AURAT NY LA ILMI KI BINA PER SAR K BAAL NAHI KAATY

AURAT NY LA ILMI KI BINA PER SAR K BAAL NAHI KAATY

Question :
Aik aurat ny fareza hajj sar anjam dia, tamam manasik hajj ada kiye magar adem waqfiyat ya nasiyan ki wajah sy sar k baal nahi kaat saki aur apny watan wapis jany per is ny woh tamam amoor sar anjam diye ho aik mehram k liye mamno hoty hain, ab is per kia kuch wajib hai?
Answer :
Agar amar waqia issi tarhan hai jis tarhan sawal mai mazkor hai k is ny adem waqfiyat ya nasiyan ki bina per sar k baal katny k elawah jumla manasik hajj ada kiye to yaad aany per apny watan mai rehty huway etamam hajj ki niyat sy sar k baal katna is per wajib hai. is per ber wqt baal na katny ki wajah sy koi fidyah wajib nahi hoga. agar baal katny sy pehly (aur haram ki had mai) is k khawand ny is sy jama'a ker liya to is batour dam aik bakri zeebah kerna, gayen ka satwa hissa ya onte ka satwa hissa ayega (Murad woh qurbaniyan hain jo masakeen Makkah k liye kafayat karen in mai sy kisi aik ka in k liye makkah mai daina zarori hai) haan agar jama'a hadod haram sy bahir kisi jagah huwa to fidyah ka janwar kisi bhi jagah kia ja sakta hai aur aam masakin per taqseem kia ja sakta hai. (Dar-ul-ifta cammettie)
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

No comments:

Post a Comment