*** Bismillah hir-Rahman nir-Rahim **
Hazrat Abu Malik Ashari Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya,
Noha (Matam) karna jahiliyat ka kaam hai , aur Noha kar ney wali agar bina Tauba ke Mar jaye to Allah Subhanhu usko Tarkol ka libas aur Dozakh ke sholo ka kurta pahnayega".
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1581 ( Hasan)
.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´
Jarir ne farmaya ki Muawiyah Radi allahu anhu ne apney Khutbey mein kaha ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne Noha karney se mana farmaya hai.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1580 (Sahih)
.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´
Umma Atiyyah Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne humein Noha (matam) karney se mana farmaya hai
Sunan Abu Dawud, Vol 2, #1350 ( Sahih)
.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´
Abdullah bin masood Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jo shaksh apney rukhsar peetey, girebaan phadey ( kapdey phaadey) aur jahiliyat ke zamaney ki tarah baatain karey wo hum mein se nahi hai
Sahih Bukhari, Vol2, 1297 mAktaba al furqan 9998561553
No comments:
Post a Comment