EK MASJID ME DOBARAH JAMAAT KARNA JAYEZ HAI

Bismillahirrahmanirraheem

SAWAL:- Jab ek masjid mai namaz bajamaat parhi ja chuki ho to kya is masjid me woh namaz dobarah bajamaat parhni jayez hai? Yaani is masjid mai is namaz ki dobara jamaat jayez hai?
Hadis sharif mai se sabut pesh kiya jana jaruri hai?

JAWAB:- Bila subah dobara jamat  jayez hai. is mai sharai koi harz nahi. Balke Aap Sallallahu Alaihi wassalam ne is ki targib dilayi hai.Jamea tirmizi mai hai.

   Hazrat abu saeed khudri Rz. Se marvi hai k jamaat se faragat ke baad ek shakhs masjid mai dakhil hua. Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kaun shakhs is ke liye tijarat karta hai k is shakhs ke saath namaz parhe. Pas ek shakhs (abu bakkar siddiq Rz) udhe aur is ke saath bajamaat namaz parhi.
(Jamie tirmizi, jild-1, safa:-189-190)

  ABU DAUD KE ALFAAZ YA HAI K..
    Rasulullah Sallaho alaihi wassalam ne namaz bajamaat se faragat ke baad ek Aadmi ko akele namaz parhte dekha to farmaya ke koi is par sadqa karta gai k is ke saath namaz parh kar is ke sawaab ko barhae.
(Abu Dawood, Jild:1, safa:-224)

  Hafiz abudur rahman mohddis mubarakpuri is hadees ki tahsil w tousik karte hue arkam farmate hai.
  
   Is hadees ko imam abu dawood ne riwayat kiya hai aur is par sakut kiya hai. Imam ahmad ne bhi is ko riwayat kiya hai aur imam munzari ne imam ki tahsin ko taslim kiya hai.imam Hakim ne isko shahi ala sharte muslim kaha hai.imam ibn e khuzaimah aur imam ibn e hayaan dono ne is hadees ko apni apni shahi me riwayat kiya hai.

  Khulasa ye hai ke ye hadeea hasan yani huzzat aur dalil hai ke jab masjid me ek dafa jamaat ho chuki ho to is masjid mai is namaz ki jamaat di barah karna jayez hai hazarat abdullah bin Masood , hazrat anas Rz. Wagaira sahaba is jawaaj ke kaeel hai.Imam ahmad , imam ishaq jaise fuqah ka yahi kaul hai .
"" MANA KE LIYE KOI SHAHI YA HASAN HADEES MARVI NAHI""

No comments:

Post a Comment