Haiz (menses ) halat

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Mafhum-e-Hadith: Haiz (menses) ki halat mein bhi aurto ke saath khilaye aur pilayen

✦ Abdullah bin Abbas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya us shaksh ke baare mein jo apni haayeza biwi ( yani haiz ki halat wali ) se humbistari kare to wo ek dinar ya aadha dinar sadqa kare.
Sunan Nasaii, Vol 1, 292 ( Sahih)

✦ Anas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Yahudiyon mein se jis waqt kisi khatun ko haiz aata to wo apne saath na usey khilate aur na ek makan mein uske saath rahte, Sahaba Radi-Allahu-Anhuma ne iskey mutalliq pucha to is par Allah Subhanahu ne ye aayat nazil farmayee jiska mafhum hai ki
"Aur Aapse Haiz ke baare mein puchte hain kah dijiye ki wo Najasat (Napaki) hai isliye Haiz mein aurton se dur raho aur unke paas na jao ( yani humbistari na karo) yahan tak ki wo paak ho jaye phir jab wo paak ho jaye to unke paas jao jahan se Allah ne tumhe hukm diya hai beshak Allah Tauba karne walo ko Dost rakhta hai aur bahut paak rahne walon ko dost rakhta hai
Al Quran 2:222"

✦ Phir Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne Sahaba karam Radi-Allahu-Anhuma se farmaya ki wo Aurton se Haiz ki halat mein saath khilayein Peelayein aur ek makan mein saath rahein aur humbistari (intercourse) ke alawa tamam kaam karain.
Sunan Nasaii, Vol 1, 291 ( Sahih)

✦ Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki Mujhe Masjid mein Chatayee ( boriya, Mat) lakar do to maine Arz kiya ki Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam main haiz ki halat mein hu , to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya tumhara haiz tumhare haath mein to nahi hai.
Sunan Nasaii , Vol 1, 274 (Sahih)

✦ Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ka sir Mubarak hum mein se (yani wives mein se) kisi ki Godd ( lap) mein hota aur wo khatun ( wife) haiz ki halat mein hoti aur Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam Quran ki Tilawat bhi farmate
Sunan Nasaii , Vol 1, 277 (Sahih)

✦ Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Main Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ke sir Mubarak mein kanghi kiya karti thi haalanki us waqt mujhe haiz ( period) aa raha hota.
Sunan Nasaii , Vol 1, 280 (Sahih)

No comments:

Post a Comment