Bismillahirrehmanirraheem
Hadees:
hz hamid bin abi hamid tuwail (rh) se riwayat hai ki unhone hz anas bin malik (ra) se hadith suni, unhone farmaya: 3 aadmi ummuhatul momineen (ra) ki khidmat me haazir hue, aur unhone(parde ke peeche se) nabi akram(sws) ki nafl ibadat ke muttalik sawal kiya, jab unhe bataya gaya ki( aap sws is andaz se ibadat karte hain) to unhone mahsus kiya ki yah ibadat thodi hai, phir unhone kaha: hamara aap(sws) se kya muqabla? Unke to agle pichle gunah maaf ho chuke hain( wah to agar zyada ibadat na bhi karen to koi baat nahi, hame to bahut zyada mahnat karne ki zarurat hai, unme se ek bola: main hamesha namaz(tahajjud) padha karunga; dusre ne kaha: main hamesha roza rakhunga, kisi din naaga nahi karunga; teesre ne kaha: main aurton se alag rahunga, kabhi nikaah nahi karunga; (jab aap(sws) ko in baaton ka ilm huwa to) aap(sws) unke paas tashrif le gaye aur farmaya:
" tum logon ne ye ye Baatein ki hai? Allah ki qasam! Main tum sabse zyada khauf e khuda aur taqwa rakhta hun, lekin main(nafli) roze bhi rakhta hun aur chhod ta bhi hun, (raat ko) namaz(tahajjud) bhi padhta hun aur sota bhi hun, aur maine nikaah bhi kiye hain"
(sahih bukhari, kitabunnikah h4774)
(sahih muslim, kitabun nikaah, h 1401)
Post : MAKTABA-AL-FURQAN
Assalamualaikum
ReplyDeleteMashaAllah