Showing posts with label WAZO. Show all posts
Showing posts with label WAZO. Show all posts

WAZO KERTY WQT CHEHRY AUR HATHON KO SABON SY DHONA

WAZO KERTY WQT CHEHRY AUR HATHON KO SABON SY DHONA

Question :
Wazo kerty wqt chehry aur hathon ko sabun sy dhony ka kia hukam hai?
Answer :
Wazo kerty wqt chehry aur hathon ko sabon sy dhony ko lazim qrar daina aur wazo ka hissa samjhna gair mashroo hai. yh Mehaz aik takalluf hai. Nabi (S.A.W) ka irshad garami hai:

"Takalluf kerny waly halak hugaye."
sahi muslim'hadis:2670'wa sanan abi daud'hadis:4608.
App (S.A.W) ny yh baat 3 dafa'a duhrai.
Haan agar hathon per aisi mail kuchail jami hu (ya nagawaar bad bu hu) jo sabon wagaira istemal kiye bagair zaeel na hu saky to issy istemal kerny mai koi haraj nahi hai.Amm halaat mai iska istemal mehaz takalluf aur bidat hoga,lehaza issy istemal nahi kerna chaheye. (Shiekh Mohammad Bin Saleh Esimeen)

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

KIA TAIL WAZO K LIYE RUKAWAT HAI

KIA TAIL WAZO K LIYE RUKAWAT HAI?

Question :
Mai ny baaz aulama sy suna hai k tail aisi rokawat hai jo ba wqt wazo pani ko jism tak pohanchany sy rook laita hai.baaz auqaat khana pakaty wqt tail k chand qatry mery balon aur aazai wazo per gir party hain to kia wazo ya gusal sy qabal in azai ka sabun sy dhona zarori hai ta k pani badan tak pohanch saky? issi tarhan mai bagaraz elaaaj kabhi apny balon ko bhi tail laga laiti hoon, in halaat mai mujhy kia kerna chaheye? Barah-e-karam agaah farmain.
Answer :
Is sawal ka jawab dainy sy qabal mai chahonga k Allah Ta'ala ka yh irshad paish karon:

"Aye Emaan walo!jab tum namaz k liye utho to apny chehry aur hathon ko kohniyon tak dhou liya karo aur apny saron per masah ker liya karo aur apny pairon ko takhno tak dhou liya karo."
Al maidah 5:6
In azaa ko dhony aur sar k masah kerny ka hukam is baat ko lazim kerta hai k her is cheez ka azalaa zarori hai jo pani ko azai wazo tak pohanchny sy rokti ho Qk is k baki rehny ki sorat mai azai wazo dhul nahi saky gen.bina bareen hum keh sakty hain k insan jab azai wazo per tail ka istemal kerta hai to yh 2 soraton sy khali nahi:
Tail jamid hoga aur iski taih hogi to is sorat mai wazo sy qabal iska azala zarori hai Qk agar tail apni taih dar sorat hi mai rahega to yh woh jism tak pani pohanchny mai rukawat hoga to is tarhan taharat hasil na hogi.
Dosri sorat yh hai k tail siyaal hai aur is mai koi taih dar motai nahi hai, sirf iska azai wazo per asar majood hai to aisa tail gair mazar hai.aisi sorat mai tamam azai wazo per hath pherna zarori hai QK adatan tail pani sy alag rehta hai, is tarhan basa oqaat pani azai wazo tak nahi pohanch pata.
Lehaza hum saela sy kehna chahe gain k agar azai wazo per tail wagaira jamid shakal mai hu jis ki taih ho to wazo sy qabal iska azala zarori hai aur agar tail sayal shakal mai hu to sabun istemal kiye bagair wazo kerny mai koi haraj nahi.bas azaa ko dhoty wqt inhain achi tarhan mal liya jaye ta k pani phisal ker na guzar jaye aur youn azaa khushk na reh jayain.(shiekh Mohammad bin saleh esimen)

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻