Showing posts with label WASEELA. Show all posts
Showing posts with label WASEELA. Show all posts

MURDON KA WASEELA JAYEZ YA NAJAYEZ

MURDON KA WASEELA JAYEZ YA NAJAYEZ

Bismillahirrahmanirraheem

Quraan-Majid me Allah-Taala ne musalmano ko nijad ke liye “Qurb(yani wasila)” pakadne ka hukum diya.

Yaaa’ayyuhal-lazeena’aamanut-taqul-laaha wabtagooo’ilayhil-waseelata wa jaahidoo fee sabeelihee la ‘allakum tuflihoon.

Tarjuma:- Aye logon jo Emaan laye ho! Allah se daro aur uski taraf “Qurb(yani wasila)” talaash karo aur uski raah me “Jihaad” karo umeed hai tum kamyaab ho jaoge.

(maidah,35)

Is Aayat-E-Karima me Allah-Taala ne nijaat ke liye “3” baton ka hukum diya hai.

(1)Taqwa Ikhtiyaar karna

(2)Qurb(yani wasila) talaash karna

(3)Allah ki raah me jihad karna.

Taqwa aur Jihaad me koi ikhtilaaf nahi hain balke “ Qurb(wasila)” ke bare me logon ne ikhtilaaf kiya hain, Kuch log kahte hain yahan “Qurb(wasila)” se muraad “Aambiya, Auliya, Sulhah, Shohada aur murde Buzrugan-e-deen ect. Ka “Qurb(wasila)” hai, Main aplog ko batana chahunga ke Quraan- Majid ki Aayat-E-Mubarak me jis “Qurb(yani wasila)” ko talaash karne ka hokum diya gaya hai, Isse muraad

“ Qurb(wasila)” ke bare me logon ne ikhtilaaf kiya hain, Kuch log kahte hain yahan “Qurb(wasila)” se muraad “Aambiya, Auliya, Sulhah, Shohada aur murde Buzrugan-e-deen ect. Ka “Qurb(wasila)” hai, Main aplog ko batana chahunga ke Quraan- Majid ki Aayat-E-Mubarak me jis “Qurb(yani wasila)” ko talaash karne ka hokum diya gaya hai, Isse muraad “Gair-Hazir ya Inteqaal(death) kiye hue “Ambiya, Auliya, Shohada ect. To hargiz nahi hai.

Ab hum “Quraan aur Hadees” ki roshni me ye batana chhate hain ke “Qurb(yani wasila)” se muraad(matlab) kiya hai.

Irshad-e-bari-taala hai:-

Wallazeena’aamano wa ‘amilus-saalihaati’ulaaa’ika’Ashaabun-Na ari hum feehaa khaalidoon

Tarjuma:- Aur jo log Emaan laye aur neek kaam kare wo Jannati hain jo Jannat me hamesha rahenge.

(Surah-Tul-Baqrah, Aayat-no---82)

(2)’Innal-lazeena ‘aamanoo wa’amilus-saalihaati wa’akhbatoo’ilaa Rabbihim’ulaaa’ika’Ashaabul- jannati hum’feehaa khaalidoon.

Tarjuma:- Yaqinan jo log Emaan laye aur unhone kaam bhi neek kiye aur apne palne wale ki taraf jhokte rahe wahi Jannat me jane wale hain, jahan wo hamesha hi rahne wale hain.

(Hood, Aayat-no---23 * )

(3)’Innal-lazeena ‘aamanoo wa’amilus-saalihaati kaanat lahum jannaatul-Firdawsi nuzulaa.

Tarjuma:- Jo log Emaan laye aur unhone kaam bhi Achhe kiye yaqinan inke liye jannat-al-firdaus ke bagaat ki mahmaani hai.

(Surah-Tul-Kahaf,107)

(4)Fallazeena’aamanoo wa ‘amilus-saalihaati lahum maghfiratun wa rizqun kareem.

Tarjuma:- Pas jo log Emaan laye hain aur jinhon ne neek aamal kiye hain inhi ke liye Bakhshish hai aur izzat wali rozi.

(Surah-Tul-Hajj,50)

(5) ’Innal-lazeena ‘aamanoo wa’amilus-saalihaati lahum jannaatun-Na’eem.

Tarjuma:- Beshak jin logon ne Emaan qabul kiya aur kaam bhi neek (yani Sunnat ke mutabiq) kiye inke liye niyamat wali Jannaten hai

(Surah-Tul-Luqmaan, Aayat-no 08)

Quraan-Majid ki aisi bahut sari Aayat hainjin me Dakhul-Jannat ke liye sirf do hi chiz ka zikar hame milta hai.

(1) Emaan

(2) Aamal-Salah

Jis se maloom hota hai ke yahi wo “Qurb(yani wasila)” hai jisse Allah-Taala ne talaash karne ka hukum diya, Aaye ab hum Hadees ki roshnime dekhte hain “Qurb(yani wasila)” ke bare me,

(1) Hazrat-Abi-Ayub-Ansari(r.t.a) se riwayat hai ke “Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” safar mejarahe the, itne me ek Dihati-Aadmi aayaaur aage aakar “aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ki ount(camel) ki rassi(rope) ya nakil pakad kar kaha: ya “Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” mujhe wo baat bataye jo mujhe Jannat ke qarib aur Jahannam se door kar de,” “Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ne irshad farmaya: Allahki Ibadat kar aur kisi ko iska shareek na bana, Namaaz qayamkar, Zakaat de aur Rishtadari ko mila( yani Aazizon, Rishtadaron ke sath husan-e-suluq kar agar wo burai kare ya mulaqaat turk kare to tu neeki kar aur inse milta rah.

(Sahih-Muslim, Hadees-no-103/Sahih-Bukhari,Hadees no1396, 5983/Nisai, Hadees-no---367 )

(2) Hazrat-Abu-Hurera(r.t.a) se riwayat hai ke ek Dihati-Aadmi “Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ke pass aakar kahne laga ya “Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}”mujhko bataye koi aisa kaam jisse karne se main Jannat me chala jao?“Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ne farmaya:- wo kaam yehai Ibadat kar tu Allah ki aur uske sath kisi ko Shareek na kare aur qaayam kar tu Namaaz ko aur de Zakaat jo farz hai aur Ramzaan ke Roza rakhe-“ wo shaks bola qasam uski jiske hanth me meri jaan hai, main is se ziyada karonga na is se kam, tab wo pith pher kar chala gaya-“Aap{sall’Allaahuta’aalaa alaihi wa’sallam}” ne farmaya:- jis se pasand ho ke Jannati ko dekhe to isko dekhle.

( *Sahih-Bukhari, Hadees-no---1397*/*Sahih-Muslim, Hadees-no---107)

this article is compiled by md shahid from "DESTROY THE BATIL NIZAAM" community in ORKUT

MURDON KA WASEELA JAYEZ YA NAJAYEZ

MURDON KA WASEELA JAYEZ YA NAJAYEZ

Continues

“Quraan aur Hadees” ki dalil se ye baat sabit ho rahi hai ke Quraan-Majid jo Qurb(yani wasila) talaash karne ka hukum deta hai wo“Emaan aur Neek” aamal ka wasila hai, jo qayamat ke roz “Rasool-Ikraam{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” si sifaat aur bila-aakhir nijat ka zarya banega.

Allah-Taala ne apne momin bando ko ye hukum diya ke wo iske taqwa ko ikhtiyaar kare, Taqwa ko jab Etaat-E-Elaahi ke sath mila liya jaye to phir iska matlab ye hota hai ke in tamaam kamo ko nahi kiya jaye jinse Allah-Taala ne manaa kiya aur jinhe isne haraam qarar diya hai aur uske baad farmaya:-

(wabtagooo’ilayhil-waseelata

aur iske “Qurb(yani wasila)” talaash karte raho-

Surah-Tul-Mayedah ki Aayat-no—35 ki puri tafsir ke liye dekhe

(Tafseer-ibne-kaseer)

Wasila ka Matlab(meaning) kya hota hai.?

Imaam-Sufyaan-Sori(r.a) farmate hain ke mujhe mere walid(father) ne, unhone Talhah(r.a) se, unhone Ataa(r.a) se rawayat biyaan ki hai ke Wasila ke matlab “Qurbat” hai.

(Tabsir-Tibriyai: 308/6)

Mojahid, Abu-Wail, Hazrat-Hussan, Abdullah-Bin-Kaseer, Imam-Siddi, Ibne-Zayed aur kai “Aaimah-e-Tafseer” ka bhi yahi qauool hai ke wasila ke matlab hi “Qurbat” hain, yani Allah-Taala ki Etaat aur iski pasandidah aamalon ke zarya se “Qurb(yani wasila)” hansil karna.

(Tafsir-Tibriyai: 308,309/6)

Hafiz-Ibne-Kaseer(r.a) farmate hain:- In “Aaimah-e-Tafseer” ne jo kuch kaha hai iske bare me Mofasareen ke darmiyaan koi ikhtilaaf nahi hai, “Qurb(yani wasila)” aise hi chiz ko kahte hain jiske zarya se Maqsood tak pahun sake,

(Tahseel-e-Maqsood, Tafseer-Surah-Tul-Mayedah, Jilad-no---03, Safa-no---97* )

Imaam-Qataadah farmate hain “Qurb(yani wasila)” ke maane(yani meaning) ye hain ke Allah-Taala ki Etaat baja kar aur Allah-Taala ke khushnodi ke aamal ko sar-anjaam de kar iska “Qurb (yani wasila)” hansil karo.

(Tafseer-Tibriyai: 309/6)

Ibne-Zayed ne iski tayed me is Aayat-e-karima ko padha:

Tarjoma:-Ye log jinko Allah ke siwa pukarte hain, wo khud apne Parwardigar ke yahan zarya(Qurb) talaash karte rahte hain….

(Surah-tul-baniisrail, aayat-no---57)

( *Tafseer-Tibriyai: 309/6*)

Zahir baat hai ke Allah ka “Qurb” hansil karne ka wahid zarya “Amaal-e-Saalah” hai, isliye “Amaal-e-Saalah” hi Allah tak pahunchne ka wasila hain, naa ke wo jise “Qabar-Parast” biyaan karte hain ke Faut-Shodah(yani death kiye hue) logon ke naam ki “NAZRO-NYAAZ” do inke Qabar par gilaaf(yani chadar) chadao aur mela-thela jamao aurinse Dua karo….kyon ke ye “Qurb(yani wasila)” nahi inki ibaadat hai jo Shirk hai,

Allah-Taala har musalman ko isse mahfooz rakhe….Aamin ya Rabul-Aalamin.

WASEELE KA MATLAB AUR-E-WASEELA

WASEELE KA MATLAB AUR DUA-E-WASEELA

Bismillahirrahmanirraheem

Wasila ke matlab aisi chiz ke hain jo kisi maqsood ke hansil karne ya iska “Qurb” ka zarya ho-

“ Allah-Taala ki taraf Wasila talaash karo”

ka matlab hoga aise Aamal ikhtiyaar karo jis se tumhe Allah ki raza aur iski “Qurb” hansil ho jaye,

Imaam-Shokani(r.a) farmate hain-Wasila jo Qurbat ka maane(yani meaning) hai, Taqwa aur hansil kiye hue Aamal khair par sadiq aata hai,jin ke zarye se bande apne Rab ka “Qurb(yani wasila)” hansil karta hai,

issi tarah jin chizon se roka gaya ho in kaamo se bachne se bhi Allah ka “Qurab” hansil hota hai,isliye jin chizon se roka gaya ho isse na karna bhi “Qurb-e-Elaahi” ka wasila hai,

lekin Jahilon ne is haqiqi Wasile ko chod kar Qabar me madfun(yani dafan kiye hue) logon ko apna “Wasila” samjh liya hai, jis ki sharyat me koi bunyaad nahi hai, Balke “Hadees” me is “Moqaam-e-mahmood” ko bhi wasila kaha gaya hai jo akhirat me “Nabi{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ko aata farmaya jayega, issi liye “Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ne farmaya:- jo Aazan ke baad mere liye ye “Dua-e-wasila” karega wo meri shifaat ka mustahiq hoga, “Dua-e-wasila” jo Aazan ke baad padhna masnun hai.

(Ahsanul-Biyaan, Page-no—302)

Sahih-Muslim me Hazrat-Abdullah-Bin-Ummar-Bin-Aas(r.t.a) ki riyawat hai ke unhone

“Nabi-Karim{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ko ye irshad farmate hue suna ke:- Jab tum “Muzzin” ko Aazan dete sono to issi tarah se kaho jis tarah wo kahta hai, phir mujh par darood bhejo jisne mujh par ek bar darood padha Allah-Taala is par “10” bar rahmat nazil farmaye ga, phir mere liye” Wasile” ki dua karo, “Wasila” Jannat ka wa Aazim-o-shaan muqaam hai,jo “Bandagan-e-Elaahi” me se sirf ek hi ko nasib hoga aur mujhe umeed haike wo banda main hunga, lihaza jisne mere liye “Wasile” ki dua ki to iske liye meri Sifaat wajib ho jayegi.

(Sahih-Muslim, Hadees-no---384)

Wasila jannat ke sabse Buland-wa-Bala aur Arfaa-wa-Aala darje ka naam bhi hai, aur jo “Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ka darjah aur “Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ka jannat me ghar hoga aur jannat ka ye muqaam Allah-Taala ke Aarsh ke sabse qareeb hoga…Sahih-Bukhari me Hazrat-Jabir-Bin-Abdullah(r.t.a) ki riwayat hai ke “Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ne farmaya:- jo shaks Aazan soon kar ye dua padhe……..Tarjuma:- [ Aye Allah!Jo tu is puri puri Dawat-e-Tauheed aurqaayam hone wali Namaaz ka maalik hai, “Hazrat-Mohammad{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ko Wasila aur Fazilat aata farma aur Aapkois Qabil-e-Tauheed muqaam(shifaat) tak pahuncha jiska tune inse waada farma rakha hai,] iske liye Qayamat ke din meri Shifaat wajib ho jayegi.( *Sahih-Bukhari, Kitabul-aazan, Hadees-no---614*/*Sanan-Nisai, Kitabul-Aazan, Hadees-no---681*)

Surah-Tul-Mayedah ki Aayat-no 35 ki puri tafsir ke liye dekhe.

( Tafsir-ibn-Kathir, Surah-Al-Mayedah, Aayat-no,35 , Page-no. 333,335)

this post is compiled by MO. SHAHID....

WASEELA

WASEELA

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB

Abdullah-Bin-Umar{Ra} se rawayat hai, Rasool-Allah{s} ne farmaya:- Teen(3) Aadmi ja rahe the, itne me barish hone lagi to wo pahad me ek GAAR tha isme ghoos gaye, Pahad par se ek pather gira aur GAAR ke monh par aagaya aur monh band ho gaya, Ek ne dosre se kaha:- apne apne neak Aamaal ka khayal karo jo ALLAH ke liye ho aur DUA maango in Aamaal ke WASILE se shayed Allah-Taala is pather ko khool de tumhare liye,To inme se Ek ne kaha:- Mere MAA-BAAP budhe zayef the aur meri Biwi(wife) aur mere chote chote ladke the, ke main inke waste Bhed, Bakriyan charaya karta tha, to inka Dodh(milk) duhta tha aur sabse pahele apne MAA_BAAP se suru karta tha, to inko apne ladko se pahele pilata tha, albatta ek din mujhko bakriyon ka chara bahut door mila so main ghar na aaya yahan tak ke mujhko aane me shaam ho gai to maine apne MAA-BAAP ko sota hua paya, phir maine doodh(milk) duha jis tarah duha karta tha, phir main doodh(milk) laya aur apne MAA-BAAP ke sar ke pass khada hua, mujhko bura laga ke main inko neend se jagaon aur bura laga ke inse pahele ladko ko pilaon aur ladke bhook ke mare shoor kar rahe the mere dono pairo(legs) ke pass, so issi tarah barabar mera aur inka haal raha subah tak(yani main apne MAA-BAAP ke intejar me doodh liye raat bhar khada raha) aur ladke rote chillate rahe, na maine piya aur na ladko ko pilaya, so Elaahi agar tu janta hai ke aisi Mahnat aur Moshaqat teri razamandi waste maine ki thi to is pather se ek rozan khool de jisse hum aasmaan ko dekhe to Allah-Taala ne isme ek Rozan khool diya aur unhone isme se Aasmaan ko dekha,

Dosre ne kaha:- Elaahi majra ye hai ke mere chacha(yani uncle) ki ek Beti thi, jis se main mohabbat karta tha jis tarah Mard-Aurat karte hain(yani main iska kamaal Ashiq tha) so iski taraf mayel ho kar maine iski zaat ko chaha(yani haraamkhori ka irada kiya) isne na mana aur kaha jab tak 100 Ashrafiya na dega main razi na hungi, maine kosis ki aur 100 Ashrafiya kama kar iske pass laya, Jab main ne iski taang uthai( yani jamaa ke irade se) isne kaha:- Aye Allah ke bande! dar ALLAH se aur mat tood mahar ko magar haq se(yani begair Nikah ke bakarat mat zayel kar) to main uth khada hua iske upper se - Elaahi agar tu janta hai ke ye kaam maine teri razamandi ke liye kiya to ek Rozan aur khool de hamare liye, Allah-Taala ne aur ek Rozan khool diya yani wo Rozan bada ho gaya,

Teesre ne kaha:- Elaahi maine ek saks se mazdoori li, ek Farq chawal par(yani wo bartan jisme 16 ratal aanaj aata hai) jab wo kaam kar chuka isne kaha: mera haq de maine ek Farq bhar chawal iske samne rakhi, isne na liya phir maine in chawalon ko bota raha, isme barkat hui yahan tak ke maine is maal se Gaaye aur Bael(cow & bull) aur inke charane wale gulaam ikhatta kiya, phir wo majdoor mere pass aaya aur kahne laga: Allah se dar aur mera haq mat maar, maine kaha ja aur Gaaye Bael(Cow-Bull) aur iske charane wale sab tu lele---wo bola: Allah Jabbar se dar aur mujhse mazak mat kar, maine kaha main mazak nahi karta, wo Gaaye Bael(Cow-Bull) aur charane wale ko tu lele isne le liya, phir agar tu janta hai ke maine teri razamandi ke liye kiya to jitna baqi hai Rozan wo bhi khool de, Allah-Taala ne isko bhi khool diya aur wo log GAAR se bahar nikal gaye.( *Sahih-Muslim, Hadees-no---6939* / *Sahih-Bukhari, Hadees-no---2333,2215*

Tashrih:- IS hadees se jo baat samne aati hai wo ye hai,

(1) => Sakht mosibat me aur nehayat pareshani me jiski koi tabdir na ho sake to apne khalis Aamaal ko WASILA bana kar Allah se DUA kare Allah isko nijad de.

(2) => MAA-BAAP ka haq apni jaan aur biwi, ladko ke haq me muqaddam hai aur neakiyon me dakhil hai.

(3) => Qadir ho kar gunnah se bachna aur sirf Allah ke Dar-wa-Khauf se shawat ko dabana aur khawash-e-nafs ko mitana bede kamala ki baat hai, aur Allah ko nihayat pasand hai.

(4) => Haq walon ka haq adda karna Raza-e-Elaahi ka umdaa wasila hai.

(5) => Maalik ke ijazat ke bina koi aanaj bo de to iska hasilaat ka maalik asal maalik hi hoga

***1=> allah ke 99 naam hai uske naam ka waseela laga kar usse maango

2=> aap main se jo zinda neak log hain unke paas jaake unse kaho ki mere liye dua karen zinda ka hukum hai murdon ka nahi

3 => apne koi neak aamal ka waseela lagao......jaise ke deen main jo tumne paisa kharach kiya hai ya aur koi nek amal

Note:-Aur Murdon ka wasila Quraan aur Hadees se kahin bhi sabit nahi hai, agar hai to iski Sahih-Dalil de hum manne ke liye taiyar hain

Hz umar bin khattab (ra) se riwayat hai jab jab log kahat(drought) me mubtala ho jaate they, to hz abbas bin abdul muttalib ke tufail se baarish talab karte they aur kahte they, " aiy illahi! Ham tere paas apne nabi ka wasila laate they, to tu hamen baarish deta tha, ab tere paas apne nabi ke chacha(uncle) ka waseela laate hain, ham ko baarish ata farma, logon ke liye baarish ho jaati thi"

(sahih bukhari v2 book 17 hadith no 123)