Showing posts with label TAWHEED. Show all posts
Showing posts with label TAWHEED. Show all posts

KASAM SIRF ALLAH KI

Bismillahirrahmanirraheem
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye farmaate hue suna: "MAN KHALAFA BIGAIRILLAHI FAQAD ASHRAK" Tarjuma: "Jisne gair Allah ki kasam uthayi (khayi) usne shirk kiya". (Jamiya Tirmizi)
Mazeed riwayat mai aapne baap, dada aur butoo ki kasam uthane se mana kiya hai aur farmaya: Agar kasam khana hi hai to Allah ki khao warna khamoosh raho.
Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jo koi Allah k siwa aur ki kasam kha bethey wo "LA ILAHA ILLALLAH" kahe. (Sahih Bukhari, Sahih Muslim, Abu Dawood, Nasaai, Ibne Maja)

BARKAT ALLAH K HAATH MAI HAI

BARKAT ALLAH K HAATH MAI HAI
BARKAT ALLAH K HAATH MAI HAI

Bismillahirrahmanirraheem

Allah rabbul alameen ki zaat badi barkat wali hai. (Surah A'araaf surah no. 7 ayat no. 54)

Bahut barkat wala hai wo Allah jisne apne bande par farmaan (quran) utara takey tamaam jahan walo ko darao. (Surah Furqaan surah no. 25 ayat no. 1)

Ba barkat hai wo zaat jisne aasmano mai burj banaye aur usmey aaftaab banaya aur chamakta hua chand bhi. (Surah Furqaan surah no. 25 ayat no. 61)

Badi ba barkat wala hai wo Allah jiske haath mai baadshahi hai aur wo har cheez par qadir hai. (Surah Mulk surah no. 67 ayat no. 1)

Lafz (TABARAKA) Quran e kareem mai barkat aya hai aur sirf isi k liye khaas hai kisi dusre k liye istedlaal nhi kiya ja sakta, ye lafz wus'at aur mubalaga k liye istemaal hota hai, han Allah kisi ko barkat inayat kare aur uski wazahat quran wa hadees kare to behtar hai.

MERE LIYE ALLAH HI KAAFI HAI

MERE LIYE ALLAH HI KAAFI HAI
MERE LIYE ALLAH HI KAAFI HAI

Bismillahirrahmanirraheem

1. Kehdijiye mere liye Allah hi kaafi hai. (Surah Tauba surah no. 9 ayat no. 129)

2. Kya Allah apne bande k liye kaafi nhi hai. (Surah Zumar surah no. 39 ayat no. 36)

3. Tumhara parwardigaar hi kaarsaaz kaafi hai. (Surah Bani Israeel surah no. 17 ayat no. 65)

4. Tum kuch bhi nhi chah sakte magar wahi jo Allah rabbul aalameen chahey. (Surah Takvir surah no. 81 ayat no. 29)

5. Aur Allah hi kaarsaaz kafi hai aur madad k liye bhi Allah hi kafi hai. (Surah Nisa surah no. 4 ayat no. 45)

6. Aap tawakkul (bharosa) kijiye galib wa meharbaan par. (Surah Shu'ara surah no. 26 ayat no. 217)

7. Kehdijiye k mujhe Allah hi kaafi hai ahle tawakkul ko isi par tawakkul karna chahiye. (Surah Zumar surah no. 39 ayat no. 38)

8. Aur Allah hi momino ka kaarsaaz hai. (Surah Ali'imran surah no. 3 ayat no. 68)

9. Aur Allah hi par bharosa rakho, wahi kaarsaaz kafi hai. (Surah Ahzaab surah no. 33 ayat no. 3)

10. Allah k siwa koi ibadat k layak nahi hai, to momino ko sirf usi par bharosa rakhna chahiye. (Surah Tagabun surah no. 64 ayat no. 13)

11. Wahi mashrik wa magrib ka malik hai, uske siwa koi ibdat k layak nhi, to usi ko kaarsaaz banao. (Surah Muzzammil surah no. 73 ayat no. 9)

12. Pas aap Allah par bharosa kijiye, beshak aap wayez sacchayi par ho. (Surah Namal surah no. 27 ayat no. 79)

13. Aur har momin ko Allah hi par bharosa karna chahiye. (Surah Ibraheem surah no. 14 ayat no. 11)

14. Aur tumhe jo kuch diya gaya hai wo dunya ki zindagi ka faida hai aur jo Allah k paas hai wo behtar aur qayam hai aur wo unke liye hai jo sirf apne rabb par bharosa rakhte hai. (Surah Shora surah no. 42 ayat no. 36)

15. Aur jo koi Allah par bharosa karega to Allah usko kaafi hoga. (Surah Talaaq surah no. 65 ayat no. 3)

16. Aur har tawakkul karne wale ko Allah par hi tawakkul karna chahiye. (Surah Ibraheem surah no. 14 ayat no. 12)

17. Ae nabi (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Allah aapko kaafi hai aur unko bhi jo aapke pairwa hue hai. (Surah Anfaal surah no. 8 ayat no. 64)

18. Tawakkul kijiye us zaat par jis ko mout nhi uski tareef k sath paakizagi karte rahiye wo apne bando k gunaho se aagah hai. (Surah Furqaan surah no. 25 ayat no. 58)

19. Balke tumhare mola to Allah hai aur wo behtareen madad karne wala hai. (Surah Ali'imran surah no. 3 ayat no. 159)

20. Aur agar tum muh feir lo to jaan lo k tumhara mola to Allah hai behtareen dost aur behtareen madadgaar. (Surah Anfaal surah no. 8 ayat no. 40)