Showing posts with label AMEEN BIL JAHAR. Show all posts
Showing posts with label AMEEN BIL JAHAR. Show all posts

AMEEN KA MASLA (BADE PEER SAHAB KA FATAWA)

AMEEN KA MASLA( BADE PEER SAHAB KA FATAWA)

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB

PEERANE PEER HZ SHAH ABDUL QADIR JILANI KA FATAWA


HZ. PEER SAYYID SHEIKH ABDUL QADIR JEELANI (RH) JO BAHUT BADE AALIM AUR WALIALLAH(ALLAH KE DOST) HUE HAIN APNI KITAAB GUNYATUTTALIBEEN ME FARMATE HAIN "WAL JAHRU WAIL QIR'ATI AAMEEN"

(MAGHRIB, ISHA, FAJAR KI NAMAAZ ME) AAWAAZ SE QIR'AT PADHNA AUR UNCHI AAWAAZ SE AAMEEN KAHNA CHAHIYE.

(gunyatuttalibeen)

YAHUDION KA AAMEEN SE CHIDNA

HZ IBN ABBAS (RA) SE RIWAYAT KARTE HUE KAHTE HAIN KI RASOOLLULLAH (SAW) NE FARMAYA, JITNA YAHUDI AAMEEN(UNCHI) SE CHIDTE HAIN UTNA KISI AUR CHEEZ SE NAHI..

IBNE MAZAA.

ZARA DEKHIYE: AGAR KOI UNCHI AAMEEN KAHE TO RASOOLLULLAH (SAW) KI ISS SUNNAT PAAK SE KABHI NA CHIDNA AUR NA NAFRAT KARNA KYONKI AAMEEN UNCHI AAWAZ SE YAHUDION KO CHID THI AUR WO NAFRAT KARTE THE AUR HAME YAHUDION KA VIRODH KARNA CHAHIYE....

AAMEEN, SUMMA AAMEEN

AMEEN KA MASLA

Aameen ka masla

bismillahirrahmanirraheem

Hz wail bin hajar (ra) se riwayat hai ki maine suna rasoollullah (SAW) ne padha" gairil magzoobi allaihim walazzalleen" phir aap ne buland aawaz se aameen kahi..

Tirmizi 248, abu dawood 932, tirmizi ne hasan, jabki ibne hajar aur imam bayhqi aur dare qutni ne sahih kaha hai.

Hadith no 2

hz abu huraira (ra) kahte hai ki jab rasoollullah (SAW) "GAIRIL MAGZOOBI........" padhte to aap kahte AAMEEN" Itni unchi aawaz se ki pahli line me aapke aas pass log sun lete.....

Bayhqi 2/58, ibne khuzaima 571, ibne hibban 462. Ise imam haakim aur imam jahbi ne sahih kaha hai

hadith no 3

hz abu huraira (ra) farmate hain ki nabi kareem(SAW) ne farmaya " jab imam aameen kahe to tum bhi Ameen kaho. Jis shaks ki aameen farishton ki Aameen ke barabar ho gayi to uske pahle sab gunah maaf ho jaate hain....

Bukhari 780, muslim 410,

is hadith se malum hua ki jis muktadi ne abhi surah fatiha shruru ya khatm nahi ki wah bhi aameen kahe

AMEEN KA MASLA AUR HANAFI ULMA KI STAMP

Aameen ka masla aur hanafi ulama ki stamp

bismillahirrahmanirraheem

HZ ABDULLAH BIN ZUBAIR (RA) AUR UNKE MUKTADI ITNI UNCHI AAWAZ SE AAMEEN KAHTE KI MASAJID GOONJ UTHDTI THI

BUKHARI

AAJ BHI MASAJID NABWI ME AAMEEN KI AAWAAZ GOONJTI HAI...HAAJI BHAIYON SE PUCHLO

IMAM E AZAM KE USTAD KI GAWAHI

200 SAHABA KIRAM(RA) KA UNCHI AAWAAZ SE AAMEEN KAHNA

IMAM E AAZAM (RH) APNE USTAAD MOHTARAM KE BAARE ME FARMAATE HAIN--"MA -RA -ATU MISLAHU" MAINE UN JAISA KOI AADMI NAHI DEKHA

(MEEZAN JAHWI)

HZ ATA BIN RABAH (TABIEN)(RH) FARMATE HAIN
"MAINE 200 SAHABA KO PAAYA KI WAH IS MASJID HARAAM(BAITULLAH) ME JAB IMAM WALAZZALEEN KAHTA TO SAB UNCHI AAWAZ SE AAMIN KAHTE

BAYHQI,IBNE HIBBAN

MAULANA ABDUL HAI HANAFI (RH) KA FATAWA

"WAL INSAFU ANNAL JAHRA KAWIYYUN MIN HAISUD DALEELI"

SACCHI BAAT TO YAH HAI KI UNNCHI AAWAZ SE AAMEEN KAHNE KI DALEEL BADI PAKKI HAI.. Hanafi bhaiyon aap bhi unchi aawaz se aameen kaha karo kyonki yah sunnat hai....

ALLAH HUM SAB KO HIDAYA ATA FARMAYE....