MUHARRAM KI RASMEN--HUJJATUL ISLAM SHAH WALIULLAH RH KI NAZAR ME:

MUHARRAM KI RASMEN--HUJJATUL ISLAM SHAH WALIULLAH RH KI NAZAR ME:

Bismillahirrahmanirraheem






Shah waliullah rh ka taruf karaane ki zaroorat nahi har

hujjatul islam shah waliullah rh ne farmaya:-" aiy bani adam ! Tumne islam ko badal daalne waali bahut si rasmen apna rakhi hain (jaise) tum 10wi muharram ko baatil qism ke kaam karte ho, kai logon ne us din ko sog wa matam ka din bana liya hai jabki allah tala ki sunnat se bure waqeye hamesha wajood me aati hi rahti hain, agar hz hussain ra us din (mazloom shaheed ke taur par) qatl kiye gaye to wah kaun sa din hai jisme koi na koi allah ka nek banda maut se dochaar nahi hua (lekin hairat ki baat hai) unhone us shahadat ke waqeye ko khel kood ki cheez bana liya..... Tumne matam ko eid ke tyohaar(festival) ki tarah bana liya, mano us din zyada khaana peena farz hai, aur namazon ka tumhe koi khyal nahi (jo farz hai) unko tum ne barbaad kar diya, ye log apne hi man gadant kaamon me mashgool rahte hain, namaz padhna ka sharf unko milta hi nahi"


(tafhimat al ilaahiya 1/tafheem: 69/277,hyderabad 1970)

No comments:

Post a Comment