ORAT BAWQT ZARORAT QURBANI KA JANWAR ZEEBAH KER SAKTI HAI

بسم اللہ الرحمن الرحیم
ORAT BAWQT ZARORAT QURBANI KA JANWAR ZEEBAH KER SAKTI HAI

Question :
Jab qurbani ka wqt hujaye aur ghar per koi admi majood na ho to is sorat mai kia orat qurbani ka janwar zeebah ker sakti hai?
Answer :
Haan agar janwar zeebah kerny ki deegar sharait puri hu rahi houn to bawqt zarorat orat qurbani wagaira ka janwar zeebah ker sakti hai.
Iski daleel Hazrat Saad bin maaz R.A. ki yh hadis hai k Hazrat Ka'ab bin malik R.A. ki aik londi sala'a makam per bakriya chara rahi thi to aik bakri ko zakham lag gaya. is londi ny issy taiz dhar pathar sy zeebah ker lia, phir Rasool Allah (S.A.W) sy is k bary mai pocha gaya to App (S.A.W) ny farmaya: tum iska ghosht kha lo." [sahi albukhari' Hadis: 5505.] naiz Hazrat Abu Mousa Ashra'a R.A. k bary mai marvi hai k inhuny apni betiyon ko hukam dia tha k woh apni qurbaniya khud zeebah karen." [dekhain: sahi albukhari mualqan' hadis: 5559.]
Qurbani ka janwar zeebah kerty wqt is zindah ya foot shudah admi ka naam laina masnon hai jis ki taraf sy qurbani ki ja rahi hu. aur agar aisa na bhi husaky to niyat ker laina hi kafi hai. agar zeebah kerny wala galti sy asal shakhs k bajai kisi aur ka naam ley lay to bhi koi nuqsan na hoga, is liye k Allah RAb ul Ezzat niyaton sy bakhubi agaah hain. Wallah Al mouaqaf. (shiekh ebn jabreen)
sahi muslim mai Umm-ul-Momeen Ayesha R.A. ki hadis hai k RAsool Allah (S.A.W) ny aik khubsorat sengu wala mendha qurban kia. App (S.A.W) ny isst litaya to yh ilfaz parhy:

"Allah Ta'ala k naam sy. Aye Allah! MOhammad, All Mohammad aur Ummat Mohammad (S.A.W) ki taraf sy qabool farma." [sahi muslim' hadis: 1967.] issi tarhan sanan abi daud ki ravayat mai yh ilfaz hain:

"Allah Ta'ala k naam sy aur Allah sab sy bara hai. yh qurbani meri taraf sy hai aur meri ummat k her shakhs ki taraf sy jis ny qurbani nahi ki." [sanan abi daud' hadis: 2810.]
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

No comments:

Post a Comment