MOZON PER MASAH KI SHARAIT AUR KYA JOOTON KA SATH NAMAZ JAIZ HAI

MOZON PER MASAH KI SHARAIT AUR KYA JOOTON KA SATH NAMAZ JAIZ 
Question :
Roee,oun ya nailon ki bani huwi in jarabon per bhi masah jaiz hai jo ajj kal istemal hoti hain? mozon per masah ki kia sharait hain? kia joty k sath namaz ada kerna jaiz hai?
Answer :
Aisi jarabon per masah jaiz hai jo pak houn aur qadam ko chupai huway jis tarhan mozon per masah jaiz hai Qk hadis sy sabit hai k NAbi (S.A.W) ny jarabon aur mozon per masah farmaya.Hazraat Sahaba Karaam R.A. ki aik jamat sy bhi sabit hai k unhuny jarabon per masah kia. Jarabon aur mai fark yh hai k mozay chamry sy banaye jaty hain jab k jarab roi wagaira sy banai jati hai.mozon aur jarabon per mmasaah ki shartain yh hain k woh paon ko chupai huway houn, inhain bahalat taharat pehna gaya ho.muqeem aik din raat aur musafir 3 din raat k liye masah ker sakta hai,wqt ka agaaz be wazo huny k baad masah sy shumar hoga ta k is masly mai warid tamam ahadis per amal hujaye.aisy joton mai namaz jaiz hai jo pak aoun aur in ki koi najis cheez na lagi huwi hu Qk Nabi kareem (S.A.W) sy sabit hai k App (S.A.W) ny NAalain mai namaz ada farmai.
Hazrat Abu saeed khudri R.A. ki ravayat mai hai:

"Jab tum mai sy koi masjid mai aye to woh dekh ley,agar is k joton mai koi gandagi ho to issy ragar ker saaf ker ley aur in mai namaz parh ley."
Sanan Abi Daud'hadis650.
Jab masjid mai daryaan qaleen wagaira bichy houn to phirziadah aihteyat is mai hai k admi joty utar ker kisi munasib jagah rakh dy ya inhain aik dosry k opar rakh ker apny paon mai rakh ly ta k namaziyon k liye masjid ka farsh kharab na hu. WaAllah Walee Al toufeeq. (Shiekh Ebn Baaz)

No comments:

Post a Comment