HARRA KI KAHANI KI HAQIQAT (KYA HARRA KI JUNG KA YAZEED ZIMMEDAAR THA YA AHLE MADEENA)


Bismillahirrahmanirraheem



HARRA KI KAHANI KI HAQIQAT (KYA HARRA KI JUNG KA YAZEED ZIMMEDAAR THA YA AHLE MADEENA)



baat shuru karne se pahle main ye bata dun ke koi ye na samjhe ki main yazeed ki tarafdaari aur uska difa kar raha hun ya koi ye na samjhe ki main hz hussain ra se bughz rakhta hun... Balki hamen tamam ambiya aur tamam sahaba se gahri aqeedat hai aur sacchi muhabbat hai



KARBALA ka waqeya 61 hijri me huwa, us waqt sahaba kiram ki bhi ek acchi khaashi tadaad maujood thi hz ali (ra) ka khaandaan bhi tha balki hz ali ra ki apni aulaad dhaayi dozen( approx 30) se zyada thi, isi tarah unke rishtedaar bhi they, lekin jahan tak karbala ke waqeya ka talluk hai us par saari hukumat me koi khaas muttawajjeh saamne nahi aayi na is waqeye ki wajah yazid ko " zaalim wa kaatil aur zinakaar wa badkaar" qaraar de kar uske khilaaf kisi ne baghawat ko jayez samjha,

ye bhi dimaag me rakhna chahiye Ki hz hussain ra aur hz ibne zubair ra un dono ke siwa baaqi sab logon ne yazid ki hukumat ya khilafat ko sahi maan liya tha,

hz hussain ra ki mazlumaana shahadat ke baad hz abdullah bin zubair ra makka me mukeem they aur shayad samjh rahe they ki unke liye maidaan ab saaf hai , isliye wah hukumat haasil karne ke liye muhim me mashgool they,

63 hijri me hafiz ibne hajar askalani ke mutabik AHLE MADINA me se zyadatar logon ki jin me kuch sahaba ra bhi they unki hamdardiyan abdullah bin zubair ra ke saath thi, unhi dino ek logon ka group taiyyar huwa, jo "yazeed" ke yahan gaya, yazid ne unki badi khidmat ki, lekin us group ne madina munawwara wapas aakar yazid ki kamiyan ginwaane shuru kar diye aur uski taraf sharabnoshi, zinakaari etc etc ki baatein jod karke un ko logon me khoob failaaya


(fath ul bari 13/18 h 1117)


jiske natije me ahle madina ne na sirf yah ki yazid ki bait se alag hone ka elaan Kar diya

"balki madina ke governor usman bin muhammad par hamla bol diya aur khaadaan bani umayya ko ghere(under custody) me le liya"


(tareekh tabri 4/370)


lekin ahle madina ke is bartaav ko bhale wa samjhdaar logon ne bilkul pasand nahi kiya aur is waqeye se napasandidgi zaahir ki, jaisa ki azeem tareen sahabi hz abdullah bin umar ra ke baare me sahih bukhari me aata hai ki jab unko ahle madina ki is harqat ki khabar pahunchi to unhone apne khaadaan yani baal bachhon ko ikattha kiya aur unse farmaya:-" maine nabi(sws) ko farmate hue suna hai ki qayamat ke din har kasam(bait) todne waale ke liye ek jhanda(nishan) gaad diya jaayega, hamne us shakhs (yazid) se allah aur uske rasool ki bait ki hai, meri nazar me usse zyada gaddari aur koi nahi ki ek shakhs ki allah aur uske rasool ke naam par bait ki jaaye phir aadmi usi ke khilaaf uth khada ho, yaad rakho tum mese kisi ke baare me bhi agar mujhe Yah malum huwa ki usne yazid ki bait tod di hai ya wah bait todne waale ke peeche lag gaya hai to mere aur uske beech koi talluq nahi rahega"


(sahih bukhari, fitan baab faal ind qaum shia)


isi tarah hz hussain ra ke bete hz zainul abideen rh ne bhi yazid ki bait ko todne ko pasand na kiya


(al bidaya wan nihaaya 8/218)


balki khaandaan hz ali ra aur ahle bait ke kisi shakhs ne bhi is mauke par na bait todi na us baghawat me kisi tarah ka hissa liya


hafiz ibne kathir likhte hain:-" abdullah ibne umar ra, nabi(sws) ke aur ahle bait ke kisi giroh ne bait nahi toda, na yazid ke bait ke baad kisi aur se bait ki, abu talib ki aulaad (hz ali ka khaandaan) aur aur abdul muttalib mese kisi ne bhi harra ke dino me(yazid ke khilaaf) baghawat nahi kiya"


(al badaya wan nihaya 8/235)





MUHAMMAD BIN HANFIYA KI TARAF SE YAZID BIN MUAWIYA KI SAFAAI:


Hz hussain ra ke bhai muhammad bin hanfiya rh ne un logon ke saamne, jin ke haath "bagawat" ki command thi, yazid ki bait tod dene aur uske khilaaf kisi muhim me shirqat karne se na sirf inkaar kar diya balki yazid par lagaye gaye ilzaamo ko bebuniyaad karaar diya aur yazid ki safaai pesh ki, is mauke par unhone jo tareekhi bayan diya hai wah is tarah hai-

haafiz ibne kathir likhte hain-

" Abdullah bin mutie aur unke saathi hz ali ra ke bete, muhammad bin hanfiya rh ke paas gaye aur unhe yazid ki bait tod dene par razamand karne ki koshish ki lekin unhone aisa karne se saaf inkar kar diya, is par ibne mutie ne kaha " yazid sharab noshi, namaz tark karne wala aur allah ki kitab ka munkar hai" Muhammad bin hanfiya ne kaha " tum jin baaton ka zikr karte ho maine un me se koi cheez isme nahi dekhi, main uske paas gaya hun, mera wahan qayam bhi Raha, maine usko hamesha namaz ka paband, parhezgar, deen wa ilm ka taalib aur sunnat ka hamesha paasdaar paya" Wah(mutie) kahne laga ,wah yah sab kuch banawat aur dikhawe ke liye karta hoga, ibne hanfiya ne jawab me kaha " mujhse use kaun sa darr ya laalach tha", jis ke bina par usne mere saath aisa kiya?? Tum jo us ki sharab noshi ka jikr karte ho, kya tum me se kisi ne khud use karte dekha hai?? Agar tumhare saamne usne aisa kiya hai to tum bhi us ke saath is kaam me shareek rahe ho, aur agar aisa nahi hai to tum is cheez ke baare me kya gawahi de sakte ho jiska tumhe pata hi nahi, we kahne lage " ye baat hamare nazdeek sahih hai jabki ham me se kisi ne use aisa karte nahi dekha" Ibne hanfiya rh ne farmaya " allah to is baat ko tasleem nahi karta , wah to farmata hai:

" gawahi unhi logon ki bhrosemand hai jinko is baat ki zaati taur par jaankari ho"

jaao!! Main kisi baat me tumhara saath nahi de Sakta, we kahne lage " shayad aap ko yah baat buri lagti ho ki yah maamla aapke elawa kisi aur ke haath me rahe agar aisa hai to jhanda ham aapke hawale kiye dete hain"

Biradar hussain ra ne kaha- " tum jis cheez par jung kar rahe ho, main sire se usko jayez hi nahi samajhta, mujhe kisi ke peeche lagne ya logon ko apne peeche lagaane ki zarurat hi kya hai?" we kahne lage-" aap isse pahle apne baap ke saath milkar jo jang kar chuke hain"

unhone farmaya-" tum pahle mere baap jaisa aadmi" aur unhone jin se jang ki "un jaise log" to laakar dikhao, uske baad main bhi tumhare saath mil kar jung kar lunga"

we kahne lage, aap apne beton abul qaasim aur qaasim hi ko hamare hawale kar den, unhone farmaya:-" main unko agar is tarah ka huqm dun to main khud hi kyon na tumhare saath is kaam me sharik ho jaaun?? We kahne lage, accha aap sirf hamare saath chalkar logon ko jung par taiyar kar den, unhone farmaya-

" Subhanallah! Jisko main khud napasand karta hun aur usse bachta hun, logon ko iska huqm kaise dun?? Agar main aisa karun to main allah ke maamle me us ke bandon ka chahne wala nahi, balki bura chahne wala hunga" we kahne lage -"ham phir aapko majboor karenge" unhone kaha " main us waqt bhi logon se yahi kahunga ki allah se daro aur bandon ki khushi ki khatir allah ko naraaz na karo"


( Al badaya wan nihaya 8/632)



magar in sab nek koshishon ke bawajood baghaawat ne badi naazuk soorat ikhtiyaar kar li, yazid ko khabar pahunchi to baghawat ko khatm karne ke liye fauj bhej di aur usko hidaya ki ke-" baghawat karne walon ko 3 din ki mohlat dena, agar is dauran we apna maamla sahi kar len to theek hai warna phir tumhe kaarwahi ki ijaazat hai"


fauj ne apne khalife ke huqm ko ke mutabik amal kiya, lekin madina walon ne is mohlat ka fayeda nahi uthaaya balki jung karne par muqaable me aa gaye


iss hawale se harra ka waqeye ki bunyadi haqiqat malum ho sakti hai aur yah hai ki is "baghawat" ko bhala chahne waale ne kis nazar se dekha??

Lekin in harra ke dino me, hadh se badi hui baaton se hatkar jo be-matlab baatein hi hain,

kyonki inka raawi ABU MUKHANNAF hi hai jo jhoota aur shia hai, yazeed ki fauj ne jo baghawat ke khilaaf kaarwaahiyan(action) ki hain, un par ulma sirf taana aur Tanqeed hi karte aaye hain, unhe bahtar wa sahih kisi ne bhi nahi kaha.....


Agar kisi bhi darje me karbala wa harra ke waqeyon ka zimmedar yazid hi ko maan bhi liya jaaye aur is bina par usko " badkaar,zaalim aur zinakaar" bhi samjh liya jaaye tab bhi ye saare bade gunah hi maane jaayenge,

aur bade gunahon ke karne se koi musalman na islam ke daayere se bahar hota hai na rahmat wa maghfirat khudawandi se mahroom,

agar allah chahe to uske tamam gunaah maaf kar sakta hai jaisa ji allah ne kaha hai ki:-" shirk ke elawa chahunga to dusre gunaah maaf kar dunga"

(surah nisa)


phir yazid ki maghfirat ke liye to khaas kar nabi(sws) ki basharat bhi maujood hai aur qurani ayatein aur hadith e nabwi ke elawa ahle sunnat ka aqeeda hai ki:-" allah taala kufr wa shirk ke elawa har gunah maaf kar sakta hai"



ALLAH SAMJHNE KI TAUFEEQ DE....AMEEN

No comments:

Post a Comment