TIJARATI MAAMLAAT KA USOOL (ISLAMIC RULES FOR BUSINESS TRANSACTION)

TIJARATI MAAMLAAT KA USOOL (ISLAMIC RULES FOR BUSINESS TRANSACTION)
Bismillahirrahmanirraheem

TIJARAT AUR SAUDE'BAZI (TRADING) KE AHKAAM:- PART-1

TIJARATI MAAMLAAT KA USOOL (ISLAMIC RULES FOR BUSINESS TRANSACTION)

Tijaarati Aur Len-Dein (Trading) Ke Maamlaat Ke Mutaalliq Ye Usool Yaad Rakhna Chahiye Ke Tamam Maamlaat Me Asal Abaahat Hai,

Jaise Ka Ahle Ilm Ne Ye Usool Bayan Kiya Hai Ke

"Ashya Me Asal Abaahat Wa Jawaaz Hi Hai"

(Usool Al Fiqh Al Manhajj Ahlul Hadith Page 116)

Lihaaza Karobaar Ki Qadeem (Old) Wa Jadeed (New) Har Surat Jayez Wa Mubaah Hai Siwaaye Us Soorat Ke Jisse Mana Kar Diya Gaya Hai,Sirf Usse Bach Jaana Chahiye;

Aur Haram Tijaarati Maamlaat Ke Mutaalliq Ye Usool Zehan'nasheen Rahna Chahiye Ke Jis Maamle Me Bhi Sood, Dhoka Ya Nuqsaan Ho Wah Haram Hai,

Farmaan E Nabawi Hai Ke

"Musalmano Me Sabse Bada Mujrim Wah Hai Jisne Aisi Cheez Ke Mutaalliq Sawaal Kiya Jo Haram Nahin Thi, Fir Uske Sawaal Ki Wajah Se Haram Kar Di Gayi"

(Bukhari 7289 Kitab Al Ehtesham Ba Kitabus Sunnah, Muslim 2358)

Is Hadith Ki Tashreeh Me Hafiz Ibn Hajar (Rh) Likhte Hain Ke

"Is Hadith Me Ye Saboot Maujood Hai Ke Tamam Ashya Asal Me Mubaah Hain Jab Tak Uske Khilaaf (Yani Unki Hurmat Ke Mutaalliq) Shariat Ka Koi Huqm Na Aa Jaaye"

(Fath Ul Bari 13/269)

TIJAARAT KE JAWAAZ KE DALAIL:

1- "Allah Tala Ne Khareed Wa Farokht Ko Halal Kiya Hai "

(Surah Baqarah 275)

2- "Jab Ek Dusre Se Khareed Farokht Karo Toh Gawaah Bana Lo"

(Surah Baqarah 282)

3- "Tum Par Koi Gunaah Nahin Ke Tum (Mausam Hajj Me Ba'zariye Tijaarat) Apne Rabb Ka Fazal Talaash Karo"

(Surah Baqarah 198)

4- "Jab Namaz Muqammal Kar Di Jaaye Toh Zameen Me Fail Jaao Aur (Ba'zariye) Tijaarat Allah Ka Fazal Talash Karo"

(Surah Juma 10)

5- Rasoollullah (Sws) Se Daryaaft Kiya Gaya Ke

"Aadmi Ka Apne Haath Se Kaam Karna Aur Har Bayy (Trading) Mabroor (Yani Wah Tijaarat Aur Khareed Farokht Jo Shar'an Durust Ho )"

(Silsila Us Sahiha 607, Hidayatul Arwah 2715, Musnad Ahmad 1414)

No comments:

Post a Comment