Showing posts with label haiz. Show all posts
Showing posts with label haiz. Show all posts

HAIZA AURAT KI NAMAZ

 AURAT KI NAMAZ
🌷SIRF 3 MINIT KA MADRASAH 🌷
HAIZA AURAT KI NAMAZ

Question :
Doran namaz mujhy maahvari aagaye.is sorat mai mujhy kya kerna chaheye tha? kya doran haiz chori gaye is namaz ki qaza daina hogi?

Answer :
Agar namaz ka wqt shoru hony k baad haiz ana shoru huwa, Maslan: soraj dhalny k aadha ghanta baad to woh taharat k baad is namaz ki qaza degi jis ka haiz sy pehly taharat k doran wqt huchuka tha.
Irshad-e-Rabbani hai:

"Be-shak namaz eman walo per pabandi wqt k sath faraz hai."
Al-nissaa 4:103.
Aurat doran haiz qaza huny wali namazon ki qaza nahi dygi.
Aik taweel hadis mai Nabi (S.A.W) ka irshad grami hai:

"kya aisa nahi hai k aurat jab haiza hoti hai to woh namaz parhti hai aur na rozay rakhti hai."
sahi albukhari'hadis:304;wa sahi muslim'hadis: 79.
Ahl-e-ilm ka is baat per ejma'a hai k aurat doran haiz foat hony wali namazon ki qaza nahi degi.Haan! agar aurat is wqt pak hujaye k namaz k wqt sy aik rikaat ya is sy zaid ki adaigi ka wqt baqi tha to issy is namaz ki qaza daina hogi.
Qk Nabi (S.A.W) ka irshad grami hai:

"Jis shakhs ny soraj taloo hony sy pehly namaz fajar ki aik rakaat paa li to is ny fajar ki namaz paa li (ab woh dosri rikaat bhi parh ly) aur jis ny soraj garob hony sy pehly namaz asar ki aik rikat bhi paa li to is ny asar ki namaz paa li."
sahi al bukhari'hadis:579'wa sahi muslim'hadis:608.
Agar haiza aurat asar k wqt ya soraj garob hony sy pehly pak hugae ya fajar k wqt ya soraj talo hony mai aik rikat ki adaigi ka wqt baki tha to pehli sorat mai namaz-e-asar aur dosri sorat mai namaz-e-fajar ada kerygi. (shiekh Mohammad bin sakeh esimeen)
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
MAKTABA AL FURQAN SAMI 9998561553
🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳 Follow this link to join my WhatsApp group: https://chat.whatsapp.com/JJe6OeH2faOHF4bZYD63KZ

Haiz (menses ) halat

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Mafhum-e-Hadith: Haiz (menses) ki halat mein bhi aurto ke saath khilaye aur pilayen

✦ Abdullah bin Abbas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya us shaksh ke baare mein jo apni haayeza biwi ( yani haiz ki halat wali ) se humbistari kare to wo ek dinar ya aadha dinar sadqa kare.
Sunan Nasaii, Vol 1, 292 ( Sahih)

✦ Anas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Yahudiyon mein se jis waqt kisi khatun ko haiz aata to wo apne saath na usey khilate aur na ek makan mein uske saath rahte, Sahaba Radi-Allahu-Anhuma ne iskey mutalliq pucha to is par Allah Subhanahu ne ye aayat nazil farmayee jiska mafhum hai ki
"Aur Aapse Haiz ke baare mein puchte hain kah dijiye ki wo Najasat (Napaki) hai isliye Haiz mein aurton se dur raho aur unke paas na jao ( yani humbistari na karo) yahan tak ki wo paak ho jaye phir jab wo paak ho jaye to unke paas jao jahan se Allah ne tumhe hukm diya hai beshak Allah Tauba karne walo ko Dost rakhta hai aur bahut paak rahne walon ko dost rakhta hai
Al Quran 2:222"

✦ Phir Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne Sahaba karam Radi-Allahu-Anhuma se farmaya ki wo Aurton se Haiz ki halat mein saath khilayein Peelayein aur ek makan mein saath rahein aur humbistari (intercourse) ke alawa tamam kaam karain.
Sunan Nasaii, Vol 1, 291 ( Sahih)

✦ Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki Mujhe Masjid mein Chatayee ( boriya, Mat) lakar do to maine Arz kiya ki Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam main haiz ki halat mein hu , to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya tumhara haiz tumhare haath mein to nahi hai.
Sunan Nasaii , Vol 1, 274 (Sahih)

✦ Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ka sir Mubarak hum mein se (yani wives mein se) kisi ki Godd ( lap) mein hota aur wo khatun ( wife) haiz ki halat mein hoti aur Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam Quran ki Tilawat bhi farmate
Sunan Nasaii , Vol 1, 277 (Sahih)

✦ Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Main Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ke sir Mubarak mein kanghi kiya karti thi haalanki us waqt mujhe haiz ( period) aa raha hota.
Sunan Nasaii , Vol 1, 280 (Sahih)