AQALMAND HANFIYO SE 10 SAWAAL

=========AQALMAND HANFIYO SE 10 SAWAAL ===========

1) Aap Hanfi kyo hai..? Aaap ke Nazdeek Hadith ki kitabo ka kya Martaba hai.? Ager Abu Hanifa ki Qawl Sahi Hadith se Takraa Jaye to Aap kya kerenge.?
………………………………………………………………………….
2) Muqallid hona kyo juroori hai./ Allah ke Rasool ne kaha kaha hai ke Mujhe chhor ker Imam banao.? Aur Abu Hanifa hi kyo..? Aap Imam Shafai ko kyo nahi maante.? Aap ka tareeka Imam Hambli pe kyo nahi hai..? Aap kahte hai 4 Imam barhaq hai lekin aap 3 ko thukrate hai kyo.?
... …………………………………………………………………………………………………………………….

3) Deobandi ke Aalim kon hai.prophet Muhammad pbuh ya Imam Abu hanifa ya Ashraf Ali thanvi ya Maulana Zakariya.? Kis kis ka Qawl maan jata hai aur kyo..?
…………………………………………………………………………………………………………………………

4) Deoband ki kon si kitaab hai..? Quran aur hadith ya Imam Abu hanifa ka Qawl ya Ashraf Ali thanvi ki bahashti zewar ya Maulana zakariya ki Fazail-e-amaal.?
…………………………………………………………………………………………………………………………..
5) Maulana thanvi aur Zakariya ki Kitaabo me Shirk aur Bioddat maujood hai..? Ager hai to unpe Deoband se Fatwaa kyo nahi nikaltaa.? Un kitaabo ko Hataya kyo nahi jaataa..?
……………………………………………………………………………………………………………………
6) Aap key aha Aurato ke Namaz ka Tareeka Mard se juda hai ? kaise..? Rasulolah s.w.s ne kya aisa kaha hai..? kya Rasullullah s.w.s ne Aurato ko Alag namaz Perhai hai.?
…………………………………………………………………………………………………………………………………
7) Deoband aur hanfi ke kisi bhi Masjid me Aurato ke Namaz perhne ka Ehtemaam nahi kia jata.? Aur Aurate Masjido me Mard Imam ke pichhe nahi perhti aisa kyo…? Deoband aur Hanfi ke kisi bhi madrse se Aurato ke Co-education me Na perhne, Market me bagair proper perda nikale ka Fatwaa nahi hai..Lekin Masjid jaane ka hadith umar Farooq ki qawl nazar aati hai..Doubled standard kyo..?
…………………………………………………………………………………………………………………….

8) Hanfi ke Masjido me Saf me GAP hoti hai.? Daraar hoti hai..? kya ye Sahi hadith se hota hai ya Abu hanifa R.ke Qawl se..? is eke lie kon si hadith follow kerte hai aap log..? hanfi ke kisi bhi masjid me Magreb Adhan aur Jammat ke bich time nahi dia jata ke Namazi aaker 2 Rekaat Taytahul –Masjid perhe.kyo..? hadith me iska kya suboot milta hai.?
……………………………………………………………………………………………………………………………………..

9) Soorah Fatiha Namaz me Imam ke piche Nahi perhne ki Daleel Quran ki ayat se dia jata hai jo Makka me nazil hui thi, 1% ke lie maan bhi lia ke Imam jab qeraat kare to Nahi perhni chhaiye, Par Johar aur Asar Namazo me Muktadi kyo nahi perhtaa..? us waqt kon sa qeraat hota hai..?
……………………………………………………………………………………………………………………………………………

10) Nabi s.w.s ne Witr kitne Tareeke se perhi.? Hanfi ke saare loog sirf ek hi tareeke ko follow kerte hai..kya Nabi s.w.s ne ek tareeke se Witr ki namaze perhi hai..?

No comments:

Post a Comment