BAREEK OREHANI AUR JARABO MAI NAMAZ PARHANY KA HUKAM
Question :
Aisi bareek orehani mai k jis sy aurat ka libaas nazar aa raha hu namaz parhany ka kia hukam hai?
Answer :
Bareek orehani,bareek libaas aur bareek jarabon mai aurat k liye namaz ada kerna jaiz nahi hai,aisy libaas mai namaz nahi hogi.aurat ko aisy ba perdaah libaas mai namaz parhani chaheye jis sy is ka jism aur nichy pehny huway kapry ka rang nazar na aye Qk aurat tamam ki tamam qabil-e-satar hai, lehaza is per doran namaz chahry aur hathon k elawah tamam jism ka dhanpna zarori hai aur agar woh hath bhi chupa saky to ziadah behtar hai. jahan tak paon ka ta'aluq hai to inhain doran-e-namaz moti jarabon ya lamby libas sy dhanpna zarori hai.1 (shiekh Ebn Baaz)
RAsool Allah (S.A.W) ny irshad farmaya:
"Allah Ta'ala jawan aurat ki namaz bagair dupatty (chadar) k qabool nahi farmata."[sanan abi daud'hadis:641.]