DUNYA KE CHAHNE WALE

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: jis shaksh ko sirf duniya ki fikr ho to Allah subhanahu uskey Kaamo mein pareshaani daal dega
-------------
✦AL Quran : Jo shaksh duniya chahta ho to hum usey jis qadar chahtey hain jitna chahtey hain jaldi de dete hain, phir uskey liye jahannam tayyar kar rakhi hai jismein wo zaleel aur khawar(disgraced and rejected) hokar rahega.
Aur jo shaksh aakhirat chahta ho aur uskey liye munasib koshish bhi karta ho aur wo momeen bhi ho to aisey logon ki koshish maqbool hogi.
Al Quran , Surah Al- Isra (17) ,18-19

✦ Abdur-Rahman bin Aban bin Uthman bin ‘Affan Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis shaksh ko sirf duniya ki fikr ho to Allah subhanahu uske Kaamo mein pareshaani daal dega ,aur uski muflisi dono aankho ke darmiyan kar dega , aur duniya usko utni hi milegi jitni uski taqdeer mein likhi hai, aur jo aakhirat ki fikr karega to Allah subhanahu uskey sarey kaam durust kar dega, aur uskey dil mein (duniya se ) be parwahi daal dega aur duniya kis bhi tarah uskey paas aayegi
Sunan ibn Majah, Vol 3, 986 –Sahih
---------------
----------------------
✦ अल क़ुरान : जो शख्स दुनिया चाहता हो तो हम उसे जिस क़दर चाहते हैं जितना चाहते हैं जल्दी दे देते हैं, फिर उसके लिए जहन्नम तैयार कर रखी है जिसमें वो ज़लील और खवार होकर रहेगा. और जो शख्स आख़िरत चाहता हो और उसके लिए मुनासिब कोशिश भी करता हो और वो मोमीन भी हो तो ऐसे लोगों की कोशिश मक़बूल होगी.
अल क़ुरान , सुरह अल- इसरा (17) ,18-19

✦ अब्दुर-रहमान बिन अबान बिन उसमान बिन ‘अफ्फान रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूलअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जिस शख्स को सिर्फ़ दुनिया की फ़िक्र हो तो अल्लाह सुबहानहु उसके कामों में परेशानी डाल देगा ,और उसकी मुफ़लिसी दोनो आँखो के दरमियान कर देगा , और दुनिया उसको उतनी ही मिलेगी जितनी उसकी तक़दीर में लिखी है, और जो आख़िरत की फ़िक्र करेगा तो अल्लाह सुबहानहु उसके सारे काम दुरुस्त कर देगा, और उसके दिल में (दुनिया से ) बे परवाही डाल देगा और दुनिया किस भी तरह उसके पास आएगी
सुनन इब्न माज़ा, जिल्द 3, 986

No comments:

Post a Comment