MURDON KA WASEELA JAYEZ YA NAJAYEZ

MURDON KA WASEELA JAYEZ YA NAJAYEZ

Continues

“Quraan aur Hadees” ki dalil se ye baat sabit ho rahi hai ke Quraan-Majid jo Qurb(yani wasila) talaash karne ka hukum deta hai wo“Emaan aur Neek” aamal ka wasila hai, jo qayamat ke roz “Rasool-Ikraam{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” si sifaat aur bila-aakhir nijat ka zarya banega.

Allah-Taala ne apne momin bando ko ye hukum diya ke wo iske taqwa ko ikhtiyaar kare, Taqwa ko jab Etaat-E-Elaahi ke sath mila liya jaye to phir iska matlab ye hota hai ke in tamaam kamo ko nahi kiya jaye jinse Allah-Taala ne manaa kiya aur jinhe isne haraam qarar diya hai aur uske baad farmaya:-

(wabtagooo’ilayhil-waseelata

aur iske “Qurb(yani wasila)” talaash karte raho-

Surah-Tul-Mayedah ki Aayat-no—35 ki puri tafsir ke liye dekhe

(Tafseer-ibne-kaseer)

Wasila ka Matlab(meaning) kya hota hai.?

Imaam-Sufyaan-Sori(r.a) farmate hain ke mujhe mere walid(father) ne, unhone Talhah(r.a) se, unhone Ataa(r.a) se rawayat biyaan ki hai ke Wasila ke matlab “Qurbat” hai.

(Tabsir-Tibriyai: 308/6)

Mojahid, Abu-Wail, Hazrat-Hussan, Abdullah-Bin-Kaseer, Imam-Siddi, Ibne-Zayed aur kai “Aaimah-e-Tafseer” ka bhi yahi qauool hai ke wasila ke matlab hi “Qurbat” hain, yani Allah-Taala ki Etaat aur iski pasandidah aamalon ke zarya se “Qurb(yani wasila)” hansil karna.

(Tafsir-Tibriyai: 308,309/6)

Hafiz-Ibne-Kaseer(r.a) farmate hain:- In “Aaimah-e-Tafseer” ne jo kuch kaha hai iske bare me Mofasareen ke darmiyaan koi ikhtilaaf nahi hai, “Qurb(yani wasila)” aise hi chiz ko kahte hain jiske zarya se Maqsood tak pahun sake,

(Tahseel-e-Maqsood, Tafseer-Surah-Tul-Mayedah, Jilad-no---03, Safa-no---97* )

Imaam-Qataadah farmate hain “Qurb(yani wasila)” ke maane(yani meaning) ye hain ke Allah-Taala ki Etaat baja kar aur Allah-Taala ke khushnodi ke aamal ko sar-anjaam de kar iska “Qurb (yani wasila)” hansil karo.

(Tafseer-Tibriyai: 309/6)

Ibne-Zayed ne iski tayed me is Aayat-e-karima ko padha:

Tarjoma:-Ye log jinko Allah ke siwa pukarte hain, wo khud apne Parwardigar ke yahan zarya(Qurb) talaash karte rahte hain….

(Surah-tul-baniisrail, aayat-no---57)

( *Tafseer-Tibriyai: 309/6*)

Zahir baat hai ke Allah ka “Qurb” hansil karne ka wahid zarya “Amaal-e-Saalah” hai, isliye “Amaal-e-Saalah” hi Allah tak pahunchne ka wasila hain, naa ke wo jise “Qabar-Parast” biyaan karte hain ke Faut-Shodah(yani death kiye hue) logon ke naam ki “NAZRO-NYAAZ” do inke Qabar par gilaaf(yani chadar) chadao aur mela-thela jamao aurinse Dua karo….kyon ke ye “Qurb(yani wasila)” nahi inki ibaadat hai jo Shirk hai,

Allah-Taala har musalman ko isse mahfooz rakhe….Aamin ya Rabul-Aalamin.

No comments:

Post a Comment