Showing posts with label dua. Show all posts
Showing posts with label dua. Show all posts

NAIK LARKI K LIYE WALDAH KI GAIR MAQBOOL DUA

NAIK LARKI K LIYE WALDAH KI GAIR MAQBOOL DUA

Question :
Mai akser nafli rozay rakhti hoon ta k Allah Ta'ala meri in lagzisho aur ko kotahiyon ko muaf farmai jo k mery ilm k bagair sar zad hoti rehti hain, mai Al Hamdullilah apny deen per kaar band houn lekin meri waldah Allah sy yh dua kerti hai k woh mery rozay qabool na farmai. mujhy nahi maloom k is ki kia wajah hai, halaank mera roza gharelu kaam kaaj per asar andaz bhi nahi hota, phir woh meri muhtaj bhi nahi. mai is baat sy bary qalaq aur eztrab mai mubtala hoon k maa ki baddua ki wajah sy Allah Ta'ala mery naik amaal aur rozo ko qaboliyat sy nahi nawazyga Qk waldain ki duain baargaah-e-Elahi mai qabool hoti hain. is k muta'aliq apka kia khayal hai?
Answer :
Ebadaat aur nafli rozo k ehtamam ki wajah sy app qabil ta'areef hain. App maqdor bhar inki pabandi karen aur waldaah k samny yh uzar paish karen k yh aik naik amal hai aur bilashubah waldaah ka haq bhi is naik amal k sath sath ba hussan tareek ada hu raha hai Qk nafli rozay is k sath hussan salook, is ki khidmat aur is k haqoq ki adaigi sy many nahi hain.
Waldaah ko to aisy naik amoor ki anjam dahi k liye aap ko tergeeb dilani chaheye thi aur issy chaheye tha k woh app ki iqtada kertee Q k bulandi derjaat aur gunaho ki maafi k liye issy nafli namaz rozay ki aap sy kaheen ziada zarorat hai.
Jahan tak is ki bad dua ka ta'aluq hai to In Sha Allah woh qabool nahi hogi. khas tour per is liye k app ka yh amal sarasar naik hai. galiban woh shfqat madri aur jazba terham k tahet aisa kerti hogi.
Shaikh ibn Jibreen

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
NON MUSLIM BROTHER AND SISTER KE LIYE FREE QURAN CONTACT KIJE
MAKTABA AL FURQAN SAMI GJ 9998561553
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳

DUA KI QABULIYAT KA WAQT

Dua ki qubuliyaat ke liye mat’ad auqaat aur jagahey hai, jin me sey hum kuch yaha bayan karte hain..

۩1 : Raat Ke Akhri Hissey Mein –

Yaani sehri ke waqt dua karna, is waqt Allah ta’ala asmaan duniya tak nuzul farmate hai, ye Allah subhanahu wata’ala ka apne bando par fazl wa karam hai ke inki zaruriyaat aur takleef dur karne ke liye nuzul farmata hai, aur sada lagate hai, “Kaun hai jo mujhe pukare toh mein uski dua qubool karu. Kaun hai jo mujh sey mangey toh mein usey ata karu. Kaun hai jo mujh se apne gunaho ki bakshish mangey , toh usey baksh du”!

Sahih al Bukhari, Hadith- 1145.

۩2 : Azaan Aur Iqamat Ke Darmiyaan –

Nabi sallallahu alahi wassallam sey sahih sabit hai k ap ne farmaya, “Azaan aur iqamat ke darmiyaan Dua radd nahi hoti.

Narrated by Abu Dawood (521) and al-Tirmidhi (212). See also Saheeh al-Jaami’, 2408.

۩3 :  Barish Ke Waqt –

Sahl bin saad radiallah anha ki riwayat mein Nabi ﷺ sey manqul hai ke Ap ne farmaya, Do (2) Duae radd nahi hoti, Azaan ke waqt ki dua aur barish ke waqt ki dua.

Narrated by Abu Dawood and classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’ (3078).

۩4 : Raat Ke Kisi Hissey Me Dua –

Aap ﷺ ka farmaan hai, “Raat ke waqt ek aesi ghadi ati hai jis me koi bhi Musalmaan Dunyawi aur Akhirat ki khair mange toh isey woh chiz de di jati hai, yeh ghadi har raat ati hai.”

Sahih Muslim, Hadith- 757.

۩5 :  Jummah Ke Din Qubuliyat Ki Ghadi –

RasoolAllah ﷺ ne Jummah ke din ka tazkirah karte hue faramaya, Is din me ek asi ghadi hai jis me koi bhi Musalmaan Allah ta’ala se khade ho kar dua mangey Toh Allah ta’ala use woh chiz ata farmata hai. Aur Nabi ﷺ ne is ghadi ke intihai mukhtasir hone ka ishrah bhi faramaya.

Narrated by al-Bukhaari, 935; Muslim, 852.

۩6 : Zamzam peete waqt ki dua –

Jabir radiallah anha Nabi ﷺ se bayan karte hain ke Zamzam ka pani har us maksad ke liye hai jis maksad se piya jaye.

Narrated by Ahmad and classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’, 5502.

۩7 : Sajde Ki Halat Me Dua –

Nabi ﷺ ka farmaan hai, “Banda apne Rab ke qareeb tareen sajdey ki halat mein hota hai, isliye kasrat se sajde ki halat me dua karo.

Sahih Muslim, Hadith-482.

۩8 : Murge ki awaaz sunne ke waqt –

Nabi ﷺ ka farmaan hai, “Jab tum murge ki awaaz suntey ho toh Allah se fazl ilaahi manga karo, kyuki us waqt murge farishte ko dekhta hai.”

Narrated by al-Bukhaari, 2304; Muslim, 2729.

۩ La Ilaha Illa Anta, Subhanaka, Inni Kuntu Mina Z-zalimin Padh Kar Dua Mangey –

Nabi ﷺ ne farmaya, “Yunus alaihi salaam ki dua machli ke pait mein yeh thi :‘Laa ilaaha illa anta, subhaanaka, inni kuntu min al-zaalimeen aur in alfaz ke zariye koi bhi Musalmaan Allah ta’ala se dua mangey toh Allah ta’ala is ki dua zarur Qubool farmata hai.

Narrated by al-Tirmidhi and classed as saheeh in Saheeh al-Jaami’, 3383.

۩ Musibat Pardne Par Inna Lillaahi Wa Inna Ilayhi Raaji’oon. Allaahumma Ujurni Fi Museebati W’ukhluf Li Khayran Minha Ke Zariye Dua Karna –

Mein umme salma radiallah anha kehti hai k mein ney nabi ﷺ ko famatey hue suna (koi bhi musalmaan kisi bhi musibat k puhuchne par huqm e ilaahi k mutabiq kehta hai :
Inna Lillaahi wa inna ilayhi raaji’oon. Allaahumma ujurni fi museebati w’ukhluf li khayran minha .
[Beshaq hum Allah ke liye hai, aur isi ki taraf lautenge, ya Allah mujhe meri Musibat me ajr ata farma, aur mujhe isse accha badla naseeb farma]
toh Allah ta’ala isse accha badla zarur ata farmata hai.

Sahih Muslim, Hadith-918.

۩ Mayyat Ki Ruh Parwaaz Kar Jane Par Logon Ka Dua Karna –

Ek hadees me hai ke Nabi ﷺ ne Abu Salma radiallah anha ke pass aye, Aap faut ho chukey the] aur apki ankhey pathra gayi thi,aap ne unki ankhey band farmaya, ( jis waqt ruh qabz ki jati hai, nazar uska picha karti hai) ye sun kar Abu Salma radiallah anha ke ahlekhana mein sey kisi ne cheekh mari, Toh Aap ﷺ ne faramay, “Apne liye acche kalimaat hi bolo, kyuki jo bhi kaho ge farishtey is par aameen kah rahe hai.

Narrated by Muslim. 2732.

۩ Beemar Admi Ke Pass Dua Karna –

Umme Salma radiAllah anha kahti hai ke Rasoolallah ﷺ ne faramaya, “Jab tum mareez ke pass aao toh acchi baat kaho, kyuki Farishtey Tumhari un baaton par aameen kahtey hai. Umme Salma radiallah anha kahti hai ke jis waqt Abu Salma faut ho gaye toh mai RasoolAllah ﷺ ke pas ayi aur apko khabr di ke Abu Salma faut ho gaye hai toh Ap ﷺ ne farmaya tum ye kaho, “Ya Allah meri aur is ki magfirat farma, aur mujhe isse accha badle me ata farma. Umme Salma kahti hai, “Maine ye alfaz kahe, toh Allah ta’ala ne mujhe Abu Salma se behtar khawind ata kiya. Yani “Muhammad ﷺ”

Sahih Muslim, Hadith no. 918.

۩ Mazlum Ki Dua –

Ek Hadees me hai ke Nabi ﷺ ne farmaya, “Mazlum ki baddua se bacho, kyuki Allah aur mazlum ki baddua ke darmiyaan koi parda nahi hota”.

Narrated by al-Bukhaari, 469; Muslim, 19.

Aap ﷺ ka ye bhi farmaan hai ke, “Mazlum ki baddua Qubool hoti hai, chahey wo fajir hi kyu na ho, us ke fajir hone ka nuqsaan usi ho hoga.

Narrated by Ahmad. See Saheeh al-Jaami’, 3382.

۩ Walid Ki Apni Aulaad Ke Haq Me Dua, Rozadaar Ki Rozey Ki Halat Me Dua Aur Musafir Ki Safar Ke Dauran Dua –

Aap ﷺ ne farmaya, Teen qism ki Duae radd nahi hoti. Walid ki apni aulaad ke haq me,  rozadaar aur musafir ki dua.

Narrated by al-Bayhaqi; see Saheeh al-Jaami’, 2032; al-Saheehah, 1797. 

۩ Walid Ki Apni Aulaad Ke Liye Baddua –

Sahih ahadees me hai ke, “Teen duaye qubool hoti hai. Mazlum ki dua, Musafir ki dua, Walid ki apni aulaad ke liye baddua”.

Narrated by al-Tirmidhi, 1905. See Saheeh al-Adab al-Mufrad, 372. 

۩  Naik Aulaad Ki Apne Walidein Ke Liye Dua –

1. RasoolALlah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya ki jab koi insan marta hai to uske nek aamal band kar diye jate hai siwae teen tarah ke:
1) Sadka e jariya(Allah ke raah me lagaya hua hamara maal jo logo ko fayda pohcha raha ho)
2) Jo Ilm logo ko sikhaya ho wo usse fayda utha ra ho
3) Nek aulad jo uske liye dua kare .

Reported by al-Tirmidhi, no 1376; he said this is a saheeh hasan hadeeth.

۩ Raat Ke Waqt Kisi Bhi Lamhey Ankh Kholney Par Un Masnon Alfaz Ke Baad Dua Kar –

‘Ubada bin As-Samit r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ka farmaan hai, “Jo shaqsh raat ke waqt bedaar huwa, aur us ne yeh kaha –
‘La ilaha il-lallah Wahdahu la Sharika lahu Lahu-lmulk, waLahu-l-hamd wahuwa ‘ala kullishai’in Qadir. Al hamdu lil-lahi wa subhanal-lahi wa la-ilaha il-lal-lah wa-l-lahu akbar wa la hawla Wala Quwata il-la-bil-lah.’ 
Ya koi aur dua mangi toh iski dua qubool hogi, aur agar wuzu kar ke namaz padhi toh iski namaz bhi qubool hogi.

Sahih al-Bukhari, Hadith-1154 .

Allah se dua hai ki wo hamari duao ko qubul farmaye. aameen.

SAKTI AUR PARESHANI KE WAQT KI DUA

✦ Sakhti Aur Pareshani ke waqt ki dua
-------------------
✦ Anas Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam par jab koi sakhti ya pareshani pesh aa jati to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ye dua farmate 
يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ
Ya Ḥayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith
Eh Zinda Hamesha Qayam rahne wale tere rahmat ke waseele se faryad karta hu
Jamia Tirmizi,Jild2,1451-Hasan
------------
✦ Anas bin Malik radi allahu anhu said  Whenever a matter would distress him, the Prophet (ﷺ) would say:
يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ
Ya Ḥayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith
Oh Alive and everlasting one , I beseech You by your mercy.
Jamia Tirmizi, Book 45, 3524-Hasan

NAMAZ KE BAAD MASNOON AZKAAR (DUA)

Bismillahirrahmanirraheem

1. Ibne Abbas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz ka khatam hona takbeer (Allahu Akbar ki awaaz) se pehchan leta tha. (Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 841, Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 583)

yani Nabi Rehmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam farz namaz ka salam pher kar unchi awaaz se Allahu Akbar kehte they is se sabit hua k imam aur muqtadiyo ko namaz se farig hote hi ek baad buland awaaz se (Allahu Akbar) kehna chahiye.

2. Sobaan Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab apni namaz khatam karte to farmate: "ASTAGHFIRULLAH, ASTAGHFIRULLAH, ASTAGHFIRULLAH" Tarjuma: "Mai Allah se (gunaho ki) bakhshish chahta hu" (Teen Martaba).

"ALLAHUMMA ANTAS SALAAMU WA MINKAS SALAAMU TABARAKTA YA ZALJALALI WAL IKRAAM". Tarjuma: "Ya Allah tu hi salamati wala hai aur teri hi taraf se salamati hai ae buzurgi aur izzat wale tu bada hi babarkat hai"(Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 591)

3. M'aaz Bin Jabal Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mera hath pakad kar farmaya: Ae m'aaz! Allah ki kasam mai tujhse muhabbat karta hu mai tujhe wasiyat karta hu k har (farz) namaz k baad ye (zikr) padhna na chodna: "ALLAHUMMA INNI ALA ZIKRIKA WA SHUKRIKA WA HUSNI IBADATIK" Tarjuma: "Ae mere rab! zikr karne, shukr karne aur acchi ibadat karne mai meri madad kar". (Abu Daud Kitabul Witr Hadees No. 1522, ise Imam Hakim 273/1, Imam Zehbi, Imam Ibne Khuzaima, Imam Ibne Habaan aur Imam Noovi ne sahi kaha)

4. Mugira Bin Shaba Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam har farz namaz k baad kehte they: "LA ILAHA ILLALLAHU WAHDAHU LA SHARIKA LAHU, LAHUL MULKU WA LAHUL HAMDU WA HUA ALA KULLI SHAI IN KADEER, ALLAHUMMA LA MAANIA LIMA AATAITA WALA MUTIYA LIMA MANAATA WALA YANFA'OU ZAL JADDI MINKAL JADDU". Tarjuma: "Allah ke siwa koi (saccha) mabood nahi hai, wo akela hai uska koi shareek nahi hai, usi k liye baadshahat hai aur usi k liye sari tareef hai, aur wo har cheez par kadir hai. Ya Allah! teri ata ko koi rokne wala nahi aur teri roki hui chiz ko koi ata karne wala nahi aur dolatmand ko (us ki) dolat tere azaab se nahi bacha sakti". (Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 844, Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 593)

5. Abdullah Bin Zubair Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam salam pherne k baad padhte they: "LA ILAHA ILLALLAHU WAHDAHU LA SHARIKA LAHU, LAHUL MULKU WA LAHUL HAMDU WA HUA ALA KULLI SHAI IN KADEER, LA HAULA WALA KUWATTA ILL BILLAHI LA ILAHA ILLALLAHU WALA NA'ABUDU ILLA IYYAHU LAHUN NE'EMATU WA LAHULFAZLU WA LAHUSSANA UL HASANU LA ILAHA ILLALLAHU MUKHLISEENA LAHUDDEENA WA LAO KARIHAL KAFIROON" Tarjuma: "Allah k siwa koi (saccha) mabood nahi wo akela hai uska koi shareek nahi usi k liye baadshahat hai aur usi k liye saari tareef hai aur wo har cheez par kadir hai gunaho se rokna aur ibadat par kudrat pana sirf Allah ki tofeeq se hai Allah k siwa koi (saccha) mabood nahi aur hum (sirf) usi ki ibadat karte hai har ne'emat ka malik wahi hai aur sara fazal usi ki malkiyat se (yani fazal aur ne'emate sirf usi ki taraf se hai) usi k liye acchi tareef hai Allah k siwa koi mabood (haqeeqi) nahi hum (sirf) usi ki ibadat karte hai agarche kafir bura maney". (Muslim Kitabul Masajid Hadees No. 594)

6. Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz k baad in kalmaat ko padhte they: "ALLAHUMMA INNI AOZUBIKA MINAL JUBNI WA AOZUBIKA MINAL BUKHLI WA AOZUBIKA MIN AN URADDA ILA ARZALIL UMURI WA AOZUBIKA MIN FITNATID DUNYA WA AZABIL QABR" Tarjuma: "Ae Allah! mai buzdili aur kanjusi se teri panah chahta hu aur is baat se bhi teri panah chahta hu k mujhe razeel umar ki tarah pher diya jaye aur mai dunyawi fitno aur azab e qabr se bhi teri panah chahta hu". (Bukhari Kitabul Jihaad Hadees No. 2822)

7. Abu Huraira Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: uske tamaam gunah maaf kar diye jayenge khawah samundar k jhaag k barabar ho jo har (farz) namaz k baad padhey: "SUBHANALLAH" "Allah (har aeeb se) paak hai" "33 baar" "ALHAMDULILLAH" "sari tareef Allah ki hai" "33 baar" "ALLAHU AKBAR" "Allah sabse bada hai" "33 baar" aur ek baar padhey: "LA ILAHA ILLALLAHU WAHDAHU LA SHARIKA LAHU LAHUL MULKU WA LAHUL HAMDU WA HUA ALA KULLI SHAI IN KADEER" Tarjuma: "Allah k siwaye koi (saccha) mabood nahi wo akela hai uska koi shareek nahi usi k liye sari baadshahat aur usi k liye sari tareef hai aur wo har cheez par khoob kudrat rakhne wala hai". (Muslim Kitabul Masajid Hadees No. 597)

8. Ka'ab Bin Ajar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jo shaks farz namaz k baad (SUBHANALLAH) 33 baar (ALHAMDULILLAH) 33 baar aur (ALLAHU AKBAR) 34 baar kahega wo (sawab ya buland darjaat se) mehroom nahi hoga. (Muslim Hadees No. 596)

9. Ukba Bin Aamir Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhey huqm diya k mai har (farz) namaz k baad Ma'ozaat padha karo. (Abu Dawood Kitabul Witr, Nasai Hadees No. 1336 aur 68/3, ise Imam Hakim 253/1, Imam Zehbi, Imam Ibne Khuzaima aur Imam Habaan 2347 ne sahi kaha)

Ma'ozaat (Allah ki panah mai dene wali surate) ye un surato ko kehte hai jis k shuru mai (KUL A'OZU) ka laft hai inhe ma'ozteen bhi kaha jata hai yani Quran paak ki akhri 2 surate (Surah FALAK, aur Surah NAAS).

10. Ummul Mumineen Ummey Salma Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab subha ki namaz ka salam pherte to kehte: "ALLAHUMMA INNI ASALUKA ILMAN NAFIAO WA RIZKAN TAYYIBAO WA AMALAN MUTAKABBALA" Tarjuma: "Ae Allah! mai tujhse nafa dene wale ilm aur pakiza rizk aur kabool kiye gaye amal ka sawal karta hu". (Ibne Maja Kitab Ikamatus Salat Hadees No. 925)

11. Amara Bin Shabeeb Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jisne magrib ki namaz k baad 10 baar ye alfaaz kahe: "LA ILAHA ILLALLAHU WAHDAHU LA SHARIKA LAHU LAHUL MULKU WA LAHUL HAMDU YUHYI WA YUMEETU WA HUA ALA KULLI SHAI IN KADEER" Tarjuma: "Allah k siwaye koi (saccha) mabood nahi wo akela hai uska koi shareek nahi usi k liye sari baadshahat aur usi k liye sari tareef hai wahi zinda karta hai aur wahi marta hai aur wo har cheez par khoob kudrat rakhne wala hai".

"Allah Ta'ala uski hifazat k liye farishte bhejta hai jo subah tak shetan mardood se uski hifazat karte hai aur Allah Ta'ala uske liye 10 nekiya likhta hai aur 10 halaak karne wale gunah us se door karta hai uske liye 10 momin gulaam azaad karne k barabar ajar hai". (Tirmizi Kitabul Dawat Hadees No. 3534)

12. Abu Umama Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mene Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna: jo shaks har namaz k baad Ayatal kursi padhe to usko bahisht mai dakhil hone se siwaye maut k alawa koi cheez nahi rokti. (Nasai Hadees No. 100 ise Imam Ibne Habaan aur Manzari ne sahi kaha)

Matlab ye hai k Ayatal Kursi padhne wala maut k baad sidha jannat mai jayega.

Ayatal Kursi: "ALLAHU LA ILAHA ILLA HUWAL HAYYUL QAYYOOM LA TA'KHUZUHU SINATU WALA NAUM LAHU MA FISSAMAWATI WAMA FIL ARZ MAN ZALLAZI YASHFAO INDAHU ILLA BI'IZNI YA'LAMU MA BAINA AEDEEHIM WAMA KHALFAHUM WALA YUHITOONA BISHAI IM MIN ILMIHI ILLA BIMA SHAAA A WASI'A KURSEE YUHUS SAMAWATI WAL ARZ WALA YAODUHU HIFZUHUMA WA HUWAL ALEEYIL AZEEM" Tarjuma: "Allah k siwa koi (saccha) mabood nahi wo zinda hai hamesha qaim rehne wala hai wo unghta hai na sota hai usi ka hai jo kuch aasmaano aur zameen mai hai uski ijazat k bagair kon uske paas (kisi ki) sifarish kar sakta hai? wo janta hai jo kuch unse pehle guzra aur jo kuch unke baad hoga aur loog uske ilm mai se kisi cheez ka ahaata nahi kar sakte (maloom nahi kar sakte) magar wo jitna chahta hai (utna ilm jise chahe de deta hai) uski kursi ne aasmano aur zameen ko ghair rakha hai aur un dono ki hifazat usko thakati nahi wo buland wa bala badi azmato wala hai".

13. Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jo shaks raat ko sotey waqt Ayatal kursi padh leta hai to Allah ki taraf se uske liye muhafiz muqarrar kar diya jata hai aur tulu fajar tak shetan uske kareeb nahi aata. (Nasai Hadees No. 959, Imam Iben Khuzaima Hadees No. 2424 ne ise sahi kaha).

Allah ta'ala hame bida'at aur khurafaat se bachaye aur aur namaz k baad masnoon azkaar ka paband banaye. (Aameen Ya Rabbal Alameen)

SUBAH AUR SHAAM KE AZKAR

Bismillahirrahmanirraheem

Nabi sallalaho alaihi wasallam ka irshad hai : jo shakhs subah ke waqt aaytul kursi parhay woh shaam tak jino se mehfooz ho jata hai, aur jo usay shaam ke waqt parhay woh subah tak un se mehfooz hojatahe

(Sunan nasai, Albani fi shahi targib-658)

AYATUL KURSI:

[اللهُ لَا إِلَهَ إِلَّا هُوَ الحَيُّ القَيُّومُ لَا تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلَا نَوْمٌ لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ مَنْ ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدَهُ إِلَّا بِإِذْنِهِ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَلَا يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِنْ عِلْمِهِ إِلَّا بِمَا شَاءَ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاوَاتِ وَالأَرْضَ وَلَا يَئُودُهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ العَلِيُّ العَظِيمُ]
{البقرة:255}

TARJUMA AYATUL KURSI :

" Allah ke ilawa koi ( sacha ) mabood nahi, woh hamesha se zindah hai aur tamam kaayenaat ki tadbeer karne wala hai, usay na ongh aati hai aur na neend, asmano aur zameen mein jo kuch hai sab isi ki malkiat hai, kon hai jo is ki janib mein baghair is ki ijazat ke kisi ke liye Shafaat kere, woh tamam woh kuch jaanta haI jo logo ke samnay aur un ke peechay hai, is ki kursi ki wusat asmano aur zameen ko shaamil hai, aur un ki hifazat un par bhaari nahi, wohi bulandi aur Azmat wala hai"

( al-baqrah : 255 )

→Surah IKHLAS, Surah AL-FALAQ aur Surah AN-NAAS jo shakhs subah wa sham teen martaba parhega to yeh surate har cheez se kaafi ho jayegi

HASAN( SAHIH TIRMIZI 3 / 182 )

NABI kareem sale Allah alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs yeh dua subah wa sham teen teen baar parhega is ko koi cheez takleef nahi day gi .

"بسم الله الذي لا يضرُّ مَعَ اسمِهِ شيءٌ في الأرضِ وَلاَ في السماءِ وهُوَ على السميعُ العليمُ"

" Us Allah ke naam ke sath jis ke naam ke hotay hue koi nuqsaan nahi pouncha sakti, zameen ki ho ya asmano ki, woh khoob suneney wala bara jan-nay wala hai "

( abu-dawood, tirmizi )

Ye teen teen baar subah wa sham yeh dua parhna bhi saabit hai :

اللَّهُمَّ عَافِنِي في بَدَني، اللَّهُمَّ عافِني في سَمْعي، اللَّهُمَّ عافِنِي في بَصَري، لا إله إلاَّ أنت، اللَّهُمَّ إني أعُوذُ بِكَ من الكُفْرِ، والفَقْرِ، اللَّهُمَّ إني أعُوذُ بِكَ مِنْ عذابِ القَبْرِ، لاَ إله إلاَّ أنْتَ".

" Ay Allah ! mujhe mere jism mein aafiat day, Ay Allah ! mujhe mere kaanon mein aafiat day, Ay Allah ! mujhe meri aankhon mein aafiat day, tairay ilawa koi ibadat ke Layak nahi, ay Allah ! mein kufar aur fiqr se teri panah chahta hon aur azabِ qabar se teri panah chahta hon, tairay ilawa koi ibadat ke Layak nahi "

HASAN ( sahih sunan abu dawood 3 / 959 )

yeh dua bhi saabit hai :

"يا حَيُّ يا قَيومُ بِرَحْمَتِكَ أستَغِيثُ أصْلِحْ لي شأنِي كُلّهُ ولاَ تَكِلْنِي إلى نفسي طرفَةَ عَيْنٍ"

" ae hamesha zindah rehne walay! ae har cheez ko qaim rakhnay walay ! mein teri hi rehmat se faryaad karta hon, mere tamam kaam durust kardey, aur aik aankhh jhapkane ke brabar mere nafs ke sُprd nah kar "

Ravahu alhakim sahih albani ( sahih altargib safah 273 raqam 657 )

SAYYED-UL-ISTEGFAR:

Rasool Allah sale Allah aleh wasallam ny farmaya :" jo shakhs yaqeen ki haalat mein shaam ke waqt yeh dua parhay aur isi raat wafaat pajaye to woh jannat mein jaye ga, isi terhan jo shakhs usay yaqeen ke sath subah ke waqt parh le aur shaam taq wafaat pajaye to woh bhi jannat mein jaye ga "

"اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي لا إلهَ إلاَّ أنْتَ خَلَقْتني وأنا عَبْدُك وأنا على عَهْدِكَ وَوَعْدِك ما استطعْتُ أعُوذ بكَ من شَرِّ ما صَنَعتُ أَبُوء لك بِنعمتك علي وأَبوءُ لك بذنبي فاغْفر لي فإنَّه لا يَغْفر الذُنُوبَ إلاَّ أنتَ "

" ae Allah ! to mera rab hai, tairay ilawa koi ( sacha ) mabood nahi, tunay mujhe peda farmaya aur mein tera bandah hu, aur mein apni taaqat ke mutabiq tairay ehad aur waday par qaim hu, apne kiye ke shar se teri panah mein aata hu, mein apne upar tairay inaam ka iqraar krta hu, aur mai tujh se apne gunah ka iqraar krtahon, tu mujhe maaf kardey, isliye ke tairay siwa koi bhi gunah maaf nahi karsaktha "

(Shahi bukhari )

ye dua bhi saabit hai :

"اللَّهُمَّ عَالِمَ الغَيْبِ والشهادة، فاطِرَ السموات والأرض، رَبَّ كُلِّ شيءٍ ومليكه، أشهدُ أن لا إله إلاَّ أنت أعُوذُ بِكَ من شرِّ نفسي ومن شَرِّ الشيطان وشركِهِ وأن أقترف على نفسي سوءاً أو أجُرَّهُ إلى مسلم" .

" ae Allah ! ghaib aur haazir ke jan-nay walay! asmano aur zameen ko be misaal peda karne walay! ae har cheez ke rab aur maalik! mein gawahi deta hon ke ( sacha ) mabood tu hi hai, mein teri panah mein aata hon, apne nafs ke shar se, aur shetan ke shrse, aur is ke phandey se, aur is baat se ke apne hi khilaaf hi kisi buray kaam kaartkab karoon ya usay khech lau kisi musalman ki taraf "

(sahih nasai 3 / 142 )

Ye dua bhi saabit hai :

"اللَّهُمَّ إنِّي أسْألُك العافية في الدُّنيا والآخِرَةِ، اللَّهُمَّ إنِّي أسألك العَفْو والعافية في ديني ودُنْيايَ وأهْلي ومَالي، اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوراتي وَآمِنْ روعاتي، اللَّهُمَّ احفظني من بين يديَّ ومِنْ خَلْفي وَعَنْ يميني وعَنْ شِمَالي ومِنْ فَوقِي وأَعُوذُ بعظمتك أن أُغتال مِنْ تحتي

" ae Allah ! mein tujh se duniya aur akhirat mein maffi aur aafiat ka sawal karta hu, ae Allah ! mein tujh se maffi aur aafiat ka sawal karta hon apne deen aur apni duniya aur apne ahal aur apne maal mein, ae Allah ! meri parda wali baton par parda daal day aur mere khauf o hiraas ko ( aman mein ) badal day, ae Allah ! to meri hifazat farma, mere samnay se aur mere peechay se, aur mere dayen se aur mere baen se, aur oopar se, aur mein teri Azmat ki panah chahtahon is baat se ke nagahan apne neechay se uchak liya jaoon "

( abu-dawood, Ibn maja )

▶yeh dua bhi saabit hai :

"اللَّهُمَّ بِكَ أصبحنا وبِكَ أمسينَا وبِكَ نَحْيا وبكَ نَمُوتُ وإليك النُشُورُ"

" ae Allah ! tairay naam ke sath hum ne subah ki, aur tairay naam ke sath hum ne shaam ki, aur tairay naam ke sath hum zindah hain, aur tairay naam ke sath hum martay hain, aur teri taraf hi lotna hai"

Aur Shaam ke waqt yeh dua kahe :

"اللَّهُمَّ بك أمسَيْنا وبِكَ أصبحنا وبِكَ نحيا وبِكَ نموتُ وَإِليكَ المصيرُ"

" ae Allah ! tairay naam ke sath hum ne shaam ki, aur tairay naam ke sath hum ne subah ki, aur tairay naam ke sath hum zindah hain, aur tairay naam ke sath hum martay hain, aur teri taraf hi lout kar janahe "

( sahih Tirmizi 3 / 142 )

Ye dua bhi saabit hai :

أمسينا وأمسى المُلْكُ لله، والحَمْدُ لله، لاَ إلَهَ إلاَّ الله وحده لا شريك له،له المُلْك ولَهُ الحَمْدُ وهُو على كُلِّ شيءٍ قَديرٌ، رَبِّ أسْألُك خير ما في هذه الليلة وخَيْرَ ما بعدَها وأعُوذُ بِكَ من شرِّ هذه الليلة وشرِّ ما بعدها رَبّ أعُوذُ بِكَ من الكَسَل وسُوءِ الكِبَرِ، ربِّ أعُوذُ بِك من عَذَابٍ في النارِ وَعَذَابٍ في القَبْرِ"

" hum ne shaam ki aur Allah ki badshahi ne shaam ki, aur tamam tareef Allah ke liye hai, Allah ke ilawa koi ibadat ke Laiq nahi, woh akela hai is ka koi shareek nahi, isi ki badshahi hai, aur isi ke liye hamd hai, aur woh har cheez par Qadir hai, ae mere rab! is raat mein jo kher hai aur jo is ke baad mein kher hai mein tujh se is ka sawal karta hon, aur is raat ke shar se aur is ke baad wali raat ke shar se teri panah chahta hu, ae mere rab! mein susti aur burhapay ki buraii se teri panah chahta hon, ae mere rab! mein aag mein azaab diye jaane se, aur qabar mein azaab diye jaane se teri panah chahtahu "

aur jab subah hoti to yahi alfaaz kehte aur shuru mein kehte :" "أصْبَحْنَا وأصْبَح المُلْك لله... ." yani hum ne subah ki aur Allah ke malik ne subah ki 

(muslim 4 / 2089)

jo shakhs din mein so (100) martaba "سبحان الله وبحمده ( Allah pak hai, aur apni saari tareefon ke sath hai ) kahe is ke gunah mita diye jayen ge agar che samandar ke jhaag ke barabar ho

( muslim 4 / 2071 )

Ye dua bhi saabit hai :

"لا إله إلاَّ الله وحده لا شريك له، له الملك وله الحمد وهو على كل شيءٍ قدير"

( Allah ke ilawa koi ibadat ke Laiq nahi, woh akela hai is ka koi shareek nahi, isi ka malik hai aur isi ke liye hamd hai, aur woh har cheez par Qadir hai )

Rasool Allah sale Allah aleh wasalam ne farmaya :" jis ne aik din mein so (100) baar yeh alfaaz kahe, usay das ghulam azad karne ka sawab hoga, aur is ke liye(name aamaal mein ) so(100) naikian likhi jayen gi, aur iss ke so(100) gunah mita dyie jayen ge, aur un ki wajah se sara din raat taq woh shetan se mehfooz rahay ga, aur kisi ka amal is ke amal se afzl nahi hoga, siwaye is shakhs ke jo is se ziyada zikar kere "

( bukhari h : 3293, 6403 - Muslim h : 2691, 28 )

Rasool Allah sale Allah aleh wasalam ne farmaya :" jo shakhs mujh par das baar subah aur das baar shaam duroood beje ga, usay qayamat ke din meri Shafaat naseeb hogi "

Ravah tabrani fi kabir va hasan albani (sahih targin safah 273 raqam 659)

Sirf subah ki dua :

"سُبْحَانَ الله وبِحَمْدِهِ عدد خلقِهِ وَرِضا نفسِهِ وزِنَةَ عَرْشِهِ ومِدَادَ كلماتِهِ"

" Allah pak hai, aur apni saari tareefon ke sath hai, apni makhlooq ki ginti ke barabar, aur apne nafs ki Raza ke barabar, aur apne arsh ke wazan ke barabar" ( teen martaba )

( muslim 4 / 2090 )

Sirf shaam ki dua :

"أعُوذُ بِكَلِمَاتِ الله التَّامَّاتِ من شَرِّ ما خَلَقَ"

" mein Allah ke kalmaat ke zareya un tamam cheezon ke shar se panah mangta hu jo is ne peda ki hain" ( teen martaba )

(  muslim 4 / 2081 )

Rasool kareem sale Allah aleh wasalam ne farmaya : jis ne surah baqra ki aakhri ayatain raat mein parh len woh usay har aafat se bachanay ke liye kaafi ho jaien gi "

( Sahih Bukhari : 5008 )

Nazar ki dua

��نظر بد کی دعاءیں
����������������
��اعيذكمابكلمات الله التامةمن كل شيطان وهامة ومن كل عين لامة
میں تم دونوں کو اللہ کی پناہ میں دیتا ہوں اللہ تعالی کے کلمات کاملہ کے ساته ہر شیطانی اور زہریلے کیڑے مکو ڑے اور ہر نظر بد سے
(سنن الترمذی:2060
������������������بسم الله ارقيك من كل شيء يؤذيك،من شر كل نفس او عين حاسد،الله يشفيك بسم الله ارقيك
اللہ کے نام کے ساته میں آپ کو دم کرتا ہوں،ہر اس چیز سے جو آپ کو تکلیف دے،ہر شریر نفس کی شرارت سے اور حسد کرنےوالےکی  نظربد سے اللہ آپ کو شفا دے_میں اللہ کے نام سے آپ کو دم کرتا ہوں
(صحيح مسلم:2186)
������������������بسم الله يبريك،ومن كل داءيشفيك،ومن شر حاسدإذاحسد،ومن شركل ذي عين
اللہ کے نام سے وہ تمهیں صحت عطا فرما ے اور ہر بیماری سے شفا عطا فرماے،اور ہر حاسد کے حسد سےاور ہر نظر لگانے والے کےشر سے محفوظ رکهے
(السلسلةالصحيحة:2060)
����������������
��أعوذبكلمات الله التامات من غضبه وعقابه وشر عباده،ومن همزات الشياطين وأن يحضرون
میں اللہ تعالی کے کامل کلمات کی پناہ میں آتا ہوں،اس کی ناراضی سے،اس کی سزا سے،اس کے بندوں کے شرسے،شیطانوں کے وسوسوںسے اوران کے میرے پاس آنے سے
(سنن الترمذی:3528)
����������������

Dua

قرآن کی بہترین دعائیں�� ▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓
❤اگر صالح اولاد چاہتے ہو تو:
رَبِّ هَبْ لِي مِنْ لَدُنْكَ ذُرِّيَّةً طَيِّبَةً إِنَّكَ سَمِيعُ الدُّعَاءِ‬‬
رَبِّ لَا تَذَرْنِي فَرْدًا وَأَنْتَ خَيْرُ الْوَارِثِينَ‬‬��
▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓
��اگر تمہیں اس بات کا خوف ہو کہ تمہارا دل گمراہ ہو جائے گا:
رَبَّنَا لَا تُزِغْ قُلُوبَنَا بَعْدَ إِذْ هَدَيْتَنَا وَهَبْ لَنَا مِنْ لَدُنْكَ رَحْمَةً إِنَّكَ أَنْتَ الْوَهَّاب��ُ‬‬
▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓
��اگر چاہتے ہو کہ تمہیں شہادت جیسی سعادت میسر ہو:
رَبَّنَا آمَنَّا بِمَا أَنْزَلْتَ وَاتَّبَعْنَا الرَّسُولَ فَاكْتُبْنَا مَعَ الشَّاهِدِينَ‬‬ ��
▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓
��☝اگر کسی بڑی مشکل اور پریشانی میں گرفتار ہو تو:
حَسْبِيَ اللَّهُ لَا إِلَهَ إِلَّا هُوَ عَلَيْهِ تَوَكَّلْتُ وَهُوَ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ‬ ��‬
▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓ ‬‬
��اگرچاہتے ہو آپ اور آپ کی اولاد نماز کی پابند رہے تو:
رَبِّ اجْعَلْنِي مُقِيمَ الصَّلاةِ وَمِنْ ذُرِّيَّتِي رَبَّنَا وَتَقَبَّلْ دُعَاءِ‬ ��‬
▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓
��اگر چاہتے ہو کہ آپ کی بیوی اور اولاد آپ سے ہمیشہ وفادار رہیں تو:
رَبَّنَا هَبْ لَنَا مِنْ أَزْوَاجِنَا وَذُرِّيَّاتِنَا قُرَّةَ أَعْيُنٍ وَاجْعَلْنَا لِلْمُتَّقِينَ إِمَامًا ��
▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓
��  اگر اچھے گھر کی تلاش میں ہو تو:
رَبِّ أَنْزِلْنِي مُنْزَلًا مُبَارَكًا وَأَنْتَ خَيْرُ الْمُنْزِلِين��َ
▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓
����اگر چاہتے ہو کہ شیطان تم سے ہمیشہ دور رہے تو:
رَبِّ أَعُوذُ بِكَ مِنْ هَمَزَات«الشَّيَاطِينِ وَأَعُوذُ بِكَ رَبِّ أَنْ يَحْضُرُونِ ��
▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓ ‬‬
��  اگر جہنم کے عذاب سے ڈرتے ہو تو:
رَبَّنَا اصْرِفْ عَنَّا عَذَابَ جَهَنَّمَ إِنَّ عَذَابَهَا كَانَ غَرَامًا ��
▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓
��اگر اس بات کا خوف ہو کہ اللہ تعالی تمہارے اعمال قبول نہیں کرے گا تو:
رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّا إِنَّكَ أَنْتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ ‬��‬
▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓
����اگر پریشان حال ہو تو:
إنما أَشْكُو بَثِّي وَحُزْنِي إِلَى اللَّه ��
▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓
☺☝اپنے دوستوں اور احباب کو ان قرآن دعاؤں سے مطلع فرمائیں، شاید کسی کی مشکل کا حل انہی دعاؤں میں سے کسی ایک دعا میں ہو۔
▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓▓

��������������

Maktaba al furqan guj 99985615553