MOZON KA THORA SA PATHA HUNA QABIL MUAFI

MOZON KA THORA SA PATHA HUNA QABIL MUAFI
Question :
Aik shakhs ny namaz k baad jald ya badeer dekha k is k aik paon ki jarab darmiyan sy phati huwi hai,woh namaz dobara parhy ga ya nahi?
Answer :
Jab jurab ya moza thora sa phata ho ya is mai arfan ma'amoli surakh hu to yh qabil muafi hai aur is mai namaz parhna darust hoga.waisy Ahl-e-Eman khawateen-o-Hazraat k liye aihteyat ka taqaza yahi hai k mozay aur jarabain phaty huway na houn ta k deen mai aihtiyati nukta nazar malkhut rahy aur Ahl-e-ilm k ikhtelaf sy bacha ja saky.Jaisa k Nabi (S.A.W) ka irshad garami hai:

"Shak sy bachain,yaqeen ka daman thamain!"
sahi al bukhari'qabal hadis:2052' wa jamia al tramzi'hadis:2518.
App (S.A.W) ny mazeed faramya:

"Jo shakhs shubhat sy bachy ga woh apny deen aur ezzat ko mehfooz ker ly ga." (Shiekh Ebn Baaz)
sahi al bukhari'hadis:52'wa sahi muslim'hadis:1559 wa al lafaz laahu.

No comments:

Post a Comment