Showing posts with label qasam. Show all posts
Showing posts with label qasam. Show all posts

QASAM UTHATY WAQT

QASAM UTHATY WAQT

Question :
Hazrat Abdul Allah bin Umer R.A. sy marvi hadis Nabvi ka kia matlab hai?

"Jis shakhs ny qasam uthaty wqt "In Sha Allah" keh lia to woh hanis nahi hoga."
Jamia At'tramzi' hadis:1531' wa sanan abi daud' hadis: 3262.
Answer :
Is hadis ka matlab yh hai k jab koi shakhs qasam uthaty wqt "In Sha Allah" keh ley, phir woh qasam ko pura na ker saky to is per qasam torny ka kufarah na hoga, Maslan: woh youn kahy: "Allah ki qasam! mai In Sha Allah aisa zaror karonga" phir woh kaam na kery ya youn kahey: Allah ki Qasam! mai In Sha Allah aisa nahi karonga, phir woh issy ker guzrey to is tarha is per kufaraah qasam wajib nahi hoga, lehaza qasam uthany waly ko qasam uthaty wqt "In Sha Allah" keh laina chaheye ta k agar kisi wajah sy qasam puri na ker saky to kufara ada na kerna pary.
Hazrat Sulaiman A.S k mutaliq RAsool Allah (S.A.W) ny aik waqiya biyaan farmaya hai inhuny aik baar apni tamam biviyo (jo k tadad mai 60 ya 70 ya 90 ya 100 theen) ki babut youn kaha:
"aaj raat mai zaror in sab per chakker lagauga aur in mai sy her aik hamla hogi aur her aik ghur sawar bachy ko janam deygi jo fisabeelillah mujahid bany ga." in k aik sathi ny kaha: In Sha Allah. lekin inhuny khud In Sha Allah na kaha. in biviyon mai sy masiwaye aik k koi bhi hamla na howi aur is ny bhi naqis-ul-khalqat bachy ko janam dia. to is moqa per Rasool Allah (S.A.W) ny farmaya: " agar woh In Sha Allah keh laity to in mai sy her koi aik ghur sawaar bachy ko janam daiti aur woh fisabeelillah qataal kerta."
Sahih al-bukhari' hadis: 3424' wa sahi muslim' hadis: 1654.
is k elawah qasam uthany k sath In Sha Allah kehny ka aik aur faidah bhi hai aur woh yh hai k is tarha qasam puri kerny mai saholet paida hujati hai. jaisa k Allah Ta'ala ny farmaya:

"Aur jo koi Allah per bharosa keryga to Allah is k liye kafi hai. Allah apna kaam baher haal pura ker k rehta hai Allah ny her shay ka aik andaza muqarar ker rakha hai."
At'tlaq 65:3.
Shaikh Mohammad bin Saleh Usaimin

KUFARRAH QASAM AUR GAWAHI K BARY MAI

KUFARRAH QASAM AUR GAWAHI K BARY MAI
Question :
1: Agar mujhy apny shaiher mai 10 masakeen na mil sakeyn to kia aik hi mustahiq miskeen ko 10 masakeen ka khana khila sakti hoon?
2: Hamary mulk ki galib khurak chawal hai, kia mai chawalon ki sorat mai kufaraah dey sakti hoon?
3: Agar naqdi masakeen k liye ziadah mufeed hu to kis mai khurak k badley naqad paidy dey sakti hoon? aur is sorat mai fi kas kitny riyaal dainy huongey?
4: Aik maa akser apny bachu per is liye qasamain dalti rehti hai k woh apni zeemaidariyaan puri karen, jab k is k bachy akser-o-beshter is ki mukhalifat kerty hain jis sy is ki qasam puri nahi hoti to kia is sorat mai is per kufara qawam wajib hoga ya iski qasam lagv samjhi jayegi?
5: Meri aik hum jamat aur hamari ustani k dermiyan kisi masley mai ikhtelaf hugaya, meri hum jamat ny ustani ki ejazat k bagair hi is sy buland awaaz mai baat kerna shoru ker di, is per ustani ny meri class fellow k khilaf mujh sy gawahi chahi to mai ny ustani sy maafi mangany ka program banaya magar woh suadi arb sy ja chuki thi. abb mujhy kia kerna chaheye?
Answer :
1: App k liye shaher mai masakeen ko talash kerna zarori hai, agar wahan na mil saken to dosry qareebi shehron mai talash karen agar aik hi masakeen mil saky to issy 10 din tak khana khilaya ja sakta hai. haan sadqaat-o-kherat jama'a kerny waly aur phir inhain mustehqeen per kherch kerny waly aisy edary ko kufara ada kerna jaiz hai jin mai zarorat mand mustehqeen aaty hain aur woh inhain baqadar zarorat-o-estehqaq ya itna dey daity hain k jsi sy in ki zarorat kam husaky.
2: Masakeen ko ekhata ker k inhain subha ya shaam pait bhar ker khana khilana jaiz hai aur agar koi shakhs kachy rashan ki sorat mai kufara ada kerna chahay to woh amomi aur ghar mai istemal huny wali khurak sy bhi ada ker sakta hai aru agar woh ghar mai aam tour per gosht aur chawal ka istemal kerty hain to woh is mai sy inhain aik wqt ki khurak deyga.
3: Jahan tak qeemat ada kerny ka ta'aluq hai to aisa kerna kafi na hoga agarcha is mai in ki saholet aur faidah hi hu Qk is tarhan log khana khilany k bary mai agaah nahi houngey jis ka Allah TA'ala ny batour nus ziker kia hai.
4: Hamari rai mai maa sy sadir huny wali aisi qasmain jagv hoti hain, is liye k woh is k liye sanjeedah nahi hoti aur Allah Ta'ala farmaty hain:

"Allah Ta'ala tum sy tumhari lagv qasmon per muwakhza nahi kerga lekin jin qasmo ko tum mazboot ker chukey hu in per tum sy muwakhza keryga."
Al-Maida 89.
Is sy murad azam-o-eradey sy sadir huny wali qasmain hain. jab k aisi be shumar qasmain aam tour per tanbeeh kerny k liye hoti hain, lehaza is sorat mai kufarey ki zarorat nahi.
Suad: 358 per shiekh ebn baaz REhmat-ul-Allah ny aik aisy hi sawal k jawab mai farmaya k kufaraah wajib hai aur yahi haq hai. (Ain-Waoo)
5: App ny saheli k difaa mai amar waqey k khilaaf gawahi di to sangeen galti ka irtekaab kia, is ka kufara touba-o-estagfar aur school ki headmistress sy mazret aur ustani k haq mai dua-e-kher kerna hai. agar us ustani k thikany ka janana mumkin hu to bilmushafa warna bazariya phone ya dak ustani sy mazrat kerni chaheye. Wallah Al Mouqaf. (shiekh ebn jabreen

MAIN APNI OLAAD PER HER WQT QASAM DALTI REHTI HOON MAGAR WOH AMAL NAHI KERTY

MAIN APNI OLAAD PER HER WQT QASAM DALTI REHTI HOON MAGAR WOH AMAL NAHI KERTY

Question :
Mery bachy hain main akser oqaat in per qasam dalti rehti hoon k woh youn na karen magar woh mera hukam tasleem nahi kerty, kia is halat mein mujh per kufara wajib hoga?
Answer :
Jab app apni olaad ya kisi aur per iradatan-o-qasdan kisi kaam k kerny ya na kerny ki qasam dalen gi aur woh is per amal na keryn aur app ko qasam mein baree na karen to app per qasam kufara wajib hoga kyun k irshad bari ta'ala hai:

"Allah tum se tumhari lugv qasamo per moakhazah nahi kry ga lakin jin qasamo ko tum mazboot ker chuky ho in per tum se moakhazah kry ga. so is ka kufara das maskeeno ko ost darje ka khana khilana hai, jo tum apny ghar walon ko khilaty ho, ya inhein kpry dena ya gulam azad krna hai lakin jo shaks is ki taqat na rakhta ho is per teen din k rozay hain, yh tumhari qasamo ka kufara hai jab k tum qasam uthao aur apni qasamo ki hifazat kro."
Al maida h 5:89.
isi tarha agar app kisi kaam k krny ya na krny k bary mein qasam uthein, phir daikhein k maslehet is mein nahi balky dusray kaam mein hai to aisi qasam ko tor deny mein koi harj nahi, haan is ka kufara ada krna wajib hoga, kyun  K Nabi ( S.A.W. ) ka irshad hai:

"Jab tu qasam uthaye, phir is kaam k muqabley mein dosrey kaam ko behter samjhy to qasam ka kufara ada ker k behter kaam ker ley."
Sahih Bulhari no. 6622 aur Sahih Muslim (19)-1652.
Shaikh ibn Baz

HER WAQT QASAM UTHATY REHNA AUR QASAM KA KUFARA

HER WQT QASAM UTHATY REHNA AUR QASAM KA KUFARA

Question :
Mai doran guftagu akser (Wallah!) "Allah ki qasam!" kehti rehti hoon, kia yh qasam samjhi jayegi, tour doon to is ka kufara kaisy ada karon?
Answer :
Jab aik mukallaf musalman mard ya orat kuch kerny ya na kerny k qasad-o-iradey sy lafz (Wallah!) Allah ki qasam! do 3 ya ziada baar duhraye, MAslan: Allah ki qasam! mai fala shakhs sy nahi miloonga ya youn kahey: Allah ki qasam! mai falaa shakhs sy milon ga, wagaira wagaira, phir woh is qasam per amal na kery to is tarha woh qasam tourny ka murtakib huwa, lehaza is per qasam torny ka kufara daina lazim hoga jis ki miqdar 10 maskeenu ko khana khilana ya inhain kaprey pehnana ya gerdan (gulaam) azaad kerna hai. khany ki sorat mai shaher ki galib kurak, MAslna: khajor ya chawal wagaira mai sy nisf sa'a taqreeban aik kilo 50 garam her miskeen ko daina hoga. kapro ki sorat mai her aik mikeen ko kam az kam itna kapra daina wajib hai k jis mai namaz sahi hu saky, MAslan Qamees, teh band ya orehny ki chader, agar in teenu mai sy kisi aik ki bhi taqat na rakhta hu to phir teen din k rozay rakhna wajib hai. Irshad bari Ta'ala hai:

"Allah tum sy tumhari lagv qasamu per muwakhza nahi kerga lekin jin qasmo ko tum mazbot ker chukey hu in per tum sy muwakhzah karega. so is ka kufara 10 miskeenu ko ost derjay ka khana khilana hai jo tum apny ghar walo ko khilya kerty hu ya inhain kapra daina ya gulaam azaad kerna hai lekin jo shakhs iski taqat na rakhta hu to is per 3 din k rozay hain, yh tumhari qasamo ka kufara hai jab k tum uthao aur apni qasamo ki hifazat karo."
Al maida 5:89.
Lekin jo qasam qasad-o-iradey k bagair aisy hi zubaan per jari rehti hai to aisi qasam lagv shumar hogi aur is per kisi qisam ka kufara wajib nahi hoga. iski daleel Allah Ta'ala ka yh farman hai:

"Allah Ta'ala tum sy tumhari lagv qasamo per muwakhza nahi karega."
Al maida 5:89.
Kisi aik kaam k liye kai qasamen uthany per aur phir inhain torny per aik hi kufara wajib hai jaisa k hum ny abhi ziker kia hai aur agar kai kamo k liye aisa kia to her qisam k badly alag alag kufara daina wajib huga, Maslan: agar koi shakhs you kahy: Allah ki Qasam! mai fala ko zaror peeto ga wagaira to is sorat mai kisi aik qisam ko torny per aik kufara wajib hoga aur sari qasmen torny per her qisam k badley kufara daina hoga. Wallah WAlee At'toufeeq. (shiekh ebn baaz)