FITNA E DAJJAL PART 1

bismillahirrehmanirraheem

Fitna e Dajjal se kya murad(matlab) hai,

Arabi zaban mein Dajjal ke mayne hote hai 'Fareb' ke.Kisi shay(element) ki haqiqat me koi aur parda dal dena .Is sey lawz-e-dajjal bana hai yani bhut bada 'dhokebaz',jab yeh kisi insan ke liye istemal hoga tab uske mayne honge 'Behrupiye' ke.

Yeh lawaz Quran majeed me kahi nahi aaya.Na fitna e dajjal ka zikr aaya hai.Han hadees mein'Fitna e dajjal' ka zikr bhut bar aaya hai,uskey aane ka ,uski qualities ka ,uski halakat ka ,khas toor par Huzur(saws)ki hidayat hai '

Joh insan Surah Kahaf padta rahega woh fitna e dajjal ke asar se mehfooz rahega'.

(Muslim).

Joh insan surah kahaf ki shuruwati ayat padta rahega woh fitna e dajjal se mehfooz rahega

(Dawood).

Joh insan surah kahaf ki akhiri ayat padta rahega woh fitna e dajjal se mehfooz rahega.

(Nasai).

Huzur(saws)ne farmaya ke Surah Kahaf insan ko fitna e dajjal sey mehfooz rakhney mein mufeed hai.

(Muslim,Tirmizi,Dawood,Maza,Nasai,Ahmad)

Quran ki roshni mein hum jab dekhte hai tab hume pata chal ta hai sabse bada Dajjal yeh 'duniya' aur 'duinya ki zindagi' hai ,Isliye k is Duniya ne Akherat(Day of Judgement) me parda dal diya hai.

Quran bar-bar kehta hai 'Yeh duniya ka saman siway dhokey ke aur kuch nahi'

(Quran).

Jis insan ne apni puri mehnat ,strength,duniya mein laga de aur akherat se gafil raha woh samgho is Dajjal ke fitne mein giraftar ho gaya.Aur uskey liye Duniya-Azab-E-Ilahi ka reason ban gayi .Khas tuar par duniya ka 'Glamour' bad ta ja raha hai, Duniya mein jitni material chamak-damak hai,Nazar ko lubhane wali chamak hai yeh chamak jitni badegi Dajjaleyat utni he badti chali jayegi.

Kafir joh haqeqatan kafir hai chaye naam uska muslim ho uski pechan yeh hai uski sari mehnat ,struggle,duniya ke liye hai ,duniya ka Aaram,Luxury etc .

Yeh hi wajah hai jab hum surah kahaf par ghor karte hai,Aur hamarey Huzur(saws) ne bhi Surah Kahaf ki shuruwati aur akhiri ayat padne ko kaha hai.

'Aur jo cheez zameen par hai usko humney uskey leye zeenat(shobha) banaya hai taki logo ko aazmaey,ki unmey behtar amal karney wala kuan hai.'Aur joh kuch us(zameen) par hai usey toh hum ek chateyal maydan bana dene waley hai. (Surah 18 Ayat 7,8)

Yani duniya ki sajawat,glamour,Aaj joh west mein apni inteha ko puhunch chuka hai.Aap andaza kijeye waha zindagi kitni dilkash hai,kitni chamak damak hai .Is qadar wah Uuchi-Uuchi Imaretey hai,Aadmi sab bhool jata hai.

Farmaya

'Taki hum aazmaey ke kuan accha amal karta hai,Kiya tum duniya hi ke andar gum ho jate ho,magan ho jate ho Aur hume bhool jate ho? Duniya se mohabbat kartey ho?Bus yeh imtehan ka ek 'peroid' hai,Aur is period mein hi Insan ki kamyabi aur na kamyabi hai.Duniya mein rehte hue duniya se dil na lagana ,Duniye se mohabbat na karna .Isey sirf zindagi guzarne ki leye zariya(means) samaghna ,Asal mehboob ,maqsood Allah ho jaye,Akhirat ki zindgi asal maqsood ho ,fhir farmaya''Aaj tum is zameen par jo dekh rahe ho kal hum isey chateyal maydan bana dengey jasey koi fasal kat di jaye.

(Surah 18 Ayat 8).

Fhir Allah age farmatey hai 'Aay Nabi (saws) 'In sey kahiye kiya hum tumko bataye ke apney amal ke aithbar se, apni mehnat ke aithbar se,apni koshish ke aithbar se sabs sey zyada dhokey mein kuan hai? Jinki bhag-dor ,mehnat,duniya hi ki zindgi mein gum ho kar rah jaye,duniya mein .....? 'Kah dejeye ,'Kya hum tumhey unki khabar dey,joh apney amalo ke lehaz sey sabsey badkar nuksan udhaney waley hain.?'...

Ye wah log hain,'Jinki puri koshish duniya hi ki zindgi me barbad ho kar rahi ,or wah apney ap ko yahi samjhtey rahey ,ki wah achey kam kar rahe hai.

(Surah 18 Ayat 103,104)

Lekin Insan ye samjh raha ho ke mein bhut kamyabi pa lee,maine fala factory bana li,mera capital pehle se bhut zyada ho gaya? etc

Or insan ye soche k ye sari hamari success hai ,halaki asal aithbar se ,akherat k aithbar se 'yeh log woh hai jo apni mehnat k aitbar se sabse zyada dhoke me hai?

Quran majeed ke mutabik yeh duniya aur uske glamour 'SAB SE BADA DAJJAL HAI'.Insani zindgi ka asal Dajjal yeh duniya hai .Hamara asal ghar yeh duniya nahi hai

No comments:

Post a Comment