AZAN KE FAZAIL

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum bhaid bakriyo mein ho ya daihaat mein to namaz k liye azaan do aur apni aawaaz buland karo kyunki muazzin ki aawaaz ko jinnaat insaan aur jo jo cheez sunti hai wo qayamat k din uske liye gawahi degi". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 609)

Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Muazzin k liye sawaab hai us shaks k sawaab k barabar jisne (azaan sun kar) namaz padhi". (Nasayi 2:31, 646 Kitabul Azaan, ise Munzari ne jaid kaha hai)

Mafhoom ye hua k muazzin ki awaaz sun kar jitne aadmi masjid mein aa kar namaz padhengey, un sabko apni apni namaz ka poora sawaab milega magar muazzin tamaam namaziyo k sawab k barabar mazeed ajar payega, kyunki usne unko namaz ki taraf bulaya tha.

Hazrat Muawiyah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna "Qayamat k din azaan dene walo ki gardaney lambi hongi (Yaani Allah ka naam buland karne ki wajah se wo numaaya hongey)". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 387)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab namaz k liye azaan di jaati hai to shaitan peeth phair kar bhaag jata hai, jab azaan khatam ho jati hai to phir aa jata hai aur namazi k dil mein waswasa daalta hai, fala fala baat yaad kar yaha tak k aadmi ko pata nahi chalta k usne kis qadar namaz padhi". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 608, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 389)

Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tumhara parwardigaar bakriya charaane wale par tajjub karta hai jo pahaad ki chooti par reh kar azaan deta hai aur namaz padhta hai" Allah ta'ala farmata hai "Mere bande ko dekho jo namaz k liye azaan deta hai aur iqamat kehta hai aur mujhse darta hai mene usko baksh diya aur jannat mein dakhil kiya". (Abu Dawood Kitabus Salatus Safar Hadees no. 1203, ise Ibne Hibban ne Sahih kaha)

No comments:

Post a Comment