AURAT K GUSAL haiz o JANABAT KI KAIFIYAT KA BIYAAN

AURAT K GUSAL HAIZ-O-JANABAT KI KAIFIYAT KA BIYAAN

Question :
Kia mard-o-aurat k gusal janabat mai koi fark hai?aur kia aurat per gusal k liye baal khulna zarori hain? ya hadis Nabvi ki bina per 3 lup pani daal laina hi kafi hai? naiz gusal janabat aur gusal haiz mai kia fark hai?
Answer :
Mard-o-aurat k gusal janabat mai koi fark nahihai aur kisi per bhi gusal k liye balon ka khulna zarori nahi hai balky baalon per 3 lup pani daal ker baki jism ko dhou laina kafi hai.iski daleel yh hai k HAzrat Umme Salma R.A. ny Nabi (S.A.W)
sy daryaaft kia:

"Be-shak mai aisi aurat hoon k apny baal khub mazbat gondhti hoon, kia inhain gusal haiz aur janabat k liye khula karon? is per App (S.A.W) ny farmaya: nahi,tery liye yahi kafi hoga k sar per 3 chal'lu pani daal ker (sar ko achi tarhan maly) phir baki jism per pani bahaly pas to pak hujayegi."
Sahi muslim'hadis:330,wa sana abi daud'hadis:292. Agar aurat ya mard k jism per mahendi wagair lagi ho aur iski wajah pani jism tak na pohanch sakta hu to iska azala zarori hai.jahan tak aurat k gusal haiz ka ta'aluq hai to is sorat mai is k liye balon ka khulna mukhtalif feeh hai.darust baat yh hai k aurat per gusal haiz mai bhi balon ka khulna zarori nahi hai.jaisa k mazkur abala hadis Umme Salma R.A. mai guzra hai pas yh ravayat is bary mai nus hai k gusal haiz ya gusal janabat ki sorat mai aurat per balon ka khulna wajib nahi hai lekin afzal yh hai k aurat gusal haiz k liye baalon ko khol ly. is tarhan mukhtalif dalail k mabain tautbeeq ki sorat paida husakti hai aur ikhtelaf sy bachna bhi mumkin hoga aur aihtiyat ka taqaza bhi yahi hai. (Dar-ul-Ifta cammettie)

No comments:

Post a Comment