Showing posts with label BIDDAT. Show all posts
Showing posts with label BIDDAT. Show all posts

BIDAAT KYA HAI??

вιѕмιʟʟαнιʀ-ʀαнмαηιʀ-ʀαнєєм.
Aѕѕåℓåм Aℓукυм ωå Råħмåтυℓℓåħι ωå Båɾкåтåħυ
    BIDAAT KYA HY 〰〰〰〰〰〰〰〰〰
Bidaat ke mutalliq Quraani Dalael ke bad ayye ab dekhen ke Ahadees kya kahte hyn
Part :  2⃣
HADITH
Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Mohammad Sallallahu Alyhi wa Sallam ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nai hai to wo mardud hai.
Sahih al bukhari, had-2697
Sahih Muslim, had-1718.
Mohammad s.a.w. ne farmaya ki Meri sunnat aur khulfa rashidin ki sunnat ko daanto ki mazbuti se pakde rahna aur har nayi chiz jo deen me nikali jaye usse bachna kyuki har nai chiz ek gumrahi hai.
[Musnad Ahmad (4/126) and at-Tirmidhee (2676).
Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya
” Sabse behtareen Kalam Allah ki kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ka tareeqa hai sabse bad tareen kaam Deen mein nai nai baton ka paida karna hai …”
Sahih Bukhari: Volume 9, Book 92, Number 382.
RasoolAllah s.a.w. ne farmaya Jab bhi log kisi biddat ki ijaad karte hai to usme se utni sunnat uth jati hai. Biddat ijaad karne se behtar Sunnat ko apnana hai.
Al-Tirmidhi, (Hadith 65).
Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya
” Sabse behtar amr (amal ke liye) Allah ki kitab hai aur sabse behtar tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai sabse badtareen kaam Deen mein nai nai baton ka paida karna hai aur har Nayee baat gumrahi hai…”
Sunan Ibn Majah, Vol 1-45 (Sahih)

AHLE BIDAT KI PAHECHAAN

Bismillahirrahmanirraheem




Shaikh Ab Qadir jilani ra. jise barelvi log GHAUS-E-PA ?AK k naam se bhi jaante hain wo kahte hain ...........


AHLE BIDAT KI PAHECHAAN:


"ye baat bhi smajh rakho. k ahle bid'at ki kuch nishaaniya hain jin se wo pahechane jaate hain. Ahle bid'at AHLE HADEES ki gheebat (back biting) karta hai.

aur ZANDEEQ ki pahechaan hai k woh AHLE HADEES ko HASHOWIYA kaheta hai.

AUR QADIRIYA, AHLE HADEES ko MAJBRAH kaheta hai.

aur JAHEMIYA ki alamat hai k wo AHLESUNNAT ? ka naam MUSHABBAH rakhte hain aur RAAFIZI,

AHLE HADEES ko NAASBIYAH ke naam se namzad karte hain.

Aur ye sab log ye sab kuch is waaste karte hain ke inko AHLE SUNNAT SE TA'SSUB AUR DUSHMANI HAI aur AHLE SUNNAT ka naam sirf ek hi hai YANI AHLE HADEES iske siwa koi naam inka nahi.

Aur bid'ati jo AHLE SUNNAT k laqab rakhte hain. wo inke naam se bilkul nahi milte.

jaisa ke Ahle Makka ne Paighambar ? saw. ke naam SAAHIR, SHAAYAR,

DEEWANA, AASEEB RASEEDA aur KAAHIN rakhte the haalanki inko rasul saw maqbool saw ke namo aur aapki sifato se koi talluk hi nahi.


(ghuniyatu?l Talibeen, Page No. 111 , tarjuma Allama Zaheeruddi ?n Badayuni

(barelvi aalim ka tarjuma) - See more at: http://haqkadawa.blogspot.in/search/label/AHLE%20HADITH#sthash.ePQhhsKW.dpuf