ZINA KI SAZA HADEES KI ROSHNI me

Zina : Ek Mard Ek Aisi Aurat Se Sohbat/ Humbistari (Sexual Relation) Kare Jiska
Uske Sath Nikah Na Huwa Ho. Rasoolullah SallAllahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Shirk Ke Baad Allah Ke Nazdik Is Gunah (zina) Se Bada Koi Gunah Nahi Ke Ek Shaks
Kisi Aurat Se Sohbat Kare Jo Uski Biwi Nahi Aur Jab Koi Mard Aur Aurat Zina Karta Hai
To Imaan Unke Sine Se Nikal Kar Sar Par Saye Ki Tarah Thahar Jata Hain.
(Mukashefatul Kuloob:Page-168 )

Hazrat Ikrema Ne Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhu Se Pucha Imaan Kis
Tarah Nikal Jata Hai.? Hazrat Abdullah Ibne Abbas Ne Farmaya Is Tarah..! Aur Apne
Hath Ki Ungliya Dusre Hath Ki Ungliyo Mein Dali Fir Nikal Li Aur Farmaya Dekho Is
Tarah.
(Bukhari Sharif: Jild-3, Page-614, Hadees 1713)

Hazrat Abu Huraira wa Ibne Abbas RadiAllahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasoolullah SallAllahu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya Mo'meen Hote Huve To Koi Zina Kar Hi Nahi Sakta.
(Bukhari Sharif : Jild-3, Page-614, Hadees-1714)

Zina Ki Saza Aur Azaab: Hazrat Musa Alayhisalam Ne Rab Ta'ala Ki Bargah Mein
Jab Zina Ki Saza Puchi To Allah Ne Farmaya: Usey Aag Ki Jarrah (Lohe Ka Libas Jo Aag Se Bana Hoga) Pehnaya Jayega. Woh Aisa Wazani Hai Ki Agar Bahot Bade Pahad Par Rakh Diya Jaye To Wo Bhi Reza Reza Ho Jaye.
(Mukashefatul Kuloob: Page-168)

Allah Ta'ala Farmata Hai Jo Shaks Zina Karta Hai Use Asaam Me Dala Jayega. Asaam Ke Bare Me Ulma-e-Deen Ne Kaha Hai Ki Wo Jahannam Ka 1 Gaar Hai Jab Uska Munh
Khola Jayega To Uski Badbu Se Tamam Jahannami Chikh Uthenge.
(Mukashefatul Kuloob:Page-167 )

7 Aasman Aur 7 Zamino Aur Pahad Zina Kaar Par Lanat Bhejte Hai Aur Qayamat Ke
Din Zina Kaar Mard Wa Aurat Ki Sharmgah Se Is Qadar Badbu Aati Hogi Ke Jahannam
Me Jalne Wale Ko Bhi Is Badbu Se Taklif Hogi.
(Bahare Shariat: Page-43)

Zina Karne Wale Shadi Shuda Ho To Khule Maidan Me Pattharo Se Maar Dala Jaye Aur
Gair Shadi Shuda (kuwara) Ho To 100 Kode
Mare Jaye.
(Bukhari Sharif: Page-615, Hadees-1715

No comments:

Post a Comment