Showing posts with label SHAB E BARAT. Show all posts
Showing posts with label SHAB E BARAT. Show all posts

SHAB E BARAT KI HAQIQAT

SHAB E BARAT KI HAQIQAT( PART 1)
BISMILLAHIRAHMANIRRAHEEM

Allah farmata hai

"HUM NY YE (QURAN)MUBARAK RAAT ME NAZIL KIA. YAQINAN HUM DRANY WALY HAIN. IS RAT ME HAR HIKMAT WALY KAM KA FAISALA KIYA JATA HAI" 

(DUKHAN 44

IN AYAT ME YE WZAHAT KI GAYI HA K QURAN PAK MUBARAK SHAB ME NAZIL KIYA GYA OR IS SHAB ME FAISALE KIYE JATY HAIN.

LAILATUL MUBARKA SE KYA MURAD HAI, 

AAM MOLVIYO KA YE KHAYAL HAI K IS SE MURAD SHAB-E-BARAT HA. 

JAB K TMAM MUTQADEEN,  MOHADESEEN , MUFASSIREEN OR FUQHA K KEHNA HAI K LAILATUL MUBARKA SE MURAD LAILATUL QADAR HAI. 

IN SAB KA KEHNA HA K QURAN PAK LAILATUL QADR ME NAZIL KYA GYA OR IS AYAT ME BHI NAZOOL-E-QURAN KA BYAN HAI.

LAILATUL QADAR KI TAREEF ME BHI WZAHT KI GAYI HAI K IS SHAB ME TAMAM UMOOR K FAISALE KIYE JAATE HAIN OR HAR QISM KI SALAMTI NAZIL HOTI HAI 

(QURAN-97/5),

IS SE SAF ZAHIR HAI K LAILATUL MUBARKA OR LAILATUL QADAR DO JUDAGAN RATIEN NAHI HAIN.

SURA BAQAR ME BHI IS AMAR KI WZAHAT YUN HOWEE HAI K 

"HUMNE YE QURAN MAH-E-RAMZAN ME NAZIL KIYA" 

(QURAN 2/185).

SHAB-E-BARAT RAMZAN ME WAQIE NAHI HOTI, AGAR AISA NA HO TOU QURAN PAK KA NAZOOL DO RATON ME LAZIM AYEGA. 

OR YE MAN'NA PADEGA K FAISALY BHI SAAL ME DO MARTABA KIYE JATEY HAIN.

HALAN'K SAHABA KARAM, TABAEEN AUR MUTQADEEN ME SE KOI BHI IS KA QAIL NAHI RAHA.

WO LAILATUL BARAT KO NA TOU ALAG HASIYAT DETY THY OR NA IS RAT KO DUSRI RATON PAR KOI FOQIYAT DETY THY.

YANI DAUR-E-SAHAB OR KABAR TABAEEN K ZAMANY ME SHAB-E-BARAT KA KOI WAJOOD NA THA. 

MUTQADMEEN  ME SIRF HAZRAT AKRAMA (R.A)KA KHAYAL HAI K LAILATUL BARAT NISF SHABAN KI SHAB HAI, 

KHUD SOOFIYA BHI IS K QAIL RAHE K NAZOOL QURAN PAK SHAB-E-BARAT ME HOWA.

JESA K GHAZALI (R.A) (WAFAT 505 H) KI AEHYA-E-UL OOM OR SHEIKH ABDUL QADIR JILANI (R.A) (WAFAT 561 H) KI GHAUNYATUTALEBIN SY WAZAH HOTA HAI. 

DRASAL YE DAWA K QURAN PAK DO BAR NAZIL HOWA,

PEHLI MARTABA SHAH WALI ULLAH (R.A) (WAFAT 1763) NE HAJJATUL BALGHA ME KAHI, UNHO NE YE BAT IS LIYE KAHI K QURAN KA RAD BHI NA HO OR BUZURGO KA ANDHA ETQAD BHI QAIM RAHE.

PHIR MOLANA SHABBIR AHMED USMANI (WAFAT 1951) OR 

MOLANA AEHTASHAM UL HAQ THANVI NE BHI IS TAREEQAY KO APNAYA. 

LEKIN LUTF KI BAAT YE HAI K SHAB-E-QADAR K WAQT IN AYAT KO SHAB-E-QADAR KI FAZEELAT ME PESH KAR DIYA JATA HAI OR SHAB-E-BARAT KY WAQT SHAB-E-BARAT KI SADAQAT K LIYE PESH KAR DIYA JATA HAI.

YANI IN AYAT KO JIS K SATH CHAHA MUNSALIK KARDIYA.

TAFSEER OR FIQHA KA YE MUSALIMA USOOL HAI K AGAR KOI AYAT MUTHAMIL MAENY NAZAR NA AYE TOU IS KI TAFSEER QURAN PAK HI KI DOOSRI AYAT SE KI JAYEGI.

OR SIRF WOHI MEANING MURAD LIYE JAIEN GAY, JIS KI TAEED QURAN PAK KI AYAT SY HO.

ALLAH TALA KA YE FARMANA K 

"HUMNE MAH-E-RAMZ AN ME QURAN PAK NAZIL KYA" 

OR PHIR YE KEHNA K 

"HUM NE QURAN LAILATUL QADAR ME NAZIL KYA" 

YE DONO BAATEN WAZAH HEIN. AESY WAZAH BYAN KI MOOJODGI ME EK MUSHTABA RAWAYYA IKHTIYAR KARNA OR BATOR KHUD YE TASSAWUR QAIM KAR LENA K QURAN PAK DO MARTABA NAZIL HOWA, AIK ILMI KHYANAT HAI.

JAB K TAMAM MUFASAREEN  IS KY QAIL HAIN K LAILATUL MUBARKA SE LAILATUL QADAR MURAD HA TO PHIR KOI WAJA NA THI K IN TAMAM ULMA OR AAIMA KA QOL KO TARAK KAR K SIRF AKRAMA HI KA QOL IKHTYAR KYA JAYE.

HIND O PAK KY AKSAR ULMA OR MUQALA NAWASIYO NY AKRAMA OR SHAH WALI ULLAH KI TAQLEED KY ELAWA KOI TEHQEEQ NAHI KI, 

NA UNHO NE YE MALOOM KARNY KI KOSHISH KI K DEGAR MUFASAREEN  KI RAYE KYA HAI.

IN KI TEHREER KO DEKHNY SE ANDAZA HOTA HAI K YE SAB IN K APNY KHAYALAT HAIN JIN KA QURAN MAJEED SE DOOR KA BHI KOI WASTA NAHI BAL K UNHO NE ZAEEF RIWAYAT SE MAROOB HOKAR QURAN PAK KO IN K MUTABIQ DHAL LENY KI KOSHISH KI HAI. 

AKRAMA, IBN-E-ABBAS K GHULAM THY OR IN SE RIWAYATEIN  BYAN KI HEIN.

IN K MUTALIQ IMAM ZAHBI KA KEHNA HAI K

"IS KY KHAYALAT K BAES IS KI ZAAT ME KALAM KYA GYA NA K HAFIZA K BAES" 

IMAM BUKHARI (R.A) NE IS PER AETAMAD KYA LEKIN IMAM MUSLIM NE IJTINAB KIA OR IS SE BOHT KAM RIWAYAT LI. 

OR WO BHI IS WAKT JAB DUSRA RAWI MOJOOD HO.

IMAM MALIK (R.A) NE 1 YA 2 HADITHS K ELAWA IS SE IJTINAB KIYA.

ABDULLAH BIN HARIS KA QOL HAI K MAIN ALI BIN ABDULLAH BIN ABBAS KI KHIDMAT ME HAZIR HOWA TO WAHAN AKRAMA ZANJEERO ME BANDHA PARA THA. MAINE KAHA; AAP ALLAH SE NAHI DARTY? UNHO NE JAWAB DIYA! YE KHABEES MERE BAP (FATHER, ABDULLAH BIN ABBAS) PAR JHOOT BOLTA HAI. BEHAR HAL MOHADASEEN  NE AKRAMA KO GHAIR SAQA QRAR DIYA. 

YAQOOB AL HAZRAMI NE APNY DADA SE NAQAL KYA HAI K AIK BAR AKRAMA MASJID K DARWAZY PER KHADE HO KAR KEHNE LAGA 

"IS MASJID ME JITNY LOG HEIN SAB KAFIR HEIN" 

WO KHARJIYO K 1 FIRQE ABAJIYA KA HUM- KHAYAL THA. 

IN ULAMA KO JO AKRAMA KI RIWAYAT KO MANTE HAIN, 

YE CHATE HEIN K WO PEHLE AKRAMA KI SADAQAT SABIT KAREN PHIR IS PER BEHES KARIN K IS KA QOL DURST HA YA NAHI. 

HAIRAT TO IS BAT PER HAI K AKRAMA TO UMMAT MUSLIMA KO WAJIB UL QATAL TASSAWUR KARTA HAI OR HUM IS KI RIWAYAT PER APNY AQAID KI BUNYAD RAKHTE HAIN