MAIN APNI OLAAD PER HER WQT QASAM DALTI REHTI HOON MAGAR WOH AMAL NAHI KERTY

MAIN APNI OLAAD PER HER WQT QASAM DALTI REHTI HOON MAGAR WOH AMAL NAHI KERTY

Question :
Mery bachy hain main akser oqaat in per qasam dalti rehti hoon k woh youn na karen magar woh mera hukam tasleem nahi kerty, kia is halat mein mujh per kufara wajib hoga?
Answer :
Jab app apni olaad ya kisi aur per iradatan-o-qasdan kisi kaam k kerny ya na kerny ki qasam dalen gi aur woh is per amal na keryn aur app ko qasam mein baree na karen to app per qasam kufara wajib hoga kyun k irshad bari ta'ala hai:

"Allah tum se tumhari lugv qasamo per moakhazah nahi kry ga lakin jin qasamo ko tum mazboot ker chuky ho in per tum se moakhazah kry ga. so is ka kufara das maskeeno ko ost darje ka khana khilana hai, jo tum apny ghar walon ko khilaty ho, ya inhein kpry dena ya gulam azad krna hai lakin jo shaks is ki taqat na rakhta ho is per teen din k rozay hain, yh tumhari qasamo ka kufara hai jab k tum qasam uthao aur apni qasamo ki hifazat kro."
Al maida h 5:89.
isi tarha agar app kisi kaam k krny ya na krny k bary mein qasam uthein, phir daikhein k maslehet is mein nahi balky dusray kaam mein hai to aisi qasam ko tor deny mein koi harj nahi, haan is ka kufara ada krna wajib hoga, kyun  K Nabi ( S.A.W. ) ka irshad hai:

"Jab tu qasam uthaye, phir is kaam k muqabley mein dosrey kaam ko behter samjhy to qasam ka kufara ada ker k behter kaam ker ley."
Sahih Bulhari no. 6622 aur Sahih Muslim (19)-1652.
Shaikh ibn Baz

No comments:

Post a Comment