MUHARRAMUL HARAAM--AAJ SHIRK AUR BIDAT KA GEHWARA

Bismillahirrahmanirraheeem
MUHARRAMUL HARAAM--AAJ SHIRK AUR BIDAT KA GEHWARA

Muharramul Haram ek aisa muqaddas mahina jisme Zaman-e-Jahiliyat mein bhi tamam tarah ki buraiya band kar di jati thi yahan tak ki ladaiya bhi multawi kar di jatithi lekin aaj Dushmanan-e-Islam ne apni takhreeb kari aur ghaleez harkato ko Ummat-e-Muslima ke andar ghol diya aur ise ek Shirk aur Biddat ka mahina bana diya. 
Jidhar nikal jao nohe aur marsiye padhe ja rahe hain, har dusre ghar mein sog
manaya ja rha hai, har taraf haye hussain, haye hussain ki aaho baqa hai, 
koi ghar mein Bibi Fatima ki kahani padhwa raha hai, 
koi bibi zenab ki kahani padhwa raha hai, 
ek taraf makkari aur dhong ke ansu hain aur dus ri taraf mithayi ki dukane saji hui hain, 
ek taraf seeno aur peetho ko mara ja raha hai aur kata ja raha hai to dusri taraf fakeer, paiky, alam aur taziye banaye ja rahe hain, 
har taraf ajeeb haal hai, har shakal par 12 baje huye hain.
 
Wo jo karte hain unhe karnedo musalmano, ye to un khabeeso aur ghaleezo par AZAAB hai ALLAH ka jo Qayamat tak jari rahega, ye aise he apna seena peet te rahenge kyun ki isi seene mein Amma Ayesha R.A. ka bughz bhara hai, Hazrat Abu Bakr R.A. bughz bhara hai, Hazrat Umar Farooq R.A. ka bughz bhara hai, Hazrat Usman-e-Ghani R.A. ka bughz bhara hai, aur tamam SAHABA R.A.A. ka bughz bhara hua hai aur saro ko isliye kat te hain ki isi dimagh mein Hazrat Hussain ko shaheed karne aur Ahle Bait ko badnam karne sazishe bhari hui hain.

 
FAKEER : 
Ye fakeer banne ka system he nahi samjh aya aajtak, ye fakeer kyun banaye jate hain bache, agar ek fakeer ka bacha aa jaye to badi hikarat se dekhte hain lekin in das dinomein to bade bade ameer aur haisyat, shohrat aur paise wale apne abcho ko fakeer banate hain. Ye fakeeri ka to pasha HARAM hai islam mein phir ye kaise aya is muqaddas mahine mein?
 
PAIKY: 
 Kuch musalman kamar mein rassiyan bandhe aur ghantiyan latkaye bas daudte rahte hain nange pair, koi idhar bhaga ja raha hai, koi udhar bhaga ja raha hai, kuch group banakar yahan daudte hain kuch wahan daudte hain, aajkal to modern ho gaye to bikes par 3 - 3 aur 4 - 4 baithe kartab dikhate hue nikalte hain, subah se lekar sham tak sirf daudna aur sirf daudna he hai, na namaz ki fikr hoti hai aur na sunnato ki, farziyat ka kahin naam nahi, sunnato ke janaze nikle hue aur bs bhag rahe hain, 
ALLAH jane ye DEEN ke liye bhag rahe hain ya DEEN se bhag rahe hain. Ye bhi kahin se sabit nahi hai Nabi A.S. se to mumkin he nahi hai aur SAHABA R.A.A. ne kabhi kiya nahi, na tabayi se na tabe tabayi se, na kisi Auliya ALLAH se, phir ye kaha se aya?
 
TAZIYADARI AUR ALAM: 
Iski shuruat Taimoor Lang ke zamane mein hui aur Noor Jahan ke zamane mein parwan chadhi choonki Taimoor langda tha isliye wo Iran ja nahi skata tha in zalalat ke liye to usne yahi ye sab kuch banwa shuru kar diya, 
yahi itihas humein Noor Jahan ke bare mein bhimilta hai ki wo Iran ki rahne wali thi aur yahan par Jahagir se shadi hui to Iran na ja sakne ki wajah se usne kuch iraniyo ko yahi bula liyaaur ye zalalat wale kam yahishuru kar diye aur aaj ka musalman ise sawab ka darja deta 
ASTAGHFIRULLAH
 ye sarapa biddat aur shirk mein mulawwis hone wale kam hain. Barelvi fikre maktab ke kuch log isme kuch zyada he mulawwis hain lekin shayd unhe ye nahi pata hai ki unke he firke ki ibtida karne wale Imam Ahmad Raza Sb. Ne apni kitab Fataw-e-Rizwiya mein fatwa diya hai
 "Taziya dekhne wala, banane wala aur use bechne wala kufr ka murtakib hai"
 isliye meri bareilvi hazrat se ghuzarish hai ki in ghaleez aur badtareen biddat se bahar nikle aur Hazrat Hussain R.A. ki shahadat ka asal maqsad samjhe.
 
Kuch musalman Muharramul Haram ki 10 tareekh ko bht sog wala din, kala din ya manhoos din mante hain ihaza unhe ye batana chahta hun ki 
is din Hazrat Adam A.S. ki tauba qubool hui, 
Isi din ye paida kiye gaye, isi din inhe jannat mein dakhil kiya gaya, 
isi Arsh, Kursi, Aasman, Zameen, Shams, Qamar, Sitare aur jannat banayi gayi, 
isi din Hazrat Ibrahim A.S. paida hue aur isi din inhe aag se nijat mili, 
isi din Hazrat Moosa A.S. ki ummat ko firaon se nijat mili aur firaon apni qaum ke sath ghark hua, 
isi din Hazrat Isa A.S. paida kiye gaye aur isi din inhe asman ki taraf uthaya gaya,
 isi din Hazrat Nooh A.S. ki kashti joodi pahad par thehri,
 isi din Hazrat Suleman A.S. ko mulk azeem ata kiya gaya, 
isi din Hazrat Ynus A.S. ko machli kepet se nikala gaya,
 isi din Hazrat Yaqoob A.S. ki beenayi di gayi, 
isi din Hazrat Yusuf A.S. ko kuwey se nikala gaya, 
Hazrat Aiyyub A.S. ki takleefo ko rafa kiya gaya, 
isi din Aasman se zameen par sabse pahli barish hui, 
isi dinka roza pichli ummato apr farz tha. 
Itna sab kuch hone ke bad bhi agar koi ise manhoos ya sog wala ya kharab din kahe to woe k momin nahi ho sakta zarur aur isme koi shak na hoga kiwo shakhs Dushman-e-Islamhoga.
Niche kuch Hadees-e-Paak SAWW bhi de raha hun mulahiza farmaye…
 
 Nabi SAWW ki hadees hai jiska mafhoom hai ki 
"Jo apne gireban ko chak kare, munh peete, aur zaman-e-jahiliyat wali batein kare wo hum me se nahi"… 
(Sahih Al-Bukhari)
 
Nabi SAWW ki hadees 10 Muharram ke ziman mein hai jiska mafhoom hai ki 
"Jo shakhs is din apne Ahlo ayal par farakhi se kharch kare, ALLAH iske sal bhar ki rozi mein barkat ata farmayenge"…
 
Nabi SAWW ki hadees ka mafhoom hai jisme Pyare Aqa SAWW ne marsiyah karne par mana farmaya hai…
 
ALLAH hum tamam momineen ko is pak mahineka taqaddus barqarar rakhne ki taufeeq ata farmaye, isme hone wale tamam Shirk aur Biddat se hamari hifazat farmaye…
 AMEEN.
JAZAKALLAHU KHAIRAN KASEERAN KASEERAH…

No comments:

Post a Comment