9 and 10 Muharram ka Roza
Abdullah
Bin Abbas RadiAllahu Taala Anhu se rivayat hai ki Jab Rasoolallah
Sallallahu Alaihi wasallam Madiney Main Tashreef laye to Yahud ko dekha
ki Aashurey Ke Din ka Roza Rakhte hain, Logo ne un se pucha ki Kyon Roza
rakte hain to unhoney kaha ki ye wo din hai Jab Allah taala ne Musa
Alaihi Salam aur Banee Israeel ko firoun Par Galba (Victory) Diya Isliye
aaj hum Rozedar hain, iski Taazaim ke Liye ,To Nabee Sallallahu Alaihi
wasallam ne farmaya hum tum se jyada dost hain aur Kareeb hain Musa
Alaihi Salam ke,Phir Huqm Diya Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne is (10
muharram) Roze ka.
( *Sahih-Muslim, Vol-no: 3, Book: 6(Roze ka Masayel), Hadees-no: 2656* )
Abdullah Bin Abbas RadiAllahu Taala Anhu se rivayat hai
ki Jab Roza rakha Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam Ne Aashurey ke
din(10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, to logo ne Arz
ki Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam ye din to aisa hai ki iski
Taazim karte hain Yahud aur Nasara,To Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne
farmaya Ki Jab Agla Saal aayega to Inshallah Hum 9 ka Roza
Rakhege,Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam
ki wafaat ho gai.
(isliye hum musalman 9 and 10 dono ka roza rakhte hain)
( *Sahih-Muslim, Vol-no: 3, Book: 6(Roze ka Masayel), Hadees-no: 2666* )
Abu Qatada al-Ansari radi Allahu Anhu se rivata hai ki
Nabee Sallallahu Alaihi wasallam se Asura (10 Muharram) ke din ke rozey
ke bare mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne faramaya ye
Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai.
( *Sahih-Muslim, Vol-no: 3, Book: 6(Roze ka Masayel), Hadees-no: 2747* )
No comments:
Post a Comment