JHOOTH BOLNE KE LIYE AQAL KA HONA ZAROORI NAHI

Bismillahirrahmanirrahem

JHOOT BOLNE KE LIYE AQAL KA HONA ZAROORI NAHI :

Apni baat shuru karne se pahle main ye baat batata chalun ke RAFULYADIN kya hai, kyon kuch muqallideen ko iske baare me malum hi nahi....

Abdullah bin umar r.a. Shuru Namaz me, rukoo se pahle rukoo ke baad aur do rekaate perh ker khara hote waqt Rafadain kerte the aur fermate the ke Rasulullah sws bhi isi tarah kerte the.

{Bukhari 739}

yani shruru namaz me rukoo se pahle aur rukoo ke baad haath uthane ko rafulyadain kahte hain...

Ab main mauzu par aata hun.

Kuch jaamid muqallideen yah daleel dete hain ki murti parast(idol worshipper) aasteeno aur bagalon me but(idol) rakhkar laate they, buton ko giraane ke liye rafayadain kiya gaya, baad me chhod diya gaya, lekin hadith ki kitabon me iska kahin koi saboot nahi hai, albatta yah daleel jaahil muqallidon ki zabaano par ghoomta rahta hai...........



Neeche likhe gaye umoor se is daleel ki kamzori wajeh hoti hai:

1- makkah me but(idol) they magar jamaat farz nahi thi, madina me jamaat farz hui magar but nahi they, phir but parast madina me kin buton(idols) ko bagalon me dabaaye masjidon me chale aate they???

2- hairat hai ki jaahil muqallid is gapp ko sahi maante hain aur iske saath saath nabi(sws) ko ilm e gaib waale bhi maante hain, jabki aap ilm e gaib rakhne waale hote to rafayadain karwaane ke bina bhi jaan sakte they ki falan falan shakhs masjid me but(idol) le aaya hai..

3- but(idol) ki giraane they to yah, takbeer e tahrima kahte waqt jo rafulyadain ki jaati hai aur usi tarah ruku aur sajde ke dauran bhi gir sakte they, iske liye alag se rafulyadain ki sunnat jaari karne ki koi zarurat nahi thi....

4- but parast bhi kitne jaahil they ki but jebon me bhar ke laane ke bajaaye unhe bagalon me daba laaye??

5- beshak hi jaahil log aur unke peshwa(imam,peer,murshid) yah bataane me nakaam hain kh unke farman ke mutabik agar rafulyadain ke dauraan but parast ki bagalon se but(idol) gire they to phir aapne unhe kya saza di thi??

Asal yah kahani sirf muqallidon ka gada huwa afsaana hai, jiska haqiqat ke saath zara sa bhi talluq nahi hai.........

No comments:

Post a Comment