaf 46:15.]
aur baap ny jo nafqa aur ta'aleem-o-terbiyat k faraiz sar anjam diye, inki wajah sy iska aik haq mana gaya hai. Wallah A'alim. (shiekh ebn jabreen)

MERI WALDAH MUJH SY NARAZ HI FOT HUGAE

MERI WALDAH MUJH SY NARAZ HI FOT HUGAE

Question :
(Alif) Taqreeban 6 saal pehly Ramdan-ul-Mubarak mai meri waldah ka inteqaal huwa. mai bachpan mai akser oqaat is sy larti jhagerti aur bahes mubahisa kerti rehti thi to jab woh fot huwi to mujh sy naraz thi. umer mai ezafay k sath aqal-o-shaour mai bhi izafa huwa to ab mai apny is ravaiye per nadim houn aur siwaye nidamat-o-estagfar k aur waldah k liye Allah Ta'ala k hazoor rehmat-o-magfirat ki dua k aur kuch ker bhi nahi sakti. kia yh sab kuch is amar k liye kafi hai k Allah Ta'ala mery guzishta gunaaho ko muaf farma dey aur rozay qayamat mujh per rahem farmaye.
(Bay) Hum waldah ki tafr sy rozay nahi rakh saky kia es k liye hum gunaahgar hain? kia hum ab is ki tarf sy rozay rakh sakty hain? is baat ki wazahet zarori hai k humain is baat ka ilm bhi kuch arsa qabal hi huwa hai.
Answer :
Shayed app waldah ki zindagi mai kam umeri k sath sath kam aqli aur jahalat ka bhi shikar rahi hain. agar yh baat darust hai to app mazoor hain. Aqal-o-shaour aa jany k baad app apny guzishta tarz-e-amal per nadim aur mafi ki khuwastgar hain to In Sha Allah app ka yh raviya guzishta kotahi ka azala ker dyga, is liye k toubah guzishta gunaho ko mita daiti hai. app ka waldah k liye dua-o-estagfar kerna aur is ki tarf sy sadqaat-o-kherat kerna aisy amaal hain k Allah Ta'ala in ki wajah sy app k guzishta gunaaho ko muaf farma deyga. baki rahy woh rozay jo is ny bimari k doran mai chory thy to woh bimari ki wajah sy maazor thi aur bimari ki wajah hi sy woh qaza bhi na dey saki, lehaza app per in ki qaza daina wajib nahi hai.
Hanabla k nazdeek sirf nazar k rozay maiyet ki tarf sy rakhy jaye gey aur ramdan k farzi rozo ko nahi rakha jayega. issi muaqaf ko alama albani Rehmat-ul-Allah ny "Ehkam Aljanaiz" [suaad: 213-216] aur "Tamam Alminaah" [Suaad: 427,428.] mai aur Imam ebn alqeem Rehmat ul Allah ny "Ai'ilaam-ul-moqe'en" [3/554] aur "Tahzeeb-us-sanan" [3/279-282] mai rajeh qarar dia hai. jab k shwafey k nazdeek nazar k rozo k sath ramdan k farzi rozo ko bhi rakha jayega. is muaqqaf ko Imam Ebn Teemia Rehmat ul Allah ny "Al Ekhtiyarat Alfaqeeha" [SUaad:97] mai ikhtiyar kia hai. hanabla ka muaqqaf rajeh hai. (Saleem Allah Zumaan)
Shaikh ibn Jibreen

NAIK LARKI K LIYE WALDAH KI GAIR MAQBOOL DUA

NAIK LARKI K LIYE WALDAH KI GAIR MAQBOOL DUA

Question :
Mai akser nafli rozay rakhti hoon ta k Allah Ta'ala meri in lagzisho aur ko kotahiyon ko muaf farmai jo k mery ilm k bagair sar zad hoti rehti hain, mai Al Hamdullilah apny deen per kaar band houn lekin meri waldah Allah sy yh dua kerti hai k woh mery rozay qabool na farmai. mujhy nahi maloom k is ki kia wajah hai, halaank mera roza gharelu kaam kaaj per asar andaz bhi nahi hota, phir woh meri muhtaj bhi nahi. mai is baat sy bary qalaq aur eztrab mai mubtala hoon k maa ki baddua ki wajah sy Allah Ta'ala mery naik amaal aur rozo ko qaboliyat sy nahi nawazyga Qk waldain ki duain baargaah-e-Elahi mai qabool hoti hain. is k muta'aliq apka kia khayal hai?
Answer :
Ebadaat aur nafli rozo k ehtamam ki wajah sy app qabil ta'areef hain. App maqdor bhar inki pabandi karen aur waldaah k samny yh uzar paish karen k yh aik naik amal hai aur bilashubah waldaah ka haq bhi is naik amal k sath sath ba hussan tareek ada hu raha hai Qk nafli rozay is k sath hussan salook, is ki khidmat aur is k haqoq ki adaigi sy many nahi hain.
Waldaah ko to aisy naik amoor ki anjam dahi k liye aap ko tergeeb dilani chaheye thi aur issy chaheye tha k woh app ki iqtada kertee Q k bulandi derjaat aur gunaho ki maafi k liye issy nafli namaz rozay ki aap sy kaheen ziada zarorat hai.
Jahan tak is ki bad dua ka ta'aluq hai to In Sha Allah woh qabool nahi hogi. khas tour per is liye k app ka yh amal sarasar naik hai. galiban woh shfqat madri aur jazba terham k tahet aisa kerti hogi.
Shaikh ibn Jibreen